At-Tahrim

Surah 66

066 surah

يٰۤاَيُّهَا النَّبِىُّ لِمَ تُحَرِّمُ مَاۤ اَحَلَّ اللّٰهُ لَـكَ​ۚ تَبۡتَغِىۡ مَرۡضَاتَ اَزۡوَاجِكَ​ؕ وَاللّٰهُ غَفُوۡرٌ رَّحِيۡمٌ‏ ١

O Prophet, why do you forbid what Allah has made lawful for you? Is it to please your wives? Allah is Most Forgiving, Most Compassionate.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey Nabi, Tum kyun us cheez ko haraam karte ho jo Allah ne tumhare liye halal ki hai? (kya is liye ke) tum apni biwiyon ki khushi chahte ho? Allah maaf karne wala aur Reham farmane wala hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَدۡ فَرَضَ اللّٰهُ لَـكُمۡ تَحِلَّةَ اَيۡمَانِكُمۡ​ؕ وَاللّٰهُ مَوۡلٰٮكُمۡ​ۚ وَهُوَ الۡعَلِيۡمُ الۡحَكِيۡمُ‏ ٢

Allah has prescribed for you a way for the absolution of your oaths. Allah is your Guardian. He is All-Knowing, Most Wise.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Allah ne tum logon ke liye apni kasamo ki pabandi se nikalne ka tareeqa mukarrar kardiya hai Allah tumhara maula(guardian) hai aur wahi Aleem-o-Hakeem(All-Knowing, Most Wise) hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ اَسَرَّ النَّبِىُّ اِلٰى بَعۡضِ اَزۡوَاجِهٖ حَدِيۡثًا​ۚ فَلَمَّا نَـبَّاَتۡ بِهٖ وَاَظۡهَرَهُ اللّٰهُ عَلَيۡهِ عَرَّفَ بَعۡضَهٗ وَاَعۡرَضَ عَنۡۢ بَعۡضٍ​ۚ فَلَمَّا نَـبَّاَهَا بِهٖ قَالَتۡ مَنۡ اَنۡۢبَاَكَ هٰذَا​ؕ قَالَ نَـبَّاَنِىَ الۡعَلِيۡمُ الۡخَبِیْرُ‏ ٣

The Prophet confided something to one of his wives and then she disclosed it (to another); so after Allah revealed to the Prophet (that she had disclosed that secret), he made a part of it known to her and passed over a part of it. And when he told her about this (i.e., that she had disclosed the secret entrusted to her), she asked: “Who informed you of this?” He said: “I was told of it by He Who is All-Knowing, All-Aware.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(Aur yeh maamla bhi kaabil-e-tawajjuh hai ke ) Nabi ne ek baat apni ek biwi se raaz mein kahi thi phir jab us biwi ne (kisi aur par) woh raaz zahir kardiya, aur Allah ne Nabi ko is (ifshaey raaz) ki ittila de di , to Nabi ne uspar kisi hadd tak (us biwi ko) khabardar kiya aur kisi hadd tak ussey dar-guzar kiya. Phir jab Nabi ne usey (ifshaey raaz ki ) yeh baat batayi to usne pucha aapko iski kisne khabar di? Nabi ne kaha “Mujhey usne khabar di jo sab kuch janta hai aur khoob bakhabar hai”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِنۡ تَتُوۡبَاۤ اِلَى اللّٰهِ فَقَدۡ صَغَتۡ قُلُوۡبُكُمَا​ۚ وَاِنۡ تَظٰهَرَا عَلَيۡهِ فَاِنَّ اللّٰهَ هُوَ مَوۡلٰٮهُ وَجِبۡرِيۡلُ وَصَالِحُ الۡمُؤۡمِنِيۡنَ​ۚ وَالۡمَلٰٓٮِٕكَةُ بَعۡدَ ذٰلِكَ ظَهِيۡرٌ‏ ٤

If the two of you turn in repentance to Allah (that is better for you), for the hearts of both of you have swerved from the Straight Path. But if you support one another against the Prophet, then surely Allah is his Protector; and after that Gabriel and all righteous believers and the angels are all his supporters.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Agar tum dono Allah se tauba karti ho (to yeh tumhare liye behtar hai) kyunke tumhare dil seedhi raah se hath gaye hain, aur agar Nabi ke muqable mein tumne baham jattah-bandi ki (support one another) to jaan rakkho ke Allah uska maula(Protector) hai aur uske baad Jibrael aur tammam saaleh ehle iman aur sab malaika uske saathi aur madadgaar hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

