Hud

Surah 11

011 surah

الٓرٰ​ كِتٰبٌ اُحۡكِمَتۡ اٰيٰـتُهٗ ثُمَّ فُصِّلَتۡ مِنۡ لَّدُنۡ حَكِيۡمٍ خَبِيۡرٍۙ‏ ١

Alif. Lam. Ra. This is a Divine Command whose contents have been made firm and set forth in detail from One Who is All-Wise, All-Aware

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Alif Laam Raa. Farmaan hai , jiski aayatin pukhta aur mufassal irshad hui hain, ek dana(wise) aur bakhabar hasti ki taraf se

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَلَّا تَعۡبُدُوۡۤا اِلَّا اللّٰهَ​ ؕ اِنَّنِىۡ لَـكُمۡ مِّنۡهُ نَذِيۡرٌ وَّبَشِيۡرٌ ۙ‏ ٢

that you may worship none but Allah. Verily, I have come to you as a warner and a bearer of good news from Him

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Ke tum na bandagi karo magar sirf Allah ki. Main uski taraf se tumko khabardaar karne wala bhi hoon aur basharat dene wala bhi

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَّاَنِ اسۡتَغۡفِرُوۡا رَبَّكُمۡ ثُمَّ تُوۡبُوۡۤا اِلَيۡهِ يُمَتِّعۡكُمۡ مَّتَاعًا حَسَنًا اِلٰٓى اَجَلٍ مُّسَمًّى وَ يُؤۡتِ كُلَّ ذِىۡ فَضۡلٍ فَضۡلَهٗ ​ؕ وَاِنۡ تَوَلَّوۡا فَاِنِّىۡۤ اَخَافُ عَلَيۡكُمۡ عَذَابَ يَوۡمٍ كَبِيۡرٍ‏ ٣

that you may seek forgiveness of your Lord and turn to Him in repentance whereupon He will grant you a fair enjoyment of life until an appointed term, and will bestow favour on everyone who merits favour. But should you turn away (from the truth), I fear for you the chastisement of an Awesome Day.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur yeh ke tum apne Rubb se maafi chaho aur uski taraf palat aao to woh ek khaas muddat tak tumko accha samaan e zindagi dega aur har sahib-e-fazl ko uska fazal ata karega. Lekin agar tum mooh pherte ho to main tumhare haqq mein ek baday haulnaak din ke azaab se darta hoon

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِلَى اللّٰهِ مَرۡجِعُكُمۡ​ۚ وَهُوَ عَلٰى كُلِّ شَىۡءٍ قَدِيۡرٌ‏ ٤

Unto Allah is your return, and He has power to do everything.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Tum sabko Allah ki taraf palatna hai aur woh sab kuch kar sakta hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَلَاۤ اِنَّهُمۡ يَثۡنُوۡنَ صُدُوۡرَهُمۡ لِيَسۡتَخۡفُوۡا مِنۡهُ​ؕ اَلَا حِيۡنَ يَسۡتَغۡشُوۡنَ ثِيَابَهُمۡۙ يَعۡلَمُ مَا يُسِرُّوۡنَ وَمَا يُعۡلِنُوۡنَ​ۚ اِنَّهٗ عَلِيۡمٌۢ بِذَاتِ الصُّدُوۡرِ‏ ٥

Lo! They fold up their breasts that they may conceal themselves from Him. Surely when they cover themselves up with their garments Allah knows well what they cover and what they reveal. Indeed He even knows the secrets hidden in the breasts.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Dekho! Yeh log apne seeno ko moadte hain taa-ke ussey chup jayein. Khabardaar! Jab yeh kapdon se apne aap ko dhampte hain Allah unke chupe ko bhi jaanta hai aur khule ko bhi.Woh to un bhedon se bhi waqif hai jo seeno mein hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَمَا مِنۡ دَآ بَّةٍ فِى الۡاَرۡضِ اِلَّا عَلَى اللّٰهِ رِزۡقُهَا وَ يَعۡلَمُ مُسۡتَقَرَّهَا وَمُسۡتَوۡدَعَهَا​ؕ كُلٌّ فِىۡ كِتٰبٍ مُّبِيۡنٍ‏ ٦

There is not a single moving creature on the earth but Allah is responsible for providing its sustenance. He knows where it dwells and where it will permanently rest. All this is recorded in a clear Book.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Zameen mein chalne wala koi jaandaar aisa nahin hai jiska rizq Allah ke zimme na ho aur jiske mutaaliq woh na jaanta ho ke kahan woh rehta hai aur kahan wo sompa jata hai, sab kuch ek saaf daftar mein darj hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَ هُوَ الَّذِىۡ خَلَقَ السَّمٰوٰتِ وَالۡاَرۡضَ فِىۡ سِتَّةِ اَ يَّامٍ وَّكَانَ عَرۡشُهٗ عَلَى الۡمَآءِ لِيَبۡلُوَكُمۡ اَيُّكُمۡ اَحۡسَنُ عَمَلًا ؕ وَلَٮِٕنۡ قُلۡتَ اِنَّكُمۡ مَّبۡعُوۡثُوۡنَ مِنۡۢ بَعۡدِ الۡمَوۡتِ لَيَـقُوۡلَنَّ الَّذِيۡنَ كَفَرُوۡۤا اِنۡ هٰذَاۤ اِلَّا سِحۡرٌ مُّبِيۡنٌ‏ ٧

And He it is Who created the heavens and the earth in six days - and [before that] His Throne was upon the water that He may test you, who of you is better in conduct If you were to say (O Muhammad): 'All of you will surely be raised after death', then those who disbelieve will certainly say: 'This is nothing but plain sorcery.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur wahi hai jisne aasmano aur zameen ko chey (six) dino mein paida kiya jabke issey pehle uska arsh pani par tha taa-ke tumko aazma kar dekhe tum mein kaun behtar amal karne wala hai. Ab agar (aey Muhammad) tum kehte ho ke logon, marne ka baad tum dobara uthaye jaogey, to munkireen fawran bol uthte hain ke yeh to sareeh jaadugari hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَٮِٕنۡ اَخَّرۡنَا عَنۡهُمُ الۡعَذَابَ اِلٰٓى اُمَّةٍ مَّعۡدُوۡدَةٍ لَّيَـقُوۡلُنَّ مَا يَحۡبِسُهٗؕ اَلَا يَوۡمَ يَاۡتِيۡهِمۡ لَـيۡسَ مَصۡرُوۡفًا عَنۡهُمۡ وَحَاقَ بِهِمۡ مَّا كَانُوۡا بِهٖ يَسۡتَهۡزِءُوۡنَ‏ ٨

And were We to put off the chastisement from them for a determined period, they will cry out: 'What withholds Him from chastising?' Surely when the day of the chastisement will come, nothing will avert it and the chastisement which they had ridiculed shall encompass them.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur agar hum ek khaas muddat tak unki saza ko taalte hain to woh kehne lagte hain ke aakhir kis cheez ne usey rok rakkha hai? Suno! Jis roz us saza ka waqt aa gaya to woh kisi ke phere na phir sakega aur wahi cheez unko aa gheregi jiska woh mazaq uda rahey hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَٮِٕنۡ اَذَقۡنَا الۡاِنۡسَانَ مِنَّا رَحۡمَةً ثُمَّ نَزَعۡنٰهَا مِنۡهُ​ۚ اِنَّهٗ لَيَـــُٔوۡسٌ كَفُوۡرٌ‏ ٩

If We ever favour man with Our Mercy, and then take it away from him, he becomes utterly desperate, totally ungrateful.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Agar kabhi hum Insaan ko apni rehmat se nawazne ke baad phir ussey mehroom kardete hain to woh mayous hota hai aur nashukri karne lagta hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَٮِٕنۡ اَذَقۡنٰهُ نَـعۡمَآءَ بَعۡدَ ضَرَّآءَ مَسَّتۡهُ لَيَـقُوۡلَنَّ ذَهَبَ السَّيِّاٰتُ عَنِّىۡ​ ؕ اِنَّهٗ لَـفَرِحٌ فَخُوۡرٌۙ‏ ١٠

And if We let him taste favour after harm has touched him, he says: 'All my ills are gone', and he suddenly becomes exultant and boastful,

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur agar us museebat ke baad jo uspar aayi thi hum usey niyamat ka maza chakhate hain to kehta hai mere to sarey diladdar(sakhtiyan) paar ho gaye, phir woh phoola nahin samata aur akadne lagta hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِلَّا الَّذِيۡنَ صَبَرُوۡا وَعَمِلُوا الصّٰلِحٰتِؕ اُولٰٓٮِٕكَ لَهُمۡ مَّغۡفِرَةٌ وَّاَجۡرٌ كَبِيۡرٌ‏ ١١

except those who are patient and act righteously. Such shall have Allah's forgiveness and a great reward.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Is aieb se paak agar koi hain to bas woh log jo sabr karne waley hain aur neikokar hain aur wahi hain jinke liye darguzar bhi hai aur bada ajar bhi

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَلَعَلَّكَ تَارِكٌۢ بَعۡضَ مَا يُوۡحٰٓى اِلَيۡكَ وَضَآٮِٕقٌ ۢ بِهٖ صَدۡرُكَ اَنۡ يَّقُوۡلُوۡا لَوۡلَاۤ اُنۡزِلَ عَلَيۡهِ كَنۡزٌ اَوۡ جَآءَ مَعَهٗ مَلَكٌ​ ؕ اِنَّمَاۤ اَنۡتَ نَذِيۡرٌ​ ؕ وَاللّٰهُ عَلٰى كُلِّ شَىۡءٍ وَّكِيۡلٌ ؕ‏ ١٢

(O Messenger!) Let it not happen that you omit (to expound) a portion of what was revealed to you. And do not be distressed that they will say: 'Why was a treasure not bestowed upon him?' or 'Why did no angel accompany him?' For you are merely a warner, whereas Allah has control over everything.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

To aey paigambar! Kahin aisa na ho ke tum un cheezon mein se kisi cheez ko (bayan karne se) chodh do jo tumhari taraf wahee ki jaa rahi hai. Aur is baat par dil tangg ho ke woh kahenge “is shaks par koi khazana kyun na utara gaya” ya yeh ke “iske saath koi farishta kyun na aaya”. Tum to mehaz khabardaar karne waley ho, aagey har cheez ka hawaladaar Allah hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَمۡ يَقُوۡلُوۡنَ افۡتَـرٰٮهُ​ ؕ قُلۡ فَاۡتُوۡا بِعَشۡرِ سُوَرٍ مِّثۡلِهٖ مُفۡتَرَيٰتٍ وَّ ادۡعُوۡا مَنِ اسۡتَطَعۡتُمۡ مِّنۡ دُوۡنِ اللّٰهِ اِنۡ كُنۡتُمۡ صٰدِقِيۡنَ‏ ١٣

Do they say: 'He has invented this Book himself?' Say: 'If that is so, bring ten surahs the like of it of your composition, and call upon all (the deities) you can other than Allah to your help. Do so if you are truthful.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Kya yeh kehte hain ke paigmbar ne yeh kitab khud ghadh li hai? Kaho, “accha yeh baat hai to is jaisi ghadi hui dus suratein tum bana lao aur Allah ke siwa aur jo jo (tumhare mabood) hain unko madad ke liye bula sakte ho to bula lo agar tum (unhein mabood samajhne mein) sacchey ho

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَاِلَّمۡ يَسۡتَجِيۡبُوۡا لَـكُمۡ فَاعۡلَمُوۡۤا اَنَّمَاۤ اُنۡزِلَ بِعِلۡمِ اللّٰهِ وَاَنۡ لَّاۤ اِلٰهَ اِلَّا هُوَ​ۚ فَهَلۡ اَنۡتُمۡ مُّسۡلِمُوۡنَ‏ ١٤

Then if (your deities) do not respond to your call for help then feel assured that this Book was revealed with the knowledge of Allah, and that there is no true god but Him. Will you, then, surrender (to this truth)?

