Al-Ahzab

Surah 33

033 surah

يٰۤـاَيُّهَا النَّبِىُّ اتَّقِ اللّٰهَ وَلَا تُطِعِ الۡكٰفِرِيۡنَ وَالۡمُنٰفِقِيۡنَ​ ؕ اِنَّ اللّٰهَ كَانَ عَلِيۡمًا حَكِيۡمًا ۙ‏ ١

O Prophet, fear Allah and do not obey the unbelievers and the hypocrites. Verily Allah is All-Knowing, Most Wise.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey Nabi! Allah se daro aur kuffar o munafiqeen ki itaat (obey) na karo, haqeeqat mein Aleem(all knowing) aur Hakeem to Allah hi hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَّاتَّبِعۡ مَا يُوۡحٰٓى اِلَيۡكَ مِنۡ رَّبِّكَ​ ؕ اِنَّ اللّٰهَ كَانَ بِمَا تَعۡمَلُوۡنَ خَبِيۡرًا ۙ‏ ٢

Follow that which is revealed to you from your Lord. Verily Allah is fully aware of all that you do.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Pairvi karo us baat ki jiska ishara tumhare Rubb ki taraf se tumhein kiya ja raha hai. Allah har us baat se bakhabar hai jo tumlog karte ho

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَّتَوَكَّلۡ عَلَى اللّٰهِ​ ؕ وَكَفٰى بِاللّٰهِ وَكِيۡلًا‏ ٣

Put your trust in Allah: Allah is sufficient as Guardian.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Allah par tawakkul (bharosa) karo, Allah hi wakeel honay ke liye kafi hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

مَا جَعَلَ اللّٰهُ لِرَجُلٍ مِّنۡ قَلۡبَيۡنِ فِىۡ جَوۡفِهٖ ۚ وَمَا جَعَلَ اَزۡوَاجَكُمُ الّٰٓـئِْ تُظٰهِرُوۡنَ مِنۡهُنَّ اُمَّهٰتِكُمۡ ​ۚ وَمَا جَعَلَ اَدۡعِيَآءَكُمۡ اَبۡنَآءَكُمۡ​ ؕ ذٰ لِكُمۡ قَوۡلُـكُمۡ بِاَ فۡوَاهِكُمۡ​ ؕ وَاللّٰهُ يَقُوۡلُ الۡحَقَّ وَهُوَ يَهۡدِى السَّبِيۡلَ‏ ٤

Allah has never put two hearts within one person's body; nor has He made your wives, whom you compare to your mothers' backs (to divorce them), your true mothers; nor has He made those whom you adopt as sons your own sons. These are only words that you utter with your mouths. But Allah proclaims the Truth and directs you to the Right Path.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Allah ne kisi shaks (Mard) ke dhadh (jism/body) mein do dil nahin rakkhey hain, na usne tum logon ki un biwiyon ko jinse tum zihaar [whom you compare to your mothers’ backs (to divorce them)] karte ho tumhari Maa bana diya hai, aur na usne tumhare mooh bole beton ko tumhara haqiqi beta banaya hai. Yeh to woh baatein hain jo tumlog apne mooh se nikal dete ho, magar Allah woh baat kehta hai jo mabni bar haqeeqat hai. Aur wahi saheeh tareeqe ki taraf rehnumayi karta hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اُدۡعُوۡهُمۡ لِاٰبَآٮِٕهِمۡ هُوَ اَقۡسَطُ عِنۡدَ اللّٰهِ​ ۚ فَاِنۡ لَّمۡ تَعۡلَمُوۡۤا اٰبَآءَهُمۡ فَاِخۡوَانُكُمۡ فِى الدِّيۡنِ وَمَوَالِيۡكُمۡ​ؕ وَ لَيۡسَ عَلَيۡكُمۡ جُنَاحٌ فِيۡمَاۤ اَخۡطَاۡ تُمۡ بِهٖۙ وَلٰكِنۡ مَّا تَعَمَّدَتۡ قُلُوۡبُكُمۡ​ ؕ وَكَانَ اللّٰهُ غَفُوۡرًا رَّحِيۡمًا‏ ٥

