Question Category

About Imam ( امام کے بارے میں )

Are we required to follow the system of Ibrahim (i.e practicing the Ayat by accepting them as commandments of Allah) who was made Imam and we must not discriminate between the Prophets?

کیا ہمیں حضرت ابراہیم کے نظام پر عمل کرنا ہے( یعنی آیات اللہ کو حکم مان کر ان پر عمل کرنا) جن کو اللہ نے امام بنایا اور ہمیں انبیاء کے درمیان فرق نہیں کرنا ہے؟

Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 124
Arabic
وَاِذِ ابۡتَلٰٓى اِبۡرٰهٖمَ رَبُّهٗ بِكَلِمٰتٍ فَاَتَمَّهُنَّ ​ؕ قَالَ اِنِّىۡ جَاعِلُكَ لِلنَّاسِ اِمَامًا ​ؕ قَالَ وَمِنۡ ذُرِّيَّتِىۡ ​ؕ قَالَ لَا يَنَالُ عَهۡدِى الظّٰلِمِيۡنَ‏
English
Recall when Abraham’s Lord tested him in certain matters and when he successfully stood the test, He said: “Indeed I am going to appoint you a leader of all people.” When Abraham asked: “And is this covenant also for my descendants?” the Lord responded: “My covenant does not embrace the wrong-doers.”
Urdu
Yaad karo ke jab Ibrahim ko uske Rubb ne chandh baaton mein aazmaya aur woh un sab mein poora utar gaya, to usne kaha : “main tujhey sab logon ka peshwa banane wala hoon” Ibrahim ne arz kiya: “ aur kya meri aulad se bhi yahi waada hai?” Usne jawab diya: “mera waada zalimon se mutaaliq nahin hai.”
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 125
Arabic
وَاِذۡ جَعَلۡنَا الۡبَيۡتَ مَثَابَةً لِّلنَّاسِ وَاَمۡنًا ؕ وَاتَّخِذُوۡا مِنۡ مَّقَامِ اِبۡرٰهٖمَ مُصَلًّى​ ؕ وَعَهِدۡنَآ اِلٰٓى اِبۡرٰهٖمَ وَاِسۡمٰعِيۡلَ اَنۡ طَهِّرَا بَيۡتِىَ لِلطَّآٮِٕفِيۡنَ وَالۡعٰكِفِيۡنَ وَالرُّکَّعِ السُّجُوۡدِ‏ 
English
And We made this House (Ka'bah) a resort for mankind and a place of security, commanding people: “Take the station of Abraham as a permanent place for Prayer,” and enjoined Abraham and Ishmael: “Purify My House for those who walk around it, and those who abide in devotion, and those who bow, and who prostrate themselves (in Prayer).”
Urdu
Aur yeh ke humne is ghar (kaaba) ko logon ke liye markaz aur aman ki jagah qaraar diya tha aur logon ko hukum diya tha ke Ibrahim jahan ibadat ke liye khada hota hai us muqaam ko mustaqil jaaye namaz bana lo aur Ibrahim aur Ismael ko taqeed ki thi ke mere is ghar ko tawaf aur aiteqaf aur ruku aur sajda karne walon ke liye paak rakkho
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 126
Arabic
وَاِذۡ قَالَ اِبۡرٰهٖمُ رَبِّ اجۡعَلۡ هٰذَا بَلَدًا اٰمِنًا وَّارۡزُقۡ اَهۡلَهٗ مِنَ الثَّمَرٰتِ مَنۡ اٰمَنَ مِنۡهُمۡ بِاللّٰهِ وَالۡيَوۡمِ الۡاٰخِرِ​ؕ قَالَ وَمَنۡ كَفَرَ فَاُمَتِّعُهٗ قَلِيۡلًا ثُمَّ اَضۡطَرُّهٗۤ اِلٰى عَذَابِ النَّارِ​ؕ وَبِئۡسَ الۡمَصِيۡرُ‏‏
English
And when Abraham prayed: “O my Lord! Make this a place of security and provide those of its people that believe in Allah and the Last Day with fruits for sustenance,” Allah answered, “And I shall still provide him who disbelieves with the wherewithal for this short life, and then I shall drive him to the chastisement of the Fire; that is an evil end.”