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Ab agar woh (tumhare mabood) tumhari madad ko nahin pahunchte to jaan lo ke yeh Allah ke ilm se nazil hui hai aur yeh ke Allah ke siwa koi haqiqi mabood nahin hai phir kya tum ( is amr e haqq ke aagey) sar-e-tasleem kham karte ho?”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

مَنۡ كَانَ يُرِيۡدُ الۡحَيٰوةَ الدُّنۡيَا وَ زِيۡنَتَهَا نُوَفِّ اِلَيۡهِمۡ اَعۡمَالَهُمۡ فِيۡهَا وَهُمۡ فِيۡهَا لَا يُبۡخَسُوۡنَ‏ ١٥

Those who seek merely the present world and its adornment. We fully recompense them for their work in this world, and they are made to suffer no diminution in it concerning what is their due.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jo log bas isi duniya ki zindagi aur iski khush numaiyon ke taalib hotey hain unki kaarguzari ke sara phal hum yahin unko de dete hain aur ismein unke saath koi kami nahin ki jati

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اُولٰٓٮِٕكَ الَّذِيۡنَ لَـيۡسَ لَهُمۡ فِىۡ الۡاٰخِرَةِ اِلَّا النَّارُ​ ​ۖ  وَحَبِطَ مَا صَنَعُوۡا فِيۡهَا وَبٰطِلٌ مَّا كَانُوۡا يَعۡمَلُوۡنَ‏ ١٦

They are the ones who shall have nothing in the Hereafter except Fire. (There they shall come to know) that their deeds in the world have come to naught; and that whatever they have done is absolutely useless.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Magar aakhirat mein aisey logon ke liye aag ke siwa kuch nahin hai. (Wahan maloom ho jayega ke) jo kuch unhon ne duniya mein banaya woh sab maliyameit (worthless) hoga aur ab unka saara kiya dhara mehaz baatil hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَفَمَنۡ كَانَ عَلٰى بَيِّنَةٍ مِّنۡ رَّبِّهٖ وَيَتۡلُوۡهُ شَاهِدٌ مِّنۡهُ وَمِنۡ قَبۡلِهٖ كِتٰبُ مُوۡسٰٓى اِمَامًا وَّرَحۡمَةً​  ؕ اُولٰٓٮِٕكَ يُؤۡمِنُوۡنَ بِهٖ​ ؕ وَمَنۡ يَّكۡفُرۡ بِهٖ مِنَ الۡاَحۡزَابِ فَالنَّارُ مَوۡعِدُهٗ​ ۚ فَلَا تَكُ فِىۡ مِرۡيَةٍ مِّنۡهُ​ اِنَّهُ الۡحَـقُّ مِنۡ رَّبِّكَ وَلٰـكِنَّ اَكۡثَرَ النَّاسِ لَا يُؤۡمِنُوۡنَ‏ ١٧

Can it happen that he who takes his stand on a clear evidence from his Lord, subsequently followed by a witness from Him (in his support), and prior to that the Book of Moses was revealed as a guide and a mercy, (would even he deny the truth in the manner of those who adore the life of this world)? Rather, such men are bound to believe in it. The Fire shall be the promised resort of the groups that disbelieve. So be in no doubt about it for this indeed is the truth from your Lord although most people do not believe.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir bhala woh shaks jo apne Rubb ki taraf se ek saaf shahadat(evidence) rakhta tha, iske baad ek gawah bhi parwardigar ki taraf se (is shahadat ki taeed mein) aa gaya, aur pehle Moosa ki kitab rehnuma aur rehmat ke taur par aayi hui bhi maujood thi (kya woh bhi duniya paraston ki tarah issey inkar kar sakta hai?) Aisey log to ispar iman hi layenge. Aur Insaani girohon mein se jo koi iska inkar karey to uske liye jis jagah ka wada hai woh dozakh hai. Pas (aey paigambar) , tum is cheez ki taraf se kisi shakk mein na padna, yeh haqq hai tumhare Rubb ki taraf se magar aksar log nahin maante

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَمَنۡ اَظۡلَمُ مِمَّنِ افۡتَـرٰى عَلَى اللّٰهِ كَذِبًا​ ؕ اُولٰٓٮِٕكَ يُعۡرَضُوۡنَ عَلٰى رَبِّهِمۡ وَ يَقُوۡلُ الۡاَشۡهَادُ هٰٓؤُلَاۤءِ الَّذِيۡنَ كَذَبُوۡا عَلٰى رَبِّهِمۡ​ ۚ اَلَا لَـعۡنَةُ اللّٰهِ عَلَى الظّٰلِمِيۡنَۙ‏ ١٨

And who is a greater wrong-doer than he who invents a lie against Allah? Such men will be set forth before their Lord and witnesses will say: 'These are the ones who lied against their Lord. Lo! Allah's curse be upon the wrong-doers;

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

aur us shaks se badh kar zalim aur kaun hoga jo Allah par jhoot ghaday? Aisey log apne Rubb ke huzoor pesh hongey aur gawah shahadat denge ke yeh hain woh log jinhon ne apne Rubb par jhoot ghada tha. Suno! khuda ki laanat hai zalimon par

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

الَّذِيۡنَ يَصُدُّوۡنَ عَنۡ سَبِيۡلِ اللّٰهِ وَيَبۡغُوۡنَهَا عِوَجًا ؕ وَهُمۡ بِالۡاٰخِرَةِ هُمۡ كٰفِرُوۡنَ‏ ١٩

upon those who bar people from the way of Allah, and seek in it crookedness, and disbelieve in the Hereafter.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Un zalimon par jo khuda ke raaste se logon ko roakte hain, uske raaste ko teda karna chahte hain aur aakhirat ka inkar karte hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اُولٰٓٮِٕكَ لَمۡ يَكُوۡنُوۡا مُعۡجِزِيۡنَ فِى الۡاَرۡضِ وَمَا كَانَ لَهُمۡ مِّنۡ دُوۡنِ اللّٰهِ مِنۡ اَوۡلِيَآءَ​ ۘ يُضٰعَفُ لَهُمُ الۡعَذَابُ​ ؕ مَا كَانُوۡا يَسۡتَطِيۡعُوۡنَ السَّمۡعَ وَمَا كَانُوۡا يُبۡصِرُوۡنَ‏ ٢٠

They had no power to frustrate Allah's design in the earth, nor did they have any protectors against Allah. Their chastisement will be doubled. They were unable to hear, nor could they see.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Woh zameen mein Allah ko bay-bas karne waley na thay aur na Allah ke muqable mein koi unka haami (protector) tha. Unhein ab dohra (double) azaab diya jayega. Woh na kisi ki sun hi sakte thay aur na khud hi unhein kuch soojhta tha

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اُولٰٓٮِٕكَ الَّذِيۡنَ خَسِرُوۡۤا اَنۡفُسَهُمۡ وَضَلَّ عَنۡهُمۡ مَّا كَانُوۡا يَفۡتَرُوۡنَ‏ ٢١

They caused utter loss to themselves, and all that they had invented failed them.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yeh woh log hain jinhon ne apne aap ko khud ghaatey (nuksan) mein dala aur woh sab kuch unse khoya gaya jo unhon ne ghadh rakkha tha

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

لَا جَرَمَ اَ نَّهُمۡ فِى الۡاٰخِرَةِ هُمُ الۡاَخۡسَرُوۡنَ‏ ٢٢

Doubtlessly, they shall be the greatest losers in the Hereafter.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Naguzeer hai ke wahi aakhirat mein sabse badhkar ghatey(loss) mein rahein

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِنَّ الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا وَعَمِلُوا الصّٰلِحٰتِ وَاَخۡبَـتُوۡۤا اِلٰى رَبِّهِمۡۙ اُولٰٓٮِٕكَ اَصۡحٰبُ الۡجَـنَّةِ​ؕ هُمۡ فِيۡهَا خٰلِدُوۡنَ‏ ٢٣

As for those who believed and acted righteously and dedicated themselves totally to their Lord -they are the people of Paradise, and there they shall abide forever.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Rahey woh log jo iman laye aur jinhon ne neik amal kiye aur apne Rubb hi ke hokar rahey, to yaqeenan woh jannati log hain aur jannat mein woh hamesha rahenge

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

مَثَلُ الۡفَرِيۡقَيۡنِ كَالۡاَعۡمٰى وَالۡاَصَمِّ وَالۡبَـصِيۡرِ وَالسَّمِيۡعِ​ ؕ هَلۡ يَسۡتَوِيٰنِ مَثَلًا​ ؕ اَفَلَا تَذَكَّرُوۡنَ‏ ٢٤

The example of the two parties is that one is blind and deaf, and the other capable of seeing and hearing. Can the two be equals? Will you, then, not heed?'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

In dono fareeqon ki misal aisi hai jaise ek aadmi to ho andha behra aur dursa ho dekhne aur sunne wala. Kya yeh dono yaksan ho sakte hain? Kya tum (is misaal se) koi sabaq nahin letey

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَقَدۡ اَرۡسَلۡنَا نُوۡحًا اِلٰى قَوۡمِهٖۤ اِنِّىۡ لَـكُمۡ نَذِيۡرٌ مُّبِيۡنٌۙ‏  ٢٥

(Such were the circumstances) when We sent forth Noah to his people. (He said): 'I have been sent to you to warn you plainly

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(aur aisey hi halaat thay jab) humne Nooh ko uski qaum ki taraf bhejha tha. (Usne kaha) “ main tum logon ko saaf saaf kahbardaar karta hoon

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَنۡ لَّا تَعۡبُدُوۡۤا اِلَّا اللّٰهَ​ؕ اِنِّىۡۤ اَخَافُ عَلَيۡكُمۡ عَذَابَ يَوۡمٍ اَلِيۡمٍ‏ ٢٦

that you may worship none but Allah or else I fear for you the chastisement of a Grievous Day.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

ke Allah ke siwa kisi ki bandagi na karo, warna mujhey andesha hai ke tumpar ek roz dardnaak azaab aayega.”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَقَالَ الۡمَلَاُ الَّذِيۡنَ كَفَرُوۡا مِنۡ قَوۡمِهٖ مَا نَرٰٮكَ اِلَّا بَشَرًا مِّثۡلَنَا وَمَا نَرٰٮكَ اتَّبَعَكَ اِلَّا الَّذِيۡنَ هُمۡ اَرَاذِلُــنَا بَادِىَ الرَّاۡىِ​ۚ وَمَا نَرٰى لَـكُمۡ عَلَيۡنَا مِنۡ فَضۡلٍۢ بَلۡ نَظُنُّكُمۡ كٰذِبِيۡنَ‏  ٢٧

The notables among Noah's own people, who had refused to follow him, responded: 'We merely consider you a human being like ourselves. Nor do we find among those who follow you except the lowliest of our folk, the men who follow you without any proper reason. We see nothing in you to suggest that you are any better than us. Rather, we believe you to be liars.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

jawab mein uski qaum ke sardar, jinhon ne uski baat maanne se inkar kiya tha, bole “ hamari nazar mein to tum iske siwa kuch nahin ho ke bas ek Insaan ho hum jaise, aur hum dekh rahey hain ke hamari qaum mein se bas un logon ne jo hamare haan arazil thay(adna darje / lowliest) be-soochey samjhey tumhari pairwi ikhtiyar karli hai. Aur hum koi cheez bhi aisi nahin patey jis mein tumlog humse kuch badhey huye ho. Balke hum to tumhein jhoota samajhte hain”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ يٰقَوۡمِ اَرَءَيۡتُمْ اِنۡ كُنۡتُ عَلٰى بَيِّنَةٍ مِّنۡ رَّبِّىۡ وَاٰتٰٮنِىۡ رَحۡمَةً مِّنۡ عِنۡدِهٖ فَعُمِّيَتۡ عَلَيۡكُمۡؕ اَنُلۡزِمُكُمُوۡهَا وَاَنۡـتُمۡ لَـهَا كٰرِهُوۡنَ‏ ٢٨

Noah said: 'My people! If I base myself on a clear evidence from my Lord, and I have also been blessed by His mercy to which you have been blind, how can we force it upon you despite your aversion to it?

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Usne kaha “aey biradran e qaum, zara socho to sahih ke agar main apne Rubb ki taraf se ek khuli shahadat par qayam tha aur phir usne mujhko apni khaas rehmat se bhi nawaz diya, magar woh tumko nazar na aayi, to aakhir hamare paas kya zariya hai ke tum maanna na chaho aur hum zabardasti usko tumhare sar chapaik dein

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَيٰقَوۡمِ لَاۤ اَسۡـــَٔلُكُمۡ عَلَيۡهِ مَالًا ؕاِنۡ اَجۡرِىَ اِلَّا عَلَى اللّٰهِ​ وَمَاۤ اَنَا بِطَارِدِ الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا​ ؕ اِنَّهُمۡ مُّلٰقُوۡا رَبِّهِمۡ وَلٰـكِنِّىۡۤ اَرٰٮكُمۡ قَوۡمًا تَجۡهَلُوۡنَ‏ ٢٩

My people! I seek no recompense from you. My recompense is only with Allah. Nor will I drive away those who believe. They are destined to meet their Lord. But I find you to be an ignorant people.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur aey biradran e qaum, main is kaam par tumse koi maal nahin maangta , mera ajar to Allah ke zimme hai aur main un logon ko dhakke dene se bhi raha jinhon ne meri baat maani hai. Woh aap hi apne Rubb ke huzoor janey waley hain magar main dekhta hoon ke tumlog jahalat barat rahey ho

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَيٰقَوۡمِ مَنۡ يَّـنۡصُرُنِىۡ مِنَ اللّٰهِ اِنۡ طَرَدتُّهُمۡ​ؕ اَفَلَا تَذَكَّرُوۡنَ‏  ٣٠

My people! Were I to drive the men of faith away, who will protect me from (the chastisement of) Allah? Do you not understand even this much?

