Al-Baqarah

Surah 2

002 surah

الٓمّٓۚ‏ ١

Alif, Lam, Mim.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Alif Laam Meem

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

ذٰلِكَ الۡڪِتٰبُ لَا رَيۡبَۛۚۖ فِيۡهِۛۚ هُدًى لِّلۡمُتَّقِيۡنَۙ‏ ٢

This is the Book of Allah, there is no doubt in it; it is a guidance for the pious,

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yeh Allah ki kitab hai, is mein koi shakk nahin, hidayat hai un parheizgaar logon ke liye

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

الَّذِيۡنَ يُؤۡمِنُوۡنَ بِالۡغَيۡبِ وَ يُقِيۡمُوۡنَ الصَّلٰوةَ وَمِمَّا رَزَقۡنٰهُمۡ يُنۡفِقُوۡنَۙ‏ ٣

for those who believe in the existence of that which is beyond the reach of perception, who establish Prayer and spend out of what We have provided them,

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jo gaib par iman latey hain, namaz qayam karte hain , jo rizq humne unko diya hai usmein se kharch karte hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَالَّذِيۡنَ يُؤۡمِنُوۡنَ بِمَۤا اُنۡزِلَ اِلَيۡكَ وَمَاۤ اُنۡزِلَ مِنۡ قَبۡلِكَۚ وَبِالۡاٰخِرَةِ هُمۡ يُوۡقِنُوۡنَؕ‏ ٤

who believe in what has been revealed to you and what was revealed before you, and have firm faith in the Hereafter.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jo kitab tumpar nazil ki gayi hai (yani Quran) aur jo kitabein tumse pehle nazil ki gayi thi un sab par iman latey hain aur aakhirat par yaqeen rakhte hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اُولٰٓٮِٕكَ عَلٰى هُدًى مِّنۡ رَّبِّهِمۡ​ وَاُولٰٓٮِٕكَ هُمُ الۡمُفۡلِحُوۡنَ‏  ٥

Such are on true guidance from their Lord; such are the truly successful.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aisey log apne Rubb ki taraf se raah e raast par hain aur wahi falaah paney waley hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِنَّ الَّذِيۡنَ كَفَرُوۡا سَوَآءٌ عَلَيۡهِمۡ ءَاَنۡذَرۡتَهُمۡ اَمۡ لَمۡ تُنۡذِرۡهُمۡ لَا يُؤۡمِنُوۡنَ‏ ٦

As for those who have rejected (these truths), it is all the same whether or not you warn them, for they will not believe.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jin logon ne (in baaton ko tasleem karne se) inkar kardiya, unke liye yaksan hai, khwa tum unhein khabardaar karo ya na karo, bahar haal woh maanne waley nahin hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

خَتَمَ اللّٰهُ عَلَىٰ قُلُوۡبِهِمۡ وَعَلٰى سَمۡعِهِمۡ​ؕ وَعَلٰىٓ اَبۡصَارِهِمۡ غِشَاوَةٌ  وَّلَهُمۡ عَذَابٌ عَظِيۡمٌ‏ ٧

Allah has sealed their hearts and their hearing, and a covering has fallen over their eyes. They deserve severe chastisement.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Allah ne unke dilon aur unke kaano par mohar laga di hai aur unki aankhon par purda padh gaya hai, woh sakht saza ke mustahiq hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَمِنَ النَّاسِ مَنۡ يَّقُوۡلُ اٰمَنَّا بِاللّٰهِ وَبِالۡيَوۡمِ الۡاٰخِرِ وَمَا هُمۡ بِمُؤۡمِنِيۡنَ​ۘ‏ ٨

There are some who say: “We believe in Allah and in the Last Day,” while in fact they do not believe.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Baaz log aisey bhi hain jo kehte hain ke hum Allah par aur aakhirat ke din par iman laye hain, halaanke dar-haqeeqat woh momin nahin hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يُخٰدِعُوۡنَ اللّٰهَ وَالَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا ​ۚ وَمَا يَخۡدَعُوۡنَ اِلَّاۤ اَنۡفُسَهُمۡ وَمَا يَشۡعُرُوۡنَؕ‏ ٩

They are trying to deceive Allah and those who believe, but they do not realize that in truth they are only deceiving themselves.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Woh Allah aur iman laney walon ke saath dhoke-baazi kar rahey hain, magar darasal woh khud apne aap hi ko dhoke mein daal rahey hain aur unhein iska shaoor nahin hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فِىۡ قُلُوۡبِهِمۡ مَّرَضٌۙ فَزَادَهُمُ اللّٰهُ مَرَضًا ​ۚ وَّلَهُمۡ عَذَابٌ اَلِيۡمٌۙۢبِمَا كَانُوۡا يَكۡذِبُوۡنَ‏ ١٠

There is a disease in their hearts and Allah has intensified this disease. A painful chastisement awaits them for their lying.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Unke dilon mein ek bimari hai jisey Allah ne aur zyada bada diya, aur jo jhoot woh bolte hain, uski padash mein unke liye dardnaak saza hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذَا قِيۡلَ لَهُمۡ لَا تُفۡسِدُوۡا فِىۡ الۡاَرۡضِۙ قَالُوۡاۤ اِنَّمَا نَحۡنُ مُصۡلِحُوۡنَ‏ ١١

Whenever they are told: “Do not spread mischief on earth,” they say: “Why! We indeed are the ones who set things right.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jab kabhi unse kaha gaya ke zameen mein fasaad barpa na karo to unhon ne yahi kaha ke hum to islaah karne waley hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَلَا ۤ اِنَّهُمۡ هُمُ الۡمُفۡسِدُوۡنَ وَلٰـكِنۡ لَّا يَشۡعُرُوۡنَ‏ ١٢

They are the mischief makers, but they do not realize it.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Khabardaar! Haqeeqat mein yahi log mufsid (fasaad karne waley) hain magar unhein shaoor nahin hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذَا قِيۡلَ لَهُمۡ اٰمِنُوۡا كَمَاۤ اٰمَنَ النَّاسُ قَالُوۡاۤ اَنُؤۡمِنُ كَمَاۤ اٰمَنَ السُّفَهَآءُ​ ؕ اَلَاۤ اِنَّهُمۡ هُمُ السُّفَهَآءُ وَلٰـكِنۡ لَّا يَعۡلَمُوۡنَ‏ ١٣

Whenever they are told: “Believe as others believe,” they answer: “Shall we believe as the fools have believed?” Indeed it is they who are the fools, but they are not aware of it.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur jab unse kaha gaya jis tarah dusre log iman laye hain usi tarah tum bhi iman lao to unhon ne yahi jawab diya “kya hum bewaqoofon ki tarah iman layein?” khabardaar! Haqeeqat mein to yeh khud bewaqoof hain, magar yeh jantey nahin hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذَا لَقُوۡا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا قَالُوۡاۤ اٰمَنَّا ۖۚ وَاِذَا خَلَوۡا اِلٰى شَيٰطِيۡنِهِمۡۙ قَالُوۡاۤ اِنَّا مَعَكُمۡۙ اِنَّمَا نَحۡنُ مُسۡتَهۡزِءُوۡنَ‏  ١٤

