Al-A'raf

Surah 7

007 surah

الۤمّۤصۤ‏ ١

Alif-Lam-Mim-Sad.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Alif Laam Meem Saad

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

كِتٰبٌ اُنۡزِلَ اِلَيۡكَ فَلَا يَكُنۡ فِىۡ صَدۡرِكَ حَرَجٌ مِّنۡهُ لِتُنۡذِرَ بِهٖ وَذِكۡرٰى لِلۡمُؤۡمِنِيۡنَ‏ ٢

This is a Book revealed to you. Let there be no impediment in your heart about it. (It has been revealed to you) that you may thereby warn [the unbelievers], that it may be a reminder to the believers.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yeh ek kitab hai jo tumhari taraf nazil ki gayi hai, pas (aey Muhammad), tumhare dil mein issey koi jhijak na ho, iske utaarne ki garz yeh hai ke tum iske zariye se (munkireen ko) darao aur iman laney waley logon ko yaad dihani ho

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِتَّبِعُوۡا مَاۤ اُنۡزِلَ اِلَيۡكُمۡ مِّنۡ رَّبِّكُمۡ وَلَا تَتَّبِعُوۡا مِنۡ دُوۡنِهٖۤ اَوۡلِيَآءَ​ ؕ قَلِيۡلًا مَّا تَذَكَّرُوۡنَ‏ ٣

[0 men!] Follow what has been revealed to you from your Lord and follow no masters other than Him. Little are you admonished.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Logon, jo kuch tumhare Rubb ki taraf se tumpar nazil kiya gaya hai uski pairwi karo aur apne Rubb ko chodh kar dusre sarparaton ki pairwi na karo, magar tum naseehat kam hi maante ho

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَكَمۡ مِّنۡ قَرۡيَةٍ اَهۡلَـكۡنٰهَا فَجَآءَهَا بَاۡسُنَا بَيَاتًا اَوۡ هُمۡ قَآٮِٕلُوۡنَ‏ ٤

How many a township We have destroyed! Our scourge fell upon them at night, or when they were taking midday rest.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Kitni hi bastiyan hain jinhein humne halaak kardiya, unpar hamara azaab achanak raat ke waqt toot pada, ya din dahade aise waqt aaya jab woh aaraam kar rahey thay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَمَا كَانَ دَعۡوٰٮهُمۡ اِذۡ جَآءَهُمۡ بَاۡسُنَاۤ اِلَّاۤ اَنۡ قَالُوۡۤا اِنَّا كُنَّا ظٰلِمِيۡنَ‏ ٥

And when Our scourge fell upon them their only cry was: 'We are indeed transgressors.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur jab hamara azaab unpar aa gaya to unki zubaan par iske siwa koi sadaa na thi ke waqayi hum zalim thay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَلَنَسۡــَٔــلَنَّ الَّذِيۡنَ اُرۡسِلَ اِلَيۡهِمۡ وَلَـنَسۡـَٔـــلَنَّ الۡمُرۡسَلِيۡنَ ۙ‏ ٦

So We shall call to account those to whom Messengers were sent, and We shall call to account the Messengers (to see how dutifully they conveyed the Message, and how people responded to it).

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Pas yeh zaroor hokar rehna hai ke hum un logon se baaz-purs karein jinki taraf humne paigambar bheje hain aur paigambaron se bhi puchein (ke unhon ne paigaam rasani ka farz kahan tak anjaam diya aur unhein iska kya jawab mila)

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَلَنَقُصَّنَّ عَلَيۡهِمۡ بِعِلۡمٍ وَّمَا كُنَّا غَآٮِٕبِيۡنَ‏ ٧

Then We shall narrate to them with knowledge the whole account. For surely, We were not away from them.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir hum khud purey ilm ke saath saari sargushist (whole account) unke aagey pesh kardenge. Aakhir hum kahin gayab to nahin thay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَالۡوَزۡنُ يَوۡمَٮِٕذِ اۨلۡحَـقُّ​ ۚ فَمَنۡ ثَقُلَتۡ مَوَازِيۡنُهٗ فَاُولٰۤٮِٕكَ هُمُ الۡمُفۡلِحُوۡنَ‏ ٨

The weighing on that Day will be the true weighing: those whose scales are heavy will prosper.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur wazan us roz ain e haqq hoga, jinke padley bhaari hongey wahi falaah payenge

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَمَنۡ خَفَّتۡ مَوَازِيۡنُهٗ فَاُولٰۤٮِٕكَ الَّذِيۡنَ خَسِرُوۡۤا اَنۡفُسَهُمۡ بِمَا كَانُوۡا بِاٰيٰتِنَا يَظۡلِمُوۡنَ‏ ٩

and those whose scales are light will be the losers, for they, are the ones who have been unjust to Our signs.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur jinke padley halke rahenge wahi apne aap ko khasarey (nuksan) mein mubtila karne waley hongey, kyunke woh hamari aayat ke saath zalimana bartao karte rahey thay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَقَدۡ مَكَّـنّٰكُمۡ فِى الۡاَرۡضِ وَجَعَلۡنَا لَـكُمۡ فِيۡهَا مَعَايِشَ ؕ قَلِيۡلًا مَّا تَشۡكُرُوۡنَ‏ ١٠

We assuredly established you in the earth and arranged for your livelihood in it. Little do you give thanks.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Humne tumhein zameen mein ikhtiyarat ke saath basaya aur tumhare liye yahan samaan e zeist faraham kiya Magar tumlog kam hi shukar-guzar hotey ho

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَقَدۡ خَلَقۡنٰكُمۡ ثُمَّ صَوَّرۡنٰكُمۡ ثُمَّ قُلۡنَا لِلۡمَلٰۤٮِٕكَةِ اسۡجُدُوۡا لِاٰدَمَ​ ۖ  فَسَجَدُوۡۤا اِلَّاۤ اِبۡلِيۡسَؕ لَمۡ يَكُنۡ مِّنَ السّٰجِدِيۡنَ‏  ١١

We initiated your creation, then We gave you each a shape, and then We said to the angels: 'Prostrate before Adam.') They all prostrated except Iblis: he was not one of those who fell Prostrate.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Humne tumhari takhleeq (creation) ki ibteda ki, phir tumhari surat banayi, phir farishton se kaha Adam ko sajda karo. Is hukm par sabne sajda kiya magar Iblis sajda karne walon mein shamil na hua

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

​قَالَ مَا مَنَعَكَ اَلَّا تَسۡجُدَ اِذۡ اَمَرۡتُكَ​ ؕ قَالَ اَنَا خَيۡرٌ مِّنۡهُ​ ۚ خَلَقۡتَنِىۡ مِنۡ نَّارٍ وَّخَلَقۡتَهٗ مِنۡ طِيۡنٍ‏ ١٢

Allah said: 'What prevented you from prostrating, when I commanded you to do so?' He said: 'I am better than he. You created me from fire, and him You created from clay.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Pucha, “ tujhey kis cheez ne sajda karne se roka jabke maine tujhko hukum diya tha?” bola , main ussey behtar hoon. Tu nay mujhey aag se paida kiya hai aur usey mitti se”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ فَاهۡبِطۡ مِنۡهَا فَمَا يَكُوۡنُ لَـكَ اَنۡ تَتَكَبَّرَ فِيۡهَا فَاخۡرُجۡ اِنَّكَ مِنَ الصّٰغِرِيۡنَ‏ ١٣

Allah said: 'Then get you down from here. It does not behove you to be arrogant here. So be gone. You will be among the humiliated.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Farmaya, “accha tu yahan se nichey utar , tujhey haqq nahin hai ke yahan badayi ka ghamand karey, nikal jaa ke dar-haqeeqat tu un logon mein se hai jo khud apni zillat chahte hain”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ اَنۡظِرۡنِىۡۤ اِلٰى يَوۡمِ يُبۡعَثُوۡنَ‏ ١٤