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur aey qaum, main in logon ko dhutkaar doon to khuda ki pakad se kaun mujhey bachane aayega? Tum logon ki samajh mein kya itni baat bhi nahin aati

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَاۤ اَقُوۡلُ لَـكُمۡ عِنۡدِىۡ خَزَآٮِٕنُ اللّٰهِ وَلَاۤ اَعۡلَمُ الۡغَيۡبَ وَلَاۤ اَقُوۡلُ اِنِّىۡ مَلَكٌ وَّلَاۤ اَقُوۡلُ لِلَّذِيۡنَ تَزۡدَرِىۡۤ اَعۡيُنُكُمۡ لَنۡ يُّؤۡتِيَهُمُ اللّٰهُ خَيۡرًا​ ؕ اَللّٰهُ اَعۡلَمُ بِمَا فِىۡۤ اَنۡفُسِهِمۡ​ ۖۚ اِنِّىۡۤ اِذًا لَّمِنَ الظّٰلِمِيۡنَ‏ ٣١

I do not say to you that I possess Allah's treasures, nor that I have access to the realm beyond the ken of sense-perception, nor do I claim to be an angel. Nor do I say regarding those whom you look upon with disdain that Allah will not bestow any good upon them. Allah knows best what is in their hearts. Were I to say so I would be one of the wrongdoers.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur main tumse nahin kehta ke mere paas Allah ke khazane hain, na yeh kehte hoon ke main gaib ka ilm rakhta hoon, na yeh mera dawa hai ke main farishta hoon aur yeh bhi main nahin keh sakta ke jin logon ko tumhari aankhein hikarat se dekhti hain unhein Allah ne koi bhalayi nahin di. Unke nafs ka haal Allah hi behtar jaanta hai. Agar main aisa kahoon to zalim honga”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالُوۡا يٰـنُوۡحُ قَدۡ جَادَلۡتَـنَا فَاَكۡثَرۡتَ جِدَالـنَا فَاۡتِنَا بِمَا تَعِدُنَاۤ اِنۡ كُنۡتَ مِنَ الصّٰدِقِيۡنَ‏ ٣٢

They said: 'O Noah! Surely you have disputed with us and have prolonged your dispute. Now bring upon us the chastisement that you threaten us with; do so, if you are truthful.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aakhir e kaar un logon ne kaha ke “ aey Nooh, tumne humse jhagda kiya aur bahut karliya ab to bas woh azaab le aao jiski tum humein dhamki dete ho agar sacchey ho”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ اِنَّمَا يَاۡتِيۡكُمۡ بِهِ اللّٰهُ اِنۡ شَآءَ وَمَاۤ اَنۡتُمۡ بِمُعۡجِزِيۡنَ‏  ٣٣

Noah said: 'Only Allah will bring it upon you if He so wills, and you will be utterly unable to frustrate that.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Nooh ne jawab diya,“ woh to Allah hi layega , agar chahega, aur tum itna bal-boota nahin rakhte ke isey roak do

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَا يَنۡفَعُكُمۡ نُصۡحِىۡۤ اِنۡ اَرَدْتُّ اَنۡ اَنۡصَحَ لَكُمۡ اِنۡ كَانَ اللّٰهُ يُرِيۡدُ اَنۡ يُّغۡوِيَكُمۡ​ؕ هُوَ رَبُّكُمۡ وَاِلَيۡهِ تُرۡجَعُوۡنَؕ‏  ٣٤

If I want to give you good advice that will not profit you if Allah Himself has decided to let you go astray. He is your Lord, and to Him will you be returned.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Ab agar main tumhari kuch khair khwahi karna bhi chahoon to meri khair khwahi tumhein koi faiyda nahin de sakti jabke Allah hi ne tumhein bhatka dene ka irada karliya ho. Wahi tumahra Rubb hai aur usi ki taraf tumhein palatna hai”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَمۡ يَقُوۡلُوۡنَ افۡتَـرٰٮهُ​ ؕ قُلۡ اِنِ افۡتَرَيۡتُهٗ فَعَلَىَّ اِجۡرَامِىۡ وَاَنَا بَرِىۡٓءٌ مِّمَّا تُجۡرِمُوۡنَ‏ ٣٥

(O Muhammad!) Do they say that he himself has forged this message? Tell them: 'If I have forged this, the guilt of it will fall upon me, but I am not responsible for the crimes you are committing.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(Aey Muhammad),kya yeh log kehte hain ke is shaks ne yeh sab kuch khud ghadh(forged) liya hai?Insey kaho “ agar maine yeh khud ghada hai to mujhpar apne jurm ki zimmedari hai, aur jo jurm tum kar rahey ho uski zimmedari se main bari hoon.”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاُوۡحِىَ اِلٰى نُوۡحٍ اَنَّهٗ لَنۡ يُّؤۡمِنَ مِنۡ قَوۡمِكَ اِلَّا مَنۡ قَدۡ اٰمَنَ فَلَا تَبۡتَٮِٕسۡ بِمَا كَانُوۡا يَفۡعَلُوۡنَ​ ۖ ​ ۚ‏ ٣٦

It was revealed to Noah that no more of your people, other than those who already believe, will ever come to believe. So do not grieve over their deeds,

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Nooh par wahee ki gayi ke tumhari qaum mein se jo log iman laa chuke bas woh laa chuke, ab koi maanne wala nahin hai. Inke kartooton par ghum khana chodo

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاصۡنَعِ الۡفُلۡكَ بِاَعۡيُنِنَا وَوَحۡيِنَا وَلَا تُخَاطِبۡنِىۡ فِى الَّذِيۡنَ ظَلَمُوۡا​ ۚ اِنَّهُمۡ مُّغۡرَقُوۡنَ‏ ٣٧

and build the Ark under Our eyes and Our direction. And do not supplicate Me concerning those who have engaged in wrong-doing. They are doomed to be drowned.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur hamari nigrani mein hamari wahee ke mutabiq ek kashti banani shuru kardo. Aur dekho, jin logon ne zulm kiya hai unke haqq mein mujhse koi sifarish na karna. Yeh sarey ke sarey ab doobne waley hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَيَصۡنَعُ الۡفُلۡكَ وَكُلَّمَا مَرَّ عَلَيۡهِ مَلَاٌ مِّنۡ قَوۡمِهٖ سَخِرُوۡا مِنۡهُ​ؕ قَالَ اِنۡ تَسۡخَرُوۡا مِنَّا فَاِنَّا نَسۡخَرُ مِنۡكُمۡ كَمَا تَسۡخَرُوۡنَؕ‏  ٣٨

As Noah was building the Ark, whenever the leading men of his nation passed by him, they would scoff at him. He said: 'If you scoff at us, we too scoff at you in like manner.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Nooh kashti bana raha tha aur uski qaum ke sardaron mein se jo koi uske paas se guzarta tha woh uska mazaaq udata tha. Usne kaha “ agar tum humpar haste ho to hum bhi tumpar hass rahey hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَسَوۡفَ تَعۡلَمُوۡنَۙ مَنۡ يَّاۡتِيۡهِ عَذَابٌ يُّخۡزِيۡهِ وَيَحِلُّ عَلَيۡهِ عَذَابٌ مُّقِيۡمٌ‏ ٣٩

You will come to know who will be struck by a humiliating chastisement, and who will be subjected to an unceasing torment.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Anqareeb tumhein khud maloom ho jayega ke kis par woh azaab aata hai jo usey ruswa kardega, aur kispar woh balaa toot padti hai jo taley nahin taleygi”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

حَتّٰۤى اِذَا جَآءَ اَمۡرُنَا وَفَارَ التَّنُّوۡرُۙ قُلۡنَا احۡمِلۡ فِيۡهَا مِنۡ كُلٍّ زَوۡجَيۡنِ اثۡنَيۡنِ وَاَهۡلَكَ اِلَّا مَنۡ سَبَقَ عَلَيۡهِ الۡقَوۡلُ وَمَنۡ اٰمَنَ​ؕ وَمَاۤ اٰمَنَ مَعَهٗۤ اِلَّا قَلِيۡلٌ‏ ٤٠

Thus it was until Our command came to pass and the oven boiled over. We said: 'Take into the Ark a pair of every species; and take your own family except those who have already been declared (as unworthy); and also take everyone who believes. But those who, along with him, had believed were indeed just a few.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yahan tak ke jab hamara hukum aa gaya aur woh tannoor (oven) ubal pada. To humne kaha “ har qism ke jaanwaron ka ek ek joda kashti mein rakh lo , apne ghar walon ko bhi siwaye un ashkaas ke jinki nishaan-dahi pehle ki jaa chuki hai is mein sawaar kara do, aur un logon ko bhi bitha lo jo imaan laaye hain”. Aur thode hi log thay jo Nooh ke saath iman laye thay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَقَالَ ارۡكَبُوۡا فِيۡهَا بِسۡمِ اللّٰهِ مَجْرٖٮٰھَا وَمُرۡسٰٮهَا ​ؕ اِنَّ رَبِّىۡ لَـغَفُوۡرٌ رَّحِيۡمٌ ‏ ٤١

Noah said: ' Embark in it. In the name of Allah is its sailing and its anchorage. My Lord is Ever Forgiving, Most Merciful.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Nooh ne kaha “sawaar ho jao ismein , Allah hi ke naam se hai iska chalna bhi aur iska theharna bhi. Mera Rubb bada gafoor o raheem hai”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَهِىَ تَجۡرِىۡ بِهِمۡ فِىۡ مَوۡجٍ كَالۡجِبَالِ وَنَادٰى نُوۡحُ اۨبۡنَهٗ وَكَانَ فِىۡ مَعۡزِلٍ يّٰبُنَىَّ ارۡكَبْ مَّعَنَا وَلَا تَكُنۡ مَّعَ الۡكٰفِرِيۡنَ‏  ٤٢

The Ark sailed along with them amid mountain-like waves. Noah, spotting his son at a distance, called out to him: 'My son. embark with us. and do not be with the unbelievers.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

kashti un logon ko liye chali jaa rahi thi aur ek ek mauj pahad ki tarah uth rahi thi. Nooh ka beta door faasle par tha, Nooh ne pukar kar kaha “beta , hamare saath sawaar hoja, kafiron ke saath na reh.”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ سَاٰوِىۡۤ اِلٰى جَبَلٍ يَّعۡصِمُنِىۡ مِنَ الۡمَآءِ​ؕ قَالَ لَا عَاصِمَ الۡيَوۡمَ مِنۡ اَمۡرِ اللّٰهِ اِلَّا مَنۡ رَّحِمَ​ۚ وَحَالَ بَيۡنَهُمَا الۡمَوۡجُ فَكَانَ مِنَ الۡمُغۡرَقِيۡنَ‏ ٤٣

The son replied: 'I will go to a mountain for refuge and it will save me from the water.' Noah said: 'None can save anyone today from the command of Allah except those on whom He may have mercy.' Thereupon a wave swept in between the two and he was drowned.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

usne palat kar jawab diya “main abhi ek pahad par chadha jata hoon jo mujhey pani se bacha lega”. Nooh ne kaha, aaj koi cheez Allah ke hukum se bachane wali nahin hai siwaye iske ke Allah hi kisi par reham farmaye”. Itne mein ek mauj dono ke darmiyan hayal ho gayi aur woh bhi doobne walon mein shamil ho gaya

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَقِيۡلَ يٰۤاَرۡضُ ابۡلَعِىۡ مَآءَكِ وَيٰسَمَآءُ اَقۡلِعِىۡ وَغِيۡضَ الۡمَآءُ وَقُضِىَ الۡاَمۡرُ وَاسۡتَوَتۡ عَلَى الۡجُوۡدِىِّ​ وَقِيۡلَ بُعۡدًا لِّـلۡقَوۡمِ الظّٰلِمِيۡنَ‏ ٤٤

And the command was given: 'Earth! Swallow up your water'; and: 'Heaven! Abate!' So the water subsided, the command was fulfilled, and the Ark settled on Mount Judi, and it was said: 'Away with the wrong-doing folk!'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Hukum hua “aey zameen, apna saara paani ningal ja aur aey aasmaan, ruk ja” chunanchey pani zameen mein baith gaya , faisla chuka diya gaya, kashti judi par tik gayi, aur keh diya gaya ke door huyi zalimon ki qaum