عَسٰى رَبُّهٗۤ اِنۡ طَلَّقَكُنَّ اَنۡ يُّبۡدِلَهٗۤ اَزۡوَاجًا خَيۡرًا مِّنۡكُنَّ مُسۡلِمٰتٍ مُّؤۡمِنٰتٍ قٰنِتٰتٍ تٰٓٮِٕبٰتٍ عٰبِدٰتٍ سٰٓٮِٕحٰتٍ ثَيِّبٰتٍ وَّاَبۡكَارًا‏  ٥

Maybe if he were to divorce you, your Lord might grant him in exchange wives better than you – those who truly submit to Allah, are full of faith, obedient, disposed to repentance, and given to worship and fasting – both previously wedded ones and virgins.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Baeed (door) nahin ke agar Nabi tum sab biwiyon ko talaq dede to Allah usey aisi biwiyan tumhare badle mein ata farma de jo tumse behtar hon, sacchi musalman ,ba-iman, itaat guzar , tauba guzar, ibadat guzar, aur rozedar, khwa shohar deedha ho ya bakira (both previously wedded ones and virgins)

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰۤاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا قُوۡۤا اَنۡفُسَكُمۡ وَاَهۡلِيۡكُمۡ نَارًا وَّقُوۡدُهَا النَّاسُ وَالۡحِجَارَةُ عَلَيۡهَا مَلٰٓٮِٕكَةٌ غِلَاظٌ شِدَادٌ لَّا يَعۡصُوۡنَ اللّٰهَ مَاۤ اَمَرَهُمۡ وَيَفۡعَلُوۡنَ مَا يُؤۡمَرُوۡنَ‏ ٦

Believers, guard yourselves and your kindred against a Fire whose fuel is human beings and stones, a Fire held in the charge of fierce and stern angels who never disobey what He has commanded them, and always do what they are bidden.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey logon jo iman laye ho , bachao apne aap ko aur apne ehal-o-ayal ko (yourselves and your kindred) us aag se jis ka indhan (fuel) insaan aur patthar hongey, jispar nihayat tundh-khu (fierce) aur sakht-gir (stern) farishtey mukarrar hongey jo kabhi Allah ke hukum ki na farmani nahin karte aur jo hukm bhi unhein diya jata hai usey baja latey hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰۤاَيُّهَا الَّذِيۡنَ كَفَرُوۡا لَا تَعۡتَذِرُوا الۡيَوۡمَ​ؕ اِنَّمَا تُجۡزَوۡنَ مَا كُنۡتُمۡ تَعۡمَلُوۡنَ‏ ٧

(It will then be said): “Unbelievers, make no excuses today. You are being recompensed for nothing else but your deeds.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(Us waqt kaha jayega ke) aey kafiron aaj maazratein (excuses) pesh na karo, tumhein to waisa hi badla diya ja raha hai jaise tum amal kar rahey thay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰۤاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا تُوۡبُوۡۤا اِلَى اللّٰهِ تَوۡبَةً نَّصُوۡحًا ؕ عَسٰى رَبُّكُمۡ اَنۡ يُّكَفِّرَ عَنۡكُمۡ سَيِّاٰتِكُمۡ وَيُدۡخِلَـكُمۡ جَنّٰتٍ تَجۡرِىۡ مِنۡ تَحۡتِهَا الۡاَنۡهٰرُ ۙ يَوۡمَ لَا يُخۡزِى اللّٰهُ النَّبِىَّ وَالَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا مَعَهٗ​ ۚ نُوۡرُهُمۡ يَسۡعٰى بَيۡنَ اَيۡدِيۡهِمۡ وَبِاَيۡمَانِهِمۡ يَقُوۡلُوۡنَ رَبَّنَاۤ اَ تۡمِمۡ لَـنَا نُوۡرَنَا وَاغۡفِرۡ لَـنَا​ ۚ اِنَّكَ عَلٰى كُلِّ شَىۡءٍ قَدِيۡرٌ‏ ٨