Call your adopted sons after their true fathers; that is more equitable in the sight of Allah. But if you do not know their true fathers, then regard them as your brethren in faith and as allies. You will not be taken to task for your mistaken utterances, but you will be taken to task for what you say deliberately. Allah is Most Forgiving, Most Compassionate.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Mooh bole beton(adopted sons) ko unke baapon (fathers) ki nisbat se pukaro, yeh Allah ke nazdeek zyada munsifana (equitable) baat hai. Aur agar tumhein maloom na ho ke unke baap kaun hain to woh tumhare deeni bhai aur rafeeq hain. Na danishta jo baat tum kaho iske liye tumpar koi giraft(pakad) nahin hai, lekin us baat par zaroor giraft hai jiska tum dil se irada karo. Allah darguzar karne wala aur raheem hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَلنَّبِىُّ اَوۡلٰى بِالۡمُؤۡمِنِيۡنَ مِنۡ اَنۡفُسِهِمۡ​ وَاَزۡوَاجُهٗۤ اُمَّهٰتُهُمۡ​ ؕ وَاُولُوا الۡاَرۡحَامِ بَعۡضُهُمۡ اَوۡلٰى بِبَعۡضٍ فِىۡ كِتٰبِ اللّٰهِ مِنَ الۡمُؤۡمِنِيۡنَ وَالۡمُهٰجِرِيۡنَ اِلَّاۤ اَنۡ تَفۡعَلُوۡۤا اِلٰٓى اَوۡلِيٰٓٮِٕكُمۡ مَّعۡرُوۡفًا​ ؕ كَانَ ذٰ لِكَ فِى الۡكِتٰبِ مَسۡطُوۡرًا‏ ٦

Surely the Prophet has a greater claim over the believers than they have over each other, and his wives are their mothers. According to the Book of Allah, blood relatives have greater claim over each other than the rest of the believers and the Emigrants (in the cause of Allah), except that you may do some good to your allies (if you so wish). This is inscribed in the Book of Allah.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Bila shubah Nabi to ehle iman ke liye unki apni zaat par muqaddam hai, aur Nabi ki biwiyan unki maaein (mothers) hain. Magar kitabullah ki rooh se aam momineen aur muhajireen ki ba-nisbat rishtedar ek dusre ke zyada haqdar hain. Albatta apne rafiqon ke saath tum koi bhalayi (karna chaho to) kar sakte ho. Yeh hukum kitab e ilahi mein likha hua hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ اَخَذۡنَا مِنَ النَّبِيّٖنَ مِيۡثَاقَهُمۡ وَمِنۡكَ وَمِنۡ نُّوۡحٍ وَّاِبۡرٰهِيۡمَ وَمُوۡسٰى وَعِيۡسَى ابۡنِ مَرۡيَمَ وَاَخَذۡنَا مِنۡهُمۡ مِّيۡثاقًا غَلِيۡظًا ۙ‏  ٧

And call to mind, (O Prophet), when We took the covenant from all Prophets; and also from you and Noah and Abraham, Moses, and Jesus the son of Mary. We took from them a solemn covenant

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur (aey Nabi) yaad rakkho us ahad-o-paiman (covenant) ko jo humne sab paighambaron se liya hai, tumse bhi aur Nooh aur Ibrahim aur Moosa aur Isa ibne Maryam se bhi.Sabse pukhta ahad le chuke hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

لِّيَسۡئَلَ الصّٰدِقِيۡنَ عَنۡ صِدۡقِهِمۡ​ۚ وَاَعَدَّ لِلۡكٰفِرِيۡنَ عَذَابًا اَ لِيۡمًا‏ ٨

so that (their Lord) may question the truthful about their truthfulness. As for the unbelievers, He has kept a painful chastisement in store for them.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Taa-ke sacchey logon se (unka Rubb) unki sachhayi ke barey mein sawal karey, aur kaafiron ke liye to usne dardnaak azaab muhaiyya kar hi rakkha hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰۤـاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوا اذۡكُرُوۡا نِعۡمَةَ اللّٰهِ عَلَيۡكُمۡ اِذۡ جَآءَتۡكُمۡ جُنُوۡدٌ فَاَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ رِيۡحًا وَّجُنُوۡدًا لَّمۡ تَرَوۡهَا​ ؕ وَكَانَ اللّٰهُ بِمَا تَعۡمَلُوۡنَ بَصِيۡرًا ۚ‏ ٩

Believers, call to mind Allah's favour to you when enemy hosts invaded you. Then We sent against them a wind and hosts that you did not see although Allah was observing all that you were then doing.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey logon, jo iman laye ho, yaad karo Allah ke ehsan ko jo (abhi abhi) usne tumpar kiya hai jab lashkar tumpar chadh aaye to humne unpar ek sakht aandhi (wind) bhej di aur aisi faujein rawana ki jo tumko nazar na aati thi .Allah woh sab kuch dekh raha tha jo tumlog us waqt kar rahey thay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِذۡ جَآءُوۡكُمۡ مِّنۡ فَوۡقِكُمۡ وَمِنۡ اَسۡفَلَ مِنۡكُمۡ وَاِذۡ زَاغَتِ الۡاَبۡصَارُ وَبَلَغَتِ الۡقُلُوۡبُ الۡحَـنَـاجِرَ وَتَظُنُّوۡنَ بِاللّٰهِ الظُّنُوۡنَا ؕ‏ ١٠