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَنَادٰى نُوۡحٌ رَّبَّهٗ فَقَالَ رَبِّ اِنَّ ابۡنِىۡ مِنۡ اَهۡلِىۡ وَاِنَّ وَعۡدَكَ الۡحَـقُّ وَاَنۡتَ اَحۡكَمُ الۡحٰكِمِيۡنَ‏ ٤٥

And Noah called out to his Lord, saying: 'My Lord! My son is of my family. Surely Your promise is true, and You are the greatest of those who judge.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Nooh ne apne Rubb ko pukara , kaha “Aey Rubb! mera beta mere ghar walon mein se hai aur tera wada saccha hai aur tu sab hakimo se bada aur behtar hakim hai”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ يٰـنُوۡحُ اِنَّهٗ لَـيۡسَ مِنۡ اَهۡلِكَ ​ۚاِنَّهٗ عَمَلٌ غَيۡرُ صَالِحٍ ​​ۖ فَلَا تَسۡــَٔــلۡنِ مَا لَـيۡسَ لَـكَ بِهٖ عِلۡمٌ​ ؕ اِنِّىۡۤ اَعِظُكَ اَنۡ تَكُوۡنَ مِنَ الۡجٰهِلِيۡنَ‏ ٤٦

In response Noah was told: 'Most certainly he is not of your family; verily he is of unrighteous conduct. So do not ask of Me for that concerning which you have no knowledge. I admonish you never to act like the ignorant ones.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jawab mein irshad hua “aey Nooh, woh tere ghar walon mein se nahin hai. Woh to ek bigda hua kaam hai. Lihaza tu us baat ki mujhse darkhwast na kar jiski haqeeqat tu nahin jaanta. Main tujhey naseehat karta hoon ke apne aap ko jaahilon ki tarah na bana le”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ رَبِّ اِنِّىۡۤ اَعُوۡذُ بِكَ اَنۡ اَسۡــَٔلَكَ مَا لَـيۡسَ لِىۡ بِهٖ عِلۡمٌ​ؕ وَاِلَّا تَغۡفِرۡ لِىۡ وَتَرۡحَمۡنِىۡۤ اَكُنۡ مِّنَ الۡخٰسِرِيۡنَ‏ ٤٧

Noah said: 'My Lord! I take refuge with You that I should ask you for that concerning which I have no knowledge. And if You do not forgive me and do not show mercy to me, I shall be among the losers.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Nooh ne fawran arz kiya “Aey mere Rubb, main teri panaah maangta hoon issey ke woh cheez tujhse maangoon jiska mujhey ilam nahin. Agar tu nay mujhey maaf na kiya aur reham na farmaya to main barbaad ho jaunga

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قِيۡلَ يٰـنُوۡحُ اهۡبِطۡ بِسَلٰمٍ مِّنَّا وَبَرَكٰتٍ عَلَيۡكَ وَعَلٰٓى اُمَمٍ مِّمَّنۡ مَّعَكَ​ؕ وَاُمَمٌ سَنُمَتِّعُهُمۡ ثُمَّ يَمَسُّهُمۡ مِّنَّا عَذَابٌ اَلِيۡمٌ‏  ٤٨

It was said: 'Noah! Disembark, with Our peace, and with blessings upon you and upon those who are with you. There are also people whom We shall allow to enjoy themselves for a while, and then a painful chastisement from Us shall afflict them.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Hukum hua “ aey Nooh utar jaa hamari taraf se salamati aur barkatein hain tujhpar aur un girohon par jo tere saath hain. Aur kuch giroh aisey bhi hain jinko hum kuch muddat samaan e zindagi bakshenge phir unhein hamari taraf se dardnaak azaab pahunchega”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

تِلۡكَ مِنۡ اَنۡۢبَآءِ الۡغَيۡبِ نُوۡحِيۡهَاۤ اِلَيۡكَ​ۚ مَا كُنۡتَ تَعۡلَمُهَاۤ اَنۡتَ وَلَا قَوۡمُكَ مِنۡ قَبۡلِ هٰذَا​ ​ۛؕ فَاصۡبِرۡ​ ​ۛؕ اِنَّ الۡعَاقِبَةَ لِلۡمُتَّقِيۡنَ‏  ٤٩

We reveal to you these accounts of matters that are beyond the reach of human perception. Neither you nor your people knew about them before this. Be, then, patient. Surely, the good end is for the God-fearing.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(Aey Muhammad), yeh gaib ki khabrein hain jo hum tumhari taraf wahee kar rahey hain, issey pehle na tum inko jantey thay aur na tumhari qaum. Pas sabr karo, anjaam-e-kaar muttaqiyon ke haqq mein hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِلٰى عَادٍ اَخَاهُمۡ هُوۡدًا​ ؕ قَالَ يٰقَوۡمِ اعۡبُدُوا اللّٰهَ مَا لَـكُمۡ مِّنۡ اِلٰهٍ غَيۡرُهٗ​ ؕ اِنۡ اَنۡتُمۡ اِلَّا مُفۡتَرُوۡنَ‏ ٥٠

And to 'Ad We sent their brother Hud. He said: 'My people! Serve Allah: you have no god save Him. (In attributing partners to Allah) you have merely been fabricating lies.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur Aad ki taraf humne unke bhai Hud ko bheja. Usne kaha “aey biradraan e qaum, Allah ki bandagi karo, tumhara koi khuda uske siwa nahin hai, tumne mehaz jhoot ghadh rakkhey hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰقَوۡمِ لَاۤ اَسۡـــَٔلُكُمۡ عَلَيۡهِ اَجۡرًا​ ؕ اِنۡ اَجۡرِىَ اِلَّا عَلَى الَّذِىۡ فَطَرَنِىۡ ؕ اَفَلَا تَعۡقِلُوۡنَ‏ ٥١

My people! I seek no reward from you for my work. My reward lies only with Him Who created me. Do you not understand anything?

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey biradraan e qaum is kaam par main tumse koi ajar nahin chahta. Mera ajar to uske zimme hai jisne mujhey paida kiya hai. Kya tum aqal se zara kaam nahin letey

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَيٰقَوۡمِ اسۡتَغۡفِرُوۡا رَبَّكُمۡ ثُمَّ تُوۡبُوۡۤا اِلَيۡهِ يُرۡسِلِ السَّمَآءَ عَلَيۡكُمۡ مِّدۡرَارًا وَّيَزِدۡكُمۡ قُوَّةً اِلٰى قُوَّتِكُمۡ وَلَا تَتَوَلَّوۡا مُجۡرِمِيۡنَ‏ ٥٢

My people! Ask your Lord for forgiveness and turn to Him in repentance. He will shower abundant rains upon you from the heaven, and will add strength to your strength. Do not turn away as those given to guilt.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur aey meri qaum ke logon, apne Rubb se mafi chaho, phir uski taraf palato. Woh tumpar aasmaan ke dahane khol dega aur tumhari maujooda quwwat(strength) par mazeed quwwat ka izafa karega. Mujreemon ki tarah mooh na phero”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالُوۡا يٰهُوۡدُ مَا جِئۡتَـنَا بِبَيِّنَةٍ وَّمَا نَحۡنُ بِتٰـرِكِىۡۤ اٰلِهَـتِنَا عَنۡ قَوۡلِكَ وَمَا نَحۡنُ لَـكَ بِمُؤۡمِنِيۡنَ‏ ٥٣

They said: 'O Hud! You have not brought to us any clear evidence, and we are not going to forsake our gods merely because you say so. We are not going to believe you.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Unhon ne jawab diya, “aey Hud, tu hamare paas koi sareeh shahadat(evidence) lekar nahin aaya hai, aur tere kehne se hum apne maboodon ko nahin chodh sakte. Aur tujhpar hum iman laney waley nahin hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِنۡ نَّقُوۡلُ اِلَّا اعۡتَـرٰٮكَ بَعۡضُ اٰلِهَتِنَا بِسُوۡٓءٍ​ ؕ قَالَ اِنِّىۡۤ اُشۡهِدُ اللّٰهَ وَاشۡهَدُوۡۤا اَنِّىۡ بَرِىۡٓءٌ مِّمَّا تُشۡرِكُوۡنَ ۙ‏ ٥٤

All we can say is that some god of ours has afflicted you with evil. .Hud said: 'Indeed I take Allah as my witness, and you too to be my witnesses that I have nothing to do with your associating with Allah

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Hum to yeh samajhte hain ke tere upar hamare maboodon mein se kisi ki maar padh gayi hai”. Hud ne kaha, “main Allah ki shahadat pesh karta hoon aur tum gawah raho ke yeh jo Allah ke siwa dusron ko tumne khudayi mein shareek thehra rakkha hai ussey main bezaar hoon

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

مِنۡ دُوۡنِهٖ​ فَكِيۡدُوۡنِىۡ جَمِيۡعًا ثُمَّ لَا تُنۡظِرُوۡنِ‏ ٥٥

others than Him in His divinity. So conspire against me, all of you, and give me no respite.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Tum sab ke sab milkar mere khilaf apne karni mein kasar na uttha rakkho aur mujhey zara mohlat na do

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِنِّىۡ تَوَكَّلۡتُ عَلَى اللّٰهِ رَبِّىۡ وَرَبِّكُمۡ ​ؕ مَا مِنۡ دَآبَّةٍ اِلَّا هُوَ اٰخِذٌ ۢ بِنَاصِيَتِهَا ؕ اِنَّ رَبِّىۡ عَلٰى صِرَاطٍ مُّسۡتَقِيۡمٍ‏  ٥٦

I have put my trust in Allah, Who is my Lord and your Lord. There is no moving creature which He does not hold by its forelock. Surely, My Lord is on the straight path.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Mera bharosa Allah par hai jo mera Rubb bhi hai aur tumhara Rubb bhi. Koi jaandaar aisa nahin jiski choti uske haath mein na ho. Beshak mera Rubb seedhi raah par hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَاِنۡ تَوَلَّوۡا فَقَدۡ اَبۡلَغۡتُكُمۡ مَّاۤ اُرۡسِلۡتُ بِهٖۤ اِلَيۡكُمۡ​ ؕ وَيَسۡتَخۡلِفُ رَبِّىۡ قَوۡمًا غَيۡرَكُمۡۚ وَلَا تَضُرُّوۡنَهٗ شَيۡـــًٔا​ ؕ اِنَّ رَبِّىۡ عَلٰى كُلِّ شَىۡءٍ حَفِيۡظٌ‏ ٥٧

If you, then, turn away (from the truth), know that I have delivered the message with which I was sent to you. Now my Lord will set up another people in place of you and you shall in no way be able to harm Him. Surely my Lord keeps a watch over everything.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Agar tum mooh pherte ho to pher lo, jo paigham de kar main tumhare paas bhejha gaya tha woh main tumko pahuncha chuka hoon. Ab mera Rubb tumhari jagah dusri qaum ko uthayega aur tum uska kuch na bigaad sakoge. Yaqeenan mera Rubb har cheez par nigraan hai.”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَ لَمَّا جَآءَ اَمۡرُنَا نَجَّيۡنَا هُوۡدًا وَّالَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا مَعَهٗ بِرَحۡمَةٍ مِّنَّا ۚ وَ نَجَّيۡنٰهُمۡ مِّنۡ عَذَابٍ غَلِيۡظٍ‏ ٥٨

And when Our com-mand came to pass, We delivered Hud, together with those who shared his faith, out of special mercy from Us. We delivered them from a woeful chastisement.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir jab hamara hukum aa gaya to humne apni rehmat se Hud ko aur un logon ko jo uske saath iman laye thay nijaat de di aur ek sakht azaab se unhein bacha liya

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَتِلۡكَ عَادٌ​ جَحَدُوۡا بِاٰيٰتِ رَبِّهِمۡ وَعَصَوۡا رُسُلَهٗ وَاتَّبَعُوۡۤا اَمۡرَ كُلِّ جَبَّارٍ عَنِيۡدٍ‏ ٥٩

Such were 'Ad. They repudiated the signs of their Lord, disobeyed His Messengers, and followed the bidding of every tyrannical enemy of the truth.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yeh hain Aad. Apne Rubb ki aayaat se unhon ne inkar kiya, uske Rasoolon ki baat na maani, aur har jabbar dushman e haqq ki pairwi karte rahey

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاُتۡبِعُوۡا فِىۡ هٰذِهِ الدُّنۡيَا لَعۡنَةً وَّيَوۡمَ الۡقِيٰمَةِ​ؕ اَلَاۤ اِنَّ عَادًا كَفَرُوۡا رَبَّهُمۡ​ؕ اَلَا بُعۡدًا لِّعَادٍ قَوۡمِ هُوۡدٍ‏ ٦٠

They were pursued by a curse in this world, and so will they be on the Day of Judgement .Lo! 'Ad disbelieved in the Lord. Lo! ruined are 'Ad, the people of Hud.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aakhir e kaar is duniya mein bhi inpar phitkar padi aur qayamat ke roz bhi. Suno! Aad ne apne Rubb se kufr kiya, Suno! Door phenk diye gaye Aad, Hud ki qaum ke log

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

​وَاِلٰى ثَمُوۡدَ اَخَاهُمۡ صٰلِحًا​ۘ قَالَ يٰقَوۡمِ اعۡبُدُوا اللّٰهَ مَا لَـكُمۡ مِّنۡ اِلٰهٍ غَيۡرُهٗ​ ؕ هُوَ اَنۡشَاَكُمۡ مِّنَ الۡاَرۡضِ وَاسۡتَعۡمَرَكُمۡ فِيۡهَا فَاسۡتَغۡفِرُوۡهُ ثُمَّ تُوۡبُوۡۤا اِلَيۡهِ​ ؕ اِنَّ رَبِّىۡ قَرِيۡبٌ مُّجِيۡبٌ‏  ٦١

And to Thamud We sent their brother Sali'h. He said: 'My people! Serve Allah; you have no god other than Him. He brought you into being out of the earth, and has made you dwell in it. So ask Him to forgive you, and do turn towards Him in repentance. Indeed My Lord is near, responsive to prayers .