Satan replied: 'Give me respite till the Day they shall be raised.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Bola, “ mujhey us din tak mohlat de jabke yeh sab dobara uthaye jayenge”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ اِنَّكَ مِنَ الۡمُنۡظَرِيۡنَ‏ ١٥

Allah said: 'You are granted respite.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Farmaya “ tujhey mohlat hai.”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ فَبِمَاۤ اَغۡوَيۡتَنِىۡ لَاَقۡعُدَنَّ لَهُمۡ صِرَاطَكَ الۡمُسۡتَقِيۡمَۙ‏  ١٦

Satan said: 'Since You have led me astray, I shall surely sit in ambush for them on Your Straight Path.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Bola, “accha to jis tarah tu nay mujhey gumraahi mein mubtala kiya main bhi ab teri seedhi raah par

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

ثُمَّ لَاَتِيَنَّهُمۡ مِّنۡۢ بَيۡنِ اَيۡدِيۡهِمۡ وَمِنۡ خَلۡفِهِمۡ وَعَنۡ اَيۡمَانِهِمۡ وَعَنۡ شَمَآٮِٕلِهِمۡ​ؕ وَلَاٰ تَجِدُ اَكۡثَرَهُمۡ شٰكِرِيۡنَ‏ ١٧

Then I will come upon them from the front and from the rear, and from their right and from their left. And You will not find most of them thankful.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

In Insaano ki ghaath mein laga rahunga, aagey aur pichey, dayein aur bayein, har taraf se inko gherunga aur tu in mein se aksar ko shukarguzar na payega”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ اخۡرُجۡ مِنۡهَا مَذۡءُوۡمًا مَّدۡحُوۡرًا ​ؕ لَمَنۡ تَبِعَكَ مِنۡهُمۡ لَاَمۡلَــٴَــنَّ جَهَنَّمَ مِنۡكُمۡ اَجۡمَعِيۡنَ‏ ١٨

Allah said: 'Go away from here - disgraced and expelled. I shall fill the Hell with all those that follow you.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Farmaya, “nikal jaa yahan se zaleel aur thukraya hua, yakeen rakh ke in mein se jo teri pairwi karenge, tujh sameith un sab se jahannum ko bhar doonga

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَيٰۤاٰدَمُ اسۡكُنۡ اَنۡتَ وَزَوۡجُكَ الۡجَـنَّةَ فَـكُلَا مِنۡ حَيۡثُ شِئۡتُمَا وَلَا تَقۡرَبَا هٰذِهِ الشَّجَرَةَ فَتَكُوۡنَا مِنَ الظّٰلِمِيۡنَ‏ ١٩

0 Adam! Live you and your spouse in the Garden and both of you eat from it wherever you will, but never approach the tree or you shall become wrongdoers.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur aey Adam, tu aur teri biwi, dono is jannat mein raho, jahan jis cheez ko tumhara jee chahe khao, magar us darakht ke paas na phatakna warna zalimon mein se ho jaogey”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَوَسۡوَسَ لَهُمَا الشَّيۡطٰنُ لِيُبۡدِىَ لَهُمَا مَا وٗرِىَ عَنۡهُمَا مِنۡ سَوۡاٰتِهِمَا وَقَالَ مَا نَهٰٮكُمَا رَبُّكُمَا عَنۡ هٰذِهِ الشَّجَرَةِ اِلَّاۤ اَنۡ تَكُوۡنَا مَلَـكَيۡنِ اَوۡ تَكُوۡنَا مِنَ الۡخٰلِدِيۡنَ‏ ٢٠

But Satan made an evil suggestion to both of them that he might reveal to them their shame that had remained hidden from them. He said: 'Your Lord has forbidden you to approach this tree only to prevent you from becoming angels or immortals.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir Shaytan ne unko behkaya taa-ke unki sharmgaahein jo ek dusre se chupayi gayi thin unke saamne khol de. Usne unse kaha, “tumhare Rubb ne tumhein jo is darakh se roka hai iski wajah iske siwa kuch nahin hai ke kahin tum Farishtey na ban jao, ya tumhein hameshgi ki zindagi hasil na ho jaye

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَقَاسَمَهُمَاۤ اِنِّىۡ لَـكُمَا لَمِنَ النّٰصِحِيۡنَۙ‏ ٢١

And he swore to them both: 'Surely I am your sincere adviser.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur usne kasam kha kar unse kaha ke main tumhara saccha khair-khwa hoon

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَدَلّٰٮهُمَا بِغُرُوۡرٍ​ ۚ فَلَمَّا ذَاقَا الشَّجَرَةَ بَدَتۡ لَهُمَا سَوۡءٰتُهُمَا وَطَفِقَا يَخۡصِفٰنِ عَلَيۡهِمَا مِنۡ وَّرَقِ الۡجَـنَّةِ​ ؕ وَنَادٰٮهُمَا رَبُّهُمَاۤ اَلَمۡ اَنۡهَكُمَا عَنۡ تِلۡكُمَا الشَّجَرَةِ وَاَقُلْ لَّـكُمَاۤ اِنَّ الشَّيۡطٰنَ لَـكُمَا عَدُوٌّ مُّبِيۡنٌ‏ ٢٢

Thus Satan brought about their fall by deceit. And when they tasted of the tree, their shame became vislible to them, and both began to cover themselves with leaves from the Garden. Then their Lord called out to them: 'Did I not forbid you from that tree, and did I not warn you that Satan 'is your declared enemy?'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Is tarah dhoka dekar woh un dono ko rafta rafta apne dhap par le aaya. Aakhir e kaar jab unhon ne us darakht ka maza chakkha to unke satr ek dusre ke saamne khul gaye aur woh apne jismon ko jannat ke patton se dhankne lagey. Tab unke Rubb ne unhein pukara, “kya maine tumhein is darakht se na roka tha aur na kaha tha ke shaytan tumhara khula dushman hai?”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَا رَبَّنَا ظَلَمۡنَاۤ اَنۡفُسَنَا وَاِنۡ لَّمۡ تَغۡفِرۡ لَـنَا وَتَرۡحَمۡنَا لَـنَكُوۡنَنَّ مِنَ الۡخٰسِرِيۡنَ‏ ٢٣

Both cried out: 'Our Lord! We have wronged ourselves. If You do not forgive us and do not have mercy on us, we shall surely be among the losers.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Dono bol utthey, “Aey Rubb, humne apne upar sitam (zulm) kiya, ab agar tu nay humse darguzar na farmaya aur reham na kiya to yakeenan hum tabaah ho jayenge.”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ اهۡبِطُوۡا بَعۡضُكُمۡ لِبَـعۡضٍ عَدُوٌّ​ ۚ وَلَـكُمۡ فِى الۡاَرۡضِ مُسۡتَقَرٌّ وَّمَتَاعٌ اِلٰى حِيۡنٍ‏ ٢٤

Allah said: 'Go down; you are enemies one of the other. For you there is dwelling and provision on the earth for a while.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Farmaya, “utar jao, tum ek dusre ke dushman ho. Aur tumhare liye ek khaas muddat tak zameen hi mein jaye-qarar (dwelling) aur samaan-e-zeist (dwelling and provision) hai”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ فِيۡهَا تَحۡيَوۡنَ وَفِيۡهَا تَمُوۡتُوۡنَ وَمِنۡهَا تُخۡرَجُوۡنَ‏ ٢٥