Believers, turn to Allah in sincere repentance; maybe your Lord will expunge your evil deeds and admit you to the Gardens beneath which rivers flow. This will be on the Day when Allah will not disgrace the Prophet and those who have embraced faith and are with him; their light will be running before them and on their right hands, and they will say: “Our Lord, perfect for us our light and forgive us. Surely You have power over everything.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey logon jo iman laye ho, Allah se tauba karo, khalis tauba, baeed (door) nahin ke Allah tumhari buraiyan tumse dur karde aur tumhein aisi jannaton mein daakhil farmade jinke nichey nehrein beh rahi hongi, yeh woh din hoga jab Allah apne Nabi ko aur un logon ko jo uske saath iman laye hain ruswa na karega, unka noor unke aagey aagey aur unke dayein (right) jaanib daud raha hoga aur woh keh rahey hongey ke aey hamare Rubb, hamara noor hamare liye mukammal karde aur humse darguzar farma , tu har cheez par qudrat rakhta hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰۤاَيُّهَا النَّبِىُّ جَاهِدِ الۡكُفَّارَ وَالۡمُنٰفِقِيۡنَ وَاغۡلُظۡ عَلَيۡهِمۡ​ؕ وَمَاۡوٰٮهُمۡ جَهَنَّمُ​ؕ وَبِئۡسَ الۡمَصِيۡرُ‏ ٩

O Prophet, strive against the unbelievers and the hypocrites, and be severe with them. Hell shall be their resort. What a grievous end!

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey Nabi , kuffar aur munafikeen se jihad karo aur unke saath sakhti se pesh aao, unka thikana jahannum hai aur wo bahut bura thikana hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

ضَرَبَ اللّٰهُ مَثَلًا لِّـلَّذِيۡنَ كَفَرُوا امۡرَاَتَ نُوۡحٍ وَّ امۡرَاَتَ لُوۡطٍ​ ؕ كَانَـتَا تَحۡتَ عَبۡدَيۡنِ مِنۡ عِبَادِنَا صَالِحَـيۡنِ فَخَانَتٰهُمَا فَلَمۡ يُغۡنِيَا عَنۡهُمَا مِنَ اللّٰهِ شَيۡــًٔا وَّقِيۡلَ ادۡخُلَا النَّارَ مَعَ الدّٰخِلِيۡنَ‏ ١٠

Allah has set forth for the unbelievers the parable of the wives of Noah and Lot. They were wedded to two of Our righteous servants, but each acted treacherously with her husband, and their husbands could be of no avail to them against Allah. The two of them were told: “Enter the Fire with all the others who enter it.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Allah kafiron ke maamle mein Nooh aur Lut ki biwiyon ko bataur-e-misal pesh karta hai, woh hamare do saleh bando ki zaujiyat (marriage/wedlock) mein thi, magar unhon ne apne in shoharon se khayanat (treachery) ki aur woh Allah ke muqable mein unke kuch bhi na kaam aa sakey. Dono se kehdiya gaya ke jao aag mein janey walon ke saath tum bhi chali jao

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَضَرَبَ اللّٰهُ مَثَلًا لِّـلَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا امۡرَاَتَ فِرۡعَوۡنَ​ۘ اِذۡ قَالَتۡ رَبِّ ابۡنِ لِىۡ عِنۡدَكَ بَيۡتًا فِى الۡجَـنَّةِ وَنَجِّنِىۡ مِنۡ فِرۡعَوۡنَ وَعَمَلِهٖ وَنَجِّنِىۡ مِنَ الۡقَوۡمِ الظّٰلِمِيۡنَۙ‏ ١١

Allah has set forth for the believers the parable of Pharaoh's wife. She prayed: “My Lord, build for me a house with You in Paradise and deliver me from Pharaoh and his misdeeds; and deliver me from the iniquitous people.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur ehle iman ke maamle mein Allah Firoun ki biwi ki misal pesh karta hai jabke usne dua ki “Aey mere Rubb,mere liye apne haan jannat mein ek ghar bana de aur mujhey Firoun aur iske amal se bacha le aur zalim qaum se mujhko nijaat de.”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَمَرۡيَمَ ابۡنَتَ عِمۡرٰنَ الَّتِىۡۤ اَحۡصَنَتۡ فَرۡجَهَا فَنَفَخۡنَا فِيۡهِ مِنۡ رُّوۡحِنَا وَصَدَّقَتۡ بِكَلِمٰتِ رَبِّهَا وَكُتُبِهٖ وَكَانَتۡ مِنَ الۡقٰنِتِيۡنَ‏  ١٢

Allah has also set forth the parable of Mary, the daughter of Imran, who guarded her chastity, and into whom We breathed of Our Spirit, and who testified to the words of her Lord and His Books. She was among the obedient.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur Imran ki beti Maryam ki misaal deta hai jisne apni sharmgaah ki hifazat ki thi, phir humne uske andar apni taraf se rooh phoonk di aur usne apne Rubb ke irshadaat aur uski kitabon ki tasdeeq ki aur woh itaat guzar (obedient) logon mein se thi

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)