When they meet the believers, they say: “We believe,” but when they meet their evil companions (in privacy), they say: “Surely we are with you; we were merely jesting.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jab yeh ehle iman se milte hain, to kehte hain ke hum iman laye hain aur jab alaidagi (alone/privy) mein apne shaytano se milte hain, to kehte hain ke asal mein to hum tumhare saath hain aur in logon se mehaz mazaaq kar rahey hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَللّٰهُ يَسۡتَهۡزِئُ بِهِمۡ وَيَمُدُّهُمۡ فِىۡ طُغۡيَانِهِمۡ يَعۡمَهُوۡنَ‏  ١٥

Allah jests with them, leaving them to wander blindly on in their rebellion.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Allah unse mazaq kar raha hai, woh inki rassi daraaz kiye jata hai, aur yeh apni sarkashi mein andhon (blind) ki tarah bhatakte chale jatay hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اُولٰٓٮِٕكَ الَّذِيۡنَ اشۡتَرَوُا الضَّلٰلَةَ بِالۡهُدٰى فَمَا رَبِحَتۡ تِّجَارَتُهُمۡ وَمَا كَانُوۡا مُهۡتَدِيۡنَ‏ ١٦

These are the ones who have purchased error in exchange for guidance. This bargain has brought them no profit and certainly they are not on the Right Way.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yeh woh log hain jinhon ne hidayat ke badle gumaraahi khareed li hai, magar yeh sauda inke liye nafa-baksh nahin hai aur yeh hargiz saheeh raaste par nahin hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

مَثَلُهُمۡ كَمَثَلِ الَّذِى اسۡتَوۡقَدَ نَارًا ​ۚ فَلَمَّاۤ اَضَآءَتۡ مَا حَوۡلَهٗ ذَهَبَ اللّٰهُ بِنُوۡرِهِمۡ وَتَرَكَهُمۡ فِىۡ ظُلُمٰتٍ لَّا يُبۡصِرُوۡنَ‏  ١٧

They are like him who kindled a fire, and when it lit up all around him, Allah took away the light (of their perception) and left them in utter darkness where they can see nothing.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Inki misaal aisey hai jaise ek shaks ne aag roshan ki aur jab usne sarey maahol ko roshan kardiya to Allah ne inka noor e basarat (vision) salb karliya aur inhein is haal mein chodh diya ke taareekiyon (andheron) mein inhein kuch nazar nahin aata

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

صُمٌّۢ بُكۡمٌ عُمۡىٌ فَهُمۡ لَا يَرۡجِعُوۡنَ ۙ‏ ١٨

They are deaf, they are dumb, they are blind; they will never return (to the Right Way).

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yeh behre hain, gungay hain, andhey hain, yeh ab na paltenge

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَوۡ كَصَيِّبٍ مِّنَ السَّمَآءِ فِيۡهِ ظُلُمٰتٌ وَّرَعۡدٌ وَّبَرۡقٌ​ ۚ يَجۡعَلُوۡنَ اَصَابِعَهُمۡ فِىۡۤ اٰذَانِهِمۡ مِّنَ الصَّوَاعِقِ حَذَرَ الۡمَوۡتِ​ؕ وَاللّٰهُ مُحِيۡطٌ​ۢ بِالۡكٰفِرِيۡنَ‏ ١٩

Or they are like those who encounter a violent rainstorm from the sky, accompanied by pitch-dark clouds, thunder-claps and flashes of lightning: on hearing thunder-claps they thrust their fingers into their ears in fear of death. Allah encompasses these deniers of the Truth.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Ya phir inki misaal yun samajho ke aasman se zoar ki baarish ho rahi hai aur iske saath andheri ghata aur kadak chamak bhi hai, yeh bijli ki kadake sunkar apni jaano ke khauf se kaano mein ungliyan thunse lete hain aur Allah in munkireen e haqq ko har taraf se gherey mein liye huey hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يَكَادُ الۡبَرۡقُ يَخۡطَفُ اَبۡصَارَهُمۡ​ؕ كُلَّمَاۤ اَضَآءَ لَهُمۡ مَّشَوۡا فِيۡهِۙ وَاِذَاۤ اَظۡلَمَ عَلَيۡهِمۡ قَامُوۡا​ؕ وَلَوۡ شَآءَ اللّٰهُ لَذَهَبَ بِسَمۡعِهِمۡ وَاَبۡصَارِهِمۡ​ؕ اِنَّ اللّٰهَ عَلٰى كُلِّ شَىۡءٍ قَدِيۡرٌ‏ ٢٠

It is as if the lightning would snatch their sight; whenever it gleams a while for them they walk a little, and when darkness covers them they halt. If Allah so willed, He could indeed take away their hearing and their sight. Surely Allah is All-Powerful.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Chamak se inki haalat yeh ho rahi hai ke goya anqareeb bijli inki basarat (vision) uchak le jayegi, jab zara kuch roshni inhein mehsoos hoti hai to ismein kuch door chal lete hain aur jab inpar andhera cha jata hai to khade ho jatay hain. Allah chahta to inki samaat (hearing) aur basarat bilkul hi salb karleta, yaqeenan woh har cheez par qadir hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰۤاَيُّهَا النَّاسُ اعۡبُدُوۡا رَبَّكُمُ الَّذِىۡ خَلَقَكُمۡ وَالَّذِيۡنَ مِنۡ قَبۡلِكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تَتَّقُوۡنَ ۙ‏ ٢١

O mankind, serve your Lord Who has created you as well as those before you; do so that you are saved.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Logon! Bandagi ikhtiyar karo apne us Rubb ki jo tumhara aur tumse pehle jo log ho guzre hain un sabka khaliq hai, tumhare bachne ki tawaqqu isi surat se ho sakti hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

الَّذِىۡ جَعَلَ لَـكُمُ الۡاَرۡضَ فِرَاشًا وَّالسَّمَآءَ بِنَآءً وَّاَنۡزَلَ مِنَ السَّمَآءِ مَآءً فَاَخۡرَجَ بِهٖ مِنَ الثَّمَرٰتِ رِزۡقًا لَّـكُمۡ​ۚ فَلَا تَجۡعَلُوۡا لِلّٰهِ اَنۡدَادًا وَّاَنۡـتُمۡ تَعۡلَمُوۡنَ ‏ ٢٢

It is He Who has made the earth a resting-place for you, and the sky a canopy, and sent down water from above wherewith He brought forth fruits for your sustenance. Do not, then, set up rivals to Allah when you know (the Truth).