He continued: 'You shall live there, and there shall you die, and from it you shall be raised to life.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur farmaya, “wahin tumko jeena aur wahin marna hai aur usi mein se tumko aakhir kaar nikala jayega.”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰبَنِىۡۤ اٰدَمَ قَدۡ اَنۡزَلۡنَا عَلَيۡكُمۡ لِبَاسًا يُّوَارِىۡ سَوۡاٰتِكُمۡ وَرِيۡشًا​ ؕ وَلِبَاسُ التَّقۡوٰى ۙ ذٰ لِكَ خَيۡرٌ​ ؕ ذٰ لِكَ مِنۡ اٰيٰتِ اللّٰهِ لَعَلَّهُمۡ يَذَّكَّرُوۡنَ‏ ٢٦

0 Children of Adam! Indeed We have sent down to you a garment which covers your shame and provides protection and adornment. But the finest of all is the garment of piety. That is one of the signs of Allah so that they may take heed.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey aulad e Adam, humne tumpar libas nazil kiya hai ke tumhare jism ke qabil e sharm hisson ko dhaanke aur tumhare liye jism ki hifazat aur zeenat ka zariya bhi ho. Aur behtareen libas taqwe (piety) ka libas hai. Yeh Allah ki nishaniyon mein se ek nihsani hai, shayad ke log issey sabaq lein

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰبَنِىۡۤ اٰدَمَ لَا يَفۡتِنَـنَّكُمُ الشَّيۡطٰنُ كَمَاۤ اَخۡرَجَ اَبَوَيۡكُمۡ مِّنَ الۡجَـنَّةِ يَنۡزِعُ عَنۡهُمَا لِبَاسَهُمَا لِيُرِيَهُمَا سَوۡءاٰتِهِمَا ؕ اِنَّهٗ يَرٰٮكُمۡ هُوَ وَقَبِيۡلُهٗ مِنۡ حَيۡثُ لَا تَرَوۡنَهُمۡ​ ؕ اِنَّا جَعَلۡنَا الشَّيٰطِيۡنَ اَوۡلِيَآءَ لِلَّذِيۡنَ لَا يُؤۡمِنُوۡنَ‏ ٢٧

Children of Adam! Let not Satan deceive you in the manner he deceived your parents out of Paradise, pulling off from them their clothing to reveal to them their shame. He and his host surely see you from whence you do not see them. We have made satans the guardians of those who do not believe.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey bani Adam, aisa na ho ke shaytan tumhein phir usi tarah fitne mein mubtala karde jis tarah usne tumhare walidain ko jannat se nikalwaya tha aur unke libas unpar se utarwa diye thay taa-ke unke sharmgaahein ek dusre ke saamne khole. Woh aur uske saathi tumhein aisi jagah se dekhte hain jahan se tum unhein nahin dekh sakte. In shayateen ko humne un logon ka sarparast bana diya hai jo iman nahin latey

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذَا فَعَلُوۡا فَاحِشَةً قَالُوۡا وَجَدۡنَا عَلَيۡهَاۤ اٰبَآءَنَا وَاللّٰهُ اَمَرَنَا بِهَا​ ؕ قُلۡ اِنَّ اللّٰهَ لَا يَاۡمُرُ بِالۡفَحۡشَآءِ​ ؕ اَتَقُوۡلُوۡنَ عَلَى اللّٰهِ مَا لَا تَعۡلَمُوۡنَ‏ ٢٨

And when such people commit an indecent act they say: 'We found our fathers doing that, and Allah has enjoined it on us. Say: 'Surely Allah never enjoins any indecency. Do you say things regarding Allah that you do not know?'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yeh log jab koi sharmnaak kaam karte hain to kehte hain humne apne baap dada ko isi tareeqe par paya hai aur Allah hi ne humein aisa karne ka hukum diya hai. Insey kaho Allah be-hayayi ka hukm kabhi nahin diya karta. Kya tum Allah ka naam lekar woh baatein kehte ho jinke mutaaliq tumhein ilm nahin hai (woh Allah ki taraf se hain)

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قُلۡ اَمَرَ رَبِّىۡ بِالۡقِسۡطِ​ وَاَقِيۡمُوۡا وُجُوۡهَكُمۡ عِنۡدَ كُلِّ مَسۡجِدٍ وَّادۡعُوۡهُ مُخۡلِصِيۡنَ لَـهُ الدِّيۡنَ ​   ؕ كَمَا بَدَاَكُمۡ تَعُوۡدُوۡنَؕ‏  ٢٩

Say to them (O Muhammad): 'My Lord enjoins justice; and that you set your faces aright at the time of every Prayer; and that you call upon Him, exclusively dedicating your faith to Him. You shall return to Him as you were created.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(Aey Muhammad), insey kaho, mere Rubb ne to raasti o insaaf ka hukum diya hai, aur uska hukum to yeh hai ke har ibadat mein apna rukh theek rakkho aur usi ko pukaaro apne deen ko uske liye khaalis rakh kar, jis tarah usne tumhein ab paida kiya hai usi tarah tum phir paida kiye jaogey

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَرِيۡقًا هَدٰى وَ فَرِيۡقًا حَقَّ عَلَيۡهِمُ الضَّلٰلَةُ ​ ؕ اِنَّهُمُ اتَّخَذُوا الشَّيٰطِيۡنَ اَوۡلِيَآءَ مِنۡ دُوۡنِ اللّٰهِ وَيَحۡسَبُوۡنَ اَنَّهُمۡ مُّهۡتَدُوۡنَ‏  ٣٠

A party He has guided to the Right Way, and for another party straying is justly its due for they have taken satans, rather than Allah, as their guardians, even though they think that they are rightly-guided.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Ek giroh ko to usne seedha raasta dikha diya hai, magar dusre giroh par gumraahi chaspan hokar reh gayi hai, kyunke unhon ne khuda ke bajaye Shayateen ko apna sarparast bana liya hai aur woh samajh rahey hain ke hum seedhi raah par hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰبَنِىۡۤ اٰدَمَ خُذُوۡا زِيۡنَتَكُمۡ عِنۡدَ كُلِّ مَسۡجِدٍ وَّكُلُوۡا وَاشۡرَبُوۡا وَلَا تُسۡرِفُوۡا​ ۚ اِنَّهٗ لَا يُحِبُّ الۡمُسۡرِفِيۡنَ‏ ٣١

Children of Adam! Take your adornment at every time of Prayer; and eat and drink without going to excesses. For Allah does not like those who go to excess.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey bani Adam, har ibadat ke muaqe par apni zeenat se aaraasta raho aur khao peeo aur hadd se tajauz na karo. Allah hadd se badhne walon ko pasand nahin karta

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قُلۡ مَنۡ حَرَّمَ زِيۡنَةَ اللّٰهِ الَّتِىۡۤ اَخۡرَجَ لِعِبَادِهٖ وَالطَّيِّبٰتِ مِنَ الرِّزۡقِ​ؕ قُلۡ هِىَ لِلَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا فِى الۡحَيٰوةِ الدُّنۡيَا خَالِصَةً يَّوۡمَ الۡقِيٰمَةِ​ؕ كَذٰلِكَ نُفَصِّلُ الۡاٰيٰتِ لِقَوۡمٍ يَّعۡلَمُوۡنَ‏ ٣٢