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur Samood ki taraf humne unke bhai Saleh ko bheja. Usne kaha, “aey meri qaum ke logon, Allah ki bandagi karo, uske siwa tumhara koi khuda nahin hai. Wahi hai jisne tumko zameen se paida kiya hai aur yahan tumko basaya hai. Lihaza tum ussey maafi chaho aur uski taraf palat aao. Yaqeenan mera Rubb qareeb hai aur woh duaon ka jawab dene wala hai”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالُوۡا يٰصٰلِحُ قَدۡ كُنۡتَ فِيۡنَا مَرۡجُوًّا قَبۡلَ هٰذَآ​ اَتَـنۡهٰٮنَاۤ اَنۡ نَّـعۡبُدَ مَا يَعۡبُدُ اٰبَآؤُنَا وَاِنَّنَا لَفِىۡ شَكٍّ مِّمَّا تَدۡعُوۡنَاۤ اِلَيۡهِ مُرِيۡبٍ‏ ٦٢

They said: 'O Salih! Until now you were one of those among us on whom we placed great hopes. Now, would you forbid us to worship what our forefathers were wont to worship? Indeed we are in disquieting doubt about what you are calling us to.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Unhon ne kaha “Aey Saleh, issey pehle tu hamare darmiyan aisa shaks tha jissey badi tawaqquat (expectations) wabasta thi. Kya tum humein in maboodon ki parastish se roakna chahta hai jinki parastish hamare baap dada karte thay? Tu jis tareeqe ki taraf humein bula raha hai iske baarey mein humko sakht shubha(doubt) hai jisne humein khaljaan (disquieting doubt ) mein daal rakkha hai”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ يٰقَوۡمِ اَرَءَيۡتُمۡ اِنۡ كُنۡتُ عَلٰى بَيِّنَةٍ مِّنۡ رَّبِّىۡ وَاٰتٰٮنِىۡ مِنۡهُ رَحۡمَةً فَمَنۡ يَّـنۡصُرُنِىۡ مِنَ اللّٰهِ اِنۡ عَصَيۡتُهٗ​ فَمَا تَزِيۡدُوۡنَنِىۡ غَيۡرَ تَخۡسِيۡرٍ‏ ٦٣

Salih said: 'My people! What do you think? If I had a clear evidence from my Lord, and then He also bestowed His mercy upon me, who will rescue me from the punishment of Allah if I still disobey Him? You can only make me lose even more.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Saleh ne kaha “ aey biradaraan-e-qaum, tumne kuch is baat par bhi gaur kiya ke agar main apne Rubb ki taraf se ek saaf shahadat rakhta tha, aur phir usne apne rehmat se bhi mujhko nawaz diya to iske baad Allah ki pakad se mujhey kaun bachayega agar main uski nafarmani karoon? Tum mere kis kaam aa sakte ho siway iske ke mujhey aur zyada khasare(nuksan) mein daal do

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَيٰقَوۡمِ هٰذِهٖ نَاقَةُ اللّٰهِ لَـكُمۡ اٰيَةً فَذَرُوۡهَا تَاۡكُلۡ فِىۡۤ اَرۡضِ اللّٰهِ وَلَا تَمَسُّوۡهَا بِسُوۡٓءٍ فَيَاۡخُذَكُمۡ عَذَابٌ قَرِيۡبٌ‏ ٦٤

My people! This she-camel of Allah is a sign for you. So let her pasture on Allah's earth, and do not hurt her or else some chastisement - which is near at hand -should overtake you.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur aey meri qaum ke logon, dekho yeh Allah ki ountni (she-camel) tumhare liye ek nishani hai, isey khuda ki zameen mein charne ke liye azad chodh do. Issey zara taaruz na karna (do not hurt her) warna kuch zyada dair na guzregi ke tumpar khuda ka azaab aa jayega”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَعَقَرُوۡهَا فَقَالَ تَمَتَّعُوۡا فِىۡ دَارِكُمۡ ثَلٰثَةَ اَ يَّامٍ ​ؕذٰ لِكَ وَعۡدٌ غَيۡرُ مَكۡذُوۡبٍ‏ ٦٥

But they slaughtered her. Thereupon Salih warned them: 'Enjoy yourselves in your homes for a maximum of three days. This is a promise which shall not be belied.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Magar unhon ne ountni ko maar dala ispar Saleh ne unko khabardaar kardiya ke “ bas ab teen din apne gharon mein aur reh bas lo. Yeh aisi miyad (promise ) hai jo jhooti na sabit hogi”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَلَمَّا جَآءَ اَمۡرُنَا نَجَّيۡنَا صٰلِحًـا وَّالَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا مَعَهٗ بِرَحۡمَةٍ مِّنَّا وَمِنۡ خِزۡىِ يَوۡمِٮِٕذٍ​ؕ اِنَّ رَبَّكَ هُوَ الۡقَوِىُّ الۡعَزِيۡزُ‏  ٦٦

Then, when Our command came to pass, We saved Salih and those who shared his faith through Our special mercy, from the disgrace of that day. Truly Your Lord is All-Strong, All-Mighty.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aakhir-e-kaar jab hamare faisle ka waqt aa gaya to humne apni rehmat se Saleh ko aur un logon ko jo uske saath iman laye thay bacha liya, aur us din ki ruswayi se unko mehfooz rakkha. Beshak tera Rub hi dar-asal taaqatwar aur bala-dast (All-Mighty) hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاَخَذَ الَّذِيۡنَ ظَلَمُوا الصَّيۡحَةُ فَاَصۡبَحُوۡا فِىۡ دِيَارِهِمۡ جٰثِمِيۡنَۙ‏  ٦٧

And the Blast overtook those who were wont to do wrong, and then they lay lifeless in their homes

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Rahey woh log jinhon ne zulm kiya tha to ek sakht dhamake ne unko dhar liya aur woh apni bastiyon mein is tarah be-hiss o harkat (lay lifeless) padey ke padey reh gaye

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

كَاَنۡ لَّمۡ يَغۡنَوۡا فِيۡهَا​ ؕ اَلَاۤ اِنَّ ثَمُوۡدَا۟ كَفَرُوۡا رَبَّهُمۡ​ؕ اَلَا بُعۡدًا لِّـثَمُوۡدَ‏ ٦٨

as though they had never lived there before. Oh, verily the Thamud denied their Lord! Oh, the Thamud were destroyed.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Ke goya woh wahan kabhi basay hi na thay. Suno! Samood ne apne Rubb se kufr kiya , Suno! Door phenk diye gaye Samood

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَقَدۡ جَآءَتۡ رُسُلُنَاۤ اِبۡرٰهِيۡمَ بِالۡبُشۡرٰى قَالُوۡا سَلٰمًا​ ؕ قَالَ سَلٰمٌ​ فَمَا لَبِثَ اَنۡ جَآءَ بِعِجۡلٍ حَنِيۡذٍ‏ ٦٩

Indeed Our messengers came to Abraham, bearing glad tidings. They greeted him with 'peace', and Abraham answered back to them 'peace', and hurriedly brought to them a roasted calf.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur dekho, Ibrahim ke paas hamare Farishte khush khabri liye huey pahunche. Kaha tumpar salaam ho, Ibrahim ne jawab diya tumpar bhi salaam ho, phir kuch dair na guzri ke Ibrahim ek bhoona (roasted) hua bachda(calf) (unki ziyafat ke liye) le aaya

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَلَمَّا رَاٰۤ اَيۡدِيَهُمۡ لَا تَصِلُ اِلَيۡهِ نَـكِرَهُمۡ وَاَوۡجَسَ مِنۡهُمۡ خِيۡفَةً​  ؕ قَالُوۡا لَا تَخَفۡ اِنَّاۤ اُرۡسِلۡنَاۤ اِلٰى قَوۡمِ لُوۡطٍ ؕ‏ ٧٠

When he perceived that their hands could not reach it, he mistrusted them, and felt afraid of them. They said: 'Do not be afraid. We have been sent to the people of Lot.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Magar jab dekha ke unke haath khane par nahin badhte to woh unse mushtaba (mistrusted them) ho gaya aur dil mein unse khauf mehsoos karne laga. Unhon ne kaha “daro nahin, hum to Lut ki qaum ki taraf bheje gaye hain”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَامۡرَاَ تُهٗ قَآٮِٕمَةٌ فَضَحِكَتۡ فَبَشَّرۡنٰهَا بِاِسۡحٰقَ ۙ وَمِنۡ وَّرَآءِ اِسۡحٰقَ يَعۡقُوۡبَ‏ ٧١

And Abraham's wife was standing by and on hearing this she laughed. And We gave her the good news of (the birth of) Isaac, and after Isaac, of Jacob.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Ibrahim ki biwi khadi hui thi woh yeh sunkar hass di (laughed) phir humne usko Ishaq ki aur Ishaq ke baad Yaqub ki khushkhabri di

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَتۡ يٰوَيۡلَتٰٓى ءَاَلِدُ وَاَنَا عَجُوۡزٌ وَّهٰذَا بَعۡلِىۡ شَيۡخًا ​ؕ اِنَّ هٰذَا لَشَىۡءٌ عَجِيۡبٌ‏ ٧٢

She said: 'Woe is me! Shall I bear a child now that I am an old woman and my husband is well advanced in years. This is indeed strange!'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Woh boli “haye meri kambakhti! Kya ab mere haan aulad hogi jabke main budhiya phoons ho gayi aur yeh mere miyan bhi boodhey ho chuke? Yeh to badi ajeeb baat hai”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالُوۡۤا اَتَعۡجَبِيۡنَ مِنۡ اَمۡرِ اللّٰهِ​ رَحۡمَتُ اللّٰهِ وَبَرَكٰتُهٗ عَلَيۡكُمۡ اَهۡلَ الۡبَيۡتِ​ؕ اِنَّهٗ حَمِيۡدٌ مَّجِيۡدٌ‏ ٧٣

They said: 'Do you wonder at Allah's decree? Allah's mercy and His blessings be upon you, O people of the house. Surely, He is Praiseworthy, Glorious.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Farishton ne kaha “Allah ke hukum par taajub karti ho? Ibrahim ke ghar walon, tum logon par to Allah ki rehmat aur uski barkatein hain, aur yaqeenan Allah nihayat qaabil-e-tareef aur badi shaan wala hai”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَلَمَّا ذَهَبَ عَنۡ اِبۡرٰهِيۡمَ الرَّوۡعُ وَجَآءَتۡهُ الۡبُشۡرٰى يُجَادِلُــنَا فِىۡ قَوۡمِ لُوۡطٍؕ‏ ٧٤

Thus when fear had left Abraham and the good news had been conveyed to him, he began to dispute with Us concerning the people of Lot.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir jab Ibrahim ki ghabrahat door ho gayi aur (aulad ki basharat se) uska dil khush ho gaya to usne qaum e Lut ke maamle mein humse jhagda shuru kiya

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِنَّ اِبۡرٰهِيۡمَ لَحَـلِيۡمٌ اَوَّاهٌ مُّنِيۡبٌ‏ ٧٥

Surely Abraham was forbearing, tenderhearted and oft-turning to Allah.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Haqeeqat mein Ibrahim bada haleem aur narm dil aadmi tha aur har haal mein hamari taraf rujoo karta tha