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Wahi to hai jisne tumhare liye zameen ka farsh bichaya, aasman ki chath banayi, upar se pani barsaya aur uske zariye se har tarah ki paidwaar nikal kar tumhare liye rizq baham pahunchaya, pas jab tum yeh jaante ho to dusron ko Allah ka madd e muqabil na thehrao

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِنۡ کُنۡتُمۡ فِىۡ رَيۡبٍ مِّمَّا نَزَّلۡنَا عَلٰى عَبۡدِنَا فَاۡتُوۡا بِسُوۡرَةٍ مِّنۡ مِّثۡلِهٖ وَادۡعُوۡا شُهَدَآءَكُمۡ مِّنۡ دُوۡنِ اللّٰهِ اِنۡ كُنۡتُمۡ صٰدِقِيۡنَ‏  ٢٣

If you are in any doubt whether it is We Who have revealed this Book to Our servant, then produce just a surah like it, and call all your supporters and seek in it the support of all others save Allah. Accomplish this if you are truthful.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur agar tumhein is amr mein shakk hai ke yeh kitab jo humne apne bandey par utari hai, yeh hamari hai ya nahin, to iske manind (similar) ek hi surat bana lao, apne saarey humnawa ko bula lo (associates to assist you), ek Allah ko chodh kar baki jis jis ki chaho madad lelo agar tum sacchey ho to yeh kaam karke dikhao

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَاِنۡ لَّمۡ تَفۡعَلُوۡا وَلَنۡ تَفۡعَلُوۡا فَاتَّقُوۡا النَّارَ الَّتِىۡ وَقُوۡدُهَا النَّاسُ وَالۡحِجَارَةُ  ۖۚ اُعِدَّتۡ لِلۡكٰفِرِيۡنَ‏ ٢٤

But if you fail to do this – and you will most certainly fail – then have fear of the Fire whose fuel is men and stones and which has been prepared for those who deny the Truth.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Lekin agar tumne aisa na kiya aur yaqeenan kabhi nahin kar sakte, to daro us aag se jiska indhan (fuel) banengey Insan aur patthar, jo muhaiyya ki gayi hai munkireen e haqq ke liye

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَبَشِّرِ الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا وَ عَمِلُوا الصّٰلِحٰتِ اَنَّ لَهُمۡ جَنّٰتٍ تَجۡرِىۡ مِنۡ تَحۡتِهَا الۡاَنۡهٰرُ​ؕ ڪُلَّمَا رُزِقُوۡا مِنۡهَا مِنۡ ثَمَرَةٍ رِّزۡقًا ​ۙ قَالُوۡا هٰذَا الَّذِىۡ رُزِقۡنَا مِنۡ قَبۡلُ وَاُتُوۡا بِهٖ مُتَشَابِهًا ​ؕ وَلَهُمۡ فِيۡهَآ اَزۡوَاجٌ مُّطَهَّرَةٌ ​ۙ وَّهُمۡ فِيۡهَا خٰلِدُوۡنَ‏ ٢٥

(O Prophet), announce glad tidings to those who believe in this Book and do righteous deeds (in accordance with its teachings), that for them are gardens beneath which rivers flow. Their fruits will have such resemblance to those of the earth that whenever they will be provided with those fruits they will say: “It was this which was granted to us on earth before.” For them there shall be pure spouses, and there they shall abide forever.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur (aey paighambar), jo log is kitab par iman le aaye aur (iske mutabiq) apne aamaal durust karlein, unhein khushkhabri dedo ke unke liye aisey baagh hain, jinke nichey nehrein behti hongi. Un baaghon ke phal surat mein duniya ke phalon se miltey jhulte honge, jab koi phal unhein khane ko diya jayega, to woh kahenge ke aisey hi phal issey pehle duniya mein humko diye jatay thay. Unke liye wahan pakeeza biwiyan hongi, aur woh wahan hamesha rahenge

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِنَّ اللّٰهَ لَا يَسۡتَحۡـىٖۤ اَنۡ يَّضۡرِبَ مَثَلًا مَّا ​بَعُوۡضَةً فَمَا فَوۡقَهَا ​ؕ فَاَمَّا ​الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا فَيَعۡلَمُوۡنَ اَنَّهُ الۡحَـقُّ مِنۡ رَّبِّهِمۡ​ۚ وَاَمَّا الَّذِيۡنَ ڪَفَرُوۡا فَيَقُوۡلُوۡنَ مَاذَآ اَرَادَ اللّٰهُ بِهٰذَا مَثَلًا ۘ يُضِلُّ بِهٖ ڪَثِيۡرًا وَّيَهۡدِىۡ بِهٖ كَثِيۡرًا ​ؕ وَمَا يُضِلُّ بِهٖۤ اِلَّا الۡفٰسِقِيۡنَۙ ‏ ٢٦

Behold! Allah is not ashamed to propound the parable of a gnat, or even of something more lowly. On hearing these parables the believers know that it is the truth from their Lord, while those bent on denying the Truth say: “What does Allah mean by these parables?” Thus He causes many to go astray just as He directs many to the Right Way. And He thereby causes to go astray only the transgressors,

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Haan, Allah issey hargiz nahin sharmata ke machhar ya issey bhi haqeer-tar (insignificant) kisi cheez ki tamseelein (examples) de. Jo log haqq baat ko qabool karne waley hain , woh inhi tamseelon ko dekh kar jaan lete hain ke yeh haqq hai jo unke Rubb hi ki taraf se aaya hai, aur jo maanne waley nahin hain, woh inhein sunkar kehne lagte hain ke aisi tamseelon se Allah ko kya sarokar? Is tarah Allah ek hi baat se bahuton ko gumraahi mein mubtila kardeta hai aur bahuton ko raah e raast dikha deta hai. Aur gumraahi mein woh unhi ko mubtila karta hai jo faasiq hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

الَّذِيۡنَ يَنۡقُضُوۡنَ عَهۡدَ اللّٰهِ مِنۡۢ بَعۡدِ مِيۡثَاقِهٖ وَيَقۡطَعُوۡنَ مَآ اَمَرَ اللّٰهُ بِهٖۤ اَنۡ يُّوۡصَلَ وَيُفۡسِدُوۡنَ فِى الۡاَرۡضِ​ؕ اُولٰٓٮِٕكَ هُمُ الۡخٰسِرُوۡنَ‏ ٢٧

who break the covenant of Allah after its firm binding, and cut asunder what Allah has commanded to be joined, and spread mischief on earth. They are the utter losers.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Allah ke ahad ko mazboot baandh lene ke baad todh dete hain, Allah ne jisey jodhne ka hukum diya hai usey kaat-te hain, aur zameen mein fasaad barpa karte hain. Haqeeqat mein yahi log nuqsan uthane waley hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

كَيۡفَ تَكۡفُرُوۡنَ بِاللّٰهِ وَڪُنۡتُمۡ اَمۡوَاتًا فَاَحۡيَاکُمۡ​ۚ ثُمَّ يُمِيۡتُكُمۡ ثُمَّ يُحۡيِيۡكُمۡ ثُمَّ اِلَيۡهِ تُرۡجَعُوۡنَ‏ ٢٨

How can you be ungrateful to Allah Who bestowed life upon you when you were lifeless, then He will cause you to die and will again bring you back to life so that you will be returned to Him.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Tum Allah ke saath kufr ka rawayya kaise ikhtiyar karte ho halaanke tum bay-jaan thay , usne tumko zindagi ata ki, phir wahi tumhari jaan salb karega, phir wahi tumhein dobara zindagi ata karega, phir usi ki taraf tumhein palat kar jana hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

هُوَ الَّذِىۡ خَلَقَ لَـكُمۡ مَّا فِى الۡاَرۡضِ جَمِيۡعًا ثُمَّ اسۡتَوٰۤى اِلَى السَّمَآءِ فَسَوّٰٮهُنَّ سَبۡعَ سَمٰوٰتٍ​ؕ وَهُوَ بِكُلِّ شَىۡءٍ عَلِيۡمٌ‏  ٢٩