Say (O Muhammad): 'Who has forbidden the adornment which Allah has brought forth for His creatures or the good things from among the means of sustenance?' Say: 'These are for the enjoyment of the believers in this world, and shall be exclusively theirs on the Day of Resurrection.' Thus do We clearly expound Our revelations for those who have knowledge.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(Aey Muhammad), Insey kaho kisne Allah ki us zeenat ko haraam kardiya jisey Allah ne apne bandon ke liye nikala tha aur kisne khuda ki bakshi hui paak cheezein mamnu (forbidden) kardi? Kaho, yeh saari cheezein duniya ki zindagi mein bhi iman laney walon ke liye hain, aur qayamat ke roz to khaalisatan unhi ke liye hongi. Is tarah hum apni baatein saaf saaf bayaan karte hain un logon ke liye jo ilm rakhne waley hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قُلۡ اِنَّمَا حَرَّمَ رَبِّىَ الۡـفَوَاحِشَ مَا ظَهَرَ مِنۡهَا وَمَا بَطَنَ وَ الۡاِثۡمَ وَالۡبَـغۡىَ بِغَيۡرِ الۡحَـقِّ وَاَنۡ تُشۡرِكُوۡا بِاللّٰهِ مَا لَمۡ يُنَزِّلۡ بِهٖ سُلۡطٰنًا وَّاَنۡ تَقُوۡلُوۡا عَلَى اللّٰهِ مَا لَا تَعۡلَمُوۡنَ‏  ٣٣

Tell them (O Muhammad): 'My Lord has only forbidden indecent acts, whether overt or hidden; all manner of sin; wrongful transgression; and [He has forbidden] that you associate with Allah in His divinity that for which He has sent down no sanction; and that you ascribe to Allah things of which you have no sure knowledge that they are from Him.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(Aey Muhammad), insey kaho ke mere Rubb ne jo cheezein haraam ki hain woh to yeh hain : besharmi ke kaam khwa khuley hon ya chupey, aur gunaah aur haqq ke khilaf ziyadati, aur yeh ke Allah ke saath tum kisi ko shareek karo jiske liye usne koi sanad nazil nahin ki, aur yeh ke Allah ke naam par koi aisi baat kaho jiske mutaaliq tumhein ilm na ho ke woh haqeeqat mein usi ne farmayi hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلِكُلِّ اُمَّةٍ اَجَلٌ​ۚ فَاِذَا جَآءَ اَجَلُهُمۡ لَا يَسۡتَاۡخِرُوۡنَ سَاعَةً​ وَّلَا يَسۡتَقۡدِمُوۡنَ‏ ٣٤

For every community there is an appointed term; and when its term arrives, they cannot tarry behind a moment, nor can they get ahead.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Har qaum ke liye mohlat ki ek muddat muqarrar hai, phir jab kisi qaum ki muddat aan puri hoti hai to ek ghadi bhar ki takheer o taqdeem bhi nahin hoti

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰبَنِىۡۤ اٰدَمَ اِمَّا يَاۡتِيَنَّكُمۡ رُسُلٌ مِّنۡكُمۡ يَقُصُّوۡنَ عَلَيۡكُمۡ اٰيٰتِىۡ​ۙ فَمَنِ اتَّقٰى وَاَصۡلَحَ فَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُوۡنَ‏  ٣٥

Children of Adam! If Messengers come to you from amongst yourselves who rehearse to you My signs, then those who shun disobedience and mend their ways shall have nothing to fear, nor shall they grieve.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(Aur yeh baat Allah ne aagaaz e takhleeq hi mein saaf farma di thi ke) aey bani Adam, yaad rakkho, agar tumhare paas khud tumhi mein se aisey Rasool aayein jo tumhein meri aayat suna rahey hon, to jo koi nafarmani se bachega aur apne rawayye ki islaah karlega uske liye kisi khauf aur ranjj ka mauqa nahin hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَالَّذِيۡنَ كَذَّبُوۡا بِاٰيٰتِنَا وَاسۡتَكۡبَرُوۡا عَنۡهَاۤ اُولٰۤٮِٕكَ اَصۡحٰبُ النَّارِ​ۚ هُمۡ فِيۡهَا خٰلِدُوۡنَ‏ ٣٦

And those who reject Our revelations as false and turn away from them in arrogance, they shall be the inmates of Hell; and there shall they abide.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur jo log hamari aayat ko jhutlayenge aur unke muqable mein sarkashi bartenge wahi ehle dozakh hongey jahan woh hamesha rahenge

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَمَنۡ اَظۡلَمُ مِمَّنِ افۡتَـرٰى عَلَى اللّٰهِ كَذِبًا اَوۡ كَذَّبَ بِاٰيٰتِهٖ ؕ اُولٰۤٮِٕكَ يَنَالُهُمۡ نَصِيۡبُهُمۡ مِّنَ الۡـكِتٰبِ​ؕ حَتّٰٓى اِذَا جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُـنَا يَتَوَفَّوۡنَهُمۡ ۙ قَالُوۡۤا اَيۡنَ مَا كُنۡتُمۡ تَدۡعُوۡنَ مِنۡ دُوۡنِ اللّٰهِ​ ؕ قَالُوۡا ضَلُّوۡا عَنَّا وَشَهِدُوۡا عَلٰٓى اَنۡفُسِهِمۡ اَنَّهُمۡ كَانُوۡا كٰفِرِيۡنَ‏ ٣٧

Who is more unjust then he who invents a falsehood, ascribing it to Allah, or who rejects His revelation as false? Their full portion of God's Decree shall reach them, until Our deputed angels come to them to take charge of their souls, and say: 'Where are the deities now, those whom you invoked besides Allah?' They will say: 'They are all gone away from us.' And they shall bear witness against themselves that they were unbelievers.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Zahir hai ke ussey bada zalim aur kaun hoga jo biklul jhooti baatein ghadh kar Allah ki taraf mansooq karey ya Allah ki sacchi aayat ko jhutlaye? Aisey log apne nawishta e taqdeer ke mutabiq apna hissa paatey rahenge, yahan tak ke woh ghadi aa jayegi jab hamare bheje huey Farishtey unki roohein(souls) qabz karne ke liye pahunchenge. Us waqt woh unse puchenge ke batao ab kahan hain tumhare woh mabood jinko tum khuda ke bajaye pukarte thay? Woh kahenge ke, “Sab humse ghum ho gaye” aur woh khud apne khilaaf gawahi denge ke hum waqayi munkir e haqq thay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ ادۡخُلُوۡا فِىۡۤ اُمَمٍ قَدۡ خَلَتۡ مِنۡ قَبۡلِكُمۡ مِّنَ الۡجِنِّ وَالۡاِنۡسِ فِى النَّارِ​ ؕ كُلَّمَا دَخَلَتۡ اُمَّةٌ لَّعَنَتۡ اُخۡتَهَا​ ؕ حَتّٰۤى اِذَا ادَّارَكُوۡا فِيۡهَا جَمِيۡعًا ۙ قَالَتۡ اُخۡرٰٮهُمۡ لِاُوۡلٰٮهُمۡ رَبَّنَا هٰٓؤُلَۤاءِ اَضَلُّوۡنَا فَاٰتِهِمۡ عَذَابًا ضِعۡفًا مِّنَ النَّارِ​  ؕ قَالَ لِكُلٍّ ضِعۡفٌ وَّلٰـكِنۡ لَّا تَعۡلَمُوۡنَ‏ ٣٨

Allah will say: 'Enter the fire of Hell and join the nations of jinn and men that have gone before You.' As a nation enters Hill, it will curse the one that went before it, and when all are gathered there, the last of them shall say of the first: 'Our Lord! These are the ones who led us astray. Let their torment be doubled in Hell-Fire.' He will answer: 'Each will have a doubled torment; although you do not know.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Allah farmayega jao, tum bhi usi jahannum mein chale jao jismein tumse pehle guzrey huey giroh Jinn o Ins (Insaan) jaa chuke hain. Har giroh jab jahannum mein dakhil hoga to apne peshrow giroh(that went before it) par laanat karta hua dakhil hoga, hatta ke jab sab wahan jamaa ho jayenge to har baad wala giroh pehle giroh ke haqq mein kahega ke aey Rubb, yeh log thay jinhon ne humko gumraah kiya, lihaza inhein aag ka dohra azaab de. Jawab mein irshad hoga, har ek ke liye dohra hi azaab hai magar tum jantey nahin ho