Urdu
Aur yeh ke Ibrahim ne dua ki: “Aey mere Rubb, is shehar ko aman ka shehar bana dey, aur iske bashindon (people) mein jo Allah aur aakhirat ko maanein, unhein har qism ke phalon ka rizq de”. Jawab mein uske Rubb ne farmaya: “aur jo na maanega ,duniya ki chandh roza zindagi ka samaan to main usey bhi dunga magar aakhir e kaar usey azaab e jahannum ki taraf ghaseetunga, aur woh badhtareen thikana hai”
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 127
Arabic
وَاِذۡ يَرۡفَعُ اِبۡرٰهٖمُ الۡقَوَاعِدَ مِنَ الۡبَيۡتِ وَاِسۡمٰعِيۡلُؕ رَبَّنَا تَقَبَّلۡ مِنَّا ​ؕ اِنَّكَ اَنۡتَ السَّمِيۡعُ الۡعَلِيۡمُ‏
English
Recall when Abraham and Ishmael raised the foundations of the House, praying: “Our Lord! Accept this from us; You are All-Hearing, All-Knowing.
Urdu
Aur yaad karo Ibrahim aur Ismail jab is ghar ki deewarein utha rahey thay , to dua karte jatay thay : “Aey hamare Rubb, humse yeh khidmat qabool farma le, tu sabki sunne aur sab kuch jaanne wala hai
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 128
Arabic
رَبَّنَا وَاجۡعَلۡنَا مُسۡلِمَيۡنِ لَـكَ وَ مِنۡ ذُرِّيَّتِنَآ اُمَّةً مُّسۡلِمَةً لَّكَ وَاَرِنَا مَنَاسِكَنَا وَتُبۡ عَلَيۡنَا ۚ اِنَّكَ اَنۡتَ التَّوَّابُ الرَّحِيۡمُ‏ 
English
Our Lord! Make us submissive to You and make out of our descendants a community that submits itself to You, and show us the ways of Your worship, and turn to us in mercy. You are Much-Relenting, Most Compassionate.
Urdu
Aey Rubb, hum dono ko apna muslim (mutii e farmaan) bana, hamari nasal se ek aisi qaum utha jo teri muslim ho, humein apni ibadat ke tareeqe bata, aur hamari kotahiyon se darguzar farma, tu bada maaf karne wala aur reham farmane wala hai
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 129
Arabic
رَبَّنَا وَابۡعَثۡ فِيۡهِمۡ رَسُوۡلًا مِّنۡهُمۡ يَتۡلُوۡا عَلَيۡهِمۡ اٰيٰتِكَ وَيُعَلِّمُهُمُ الۡكِتٰبَ وَالۡحِكۡمَةَ وَ يُزَكِّيۡهِمۡ​ؕ اِنَّكَ اَنۡتَ الۡعَزِيۡزُ الۡحَكِيۡمُ‏
English
Our Lord! Raise up in the midst of our offspring a Messenger from among them who shall recite to them Your verses, and instruct them in the Book and in Wisdom, and purify their lives. Verily, You are the Most Mighty, the Most Wise.”
Urdu
Aur aey Rubb, un logon mein khud unhi ki qaum se ek aisa Rasool uthaiyo jo unhein teri ayaat sunaye, unko kitab aur hikmat ki taleem de aur unki zindagiyan sanwarey, tu bada muqtadar (All-Powerful) aur hakeem hai.”
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 130
Arabic
وَمَنۡ يَّرۡغَبُ عَنۡ مِّلَّةِ اِبۡرٰهٖمَ اِلَّا مَنۡ سَفِهَ نَفۡسَهٗ ​ؕ وَلَقَدِ اصۡطَفَيۡنٰهُ فِى الدُّنۡيَا ​ۚ وَاِنَّهٗ فِى الۡاٰخِرَةِ لَمِنَ الصّٰلِحِيۡنَ‏ 
English
And who but a fool would be averse to the way of Abraham? For it is We Who chose Abraham for Our mission in this world, and surely in the World to Come he shall be reckoned among the righteous.
Urdu
Ab kaun hai, jo Ibrahim ke tareeqe se nafrat karey? Jisne khud apne aap ko himaqat o jihalat mein mubtila karliya ho, uske siwa kaun yeh harakat kar sakta hai? Ibrahim to woh shaks hai jisko humne duniya mein apne kaam ke liye chun liya tha aur aakhiarat mein uska shumaar saliheen mein hoga
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 131
Arabic
اِذۡ قَالَ لَهٗ رَبُّهٗۤ اَسۡلِمۡ​ۙ قَالَ اَسۡلَمۡتُ لِرَبِّ الۡعٰلَمِيۡنَ‏ 
English
Such was Abraham that when his Lord said to him: “Submit,” he said: “I have submitted to the Lord of the Universe.”
Urdu
Uska haal yeh tha ke jab uske Rubb ne ussey kaha : “Muslim ho ja” to usne fawran kaha : “main maalik e qaiynaat ka ‘muslim’ ho gaya.”