It is He Who created for you all that is on earth and then turned above and fashioned it into seven heavens. He knows all things.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Wahi to hai, jisne tumhare liye zameen ki saari cheezein paida ki, phir upar ki taraf tawajju farmayi aur saat aasman ustwaar kiye aur woh har cheez ka ilm rakhne wala hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ قَالَ رَبُّكَ لِلۡمَلٰٓٮِٕكَةِ اِنِّىۡ جَاعِلٌ فِى الۡاَرۡضِ خَلِيۡفَةً ؕ قَالُوۡٓا اَتَجۡعَلُ فِيۡهَا مَنۡ يُّفۡسِدُ فِيۡهَا وَيَسۡفِكُ الدِّمَآءَۚ وَنَحۡنُ نُسَبِّحُ بِحَمۡدِكَ وَنُقَدِّسُ لَـكَ​ؕ قَالَ اِنِّىۡٓ اَعۡلَمُ مَا لَا تَعۡلَمُوۡنَ‏  ٣٠

Just think when your Lord said to the angels: “Lo! I am about to place a vicegerent on earth,” they said: “Will You place on it one who will spread mischief and shed blood while we celebrate Your glory and extol Your holiness?” He said: “Surely I know what you do not know.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir zara us waqt ka tasavvur karo jab tumhare Rubb ne Farishton se kaha tha ke “ main zameen mein ek khalifa banane wala hoon” unhon ne arz kiya : “kya aap zameen mein kisi aisey ko muqarrar karne waley hain, jo iske intezaam ko bigadh dega aur khoon-reziyan karega? Aap ki hamd o sana ke saath tasbeeh aur aap ke liye taqdees to hum kar hi rahey hain.” Farmaya: “ main jaanta hoon jo kuch tum nahin jaante.”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَعَلَّمَ اٰدَمَ الۡاَسۡمَآءَ كُلَّهَا ثُمَّ عَرَضَهُمۡ عَلَى الۡمَلٰٓٮِٕكَةِ فَقَالَ اَنۡۢبِــُٔوۡنِىۡ بِاَسۡمَآءِ هٰٓؤُلَآءِ اِنۡ كُنۡتُمۡ صٰدِقِيۡنَ‏ ٣١

Then Allah taught Adam the names of all things and presented them to the angels and said: “If you are right (that the appointment of a vicegerent will cause mischief) then tell Me the names of these things.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Iske baad Allah ne Adam ko saari cheezon ke naam sikhaye, phir unhein Farishton ke samne pesh kiya aur farmaya “agar tumhara khayal saheeh hai (ke kisi khalifa ke taqarrur se intezam bigad jayega) to zara in cheezon ke naam batao.”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالُوۡا سُبۡحٰنَكَ لَا عِلۡمَ لَنَآ اِلَّا مَا عَلَّمۡتَنَا ؕ اِنَّكَ اَنۡتَ الۡعَلِيۡمُ الۡحَكِيۡمُ‏ ٣٢

They said. “Glory to You! We have no knowledge except what You taught us. You, only You, are All-Knowing, All-Wise.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Unhon ne arz kiya: “nuqs (defect) se paak to aap hi ki zaat hai, hum to bas itna hi ilm rakhte hain, jitna aapne humko de diya hai, haqeeqat mein sab kuch jaanne aur samajhne wala aap ke siwa koi nahin”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ يٰٓـاٰدَمُ اَنۡۢبِئۡهُمۡ بِاَسۡمَآٮِٕهِمۡ​ۚ فَلَمَّآ اَنۡۢبَاَهُمۡ بِاَسۡمَآٮِٕهِمۡۙ قَالَ اَلَمۡ اَقُل لَّـكُمۡ اِنِّىۡٓ اَعۡلَمُ غَيۡبَ السَّمٰوٰتِ وَالۡاَرۡضِۙ وَاَعۡلَمُ مَا تُبۡدُوۡنَ وَمَا كُنۡتُمۡ تَكۡتُمُوۡنَ‏ ٣٣

Then Allah said to Adam: “Tell them the names of these things.” And when he had told them the names of all things, Allah said: “Did I not say to you that I know everything about the heavens and the earth which are beyond your range of knowledge and I know all that you disclose and also all that you hide?”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir Allah ne Adam se kaha: “ tum inhein in cheezon ke naam batao” jab usne unko un sabke naam bata diye, to Allah ne farmaya : “ maine tum se kaha na tha ke main aasmano aur zameen ki woh saari haqeeqatein jaanta hoon jo tumse makhfi (chupi) hain, jo kuch tum zaahir karte ho, woh bhi mujhey maloom hai aur jo kuch tum chupate ho, usey bhi main jaanta hoon.”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ قُلۡنَا لِلۡمَلٰٓٮِٕكَةِ اسۡجُدُوۡا لِاٰدَمَ فَسَجَدُوۡٓا اِلَّاۤ اِبۡلِيۡسَؕ اَبٰى وَاسۡتَكۡبَرَ  وَكَانَ مِنَ الۡكٰفِرِيۡنَ‏ ٣٤

And when We ordered the angels: “Prostrate yourselves before Adam,” all of them fell prostrate, except Iblis. He refused, and gloried in his arrogance and became one of the defiers.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir jab humne Farishton ko hukum diya ke Adam ke aagey jhuk jao, to sab jhuk gaye, magar Iblis ne inkar kiya, woh apni badayi ke ghamand mein padh gaya aur nafarmaano mein shamil ho gaya

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَقُلۡنَا يٰٓـاٰدَمُ اسۡكُنۡ اَنۡتَ وَزَوۡجُكَ الۡجَـنَّةَ وَكُلَا مِنۡهَا رَغَدًا حَيۡثُ شِئۡتُمَا وَلَا تَقۡرَبَا هٰذِهِ الشَّجَرَةَ فَتَكُوۡنَا مِنَ الظّٰلِمِيۡنَ‏  ٣٥

And We said: “O Adam, live in the Garden, you and your wife, and eat abundantly of whatever you wish but do not approach this tree or else you will be counted among the wrong-doers.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir humne Adam se kaha ke “Tum aur tumhari biwi, dono jannat mein raho aur yahan ba-faraagat jo chaho khao, magar is darakht ka rukh na karna, warna zaalimon mein shumaar honge”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَاَزَلَّهُمَا الشَّيۡطٰنُ عَنۡهَا فَاَخۡرَجَهُمَا مِمَّا كَانَا فِيۡهِ​ وَقُلۡنَا اهۡبِطُوۡا بَعۡضُكُمۡ لِبَعۡضٍ عَدُوٌّ ۚ وَلَـكُمۡ فِى الۡاَرۡضِ مُسۡتَقَرٌّ وَّمَتَاعٌ اِلٰى حِيۡنٍ‏ ٣٦

But Satan caused both of them to deflect from obeying Our command by tempting them to the tree and brought them out of the state they were in, and We said: “Get down all of you; henceforth, each of you is an enemy of the other, and on earth you shall have your abode and your livelihood for an appointed time.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aakhir e kaar shaytan ne in dono ko is darakht ki targeeb dekar hamare hukum ki pairwi se hata diya aur inhein us haalat se nikalwa kar chodha jismein woh thay. Humne hukum diya ke, ab tum sab yahan se utar jao, tum ek dusre ke dushman ho aur tumhein ek khaas waqt tak zameen (mein) theharna aur wahin guzar basar karna hai”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَتَلَقّٰٓى اٰدَمُ مِنۡ رَّبِّهٖ كَلِمٰتٍ فَتَابَ عَلَيۡهِ​ؕ اِنَّهٗ هُوَ التَّوَّابُ الرَّحِيۡمُ‏ ٣٧