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَقَالَتۡ اُوۡلٰٮهُمۡ لِاُخۡرٰٮهُمۡ فَمَا كَانَ لَـكُمۡ عَلَيۡنَا مِنۡ فَضۡلٍ فَذُوۡقُوا الۡعَذَابَ بِمَا كُنۡتُمۡ تَكۡسِبُوۡنَ‏ ٣٩

Then the preceding ones will say to the succeeding ones: 'You were in no way superior to us; taste, then, this torment for your deeds.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur pehla giroh dusre giroh se kahega ke (agar hum qaabil e ilzam thay) to tumhi ko humpar kaunsi fazilat haasil thi, ab apni kamayi ke nateejey mein azaab ka maza chakkho

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِنَّ الَّذِيۡنَ كَذَّبُوۡا بِاٰيٰتِنَا وَاسۡتَكۡبَرُوۡا عَنۡهَا لَا تُفَتَّحُ لَهُمۡ اَبۡوَابُ السَّمَآءِ وَلَا يَدۡخُلُوۡنَ الۡجَـنَّةَ حَتّٰى يَلِجَ الۡجَمَلُ فِىۡ سَمِّ الۡخِيَاطِ​ ؕ وَكَذٰلِكَ نَجۡزِى الۡمُجۡرِمِيۡنَ‏ ٤٠

Surely the gates of Heaven shall not be opened for those who reject Our signs as false and turn away ' from them in arrogance; nor shall they enter Paradise until a camel passes through the eye of a needle. Thus do We reward the guilty ones.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yaqeen jaano, jin logon ne hamari aayat ko jhutlaya hai aur inke muqable mein sarkashi ki hai unke liye aasman ke darwaze hargiz na kholey jayenge. Unka jannat mein jana utna hi namumkin hai jitna suii (needle) ke naake se ount(camel) ka guzarna. Mujreemon ko hamare haan aisa hi badla mila karta hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

لَهُمۡ مِّنۡ جَهَـنَّمَ مِهَادٌ وَّمِنۡ فَوۡقِهِمۡ غَوَاشٍ​ ؕ وَكَذٰلِكَ نَجۡزِى الظّٰلِمِيۡنَ‏ ٤١

Hell shall be their bed, and also above them their covering. Thus do We reward the wrong-doers.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Unke liye to jahannum ka bichona hoga aur jahannum hi ka oadna. Yeh hai woh jaza jo hum zalimon ko diya karte hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَالَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا وَعَمِلُوا الصّٰلِحٰتِ لَا نُـكَلِّفُ نَفۡسًا اِلَّا وُسۡعَهَاۤ  اُولٰۤٮِٕكَ اَصۡحٰبُ الۡجَـنَّةِ​ۚ هُمۡ فِيۡهَا خٰلِدُوۡنَ‏ ٤٢

And those who believe and do good - We do not impose upon any of them a burden beyond his capacity. They are the people of Paradise. And there they shall abide.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Ba-khilaf iske jin logon ne hamari aayat ko maan liya hai aur acchey kaam kiye hain aur is baab mein hum har ek ko uski istetaat (capability) hi ke mutaabiq zimmedar thehrate hain. Woh ehle jannat hain jahan woh hamesha rahengey

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَنَزَعۡنَا مَا فِىۡ صُدُوۡرِهِمۡ مِّنۡ غِلٍّ تَجۡرِىۡ مِنۡ تَحۡتِهِمُ الۡاَنۡهٰرُ​ۚ وَقَالُوا الۡحَمۡدُ لِلّٰهِ الَّذِىۡ هَدٰٮنَا لِهٰذَا وَمَا كُنَّا لِنَهۡتَدِىَ لَوۡلَاۤ اَنۡ هَدٰٮنَا اللّٰهُ​ ​ۚ لَقَدۡ جَآءَتۡ رُسُلُ رَبِّنَا بِالۡحَـقِّ​ ؕ وَنُوۡدُوۡۤا اَنۡ تِلۡكُمُ الۡجَـنَّةُ اُوۡرِثۡتُمُوۡهَا بِمَا كُنۡتُمۡ تَعۡمَلُوۡنَ‏  ٤٣

We shall strip away all rancour from their hearts, and rivers shall flow beneath them, and they shall say: 'All praise be to Allah Who has guided us on to this. Had it not been for Allah Who granted us guidance, we would not be on the Right Path. Surely the Messengers of our Lord did indeed come down with truth.' Then a voice will cry out to them: 'This is the Paradise which you are made to inherit as a reward for your deeds.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Unke dilon mein ek dusre ke khilaf jo kuch kadurat (rancour) hogi usey hum nikal denge, unke nichey nehrein behti hongi, aur woh kahenge ke “taareef khuda hi ke liye hai jisne humein yeh raasta dikhaya, hum khud raah na paa sakte thay agar khuda hamari rehnumayi na karta. Hamare Rubb ke bheje huey Rasool waqayi Haqq hi lekar aaye thay”. Us waqt nida (voice) aayegi ke “ yeh jannat jiske tum waris banaye gaye ho tumhein un aamal ke badle mein mili hai jo tum karte rahey thay”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَنَادٰٓى اَصۡحٰبُ الۡجَـنَّةِ اَصۡحٰبَ النَّارِ اَنۡ قَدۡ وَجَدۡنَا مَا وَعَدَنَا رَبُّنَا حَقًّا فَهَلۡ وَجَدْتُّمۡ مَّا وَعَدَ رَبُّكُمۡ حَقًّا​ ؕ قَالُوۡا نَـعَمۡ​ ۚ فَاَذَّنَ مُؤَذِّنٌۢ بَيۡنَهُمۡ اَنۡ لَّـعۡنَةُ اللّٰهِ عَلَى الظّٰلِمِيۡنَۙ‏  ٤٤

And the people of Paradise shall cry to the people of Hell: 'Surely we have found our Lord's promise to us to be true. have you also found true what your Lord has promised you?' 'Yes', they shall answer; and a herald shall cry out among them: 'Allah's curse be upon the wrong-doers';

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir yeh jannat ke log dozakh walon se pukar kar kahenge, “ humne un sarey waadon ko theek paa liya jo hamare Rubb ne humse kiye thay, kya tumne bhi un waadon ko theek paya jo tumhare Rubb ne kiye thay?” Woh jawab denge “haan” tab ek pukarne wala unke darmiyan pukarega ke “ khuda ki laanat un zalimon par

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

الَّذِيۡنَ يَصُدُّوۡنَ عَنۡ سَبِيۡلِ اللّٰهِ وَيَـبۡـغُوۡنَهَا عِوَجًا​ ۚ وَهُمۡ بِالۡاٰخِرَةِ كٰفِرُوۡنَ​ۘ‏ ٤٥

upon those who hinder men from the path of Allah and seek to make it crooked; and disbelieve in the Hereafter.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jo Allah ke rastey se logon ko roakte aur usey tedha karna chahte thay aur aakhirat ke munkir thay”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَبَيۡنَهُمَا حِجَابٌ​ۚ وَعَلَى الۡاَعۡرَافِ رِجَالٌ يَّعۡرِفُوۡنَ كُلًّاۢ بِسِيۡمٰٮهُمۡ​ ۚ وَنَادَوۡا اَصۡحٰبَ الۡجَـنَّةِ اَنۡ سَلٰمٌ عَلَيۡكُمۡ​ لَمۡ يَدۡخُلُوۡهَا وَهُمۡ يَطۡمَعُوۡنَ‏ ٤٦