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 132
Arabic
وَوَصّٰى بِهَآ اِبۡرٰهٖمُ بَنِيۡهِ وَ يَعۡقُوۡبُؕ يٰبَنِىَّ اِنَّ اللّٰهَ اصۡطَفٰى لَـكُمُ الدِّيۡنَ فَلَا تَمُوۡتُنَّ اِلَّا وَاَنۡـتُمۡ مُّسۡلِمُوۡنَؕ‏‏ 
English
And Abraham enjoined the same upon his children, and so did Jacob: “My children! Behold, Allah has chosen this religion for you. Remain till death in submission (to Allah).”
Urdu
Isi tareeqe par chalne ki hidayat usne apni aulad ko ki thi aur isi ki wasiyat Yakub apni aulad ko kar gaya, usne kaha tha ke : “mere bacchon! Allah ne tumhare liye yahi deen pasand kiya hai lihaza marte dum tak Muslim hi rehna”
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 133
Arabic
اَمۡ كُنۡتُمۡ شُهَدَآءَ اِذۡ حَضَرَ يَعۡقُوۡبَ الۡمَوۡتُۙ اِذۡ قَالَ لِبَنِيۡهِ مَا تَعۡبُدُوۡنَ مِنۡۢ بَعۡدِىۡؕ قَالُوۡا نَعۡبُدُ اِلٰهَكَ وَاِلٰهَ اٰبَآٮِٕكَ اِبۡرٰهٖمَ وَاِسۡمٰعِيۡلَ وَاِسۡحٰقَ اِلٰهًا وَّاحِدًا ۖۚ وَّنَحۡنُ لَهٗ مُسۡلِمُوۡنَ‏ 
English
Why, were you witnesses when death came to Jacob? He asked his children: “Whom will you serve after me?” They said: “We shall serve your God, the God of your forefathers, Abraham, Ishmael and Isaac, the One God, and unto Him do we submit.”
Urdu
Phir kya tum us waqt maujood thay jab Yakub is duniya se ruksat ho raha tha? Usne marte waqt apne bacchon se pucha: “ bacchon! Mere baad tum kiski bandagi karoge?” un sab ne jawab diya : “ hum usi ek khuda ki bandagi karenge jisey aap ne aur aapke buzurgon Ibrahim, Ismail, aur Ishaq ne khuda maana hai aur hum usi ke muslim hain”
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 134
Arabic
تِلۡكَ اُمَّةٌ قَدۡ خَلَتۡ​ۚ لَهَا مَا كَسَبَتۡ وَلَـكُمۡ مَّا كَسَبۡتُمۡ​ۚ وَلَا تُسۡـَٔـلُوۡنَ عَمَّا كَانُوۡا يَعۡمَلُوۡنَ‏
English
Now, they were a people who passed away. Theirs is what they have earned, and yours is what you have earned. You shall not be asked concerning what they did.
Urdu
Woh kuch log thay jo guzar gaye, jo kuch unhon ne kamaya woh unke liye hai aur jo kuch tum kamaoge, woh tumhare liye hai. Tumse yeh na pucha jayega ke woh kya karte thay
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 135
Arabic
وَقَالُوۡا کُوۡنُوۡا هُوۡدًا اَوۡ نَصٰرٰى تَهۡتَدُوۡا ​ؕ قُلۡ بَلۡ مِلَّةَ اِبۡرٰهٖمَ حَنِيۡفًا ​ؕ وَمَا كَانَ مِنَ الۡمُشۡرِكِيۡنَ‏
English
They say: “Be Jews,” or “Be Christians.” “Then you will be rightly guided.” Say to them: “No, follow exclusively the way of Abraham who was not one of those who associate others with Allah in His Divinity.”
Urdu
Yahudi kehte hain: Yahudi ho to raah e raast paogey, Isayi kehte hain: Isayi ho to hidayat milegi , inse kaho: “nahin, balke sabko chodh kar Ibrahim ka tareeqa, aur Ibrahim mushrikon mein se na tha.”