Thereupon Adam learned from his Lord some words and repented and his Lord accepted his repentance for He is Much-Relenting, Most Compassionate.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Us waqt Adam ne apne Rubb se chandh kaleemat seekh kar tauba ki, jisko uske Rubb ne qabool karliya, kyunke woh bada maaf karne wala aur reham farmane wala hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قُلۡنَا اهۡبِطُوۡا مِنۡهَا جَمِيۡعًا ​​ۚ فَاِمَّا يَاۡتِيَنَّكُمۡ مِّنِّىۡ هُدًى فَمَنۡ تَبِعَ هُدَاىَ فَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُوۡنَ‏ ٣٨

We said: “Get you down from here, all of you, and guidance shall come to you from Me: then, whoever will follow My guidance need have no fear, nor shall they grieve.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Humne kaha ke, “tum sab yahan se utar jao phir jo meri taraf se koi hidayat tumhare paas pahunche, to jo log meri hidayat ki pairwi karenge, unke liye kisi khauf aur ranjh ka mauqa na hoga

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَالَّذِيۡنَ كَفَرُوۡا وَكَذَّبُوۡا بِـاٰيٰتِنَآ اُولٰٓٮِٕكَ اَصۡحٰبُ النَّارِ​​ۚ هُمۡ فِيۡهَا خٰلِدُوۡنَ‏ ٣٩

But those who refuse to accept this (guidance) and reject Our Signs as false are destined for the Fire where they shall abide for ever.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur jo isko qabool karne se inkar karenge aur hamari aayat ko jhutlayenge, woh aag mein janey waley log hain, jahan woh hamesha rahenge.”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰبَنِىۡٓ اِسۡرَآءِيۡلَ اذۡكُرُوۡا نِعۡمَتِىَ الَّتِىۡٓ اَنۡعَمۡتُ عَلَيۡكُمۡ وَاَوۡفُوۡا بِعَهۡدِىۡٓ اُوۡفِ بِعَهۡدِكُمۡۚ وَاِيَّاىَ فَارۡهَبُوۡنِ‏ ٤٠

Children of Israel! Recall My favour which I had bestowed on you, and fulfil your covenant with Me and I shall fulfil My covenant with you, and fear Me alone.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey bani-Israel ! zara khayal karo meri us niyamat ka jo maine tumko ata ki thi, mere saath tumhara jo ahad (covenant) tha usey tum poora karo, to mera jo ahad tumhare saath tha usey main poora karunga aur mujh hi se tum daro

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاٰمِنُوۡا بِمَآ اَنۡزَلۡتُ مُصَدِّقًا لِّمَا مَعَكُمۡ وَلَا تَكُوۡنُوۡآ اَوَّلَ كَافِرٍۢ بِهٖ​ وَلَا تَشۡتَرُوۡا بِاٰيٰتِىۡ ثَمَنًا قَلِيۡلًا وَّاِيَّاىَ فَاتَّقُوۡنِ‏ ٤١

And believe in the Book which I have revealed and which confirms the Scripture you already have, and be not foremost among its deniers. Do not sell My signs for a trifling gain, and beware of My wrath.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur maine jo kitab bheji hai uspar iman lao, yeh us kitab ki taeed (confirm) mein hai jo tumhare paas pehle se maujood thi, lihaza sabse pehle tum hi iske munkir na ban jao thodi keemat par meri aayat ko na bech daalo aur mere gazab se bacho

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَا تَلۡبِسُوا الۡحَـقَّ بِالۡبَاطِلِ وَتَكۡتُمُوا الۡحَـقَّ وَاَنۡتُمۡ تَعۡلَمُوۡنَ‏ ٤٢

Do not confound Truth by overlaying it with falsehood, nor knowingly conceal the Truth.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Baatil ka rang chadha kar haqq ko mushtaba (confusing) na banao aur na jaante boojhte haqq ko chupane ki koshish karo

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاَقِيۡمُوا الصَّلٰوةَ وَاٰتُوا الزَّكٰوةَ وَارۡكَعُوۡا مَعَ الرّٰكِعِيۡنَ‏  ٤٣

Establish Prayer and dispense Zakah (the Purifying Alms) and bow in worship with those who bow.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Namaz qayam karo, zakaat do aur jo log mere aagey jhuk rahey hain unke saath tum bhi jhuk jao

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَتَاۡمُرُوۡنَ النَّاسَ بِالۡبِرِّ وَتَنۡسَوۡنَ اَنۡفُسَكُمۡ وَاَنۡتُمۡ تَتۡلُوۡنَ الۡكِتٰبَ​ؕ اَفَلَا تَعۡقِلُوۡنَ‏ ٤٤

Do you enjoin righteousness on people and forget your own selves even though you recite the Scripture? Have you no sense?

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Tum dusron ko to neki ka raasta ikhtiyar karne ke liye kehte ho, magar apne aap ko bhool jatay ho? Halaanke tum kitab ki tilawat karte ho, kya tum aqal se bilkul hi kaam nahin letay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاسۡتَعِيۡنُوۡا بِالصَّبۡرِ وَالصَّلٰوةِ ​ؕ وَاِنَّهَا لَكَبِيۡرَةٌ اِلَّا عَلَى الۡخٰشِعِيۡنَۙ‏ ٤٥

And resort to patience and Prayer for help.  Truly Prayer is burdensome for all except the devout,

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Sabar aur namaz se madad lo, beshak namaz ek sakht mushkil kaam hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

الَّذِيۡنَ يَظُنُّوۡنَ اَنَّهُمۡ مُّلٰقُوۡا رَبِّهِمۡ وَاَنَّهُمۡ اِلَيۡهِ رٰجِعُوۡنَ‏ ٤٦

who realize that ultimately they will have to meet their Lord and that to Him they are destined to return.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Magar un farma-bardaar bandon ke liye mushkil nahin hai jo samajhte hain ke aakhir e kaar unhein apne Rubb se milna aur usi ki taraf palat kar jana hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰبَنِىۡٓ اِسۡرَآءِيۡلَ اذۡكُرُوۡا نِعۡمَتِىَ الَّتِىۡٓ اَنۡعَمۡتُ عَلَيۡكُمۡ وَاَنِّىۡ فَضَّلۡتُكُمۡ عَلَى الۡعٰلَمِيۡنَ‏ ٤٧

Children of Israel! Recall My favour which I bestowed upon you, exalting you above all nations.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey bani Israel! Yaad karo meri us niyamat ko , jissey maine tumhein nawaza tha aur is baat ko ke maine tumhein duniya ki saari qaumon par fazilat ata ki thi

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاتَّقُوۡا يَوۡمًا لَّا تَجۡزِىۡ نَفۡسٌ عَنۡ نَّفۡسٍ شَيۡـًٔـا وَّلَا يُقۡبَلُ مِنۡهَا شَفَاعَةٌ وَّلَا يُؤۡخَذُ مِنۡهَا عَدۡلٌ وَّلَا هُمۡ يُنۡصَرُوۡنَ‏ ٤٨

Fear the Day when no one shall avail another, when no intercession will be accepted, when no one will be ransomed, and no criminal will receive any help.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur daro us din se jab koi kisi ke zara kaam na aayega, na kisi ki taraf se sifarish qabool hogi, na kisi ko fidiya lekar choda jayega, aur na mujreemon ko kahin se madad mil sakegi