And between the two there will be a barrier, and on the Heights will be men who will recognize each person by his mark and will cry, out to the people of Paradise: 'Peace be to you.'These will be the ones who had not yet joined them in Paradise, though they long to do so.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

In dono girohon ke darmiyan ek oat (barrier) hayal hogi jiski bulandiyon (Araaf) par kuch aur log honge yeh har ek ko uske kiyafa (marks) se pehchanenge aur jannat walon se pukaar kar kahenge ke “salamati ho tumpar”. Yeh log jannat mein dakhil to nahin huey magar uske umeedwar honge”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذَا صُرِفَتۡ اَبۡصَارُهُمۡ تِلۡقَآءَ اَصۡحٰبِ النَّارِۙ قَالُوۡا رَبَّنَا لَا تَجۡعَلۡنَا مَعَ الۡقَوۡمِ الظّٰلِمِيۡنَ‏ ٤٧

And when the eyes of the people of the Heights will be turned towards the people of Hell they will say: 'Our Lord! Do not cast us among the wrongdoing people.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur jab unki nigahein dozakh walon ki taraf phirengi to kahenge, “Aey Rubb! Humein in zalim logon mein shamil na kijiyo”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَنَادٰٓى اَصۡحٰبُ الۡاَعۡرَافِ رِجَالًا يَّعۡرِفُوۡنَهُمۡ بِسِيۡمٰٮهُمۡ قَالُوۡا مَاۤ اَغۡنٰى عَنۡكُمۡ جَمۡعُكُمۡ وَمَا كُنۡتُمۡ تَسۡتَكۡبِرُوۡنَ‏ ٤٨

And the people of the Heights will cry out to the men whom they would recognize by their marks. saving: 'Neither your numbers nor the riches of which you were proud availed you.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir yeh Araaf ke log dozakh ki chandh badi badi shakhsiyaton(personalities) ko unki alamaton se pehchan kar pukarenge ke “dekh liya tumne, aaj na tumhare jatthey (gatherings/numbers) tumhare kisi kaam aaye aur na woh saaz o samaan jinko tum badi cheez samajhte thay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَهٰٓؤُلَۤاءِ الَّذِيۡنَ اَقۡسَمۡتُمۡ لَا يَنَالُهُمُ اللّٰهُ بِرَحۡمَةٍ ​ؕ اُدۡخُلُوا الۡجَـنَّةَ لَا خَوۡفٌ عَلَيۡكُمۡ وَلَاۤ اَنۡتُمۡ تَحۡزَنُوۡنَ‏ ٤٩

Are these not the ones of whom you swore that Allah shall grant them nothing of His mercy?' To such it will be said: 'Enter Paradise. You have no cause to fear, nor shall you grieve.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur kya yeh ehle jannat wahi log nahin hain jinke mutaaliq tum kasamein kha kha kar kehte thay ke inko to khuda apni rehmat mein se kuch bhi na dega? Aaj inhi se kaha gaya ke dakhil ho jao jannat mein, tumhare liye na khauf hai na ranjj”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَنَادٰٓى اَصۡحٰبُ النَّارِ اَصۡحٰبَ الۡجَـنَّةِ اَنۡ اَفِيۡضُوۡا عَلَيۡنَا مِنَ الۡمَآءِ اَوۡ مِمَّا رَزَقَكُمُ اللّٰهُ ​ؕ قَالُـوۡۤا اِنَّ اللّٰهَ حَرَّمَهُمَا عَلَى الۡـكٰفِرِيۡنَ ۙ‏ ٥٠

And the people of the Fire will cry out to the people of Paradise: 'Pour out some water on us or throw at us something of what Allah has bestowed upon you.' They will reply: 'Allah has forbidden them to the deniers of the truth,

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur dozakh ke log jannat walon ko pukarenge ke kuch thoda sa pani humpar daal do ya jo rizq Allah ne tumhein diya hai usi mein se kuch phenk do. Woh jawab denge ke “Allah ne yeh dono cheezein un munkireen e haqq par haraam kardi hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

الَّذِيۡنَ اتَّخَذُوۡا دِيۡنَهُمۡ لَهۡوًا وَّلَعِبًا وَّغَرَّتۡهُمُ الۡحَيٰوةُ الدُّنۡيَا​​ ۚ فَالۡيَوۡمَ نَنۡسٰٮهُمۡ كَمَا نَسُوۡا لِقَآءَ يَوۡمِهِمۡ هٰذَا ۙ وَمَا كَانُوۡا بِاٰيٰتِنَا يَجۡحَدُوۡنَ‏ ٥١

who have made their religion a sport and play. and whom the life of the world has beguiled. So on that Day We shall forget them in the manner they forget their meeting of this Day with Us and persist in denying Our revelations.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jinhon ne apne deen ko khel aur tafree bana liya tha. Aur jinhein duniya ki zindagi ne fareb mein mubtila kar rakkha tha. Allah farmata hai ke aaj hum bhi unhein usi tarah bhula denge jis tarah woh is din ki mulaqat ko bhoole rahey aur hamari aayaton ka inkar karte rahey”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَقَدۡ جِئۡنٰهُمۡ بِكِتٰبٍ فَصَّلۡنٰهُ عَلٰى عِلۡمٍ هُدًى وَّرَحۡمَةً لِّـقَوۡمٍ يُّؤۡمِنُوۡنَ‏ ٥٢

Surely We have brought them a Book which We expounded with knowledge; a guidance and a mercy to those who believe '

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Hum in logon ke paas ek aisi kitab le aaye hain jisko humne ilm ki bina par mufassal (expounded) banaya hai aur jo iman laney walon ke liye hidayat aur rehmat hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

هَلۡ يَنۡظُرُوۡنَ اِلَّا تَاۡوِيۡلَهٗ​ؕ يَوۡمَ يَاۡتِىۡ تَاۡوِيۡلُهٗ يَقُوۡلُ الَّذِيۡنَ نَسُوۡهُ مِنۡ قَبۡلُ قَدۡ جَآءَتۡ رُسُلُ رَبِّنَا بِالۡحَـقِّ​ۚ فَهَلْ لَّـنَا مِنۡ شُفَعَآءَ فَيَشۡفَعُوۡا لَـنَاۤ اَوۡ نُرَدُّ فَنَعۡمَلَ غَيۡرَ الَّذِىۡ كُنَّا نَـعۡمَلُ​ؕ قَدۡ خَسِرُوۡۤا اَنۡفُسَهُمۡ وَضَلَّ عَنۡهُمۡ مَّا كَانُوۡا يَفۡتَرُوۡنَ‏  ٥٣

Are they waiting for the fulfilment of its warning? On the Day that warning is fulfilled, those that have neglected it before will say: 'The Messengers of Our Lord did indeed bring forth the truth. Are there any intercessors who will now plead on our behalf? Or, can we be restored to life that we might perform differently from that which we did? ' They surely ended in utter loss, and the lies they had fabricated failed them.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Ab kya yeh log iske siwa kisi aur baat ke muntazir hain ke woh anjaam saamne aa jaye jiski yeh kitab khabar de rahi hai? Jis roz woh anjaam saamne aa gaya to wahi log jinhon ne usey nazar-andaz kardiya tha kahenge ke “waqayi hamare Rubb ke Rasool haqq lekar aaye thay, phir kya ab humein kuch sifarishi milenge jo hamare haqq mein sifarish karein? Ya humein dobara wapas hi bhej diya jaye taa-ke jo kuch hum pehle karte thay uske bajaye ab dusre tareeqe par kaam karke dikhayein”. Unhon ne apne aap ko khasare (nuksaan) mein daal diya aur woh sarey jhoot jo unhon ne tasneef kar rakkhey thay aaj unse ghum ho gaye