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰۤـاِبۡرٰهِيۡمُ اَعۡرِضۡ عَنۡ هٰذَا ۚ اِنَّهٗ قَدۡ جَآءَ اَمۡرُ رَبِّكَ​ ۚ وَاِنَّهُمۡ اٰتِيۡهِمۡ عَذَابٌ غَيۡرُ مَرۡدُوۡدٍ‏ ٧٦

Thereupon (Our angels) said to him: 'O Abraham! Desist from this, for indeed your Lord's command has come; and a chastisement which cannot be averted is about to befall them.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(Aakhir e kaar hamare Farishton ne ussey kaha) “Aey Ibrahim , issey baaz aa jao, tumhare Rubb ka hukum ho chuka hai aur ab un logon par woh azaab aa kar rahega jo kisi ke phere nahin phir sakta”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَمَّا جَآءَتۡ رُسُلُـنَا لُوۡطًا سِىۡٓءَ بِهِمۡ وَضَاقَ بِهِمۡ ذَرۡعًا وَّقَالَ هٰذَا يَوۡمٌ عَصِيۡبٌ‏ ٧٧

And when Our messengers came to Lot, he was perturbed by their coming and felt troubled on their account, and said: 'This is a distressing day.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur jab hamare Farishte Lut ke paas pahunche to unki aamad se woh bahut ghabraya aur dil tangg hua aur kehne laga ke aaj badi museebat ka din hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَجَآءَهٗ قَوۡمُهٗ يُهۡرَعُوۡنَ اِلَيۡهِ ؕ وَمِنۡ قَبۡلُ كَانُوۡا يَعۡمَلُوۡنَ السَّيِّاٰتِ ​ؕ قَالَ يٰقَوۡمِ هٰٓؤُلَاۤءِ بَنٰتِىۡ هُنَّ اَطۡهَرُ لَـكُمۡ​ ۚ فَاتَّقُوۡا اللّٰهَ وَلَا تُخۡزُوۡنِ فِىۡ ضَيۡفِىۡ ؕ اَلَيۡسَ مِنۡكُمۡ رَجُلٌ رَّشِيۡدٌ‏ ٧٨

And his people came to him rushing. Before this they were wont to commit evil deeds. Lot said: 'My people! Here are my daughters; they are purer for you. Have fear of Allah and do not disgrace me concerning my guests. Is there not even one right-minded person in your midst?'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(In mehmaano ka aana tha ke) uski qaum ke log bay-ikhtiyar uske ghar ki taraf daud padey. Pehle se woh aisi hi badkariyon ke khugar thay. Lut ne unse kaha “bhaiyon, yeh meri betiyan maujood hain, yeh tumhare liye pakeeza-tarr hain. Kuch khuda ka khauf karo aur mere mehmano ke mamle mein mujhey zaleel na karo. Kya tum mein koi bhala aadmi nahin?”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالُوۡا لَقَدۡ عَلِمۡتَ مَا لَـنَا فِىۡ بَنٰتِكَ مِنۡ حَقٍّ​ ۚ وَاِنَّكَ لَـتَعۡلَمُ مَا نُرِيۡدُ‏ ٧٩

They said: 'Surely you already know that we have nothing to do with your daughters. You also know well what we want.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Unhon ne jawab diya “tujhey to maloom hi hai ke teri betiyon mein hamara koi hissa nahin hai aur tu yeh bhi jaanta hai ke hum chahte kya hain”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ لَوۡ اَنَّ لِىۡ بِكُمۡ قُوَّةً اَوۡ اٰوِىۡۤ اِلٰى رُكۡنٍ شَدِيۡدٍ‏ ٨٠

He said: 'Would that I had the strength to set you straight, or could seek refuge in some powerful support.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Lut ne kaha “ kaash mere paas itni taaqat hoti ke tumhein seedha kardeta, ya koi mazboot sahara hi hota ke uski panaah leta”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالُوۡا يٰلُوۡطُ اِنَّا رُسُلُ رَبِّكَ لَنۡ يَّصِلُوۡۤا اِلَيۡكَ​ فَاَسۡرِ بِاَهۡلِكَ بِقِطۡعٍ مِّنَ الَّيۡلِ وَلَا يَلۡتَفِتۡ مِنۡكُمۡ اَحَدٌ اِلَّا امۡرَاَتَكَ​ؕ اِنَّهٗ مُصِيۡبُهَا مَاۤ اَصَابَهُمۡ​ؕ اِنَّ مَوۡعِدَهُمُ الصُّبۡحُ​ؕ اَلَيۡسَ الصُّبۡحُ بِقَرِيۡبٍ‏ ٨١

Thereupon the angels said: 'O Lot! We indeed are messengers of your Lord. And your people will in no way be able to hurt you. So depart with your family in a part of the night and let no one of you turn around excepting your wife (who shall not go); for what will befall them shall also befall her. In the morning their promised hour will come. Is not the morning near?'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Tab Farishton ne ussey kaha ke “aey Lut, hum tere Rubb ke bheje huye Farishtey hain. Yeh log tera kuch na bigad sakenge. Bas tu kuch raat rahey apne ehal o ayal ko lekar nikal jaa aur dekho, tum mein se koi shaks peechey palat kar na dekhey magar teri biwi (saath nahin jayegi) kyunke uspar bhi wahi kuch guzarne wala hai jo in logon par guzarna hai. Unki tabahi ke liye subah ka waqt muqarrar hai. Subah hotey ab dair hi kitni hai”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَلَمَّا جَآءَ اَمۡرُنَا جَعَلۡنَا عَالِيَهَا سَافِلَهَا وَاَمۡطَرۡنَا عَلَيۡهَا حِجَارَةً مِّنۡ سِجِّيۡلٍۙ  مَّنۡضُوۡدٍۙ‏ ٨٢

And when Our command came to pass, We turned the town upside down, and rained on it stones of baked clay, one on another,

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir jab hamare faisle ka waqt aa pahuncha to humne us basti ko talpat (upside down) kardiya aur uspar paki hui mitti (baked clay) ke patthar tabad-tod barsaye

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

مُّسَوَّمَةً عِنۡدَ رَبِّكَ​ؕ وَ مَا هِىَ مِنَ الظّٰلِمِيۡنَ بِبَعِيۡدٍ‏  ٨٣

marked from your Lord. Nor is the punishment far off from the wrong-doers.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jin mein se har patthar tere Rubb ke haan nishaan zadah tha aur zalimon se yeh saza kuch door nahin hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِلٰى مَدۡيَنَ اَخَاهُمۡ شُعَيۡبًا​ ؕ قَالَ يٰقَوۡمِ اعۡبُدُوا اللّٰهَ مَا لَـكُمۡ مِّنۡ اِلٰهٍ غَيۡرُهٗ ​ؕ وَلَا تَـنۡقُصُوا الۡمِكۡيَالَ وَالۡمِيۡزَانَ​ اِنِّىۡۤ اَرٰٮكُمۡ بِخَيۡرٍ وَّاِنِّىۡۤ اَخَافُ عَلَيۡكُمۡ عَذَابَ يَوۡمٍ مُّحِيۡطٍ‏  ٨٤

And to (the people of) Midian We sent their brother Shu'ayb. He said: 'My people! Serve Allah; you have no god other than Him. And do not diminish the measure and weight. Indeed I see that you are prospering now, but I fear for you the chastisement of an encompassing day in the future.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur Madiyan walon ki taraf humne unke bhai Shoaib ko bheja. Usne kaha “aey meri qaum ke logon, Allah ki bandagi karo, uske siwa tumhara koi khuda nahin hai. Aur naap toal mein kami na kiya karo. Aaj main tumko acchey haal mein dekh raha hoon, magar mujhey darr hai ke kal tumpar aisa din aayega jiska azaab sabko gher lega

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَيٰقَوۡمِ اَوۡفُوا الۡمِكۡيَالَ وَالۡمِيۡزَانَ بِالۡقِسۡطِ​ وَلَا تَبۡخَسُوا النَّاسَ اَشۡيَآءَهُمۡ وَلَا تَعۡثَوۡا فِى الۡاَرۡضِ مُفۡسِدِيۡنَ‏ ٨٥

My people! Give full measure and weight with justice, do not diminish the goods of others, and do not go about creating corruption in the land.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur aey biradraan e quam, theek theek insaf ke saath pura naapo aur tolo (measure) aur logon ko unki cheezon mein ghata (loss) na diya karo aur zameen mein fasaad na phaylate phiro

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

بَقِيَّتُ اللّٰهِ خَيۡرٌ لَّـكُمۡ اِنۡ كُنۡتُمۡ مُّؤۡمِنِيۡنَ  ۚ وَمَاۤ اَنَا عَلَيۡكُمۡ بِحَفِيۡظٍ‏ ٨٦

The gains that Allah lets you retain are better for you, if you indeed believe. In any case, I have not been appointed a keeper over you.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Allah ki di hui bachat (gains) tumhare liye betar hai agar tum momin ho aur bahar-haal main tumhare upar koi nigraan e kaar nahin hoon”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالُوۡا يٰشُعَيۡبُ اَصَلٰوتُكَ تَاۡمُرُكَ اَنۡ نَّتۡرُكَ مَا يَعۡبُدُ اٰبَآؤُنَاۤ اَوۡ اَنۡ نَّـفۡعَلَ فِىۡۤ اَمۡوَالِنَا مَا نَشٰٓؤُا​ ؕ اِنَّكَ لَاَنۡتَ الۡحَـلِيۡمُ الرَّشِيۡدُ‏ ٨٧

They replied: 'O Shu'ayb! Does your Prayer enjoin upon you that we should forsake the deities whom our forefathers worshipped, or that we should give up using our wealth as we please? Do you fancy that you, and only you, are forbearing and right-directed?'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Unhon ne jawab diya “aey shoaib, kya teri namaz tujhey yeh sikhati hai ke hum un sarey maboodon ko chodh dein jinki parastish hamare baap dada karte thay? Ya yeh ke humko apne maal mein apne mansha(as we please) ke mutabiq tasrruf(spend/use) karne ka ikhtiyar na ho? Bas tu hi to ek aali zarf aur raastbaaz aadmi ( forbearing and right-directed) reh gaya hai”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ يٰقَوۡمِ اَرَءَيۡتُمۡ اِنۡ كُنۡتُ عَلٰى بَيِّنَةٍ مِّنۡ رَّبِّىۡ وَرَزَقَنِىۡ مِنۡهُ رِزۡقًا حَسَنًا​ ؕ وَمَاۤ اُرِيۡدُ اَنۡ اُخَالِفَكُمۡ اِلٰى مَاۤ اَنۡهٰٮكُمۡ عَنۡهُ​ ؕ اِنۡ اُرِيۡدُ اِلَّا الۡاِصۡلَاحَ مَا اسۡتَطَعۡتُ​ ؕ وَمَا تَوۡفِيۡقِىۡۤ اِلَّا بِاللّٰهِ​ ؕ عَلَيۡهِ تَوَكَّلۡتُ وَاِلَيۡهِ اُنِيۡبُ‏ ٨٨

Shu'ayb said: 'My people! What do you think? If I stand on clear evidence from my Lord, and He has also provided me a handsome provision from Himself -(should I be ungrateful to Him and share your error and iniquity?) Nor do I desire to act contrary to what I admonish you. I desire nothing but to set things right as far as I can. My succour is only with Allah. In Him have I put my trust, and to Him do I always turn.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Shoaib ne kaha “bhaiyon, tum khud hi socho ke agar main apne Rubb ki taraf se ek khuli shahadat par tha aur phir usne apne haan se mujhko accha rizq bhi ata kiya (to iske baad main tumhari gumraahiyon aur haraam-khoriyon mein tumhara shareek e haal kaise ho sakta hoon?) Aur main hargiz yeh nahin chahta ke jin baaton se main tumko roakta hoon unka khud irteqab karoon. Main to islaah karna chahta hoon jahan tak bhi mera bas chale aur yeh jo kuch main karna chachta hoon uska saara inhisaar Allah ki taufeeq par hai. Usi par maine bharosa kiya aur har maamle mein usi ki taraf main rujoo karta hoon

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَيٰقَوۡمِ لَا يَجۡرِمَنَّكُمۡ شِقَاقِىۡۤ اَنۡ يُّصِيۡبَكُمۡ مِّثۡلُ مَاۤ اَصَابَ قَوۡمَ نُوۡحٍ اَوۡ قَوۡمَ هُوۡدٍ اَوۡ قَوۡمَ صٰلِحٍ​ؕ وَمَا قَوۡمُ لُوۡطٍ مِّنۡكُمۡ بِبَعِيۡدٍ‏ ٨٩

My people! Let not your opposition to me lead you to guilt that would bring upon you the chastisement that struck earlier the people of Noah, and the people of Hud, and the people of Salih. And the land of the people of Lot is not far from you!