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ نَجَّيۡنٰکُمۡ مِّنۡ اٰلِ فِرۡعَوۡنَ يَسُوۡمُوۡنَكُمۡ سُوۡٓءَ الۡعَذَابِ يُذَبِّحُوۡنَ اَبۡنَآءَكُمۡ وَيَسۡتَحۡيُوۡنَ نِسَآءَكُمۡ​ؕ وَفِىۡ ذٰلِكُمۡ بَلَاۤءٌ مِّنۡ رَّبِّكُمۡ عَظِيۡمٌ‏ ٤٩

And recall when We rescued you from the slavery of Pharaoh’s people who had afflicted you with dreadful suffering, slaying your males and sparing your females. That was a tremendous trial for you from your Lord.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yaad karo woh waqt, jab humne tumko Firouniyon ki ghulami se nijaat bakshi, unhon ne tumhein sakht azaab mein mubtila kar rakkha tha, tumhare ladkon ko zibah karte thay aur tumhari ladkiyon ko zinda rehne dete thay aur is haalat mein tumhare Rubb ki taraf se tumhari badi aazmaish thi

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ فَرَقۡنَا بِكُمُ الۡبَحۡرَ فَاَنۡجَيۡنٰکُمۡ وَاَغۡرَقۡنَآ اٰلَ فِرۡعَوۡنَ وَاَنۡتُمۡ تَنۡظُرُوۡنَ‏ ٥٠

And recall when We split the sea, providing passage for you, and thus saved you and caused Pharaoh’s people to drown before your very eyes.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yaad karo woh waqt, jab humne samandar phadh kar tumhare liye raasta banaya, phir ismein se tumhein ba-khairiyat guzarwa diya, phir wahin tumhari aankhon ke saamne Firouniyon ko garqaab (drown) kiya

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ وٰعَدۡنَا مُوۡسٰٓى اَرۡبَعِيۡنَ لَيۡلَةً ثُمَّ اتَّخَذۡتُمُ الۡعِجۡلَ مِنۡۢ بَعۡدِهٖ وَاَنۡـتُمۡ ظٰلِمُوۡنَ‏ ٥١

And recall when We summoned Moses for a term of forty nights, and then you set up the calf as your god in his absence. You indeed committed a grave wrong.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yaad karo, jab humne Moosa ko chalis shabana roz ki qarardaad par bulaya, to uske peechey tum bachdey (calf) ko apna mabood bana baithey us waqt tumne badi zyadati ki thi

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

ثُمَّ عَفَوۡنَا عَنۡكُمۡ مِّنۡۢ بَعۡدِ ذٰلِكَ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُوۡنَ‏ ٥٢

Yet We pardoned you that you might be grateful.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Magar ispar bhi humne tumhein maaf kardiya ke shayad ab tum shukar-guzar bano

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ اٰتَيۡنَا مُوۡسَى الۡكِتٰبَ وَالۡفُرۡقَانَ لَعَلَّكُمۡ تَهۡتَدُوۡنَ‏  ٥٣

And recall (that while you were committing this wrong) We gave Moses the Scripture and the Criterion that you are guided to the Right Way.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yaad karo ke (theek us waqt jab tum yeh zulm kar rahey thay) humne Moosa ko kitab aur furqan ata ki taa-ke tum uske zariye se seedha raasta paa sako

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ قَالَ مُوۡسٰى لِقَوۡمِهٖ يٰقَوۡمِ اِنَّكُمۡ ظَلَمۡتُمۡ اَنۡفُسَکُمۡ بِاتِّخَاذِكُمُ الۡعِجۡلَ فَتُوۡبُوۡآ اِلٰى بَارِٮِٕكُمۡ فَاقۡتُلُوۡٓا اَنۡفُسَكُمۡؕ ذٰ لِكُمۡ خَيۡرٌ لَّـكُمۡ عِنۡدَ بَارِٮِٕكُمۡؕ فَتَابَ عَلَيۡكُمۡ​ؕ اِنَّهٗ هُوَ التَّوَّابُ الرَّحِيۡمُ‏ ٥٤

And recall when (on returning with this favour) Moses said to his people: “My people! You have wronged yourselves by taking the calf for an object of worship, so turn in repentance to your Creator and kill yourselves. This will be best for you in your Creator’s sight.” Thereupon He accepted your repentance. Indeed He is Much-Relenting, Most Compassionate.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yaad karo jab Moosa ( yeh niyamat lete huey palta, to us) ne apni qaum se kaha ke “logon, tumne bachde ko mabood bana kar apne upar sakht zulm kiya hai, lihaza tum log apne khaliq ke huzoor tauba karo aur apni jaano ko halaak karo, isi mein tumhare khaliq ke nazdeek tumhari behtari hai” us waqt tumhare khaliq ne tumhari tauba qabool karli ke woh bada maaf karne wala aur reham farmane wala hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ قُلۡتُمۡ يٰمُوۡسٰى لَنۡ نُّؤۡمِنَ لَـكَ حَتّٰى نَرَى اللّٰهَ جَهۡرَةً فَاَخَذَتۡكُمُ الصّٰعِقَةُ وَاَنۡتُمۡ تَنۡظُرُوۡنَ‏ ٥٥

And recall when you said: “O Moses, we will not believe in you until we clearly see Allah (speaking to you).” Thereupon a tremendous thunderbolt struck you before your very eyes.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yaad karo jab tumne Moosa se kaha tha ke hum tumhare kehne ka hargiz yaqeen na karenge, jab tak ke apni aankhon se alaniya khuda ko ( tumse kalaam karte) na dekhlein, us waqt tumhare dekhte dekhte ek zabardast saayqe ne(thunderbolt struck) tumko aa liya

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

ثُمَّ بَعَثۡنٰكُمۡ مِّنۡۢ بَعۡدِ مَوۡتِكُمۡ لَعَلَّکُمۡ تَشۡكُرُوۡنَ‏  ٥٦

Then We revived you after your extinction, that you might be grateful.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Tum be-jaan hokar gir chuke thay, magar phir humne tumko jila uthaya, shayad ke is ehsan ke baad tum shukar-guzar ban jao

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَظَلَّلۡنَا عَلَيۡکُمُ الۡغَمَامَ وَاَنۡزَلۡنَا عَلَيۡكُمُ الۡمَنَّ وَالسَّلۡوٰى​ؕ كُلُوۡا مِنۡ طَيِّبٰتِ مَا رَزَقۡنٰكُمۡ​ؕ وَمَا ظَلَمُوۡنَا وَلٰـكِنۡ كَانُوۡآ اَنۡفُسَهُمۡ يَظۡلِمُوۡنَ‏ ٥٧

And We caused a cloud to comfort you with shade, and We sent down upon you manna and the quails, (saying): “Eat of the good wherewithal that We have provided you as sustenance.” And by their sinning (your forefathers) did not wrong Us: it is they themselves whom they wronged.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Humne tumpar abar ka saya (cloud to overshadow) kiya, mann o salwa ki giza tumhare liye faraham ki aur tumse kaha ke jo paak cheezein humne tumhein bakshi hain, unhein khao, magar tumhare aslaaf (forefathers) ne jo kuch kiya, woh humpar zulm na tha, balke unhon ne aap apne hi upar zulm kiya