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِنَّ رَبَّكُمُ اللّٰهُ الَّذِىۡ خَلَقَ السَّمٰوٰتِ وَ الۡاَرۡضَ فِىۡ سِتَّةِ اَيَّامٍ ثُمَّ اسۡتَوٰى عَلَى الۡعَرۡشِ يُغۡشِى الَّيۡلَ النَّهَارَ يَطۡلُبُهٗ حَثِيۡثًا ۙ وَّالشَّمۡسَ وَالۡقَمَرَ وَالنُّجُوۡمَ مُسَخَّرٰتٍۢ بِاَمۡرِهٖ ؕ اَلَا لَـهُ الۡخَـلۡقُ وَالۡاَمۡرُ​ ؕ تَبٰرَكَ اللّٰهُ رَبُّ الۡعٰلَمِيۡنَ‏ ٥٤

Surely your Lord is none other than Allah, Who created the heavens and the earth in six days, and then ascended His Throne; Who causes the night to cover the day and then the day swiftly pursues the night; Who created the sun and the moon and the stars making them all subservient to His command. Lo! His is the creation and His is the command. Blessed is Allah, the Lord of the universe.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Dar haqeeqat tumhara Rubb Allah hi hai jisne aasman aur zameen ko chey( six) dino mein paida kiya, phir apne takht e sultanat par jalwa farma hua, jo raat ko din par dhank deta hai aur phir din raat ke pichey dauda chala aata hai, jisne Suraj aur chand aur taarey paida kiye sab uske farmaan ke tabeh hain. Khabardar raho! Usi ki khalq (creation) hai aur usi ka amr(command) hai. Bada ba-barakat hai Allah, sarey jahaano ka maalik o parwardigar

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اُدۡعُوۡا رَبَّكُمۡ تَضَرُّعًا وَّخُفۡيَةً​ ؕ اِنَّهٗ لَا يُحِبُّ الۡمُعۡتَدِيۡنَ​ ۚ‏ ٥٥

Call upon your Lord with humility and in secret. Surely He does not love transgressors.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Apne Rubb ko pukaro gidgidate (with humility) huey aur chupke chupke. Yakeenan woh hadd se guzarne walon ko pasand nahin karta

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَا تُفۡسِدُوۡا فِى الۡاَرۡضِ بَعۡدَ اِصۡلَاحِهَا وَادۡعُوۡهُ خَوۡفًا وَّطَمَعًا​ ؕ اِنَّ رَحۡمَتَ اللّٰهِ قَرِيۡبٌ مِّنَ الۡمُحۡسِنِيۡنَ‏ ٥٦

Anddo not make mischief in the earth after it has been set in order, and call upon Him with fear and longing. Surely Allah's mercy is close to those who do good.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Zameen mein fasaad barpa na karo jabke uski islaah ho chuki hai aur khuda hi ko pukaro khauff ke saath aur tama (umeed) ke saath. Yaqeenan Allah ki rehmat neik kirdaar (who do good) logon se qareeb hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَهُوَ الَّذِىۡ يُرۡسِلُ الرِّيٰحَ بُشۡرًۢا بَيۡنَ يَدَىۡ رَحۡمَتِهٖ ​ؕ حَتّٰۤى اِذَاۤ اَقَلَّتۡ سَحَابًا ثِقَالًا سُقۡنٰهُ لِبَلَدٍ مَّيِّتٍ فَاَنۡزَلۡنَا بِهِ الۡمَآءَ فَاَخۡرَجۡنَا بِهٖ مِنۡ كُلِّ الثَّمَرٰتِ​ؕ كَذٰلِكَ نُخۡرِجُ الۡمَوۡتٰى لَعَلَّكُمۡ تَذَكَّرُوۡنَ‏ ٥٧

And it is He Who sends forth winds as glad tidings in advance of His Mercy, and when they have carried a heavy-laden cloud We drive it to a dead land, then We send down rain from it and bring forth therwith fruits of every kind. In this manner do We raise the dead that you may take heed.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur woh Allah hi hai jo hawaon ko apni rehmat ke aagey aagey khush-khabri liye huey bhejta hai, phir jab woh pani se ladey huey badal utha leti hain to unhein kisi murda sar-zameen ki taraf harakat deta hai, aur wahan meh (barish) barsa kar (usi mari hui zameen se) tarah tarah ke phal nikal laata hai. Dekho, is tarah hum murdon ko halat e maut se nikalte hain, shayad ke tum is mushahide se sabaq lo

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَالۡبَلَدُ الطَّيِّبُ يَخۡرُجُ نَبَاتُهٗ بِاِذۡنِ رَبِّهٖ ​ۚ وَالَّذِىۡ خَبُثَ لَا يَخۡرُجُ اِلَّا نَكِدًا ​ؕ كَذٰلِكَ نُصَرِّفُ الۡاٰيٰتِ لِقَوۡمٍ يَّشۡكُرُوۡنَ‏  ٥٨

As for the good land, vegetation comes forth in abundance by the command of its Lord, whereas from the bad land, only poor vegetation comes forth. Thus do We expound Our signs in diverse ways for a people who are grateful.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jo zameen acchi hoti hai woh apne Rubb ke hukum se khoob phal phool lati hai aur jo zameen kharab hoti hai ussey naqis (poor) paidawar ke siwa kuch nahin nikalta. Is tarah hum nishaniyon ko baar baar pesh karte hain un logon ke liye jo shukarguzar honay waley hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

لَقَدۡ اَرۡسَلۡنَا نُوۡحًا اِلٰى قَوۡمِهٖ فَقَالَ يٰقَوۡمِ اعۡبُدُوا اللّٰهَ مَا لَـكُمۡ مِّنۡ اِلٰهٍ غَيۡرُهٗ ؕ اِنِّىۡۤ اَخَافُ عَلَيۡكُمۡ عَذَابَ يَوۡمٍ عَظِيۡمٍ‏  ٥٩

Indeed We sent forth Noah to his people and he said: '0 my people! Serve Allah, you have no other god than Him Indeed I fear for you the chastisement of an awesome Day.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Humne Nooh ko uski qaum ki taraf bheja, usne kaha “aey biradraan e qaum, Allah ki bandagi karo, uske siwa tumhara koi khuda nahin hai, main tumhare haqq mein ek haulnaak din (awesome day) ke azaab se darta hoon”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ الۡمَلَاُ مِنۡ قَوۡمِهٖۤ اِنَّا لَـنَرٰٮكَ فِىۡ ضَلٰلٍ مُّبِيۡنٍ‏  ٦٠

The leading men of his people replied: 'We see that you are in palpable error.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Uski qaum ke sardaron ne jawab diya “ humko to yeh nazar aata hai ke tum sareeh gumraahi mein mubtila ho”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ يٰقَوۡمِ لَـيۡسَ بِىۡ ضَلٰلَةٌ وَّلٰـكِنِّىۡ رَسُوۡلٌ مِّنۡ رَّبِّ الۡعٰلَمِيۡنَ‏  ٦١

He said: '0 my people! There is no error in me, but I am a Messenger from the Lord of the universe.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Nooh ne kaha “aey biradraan e qaum, main kisi gumraahi mein nahin pada hoon balke, main Rubb ul alameen ka Rasool hoon

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اُبَلِّغُكُمۡ رِسٰلٰتِ رَبِّىۡ وَاَنۡصَحُ لَـكُمۡ وَاَعۡلَمُ مِنَ اللّٰهِ مَا لَا تَعۡلَمُوۡنَ‏ ٦٢