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur aey biradraan e qaum, mere khilaf tumhari hadd dharmi kahin yeh naubat na pahuncha de ke aakhir e kaar tumpar bhi wahi azaab aa kar rahey jo Nooh ya Hood ya Saleh ki qaum par aaya tha. Aur Lut ki qaum to tumse kuch zyada door bhi nahin hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاسۡتَغۡفِرُوۡا رَبَّكُمۡ ثُمَّ تُوۡبُوۡۤا اِلَيۡهِ​ؕ اِنَّ رَبِّىۡ رَحِيۡمٌ وَّدُوۡدٌ‏ ٩٠

Seek the forgiveness of your Lord and turn to Him in repentance. Surely my Lord is Ever Merciful, Most Loving.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Dekho! Apne Rubb se maafi maango aur uski taraf palat aao, beshak mera Rubb raheem hai aur apni makhlooq se muhabbat rakhta hai”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالُوۡا يٰشُعَيۡبُ مَا نَفۡقَهُ كَثِيۡرًا مِّمَّا تَقُوۡلُ وَاِنَّا لَـنَرٰٮكَ فِيۡنَا ضَعِيۡفًا​ ۚ وَلَوۡلَا رَهۡطُكَ لَرَجَمۡنٰكَ​ وَمَاۤ اَنۡتَ عَلَيۡنَا بِعَزِيۡزٍ‏  ٩١

They said: 'O Shu'ayb! We do not understand much of what you say. Indeed we see you weak in our midst. Were it not for your kinsmen, we would surely have stoned you for you have no strength to overpower us.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Unhon ne jawab diya “aey shoaib, teri bahut si baatein to hamari samajh hi mein nahin aati. Aur hum dekhte hain ke tu hamare darmiyan ek be-zoar aadmi hai. Teri biradari na hoti to hum kabhi ka tujhey sangsaar (stone to death) kar chuke hotey, tera balboota to itna nahin hai ke humpar bhari ho”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ يٰقَوۡمِ اَرَهۡطِىۡۤ اَعَزُّ عَلَيۡكُمۡ مِّنَ اللّٰهِ ؕ وَ اتَّخَذۡتُمُوۡهُ وَرَآءَكُمۡ ظِهۡرِيًّا​ ؕ اِنَّ رَبِّىۡ بِمَا تَعۡمَلُوۡنَ مُحِيۡطٌ‏ ٩٢

Shu'ayb said: 'My people! Are my kinsmen mightier with you than Allah that you (hold the kinsmen in awe while) you cast Allah behind your back? Surely my Lord encompasses all what you do.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Shoaib ne kaha “bhaiyon, kya meri biradri tumpar Allah se zyada bhari hai ke tumne (biradri ka to khauf kiya aur) Allah ko bilkul pas e pusht (behind your back) daal diya? Jaan rakkho ke jo kuch tum kar rahey ho woh Allah ki giraft se bahar nahin hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَيٰقَوۡمِ اعۡمَلُوۡا عَلٰى مَكَانَتِكُمۡ اِنِّىۡ عَامِلٌ​ ؕ سَوۡفَ تَعۡلَمُوۡنَ ۙ مَنۡ يَّاۡتِيۡهِ عَذَابٌ يُّخۡزِيۡهِ وَمَنۡ هُوَ كَاذِبٌ​ ؕ وَارۡتَقِبُوۡۤا اِنِّىۡ مَعَكُمۡ رَقِيۡبٌ‏ ٩٣

My people! Go on working according to your way and I will keep working (according to mine). Soon you will come to know who will be afflicted by a humiliating chastisement, and who is proved a liar. And watch, I shall also watch with you.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey meri qaum ke logon, tum apne tareeqe par kaam kiye jao aur main apne tareeqe par karta rahoonga. Jaldi hi tumhein maloom ho jayega ke kis par zillat ka azaab aata hai aur kaun jhoota hai. Tum bhi intezaar karo aur main bhi tumhare saath chasm-bara hoon (I shall also watch with you)”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَمَّا جَآءَ اَمۡرُنَا نَجَّيۡنَا شُعَيۡبًا وَّالَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا مَعَهٗ بِرَحۡمَةٍ مِّنَّا ۚ وَاَخَذَتِ الَّذِيۡنَ ظَلَمُوا الصَّيۡحَةُ فَاَصۡبَحُوۡا فِىۡ دِيَارِهِمۡ جٰثِمِيۡنَۙ‏ ٩٤

And when Our command came to pass, We delivered Shu'ayb and those who shared his faith, through Our mercy, and the Blast seized those who were engaged in wrong-doing, so they lay lifeless in their homes

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aakhir e kaar jab hamare faisle ka waqt aa gaya to humne apni rehmat se shoaib aur uske saathi momino ko bacha liya aur jin logon ne zulm kiya tha unko ek sakht dhamake ne aisa pakda ke woh apni bastiyon mein bay-hiss o harkat (lay lifeless) padey ke padey reh gaye

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

كَاَنۡ لَّمۡ يَغۡنَوۡا فِيۡهَا​ ؕ اَلَا بُعۡدًا لِّمَدۡيَنَ كَمَا بَعِدَتۡ ثَمُوۡدُ‏ ٩٥

as though they had never dwelt in them before. Lo! Away with (the people of) Midian, even as the Thamud were done away with!

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Goya woh kabhi wahan rahey basey hi na thay. Suno! Madiyan waley bhi door phenk diye gaye jis tarah Samood phenke gaye thay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَقَدۡ اَرۡسَلۡنَا مُوۡسٰى بِاٰيٰتِنَا وَسُلۡطٰنٍ مُّبِيۡنٍۙ‏ ٩٦

And indeed We sent Moses with Our signs and with a clear authority

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur Moosa ko humne apni nishaniyon aur khuli khuli sanad e mamoriyat (clear authority) ke saath Firoun aur uske ayan e sultanat ki taraf bheja

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِلٰى فِرۡعَوۡنَ وَمَلَا۟ ٮِٕهٖ فَاتَّبَعُوۡۤا اَمۡرَ فِرۡعَوۡنَ​ۚ وَمَاۤ اَمۡرُ فِرۡعَوۡنَ بِرَشِيۡدٍ‏ ٩٧

to Pharaoh and his nobles. But they obeyed the command of Pharaoh even though Pharaoh's command was not rightly-directed.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Magar unhon ne Firoun ke hukum ki pairwi ki halanke Firoun ka hukum raasti (right-direction) par na tha

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يَقۡدُمُ قَوۡمَهٗ يَوۡمَ الۡقِيٰمَةِ فَاَوۡرَدَهُمُ النَّارَ​ؕ وَبِئۡسَ الۡوِرۡدُ الۡمَوۡرُوۡدُ‏ ٩٨

He shall stand at the head of his people on the Day of Resurrection, and will bring them down to the Fire. What a wretched destination to be led to!

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Qayamat ke roz woh apni qaum ke aagey aagey hoga aur apni peshwayi mein unhein dozakh ki taraf le jayega. Kaisi badhtar jaye wurood (wretched destination) hai yeh jis par koi pahunche

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاُتۡبِعُوۡا فِىۡ هٰذِهٖ لَـعۡنَةً وَّيَوۡمَ الۡقِيٰمَةِ​ ؕ بِئۡسَ الرِّفۡدُ الۡمَرۡفُوۡدُ‏ ٩٩

They were pursued by a curse in this world and so will they be on the Day of Resurrection. What an evil reward will they receive!

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur un logon par duniya mein bhi laanat padi aur qayamat ke roz bhi padeygi. Kaisa bura sila hai yeh jo kisi ko miley

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

ذٰ لِكَ مِنۡ اَنۡۢبَآءِ الۡـقُرٰى نَقُصُّهٗ عَلَيۡكَ​ مِنۡهَا قَآٮِٕمٌ وَّحَصِيۡدٌ‏  ١٠٠

That is an account of some towns which We recount to you. Of them some are still standing and some have been mown down.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yeh chand bastiyaon ki sarguzisht (account) hai jo hum tumhein suna rahey hain. Inmein se baaz ab bhi khadi hain aur baaz ki fasal kat chuki hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَمَا ظَلَمۡنٰهُمۡ وَلٰـكِنۡ ظَلَمُوۡۤا اَنۡفُسَهُمۡ​ فَمَاۤ اَغۡنَتۡ عَنۡهُمۡ اٰلِهَتُهُمُ الَّتِىۡ يَدۡعُوۡنَ مِنۡ دُوۡنِ اللّٰهِ مِنۡ شَىۡءٍ لَّمَّا جَآءَ اَمۡرُ رَبِّكَؕ ​ وَمَا زَادُوۡهُمۡ غَيۡرَ تَتۡبِيۡبٍ‏ ١٠١

We did not wrong them; it is rather they who wronged themselves. And when the command of your Lord came to pass, the gods besides Allah whom they had called upon, did not avail them in the least. They added nothing to them except ruin.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Humne unpar zulm nahin kiya, unhon ne aap hi apne upar sitam dhaya. Aur jab Allah ka hukum aa gaya to unke woh mabood jinhein woh Allah ko chodh kar pukara karte thay unke kuch kaam na aa sakey. Aur unhon ne halakat o barbadi ke siwa unhein kuch faiyda na diya

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَكَذٰلِكَ اَخۡذُ رَبِّكَ اِذَاۤ اَخَذَ الۡقُرٰى وَهِىَ ظَالِمَةٌ​ ؕ اِنَّ اَخۡذَهٗۤ اَلِيۡمٌ شَدِيۡدٌ‏ ١٠٢

Such is the seizing of your Lord that when He does seize the towns immersed in wrong-doing, His seizing is painful, terrible.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur tera Rubb jab kisi zalim basti ko pakadta hai to phir uski pakad aisi hi hua karti hai, fil waqeh uski pakad badi sakht aur dardnaak hoti hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِنَّ فِىۡ ذٰ لِكَ لَاٰيَةً لِّمَنۡ خَافَ عَذَابَ الۡاٰخِرَةِ​ ؕ ذٰ لِكَ يَوۡمٌ مَّجۡمُوۡعٌ  ۙ  لَّهُ النَّاسُ وَذٰ لِكَ يَوۡمٌ مَّشۡهُوۡدٌ‏ ١٠٣

Surely in that is a sign for him who fears the chastisement of the Hereafter. That will be a Day when all men shall be mustered together; that will be a Day when whatever happens shall be witnessed by all.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Haqeeqat yeh hai ke is mein ek nishani hai har us shaks ke liye jo azaab e aakhirat ka khauf karey. Woh ek din hoga jismein sab log jamaa hongey aur phir jo kuch bhi us roz hoga sab ki aankhon ke saamne hoga

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَمَا نُؤَخِّرُهٗۤ اِلَّا لِاَجَلٍ مَّعۡدُوۡدٍؕ‏ ١٠٤

Nor shall We withhold it except till an appointed term.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Hum uske laney mein kuch bahut zyada takheer nahin kar rahey hain, bas ek gini chuni muddat uske liye muqarrar hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يَوۡمَ يَاۡتِ لَا تَكَلَّمُ نَفۡسٌ اِلَّا بِاِذۡنِهٖ​ۚ فَمِنۡهُمۡ شَقِىٌّ وَّسَعِيۡدٌ‏ ١٠٥

And when the appointed Day comes, no one shall even dare to speak except by the leave of Allah. Then some will be declared wretched, others blessed.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jab woh aayega to kisi ko baat karne ki majal na hogi, illa yeh ke khuda ki ijazat se kuch arz karey, phir kuch log us roz badbakht hongey aur kuch neik bakht

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَاَمَّا الَّذِيۡنَ شَقُوۡا فَفِى النَّارِ لَهُمۡ فِيۡهَا زَفِيۡرٌ وَّشَهِيۡقٌ ۙ‏  ١٠٦

As for the wretched, they shall be in the Fire, and in it they shall sigh and groan.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jo bad-bakht hongey woh dozakh mein jayenge (jahan garmi aur pyas ki shiddat se). Woh hanpenge aur phunkare marenge (sigh and groan)

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

خٰلِدِيۡنَ فِيۡهَا مَا دَامَتِ السَّمٰوٰتُ وَالۡاَرۡضُ اِلَّا مَا شَآءَ رَبُّكَ​ ؕ اِنَّ رَبَّكَ فَعَّالٌ لِّمَا يُرِيۡدُ‏ ١٠٧

They shall abide in it as long as the heavens and the earth endure, unless your Lord may will otherwise. Surely your Lord does whatsoever He wills.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur usi halat mein woh hamesha rahenge jab tak ke zameen o aasman qayam hain, illa yeh ke tera Rubb kuch aur chahe. Beshak tera Rubb poora ikhtiyar rakhta hai ke jo chahe karey