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ قُلۡنَا ادۡخُلُوۡا هٰذِهِ الۡقَرۡيَةَ فَکُلُوۡا مِنۡهَا حَيۡثُ شِئۡتُمۡ رَغَدًا وَّادۡخُلُوا الۡبَابَ سُجَّدًا وَّقُوۡلُوۡا حِطَّةٌ نَّغۡفِرۡ لَـكُمۡ خَطٰيٰكُمۡ​ؕ وَسَنَزِيۡدُ الۡمُحۡسِنِيۡنَ‏ ٥٨

And recall when We said: “Go into this town and eat abundantly of its food; but enter the gate prostrate, saying, “Repentance”.We will forgive you your sins and shall bestow more favour on the doers of good.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir yaad karo jab humne kaha tha ke, “yeh basti jo tumhare saamne hai, ismein dakhil ho jao, iski paidawaar jis tarah chaho mazey se khao, magar basti ke darwaze mein sajda-reiz hotey huey daakhil hona aur kehte jana hitta-tun hitta-tun (Relieve us of our burdens/magfirat), hum tumhari khataon se darguzar karenge aur neikukaron ko mazeed fazal o karam se nawazenge”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَبَدَّلَ الَّذِيۡنَ ظَلَمُوۡا قَوۡلاً غَيۡرَ الَّذِىۡ قِيۡلَ لَهُمۡ فَاَنۡزَلۡنَا عَلَى الَّذِيۡنَ ظَلَمُوۡا رِجۡزًا مِّنَ السَّمَآءِ بِمَا كَانُوۡا يَفۡسُقُوۡنَ‏  ٥٩

Then the wrong-doers substituted another saying for that which had been given them; and so We sent down a scourge upon the wrong-doers from the heavens for their transgression.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Magar jo baat kahi gayi thi, zalimon ne usey badal kar kuch aur kardiya, aakhir e kaar humne zulm karne walon par aasman se azaab nazil kiya, yeh saza thi un na-farmaniyon ki jo woh kar rahey thay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذِ اسۡتَسۡقَىٰ مُوۡسٰى لِقَوۡمِهٖ فَقُلۡنَا اضۡرِب بِّعَصَاكَ الۡحَجَرَ​ؕ فَانۡفَجَرَتۡ مِنۡهُ اثۡنَتَا عَشۡرَةَ عَيۡنًا​ؕ قَدۡ عَلِمَ کُلُّ اُنَاسٍ مَّشۡرَبَهُمۡ​ؕ کُلُوۡا وَاشۡرَبُوۡا مِنۡ رِّزۡقِ اللّٰهِ وَلَا تَعۡثَوۡا فِىۡ الۡاَرۡضِ مُفۡسِدِيۡنَ‏  ٦٠

And recall when Moses prayed for water for his people and We replied: “Strike the rock with your staff.” And there gushed out from it twelve springs and each tribe knew its drinking-place. (Then you were directed): “Eat and drink of the sustenance provided by Allah, and do not go about acting wickedly on earth, spreading mischief.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yaad karo, jab Moosa ne apni qaum ke liye pani ki dua ki to humne kaha ke falaan chattan par apna asa maaro chunanchey ussey barah (twelve) chashmey (springs) phoot nikle aur har qabiley ne jaan liya ke kaunsi jagah uske pani lene ki hai. Us waqt yeh hidayat kardi gayi thi ke Allah ka diya hua rizq khao, pio aur zameen mein fasaad na phaylate phiro

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ قُلۡتُمۡ يٰمُوۡسٰى لَنۡ نَّصۡبِرَ عَلٰى طَعَامٍ وَّاحِدٍ فَادۡعُ لَنَا رَبَّكَ يُخۡرِجۡ لَنَا مِمَّا تُنۡۢبِتُ الۡاَرۡضُ مِنۡۢ بَقۡلِهَا وَقِثَّـآٮِٕهَا وَفُوۡمِهَا وَعَدَسِهَا وَ بَصَلِهَا​ؕ قَالَ اَتَسۡتَبۡدِلُوۡنَ الَّذِىۡ هُوَ اَدۡنٰى بِالَّذِىۡ هُوَ خَيۡرٌ​ؕ اِهۡبِطُوۡا مِصۡرًا فَاِنَّ لَـکُمۡ مَّا سَاَلۡتُمۡ​ؕ وَضُرِبَتۡ عَلَيۡهِمُ الذِّلَّةُ وَالۡمَسۡکَنَةُ وَبَآءُوۡ بِغَضَبٍ مِّنَ اللّٰهِ​ؕ ذٰلِكَ بِاَنَّهُمۡ كَانُوۡا يَكۡفُرُوۡنَ بِاٰيٰتِ اللّٰهِ وَيَقۡتُلُوۡنَ النَّبِيّٖنَ بِغَيۡرِ الۡحَـقِّ​ؕ ذٰلِكَ بِمَا عَصَوا وَّڪَانُوۡا يَعۡتَدُوۡنَ‏ ٦١

And recall when you said: “O Moses, surely we cannot put up with one sort of food, so pray to your Lord to bring out for us what the earth produces – its herbs and its cucumbers and its corn and its lentils and its garlic and its onions.” Then Moses said: “Will you take a meaner thing in exchange for what is better? Go down to some city and there you shall get what you ask for.” And ignominy and wretchedness were pitched upon them and they were laden with the burden of Allah’s wrath. This was because they denied the Signs of Allah and slew the Prophets unrightfully. All this, because they disobeyed and persistently exceeded the limits (of the Law).

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yaad karo, jab tumne kaha tha ke, “Aey Moosa, hum ek hi tarah ke khane par sabr nahin kar saktey, apne Rubb se dua karo ke hamare liye zameen ki paidawaar saag, tarkari, kheera, kakdi, gehoon, lasan, pyaz, daal wagaira paida karey” to Moosa ne kaha “ “kya ek behtar cheez ke bajaye tum adna darje ki cheezein lena chahte ho? Accha, kisi shehri aabaadi mein jaa raho, jo kuch tum maangte ho wahan mil jayega”. Aakhir e kaar naubat yahan tak pahunchi ke zillat o khwari aur pasti o badhaali unpar musallat ho gayi aur woh Allah ke gazab mein ghir gaye, yeh nateeja tha iska jo woh Allah ki aayat se kufr karne lagey aur paighambaron ko na-haqq qatal karne lagey, yeh nateeja tha unki nafarmaaniyon ka aur is baat ka ke woh hudood e sharaa se nikal nikal jatay thay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِنَّ الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا وَالَّذِيۡنَ هَادُوۡا وَالنَّصٰرٰى وَالصّٰبِـِٕـيۡنَ مَنۡ اٰمَنَ بِاللّٰهِ وَالۡيَوۡمِ الۡاٰخِرِ وَعَمِلَ صَالِحًـا فَلَهُمۡ اَجۡرُهُمۡ عِنۡدَ رَبِّهِمۡۚ وَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُوۡنَ‏ ٦٢

Whether they are the ones who believe (in the Arabian Prophet), or whether they are Jews, Christians or Sabians – all who believe in Allah and the Last Day, and do righteous deeds – their reward is surely secure with their Lord; they need have no fear, nor shall they grieve.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yaqeen jaano ke Nabi e arabi ko maanne waley hon ya yahudi, Isayi hon ya Sabyi, jo bhi Allah aur roz e aakhir par iman layega aur neik amal karega, uska ajar uske Rubb ke paas hai aur uske liye kisi khauf aur ranjh ka mauqa nahin hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ اَخَذۡنَا مِيۡثَاقَكُمۡ وَرَفَعۡنَا فَوۡقَكُمُ الطُّوۡرَؕ خُذُوۡا مَآ اٰتَيۡنٰكُمۡ بِقُوَّةٍ وَّ اذۡكُرُوۡا مَا فِيۡهِ لَعَلَّكُمۡ تَتَّقُوۡنَ‏ ٦٣