I convey to you the messages of my Lord, give you sincere advice, and I know from Allah that which you do not know.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Tumhein apne Rubb ke paigamaat pahunchata hoon, tumhara khair-khwa hoon, aur mujhey Allah ki taraf se woh kuch maloom hai jo tumhein maloom nahin hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَوَعَجِبۡتُمۡ اَنۡ جَآءَكُمۡ ذِكۡرٌ مِّنۡ رَّبِّكُمۡ عَلٰى رَجُلٍ مِّنۡكُمۡ لِيُنۡذِرَكُمۡ وَلِتَـتَّقُوۡا وَلَعَلَّكُمۡ تُرۡحَمُوۡنَ‏ ٦٣

Do you wonder that admonition should come to you from your Lord through a man from amongst yourselves that he may warn you, that you may avoid evil and that mercy may be shown to you?'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Kya tumhein is baat par tajjub hua ke tumhare paas khud tumhari apni qaum ke ek aadmi ke zariye se tumhare Rubb ki yaad dehani aayi taa-ke tumhein khabardaar karey, aur tum galat rawi se bach jao aur tumpar reham kiya jaye?”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَكَذَّبُوۡهُ فَاَنۡجَيۡنٰهُ وَالَّذِيۡنَ مَعَهٗ فِى الۡفُلۡكِ وَاَغۡرَقۡنَا الَّذِيۡنَ كَذَّبُوۡا بِاٰيٰتِنَا​ ؕ اِنَّهُمۡ كَانُوۡا قَوۡمًا عَمِيۡنَ‏ ٦٤

But they charged him with falsehood. Thereupon We delivered Noah and those who were with him in the Ark, and caused those who rejected Our signs as false to be drowned. Surely they were a blind folk.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Magar unhon ne usko jhutla diya. Aakhir e kaar humne usey aur uske saathiyon ko ek kashti mein najaat di aur un logon ko dubo diya jinhon ne hamari aayat ko jhutlaya tha. Yaqeenan woh andhey log thay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِلٰى عَادٍ اَخَاهُمۡ هُوۡدًا​ ؕ قَالَ يٰقَوۡمِ اعۡبُدُوا اللّٰهَ مَا لَـكُمۡ مِّنۡ اِلٰهٍ غَيۡرُهٗ ؕ اَفَلَا تَتَّقُوۡنَ‏ ٦٥

And to 'Ad We sent forth their brother Hud. He said: '0 my people! Serve Allah; you have no other god than Him. Will you, then, not avoid evil?'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur Aad ki taraf humne unke bhai Hud ko bheja. Usne kaha “aey biradraan e qaum, Allah ki bandagi karo, uske siwa tumhara koi khuda nahin hai phir kya tum galat rawi se parheiz na karogey?”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ الۡمَلَاُ الَّذِيۡنَ كَفَرُوۡا مِنۡ قَوۡمِهٖۤ اِنَّا لَــنَرٰٮكَ فِىۡ سَفَاهَةٍ وَّاِنَّا لَــنَظُنُّكَ مِنَ الۡـكٰذِبِيۡنَ‏ ٦٦

The unbelievers among the leading men of his people said: 'Indeed we see you in folly, and consider you to be liars.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Uski qaum ke sardaron ne, jo uski baat maanne se inkar kar rahey thay, jawab mein kaha “ hum to tumhein be-aqali (in folly)mein mubtila samajhte hain aur humein gumaan hai ke tum jhootey ho”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ يٰقَوۡمِ لَـيۡسَ بِىۡ سَفَاهَةٌ وَّلٰـكِنِّىۡ رَسُوۡلٌ مِّنۡ رَّبِّ الۡعٰلَمِيۡنَ‏ ٦٧

He said: '0 my people! There is no folly in me; rather I am a Messenger from the Lord of the universe.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Usne kaha “ aey biradraan e qaum, main be-aqali mein mubtila nahin hoon balke main Rubb ul aalameen ka Rasool hoon

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اُبَلِّغُكُمۡ رِسٰلٰتِ رَبِّىۡ وَاَنَا لَـكُمۡ نَاصِحٌ اَمِيۡنٌ‏ ٦٨

I convey to you the messages of my Lord, and I give you sincere advice.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Tumko apne Rubb ke paigaamaat pahunchata hoon, aur tumhara aisa khair-khwah hoon jispar bharosa kiya jaa sakta hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَوَعَجِبۡتُمۡ اَنۡ جَآءَكُمۡ ذِكۡرٌ مِّنۡ رَّبِّكُمۡ عَلٰى رَجُلٍ مِّنۡكُمۡ لِيُنۡذِرَكُمۡ​ ؕ وَاذۡكُرُوۡۤا اِذۡ جَعَلَـكُمۡ ۚ خُلَفَآءَ مِنۡۢ بَعۡدِ قَوۡمِ نُوۡحٍ وَّزَادَكُمۡ فِى الۡخَـلۡقِ بَصۜۡطَةً​​ فَاذۡكُرُوۡۤا اٰ لَۤاءَ اللّٰهِ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُوۡنَ‏ ٦٩

Do you wonder that an exhortation should come to you from your Lord through a man from amongst yourselves that he may warn you? And do call to mind when He made you successors after the people of Noah and amply increased you in stature. Remember then the wondrous bounties of Allah, that you may prosper.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Kya tumhein is baat par tajjub hua ke tumhare paas khud tumhari apni qaum ke ek aadmi ke zariye se tumhare Rubb ki yaad dehani aayi taa-ke woh tumhein khabardaar karey? Bhool na jao ke tumhare Rubb ne Nooh ki qaum ke baad tumko uska jaanasheen(successors) banaya aur tumhein khoob tano-mand kiya(amply increased you in stature) , pas Allah ki qudrat ke karishmon ko yaad rakkho, umeed hai ke falaah paogey”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالُـوۡۤا اَجِئۡتَنَا لِنَعۡبُدَ اللّٰهَ وَحۡدَهٗ وَنَذَرَ مَا كَانَ يَعۡبُدُ اٰبَآؤُنَا​ ۚ فَاۡتِنَا بِمَا تَعِدُنَاۤ اِنۡ كُنۡتَ مِنَ الصّٰدِقِيۡنَ‏ ٧٠

They said: 'Have you come to us that we should worship none other than Allah and forsake all whom our forefathers were wont to worship? Then bring upon us the scourge with which you have threatened us if you are truthful?'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Unhon ne jawab diya “kya tu hamare paas is liye aaya hai ke hum akele Allah hi ki ibadat karein aur unhein chodh dein jinki ibadat hamare baap dada karte aaye hain? Accha to ley aa woh azaab jiski tu humein dhamki deta hai agar tu saccha hai”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَ قَدۡ وَقَعَ عَلَيۡكُمۡ مِّنۡ رَّبِّكُمۡ رِجۡسٌ وَّغَضَبٌ​ؕ اَتُجَادِلُوۡنَنِىۡ فِىۡۤ اَسۡمَآءٍ سَمَّيۡتُمُوۡهَاۤ اَنۡـتُمۡ وَاٰبَآؤُكُمۡ مَّا نَزَّلَ اللّٰهُ بِهَا مِنۡ سُلۡطٰنٍ​ؕ فَانْتَظِرُوۡۤا اِنِّىۡ مَعَكُمۡ مِّنَ الۡمُنۡتَظِرِيۡنَ‏  ٧١

Hud warned them: 'Surely punishment and wrath from your Lord have befallen upon you. Do you dispute with me about mere names that you and your forefathers have concocted and for which Allah has sent down no sanction? Wait, then, and I too am with you among those who wait.'

— A. Maududi (English Tafhim commentary)