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 136
Arabic
قُوۡلُوۡٓا اٰمَنَّا بِاللّٰهِ وَمَآ اُنۡزِلَ اِلَيۡنَا وَمَآ اُنۡزِلَ اِلٰٓى اِبۡرٰهٖمَ وَاِسۡمٰعِيۡلَ وَاِسۡحٰقَ وَيَعۡقُوۡبَ وَ الۡاَسۡبَاطِ وَمَآ اُوۡتِىَ مُوۡسٰى وَعِيۡسٰى وَمَآ اُوۡتِىَ النَّبِيُّوۡنَ مِنۡ رَّبِّهِمۡ​ۚ لَا نُفَرِّقُ بَيۡنَ اَحَدٍ مِّنۡهُمۡ وَنَحۡنُ لَهٗ مُسۡلِمُوۡنَ‏
English
Say: “We believe in Allah, and in what has been revealed to us and to Abraham, Ishmael, Isaac, Jacob and the descendants (of Jacob) and in what was given to Moses and Jesus and in what the other Prophets received from their Lord. We make no distinction between any of them, and we are those who submit to Allah.”
Urdu
(Musalmaano)! Kaho ke: “hum iman laye Allah par aur us hidayat par jo hamari taraf nazil hui hai aur jo Ibrahim, Ismail, Ishaq, Yakub aur aulad e Yakub ki taraf nazil hui thi aur jo Moosa aur Isa aur dusre tamaam paighambaron ko unke Rubb ki taraf se di gayi thi. Hum unke darmiyan koi tafreeq nahin karte aur hum Allah ke Muslim hain”
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 137
Arabic
فَاِنۡ اٰمَنُوۡا بِمِثۡلِ مَآ اٰمَنۡتُمۡ بِهٖ فَقَدِ اهۡتَدَوْا ​ۚ وَاِنۡ تَوَلَّوۡا فَاِنَّمَا هُمۡ فِىۡ شِقَاقٍ​ ۚ فَسَيَكۡفِيۡکَهُمُ اللّٰهُ ​ۚ وَهُوَ السَّمِيۡعُ الۡعَلِيۡمُؕ‏
English
And then if they come to believe as you believe, they are on right guidance; and if they turn away, then quite obviously they have merely fallen into opposition to the Truth. Allah will suffice you for protection against them. He is All-Hearing, All-Knowing.
Urdu
Phir agar woh isi tarah iman layein, jis tarah tum laye ho, to hidayat par hain, aur agar issey mooh pherein to khuli baat hai ke woh hathdharmi (schism) mein padh gaye hain, lihaza itminaan rakkho ke unke muqable mein Allah tumhari himayat ke liye kafi hai. Woh sabkuch sunta aur jaanta hai
Surah Al-Hajj: 22 - Ayah: 78
Arabic
وَجَاهِدُوۡا فِى اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ​ؕ هُوَ اجۡتَبٰٮكُمۡ وَمَا جَعَلَ عَلَيۡكُمۡ فِى الدِّيۡنِ مِنۡ حَرَجٍ​ؕ مِلَّةَ اَبِيۡكُمۡ اِبۡرٰهِيۡمَ​ؕ هُوَ سَمّٰٮكُمُ الۡمُسۡلِمِيۡنَ ۙ مِنۡ قَبۡلُ وَفِىۡ هٰذَا لِيَكُوۡنَ الرَّسُوۡلُ شَهِيۡدًا عَلَيۡكُمۡ وَتَكُوۡنُوۡا شُهَدَآءَ عَلَى النَّاسِ​ ​ۖۚ فَاَقِيۡمُوا الصَّلٰوةَ وَاٰتُوا الزَّكٰوةَ وَاعۡتَصِمُوۡا بِاللّٰهِؕ هُوَ مَوۡلٰٮكُمۡ​ۚ فَنِعۡمَ الۡمَوۡلٰى وَنِعۡمَ النَّصِيۡرُ‏ 
English
Strive in the cause of Allah in a manner worthy of that striving. He has chosen you (for His task), and He has not laid upon you any hardship in religion. Keep to the faith of your father Abraham. Allah named you Muslims earlier and even in this (Book), that the Messenger may be a witness over you, and that you may be witnesses over all mankind. So establish Prayer, and pay Zakah, and hold fast to Allah. He is your Protector. What an excellent Protector; what an excellent Helper!
Urdu
Allah ki raah mein jihad karo jaisa ke jihad karne ka haqq hai, usne tumhein apne kaam ke liye chun liya hai aur deen mein tumpar koi tanggi nahin rakkhi. Qayam ho jao apne baap Ibrahim ki millat par. Allah ne pehle bhi tumhara naam “Muslim” rakkha tha aur is (Quran) mein bhi (tumhara yahi naam hai) taa-ke Rasool tumpar gawah ho aur tum logon par gawah. Pas namaz qayam karo, zakaat do aur Allah se wabista ho jao (hold fast to Allah), woh hai tumhara maula (guardian), bahut hi accha hai woh maula aur bahut hi accha hai woh madadgaar