And recall when We made a covenant with you and caused the Mount Sinai to tower above you, (saying): “Hold fast to the Book that We have given you, and remember the directives and commandments in it, that you be pious.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yaad karo woh waqt, jab humne Tur (tur pahad) ko tumpar utha kar tumse pukhta ahad liya tha aur kaha tha ke “jo kitab hum tumhein de rahey hain usey mazbooti ke saath thamna aur jo ehkaam o hidayaat ismein darj hain unhein yaad rakhna, isi zariye se tawaqqu ki ja sakti hai ke tum taqwa ki rawish par chal sakogey”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

ثُمَّ تَوَلَّيۡتُمۡ مِّنۡۢ بَعۡدِ ذٰلِكَ​​ۚ فَلَوۡلَا فَضۡلُ اللّٰهِ عَلَيۡكُمۡ وَرَحۡمَتُهٗ لَـكُنۡتُمۡ مِّنَ الۡخٰسِرِيۡنَ‏ ٦٤

Then you turned away from your covenant, and had it not been for Allah’s grace and mercy upon you, you would have long been utter losers.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Magar iske baad tum apne ahad se phir gaye ispar bhi Allah ke fazal aur uski rehmat ne tumhara saath na choda, warna tum kabhi ke tabaah ho chuke hotay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَقَدۡ عَلِمۡتُمُ الَّذِيۡنَ اعۡتَدَوۡا مِنۡكُمۡ فِىۡ السَّبۡتِ فَقُلۡنَا لَهُمۡ كُوۡنُوۡا قِرَدَةً خَاسِـِٔـيۡنَ ​ۚ‏ ٦٥

And you know the case of those of you who broke the Sabbath, how We said to them: “Become apes, despised and hated.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir tumhein apni qaum ke un logon ka qissa to maloom hi hai jinhon ne Sabt (sabbath) ka kanoon toda tha, humne unhein kehdiya ke bandar ban jao aur is haal mein raho ke har taraf se tumpar dhutkaar phitkaar padey

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَجَعَلۡنٰهَا نَكٰلاً لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهَا وَمَا خَلۡفَهَا وَمَوۡعِظَةً لِّلۡمُتَّقِيۡنَ‏ ٦٦

And thus We made their end a warning for the people of their own time and for the succeeding generations, and an admonition to the God-fearing.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Is tarah humne unke anjaam ko us zamane ke logon aur baad ki aane wali nasalon ke liye ibrat aur darne walon ke liye naseehat bana kar choda

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ قَالَ مُوۡسٰى لِقَوۡمِهٖۤ اِنَّ اللّٰهَ يَاۡمُرُكُمۡ اَنۡ تَذۡبَحُوۡا بَقَرَةً ​ ؕ قَالُوۡآ اَتَتَّخِذُنَا هُزُوًۡا ​ؕ قَالَ اَعُوۡذُ بِاللّٰهِ اَنۡ اَكُوۡنَ مِنَ الۡجٰـهِلِيۡنَ‏ ٦٧

And then recall when Moses said to his people: “Behold, Allah commands you to slaughter a cow.” They said: “Are you jesting with us?” Moses answered: “I seek refuge in Allah that I should behave in the manner of the ignorant.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir woh waqiya yaad karo, jab Moosa ne apne qaum se kaha ke, Allah tumhein ek gai (cow) zibaah karne ka hukm deta hai. Kehne lagey kya tum humse mazaaq karte ho? Moosa ne kaha, main issey khuda ki panaah maangta hoon ke jaahilon ki si baatein karoon

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالُوا ادۡعُ لَنَا رَبَّكَ يُبَيِّنۡ لَّنَا مَا هِىَ​ؕ قَالَ اِنَّهٗ يَقُوۡلُ اِنَّهَا بَقَرَةٌ لَّا فَارِضٌ وَّلَا بِكۡرٌؕ عَوَانٌۢ بَيۡنَ ذٰلِكَ​ؕ فَافۡعَلُوۡا مَا تُؤۡمَرُوۡنَ‏ ٦٨

They said: “Pray to your Lord that He make clear to us what she is like.” Moses answered: “He says, she is a cow, neither old nor immature, but of an age in between the two. Do, then, what you have been commanded.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Bole, accha apne Rubb se darkhwast karo ke woh humein is gai ki kuch tafseel bataye, Moosa ne kaha, Allah ka irshad hai ke woh aisi gai honi chahiye jo na boodhi ho na bachhiya, balke ausat umar ki ho, lihaza jo hukm diya jata hai uski tameel karo

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالُوا ادۡعُ لَنَا رَبَّكَ يُبَيِّنۡ لَّنَا مَا لَوۡنُهَا ​ؕ قَالَ اِنَّهٗ يَقُوۡلُ اِنَّهَا بَقَرَةٌ صَفۡرَآءُۙ فَاقِعٌ لَّوۡنُهَا تَسُرُّ النّٰظِرِيۡنَ‏  ٦٩

They said: “Pray to your Lord that He make clear to us of what colour she is.” Moses answered: “He says, she is a yellow cow, with a bright colour which is pleasing to those who see!”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir kehne lagey apne Rubb se yeh aur puch do ke uska rang kaisa ho, Moosa ne kaha woh farmata hai zard (yellow) rang ki gai honi chahiye, jiska rang aisa shukh (bright) ho ke dekhne walon ka jee khush ho jaye

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالُوا ادۡعُ لَنَا رَبَّكَ يُبَيِّنۡ لَّنَا مَا هِىَۙ اِنَّ الۡبَقَرَ تَشٰبَهَ عَلَيۡنَا ؕ وَاِنَّـآ اِنۡ شَآءَ اللّٰهُ لَمُهۡتَدُوۡنَ‏ ٧٠

They said: “Pray to your Lord that He make clear to us what cow she is. Cows seem much alike to us, and if Allah wills, we shall be guided.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir boley apne Rubb se saaf saaf puch kar batao kaisi gai matloob hai, humein iski taayun mein ishtabah (confusion) ho gaya hai, Allah ne chaha to hum iska pata paa lenge

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ اِنَّهٗ يَقُوۡلُ اِنَّهَا بَقَرَةٌ لَّا ذَلُوۡلٌ تُثِيۡرُ الۡاَرۡضَ وَلَا تَسۡقِى الۡحَـرۡثَ ​ۚ مُسَلَّمَةٌ لَّا شِيَةَ فِيۡهَا ​ؕ قَالُوا الۡـٰٔـنَ جِئۡتَ بِالۡحَـقِّ​ؕ فَذَبَحُوۡهَا وَمَا كَادُوۡا يَفۡعَلُوۡنَ‏ ٧١

Moses answered: “Lo! He says, she is a cow unyoked to plough the earth or to water the tillage, one that has been kept secure, with no blemish on her!” Thereupon they cried out: “Now you have come forth with the information that will direct us aright.” And they slaughtered her although they scarcely seemed to do so.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)