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاَمَّا الَّذِيۡنَ سُعِدُوۡا فَفِى الۡجَـنَّةِ خٰلِدِيۡنَ فِيۡهَا مَا دَامَتِ السَّمٰوٰتُ وَالۡاَرۡضُ اِلَّا مَا شَآءَ رَبُّكَ​ ؕ عَطَآءً غَيۡرَ مَجۡذُوۡذٍ‏  ١٠٨

And as for those who are blessed, they shall abide in the Garden as long as the heavens and the earth endure, unless your Lord may will otherwise. They shall enjoy an unceasing gift.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Rahey woh log jo neik bakht niklenge , to woh jannat mein jayenge aur wahan hamesha rahenge jab tak zameen o aasman qayam hain, illa yeh ke tera Rubb kuch aur chache. Aisi bakshish unko milegi jiska silsila kabhi munqata (khatam) na hoga

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَلَا تَكُ فِىۡ مِرۡيَةٍ مِّمَّا يَعۡبُدُ هٰٓؤُلَاۤءِ ​ؕ مَا يَعۡبُدُوۡنَ اِلَّا كَمَا يَعۡبُدُ اٰبَآؤُهُمۡ مِّنۡ قَبۡلُ​ؕ وَاِنَّا لَمُوَفُّوۡهُمۡ نَصِيۡبَهُمۡ غَيۡرَ مَنۡقُوۡصٍ‏ ١٠٩

[O Prophet!] Have no doubt about what they worship. For they worship what their fathers worshipped before. And (yet) We shall grant them their due portion in full, diminishing of it nothing.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Pas (aey Nabi ), tu un maboodon ki taraf se kisi shakk mein na reh jinki yeh log ibadat kar rahey hain. Yeh to (bas lakeer ke fakeer baney huye) usi tarah pooja paat kiye ja rahey hain jis tarah pehle unke baap dada karte thay. Aur hum inka hissa inhein bharpur denge bagair iske ke is mein kuch kaat kasar ho

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَقَدۡ اٰتَيۡنَا مُوۡسَى الۡكِتٰبَ فَاخۡتُلِفَ فِيۡهِ​ ؕ وَ لَوۡلَا كَلِمَةٌ سَبَقَتۡ مِنۡ رَّبِّكَ لَـقُضِىَ بَيۡنَهُمۡ​ ؕ وَاِنَّهُمۡ لَفِىۡ شَكٍّ مِّنۡهُ مُرِيۡبٍ‏ ١١٠

And We certainly gave Moses the Book before, and there arose disagreements about it (even as there are disagreements now about the Book revealed to you). Had it not been for a decree that had already gone forth from your Lord, the matter would have long been decided between them. Indeed they are in a disquieting doubt about it.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Hum issey pehle Moosa ko bhi kitaab de chuke hain aur uske barey mein bhi ikhtilaf kiya gaya tha (jis tarah aaj is kitab ke barey mein kiya jaa raha hai jo tumhein di gayi hai). Agar tere Rubb ki taraf se ek baat pehle hi tai na kardi gayi hoti to in ikhtilaf karne walon ke darmiyan kabhi ka faisla chuka diya gaya hota. Yeh waqiya hai ke yeh log iski taraf se shakk aur khaljaan (disquieting doubt) mein padey huey hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِنَّ كُلًّا لَّمَّا لَيُوَفِّيَنَّهُمۡ رَبُّكَ اَعۡمَالَهُمۡ​ ؕ اِنَّهٗ بِمَا يَعۡمَلُوۡنَ خَبِيۡرٌ‏ ١١١

Surely your Lord will recompense all to the full for their deeds. For indeed He is well aware of all what they do.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur yeh bhi waqia hai ke tera Rabb inhein inke aamal ka poora poora badla de kar rahega. Yaqeenan woh inki sab harkaton se bakhabar hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَاسۡتَقِمۡ كَمَاۤ اُمِرۡتَ وَمَنۡ تَابَ مَعَكَ وَلَا تَطۡغَوۡا​ ؕ اِنَّهٗ بِمَا تَعۡمَلُوۡنَ بَصِيۡرٌ‏ ١١٢

So remain, (O Muhammad), you and those who have returned with you (to the fold of faith and obedience from unbelief and rebellion) steadfast (in adhering to the straight way) as you were commanded. And do not exceed the limits of (service to Allah). For certainly He is aware of all what you do.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Pas (aey Muhammad), tum aur tumhare woh saathi jo (kufr o bagawat se iman o itaat ki taraf) palat aaye hain, theek theek raah-e-raast par saabit qadam raho jaisa ke tumhein hukum diya gaya hai. Aur bandagi ki hadd se tajawuz na karo. Jo kuch tum kar rahey ho uspar tumhara Rubb nigaah rakhta hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَا تَرۡكَنُوۡۤا اِلَى الَّذِيۡنَ ظَلَمُوۡا فَتَمَسَّكُمُ النَّارُۙ وَمَا لَـكُمۡ مِّنۡ دُوۡنِ اللّٰهِ مِنۡ اَوۡلِيَآءَ ثُمَّ لَا تُنۡصَرُوۡنَ‏ ١١٣

And do not incline towards the wrong-doers lest the Fire might seize you and you will have none as your protector against Allah; and then you will not be helped from anywhere.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

In zaalimon ki taraf zara na jhukna warna jahannum ki lapeit mein aa jaaoge aur tumhein koi aisa wali o sarparast na milega jo khuda se tumhein bacha sakey aur kahin se tumko madad na pahunchegi

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاَقِمِ الصَّلٰوةَ طَرَفَىِ النَّهَارِ وَزُلَـفًا مِّنَ الَّيۡلِ​ ؕ اِنَّ الۡحَسَنٰتِ يُذۡهِبۡنَ السَّيِّاٰتِ ​ؕ ذٰ لِكَ ذِكۡرٰى لِلذّٰكِرِيۡنَ ​ۚ‏ ١١٤

And establish the Prayer at the two ends of the day and in the first hours of the night. Indeed the good deeds drive away the evil deeds. This is a Reminder to those who are mindful of Allah.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur dekho, namaz qayam karo din ke dono siron par (two ends of the day) aur kuch raat guzarne par. Dar haqeeqat nekiyan buraiyon ko door kar deti hain, yeh ek yaad dihani hai un logon ke liye jo khuda ko yaad rakhne waley hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاصۡبِرۡ فَاِنَّ اللّٰهَ لَا يُضِيۡعُ اَجۡرَ الۡمُحۡسِنِيۡنَ‏ ١١٥

And be patient; for indeed Allah never lets the reward of those who do good go to waste.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur sabr kar, Allah neki karne walon ka ajar kabhi zaya nahin karta

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَلَوۡ لَا كَانَ مِنَ الۡقُرُوۡنِ مِنۡ قَبۡلِكُمۡ اُولُوۡا بَقِيَّةٍ يَّـنۡهَوۡنَ عَنِ الۡفَسَادِ فِى الۡاَرۡضِ اِلَّا قَلِيۡلًا مِّمَّنۡ اَنۡجَيۡنَا مِنۡهُمۡ​ ۚ وَاتَّبَعَ الَّذِيۡنَ ظَلَمُوۡا مَاۤ اُتۡرِفُوۡا فِيۡهِ وَكَانُوۡا مُجۡرِمِيۡنَ‏  ١١٦

Why were there not, out of the generations that passed away before you, righteous men who would forbid others from causing corruption on the earth? And if such were there, they were only a few whom We had saved from those generations, or else the wrong-doers kept pursuing the ease and comfort which had been conferred upon them, thus losing themselves in sinfulness.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir kyun na un qaumon mein jo tumse pehle guzar chuki hain aise ahle khair maujood rahey jo logon ko zameen mein fasaad barpa karne se rokte? Aisey log nikle bhi to bahut kam jinko humne un qaumon mein se bacha liya, warna zalim log to unhi mazon (ease and comfort) ke peechey padey rahey jinke samaan unhein farawani ke saath diye gaye thay (conferred upon them) aur woh mujreem bankar rahey

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَمَا كَانَ رَبُّكَ لِيُهۡلِكَ الۡقُرٰى بِظُلۡمٍ وَّاَهۡلُهَا مُصۡلِحُوۡنَ‏  ١١٧

And your Lord is not such as would wrongfully destroy human habitations while their inhabitants are righteous.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Tera Rubb aisa nahin hai ke bastiyon ko na-haqq tabah karde halanke unke bashinde islaah karne waley hon

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَوۡ شَآءَ رَبُّكَ لَجَـعَلَ النَّاسَ اُمَّةً وَّاحِدَةً​ وَّلَا يَزَالُوۡنَ مُخۡتَلِفِيۡنَۙ‏ ١١٨

Had your Lord so willed, He would surely have made mankind one community. But as things stand, now they will not cease to differ among themselves and to follow erroneous ways

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Beshak tera Rubb agar chahta to tamaam Insaano ko ek giroh bana sakta tha, magar ab to woh mukhtalif tareeqon hi par chalte rahenge

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِلَّا مَنۡ رَّحِمَ رَبُّكَ​ ؕ وَلِذٰلِكَ خَلَقَهُمۡ​ ؕ وَتَمَّتۡ كَلِمَةُ رَبِّكَ لَاَمۡلَـئَنَّ جَهَـنَّمَ مِنَ الۡجِنَّةِ وَالنَّاسِ اَجۡمَعِيۡنَ‏ ١١٩

except for those on whom your Lord has mercy. And it is for this (exercise of freedom of choice) that He has created them. And the word of your Lord was fulfilled: 'Indeed I will fill the Hell, with men and jinn, altogether.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur be raah-rawiyon se sirf woh log bachenge jinpar tere Rubb ki rehmat hai. Isi (azadi intekhab o ikhtiyar) ke liye hi to usne unhein paida kiya tha aur tere Rubb ki woh baat puri ho gayi jo usne kahi thi ke main jahannum ko Jinn aur Insaan, sabse bhar doonga

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَكُلًّا نَّقُصُّ عَلَيۡكَ مِنۡ اَنۡۢبَآءِ الرُّسُلِ مَا نُثَبِّتُ بِهٖ فُؤَادَكَ​ ۚ وَجَآءَكَ فِىۡ هٰذِهِ الۡحَـقُّ وَمَوۡعِظَةٌ وَّذِكۡرٰى لِلۡمُؤۡمِنِيۡنَ‏ ١٢٠

(O Muhammad!) We narrate these anecdotes of Messengers to you that We may strengthen through them your heart. In these anecdotes come to you the truth, and an exhortation, and a reminder for the believers.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur (Aey Muhammad), yeh paighambaron ke qissey jo hum tumhein sunate hain, woh cheezein hain jinke zariye se hum tumhare dil ko mazboot karte hain. Inke andar tumko haqeeqat ka ilam mila aur iman laney walon ko naseehat aur bedari naseeb hui

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَقُلْ لِّـلَّذِيۡنَ لَا يُؤۡمِنُوۡنَ اعۡمَلُوۡا عَلٰى مَكَانَتِكُمۡؕ اِنَّا عٰمِلُوۡنَۙ‏ ١٢١

As for those who are bent on not believing, tell them: 'Work according to your way and we are working according to our way.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Rahey woh log jo iman nahin latey, to unse kehdo ke tum apne tareeqe par kaam karte raho aur hum apne tareeqe par kiya jatey hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَانْـتَظِرُوۡا​ ۚ اِنَّا مُنۡتَظِرُوۡنَ‏ ١٢٢

And do wait for the end of things; we too are waiting.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Anjaam e kaar ka tum bhi intezaar karo aur hum bhi muntazir(waiting) hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلِلّٰهِ غَيۡبُ السَّمٰوٰتِ وَالۡاَرۡضِ وَاِلَيۡهِ يُرۡجَعُ الۡاَمۡرُ كُلُّهٗ فَاعۡبُدۡهُ وَتَوَكَّلۡ عَلَيۡهِ​ؕ وَمَا رَبُّكَ بِغَافِلٍ عَمَّا تَعۡمَلُوۡنَ‏  ١٢٣

All that is hidden in the heavens and the earth lies within the power of Allah. To Him are all matters referred for judgement. So do serve Him, and place in Him all your trust. Your Lord is not heedless of what you do.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aasmaano aur zameen mein jo kuch chupa hua hai sab Allah ke qabze qudrat mein hai. Aur sara maamla usi ki taraf rujoo kiya jata hai. Pas (aey Nabi) tu uski bandagi kar aur usi par bharosa rakh. Jo kuch tumlog kar rahey ho tera Rubb ussey bekhabar nahin hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)