When they came upon you from above you and from below you, when your eyes were stupefied with horror and your hearts leapt to your throats, and you began to entertain diverse thoughts about Allah.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jab woh upar se aur nichey se tumpar chadh aaye, jab khauf ke marey aankhein pathra gayi, kaleejey mooh ko aa gaye, aur tumlog Allah ke barey mein tarah tarah ke gumaan karne lagey

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

هُنَالِكَ ابۡتُلِىَ الۡمُؤۡمِنُوۡنَ وَزُلۡزِلُوۡا زِلۡزَالًا شَدِيۡدًا‏ ١١

The believers were then put to a severe test and were most violently convulsed.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Us waqt iman laney waley khoob aazmaaye (tested) gaye aur buri tarah hila marey gaye

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ يَقُوۡلُ الۡمُنٰفِقُوۡنَ وَالَّذِيۡنَ فِىۡ قُلُوۡبِهِمۡ مَّرَضٌ مَّا وَعَدَنَا اللّٰهُ وَرَسُوۡلُهٗۤ اِلَّا غُرُوۡرًا‏ ١٢

And call to mind when the hypocrites and all those with diseased hearts said: “All that Allah and His Messenger had promised us was nothing but deceit.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yaad karo woh waqt jab munafiqeen aur woh sab log jinke dilon mein rog tha saaf saaf keh rahey they ke Allah aur uske Rasool ne jo wadey humse kiye thay woh fareb ke siwa kuch na thay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ قَالَتۡ طَّآٮِٕفَةٌ مِّنۡهُمۡ يٰۤـاَهۡلَ يَثۡرِبَ لَا مُقَامَ لَكُمۡ فَارۡجِعُوۡا​ ۚ وَيَسۡتَاۡذِنُ فَرِيۡقٌ مِّنۡهُمُ النَّبِىَّ يَقُوۡلُوۡنَ اِنَّ بُيُوۡتَنَا عَوۡرَة​ٌ  ​ۛؕ وَمَا هِىَ بِعَوۡرَةٍ  ۛۚ اِنۡ يُّرِيۡدُوۡنَ اِلَّا فِرَارًا‏  ١٣

And when a section of them said: “(O people of Yathrib), now there is no place for you to stay, so turn back.” (And call to mind) when a section of them was seeking permission from the Prophet to leave, saying: “Our houses are exposed (to attack),” although they were not exposed (to attack); they only wished to flee (from the battle-front).

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jab un mein se ek giroh ne kaha ke “ aey yathrib ke logon, tumhare liye ab theharne ka koi mauqa nahin hai, palat chalo” jab unka ek fareeq yeh keh kar Nabi se rukhsat talab kar raha tha ke “hamare ghar khatrey mein hain,” halanke woh khatrey mein na thay. Dar-asal woh (muhaz e jung se[from the battle-front]) bhagna chahte thay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَوۡ دُخِلَتۡ عَلَيۡهِمۡ مِّنۡ اَقۡطَارِهَا ثُمَّ سُٮِٕلُوا الۡفِتۡنَةَ لَاٰتَوۡهَا وَمَا تَلَبَّثُوۡا بِهَاۤ اِلَّا يَسِيۡرًا‏ ١٤

If the enemy were to enter the town from various directions, and they were summoned to act treacherously, they would have succumbed to it and would have shown little reluctance in doing so.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Agar shehar ke atraaf se dushman ghus aaye hotay aur us waqt unhein fitne ki taraf dawat di jaati to yeh usmein ja padte aur mushkil hi se unhein shareek e fitna honay mein koi taamul (reluctance) hota

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَقَدۡ كَانُوۡا عَاهَدُوا اللّٰهَ مِنۡ قَبۡلُ لَا يُوَلُّوۡنَ الۡاَدۡبَارَ​ ؕ وَكَانَ عَهۡدُ اللّٰهِ مَسۡـــُٔوۡلًا‏ ١٥

They had earlier covenanted with Allah that they would not turn their backs in flight. And a covenant made with Allah must needs be answered for.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

In logon ne issey pehle Allah se ahad kiya tha ke yeh peeth na pherenge. Aur Allah se kiye huey ahad ki baaz- purs (questioning) to honi hi thi

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قُلْ لَّنۡ يَّنۡفَعَكُمُ الۡفِرَارُ اِنۡ فَرَرۡتُمۡ مِّنَ الۡمَوۡتِ اَوِ الۡقَتۡلِ وَاِذًا لَّا تُمَتَّعُوۡنَ اِلَّا قَلِيۡلًا‏ ١٦

(O Prophet), tell them: “If you run away from death or slaying, this flight will not avail you. You will have little time after that to enjoy (the pleasures of life).”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(Aey Nabi!) Insey kaho, agar tum maut ya qatal se bhago to yeh bhagna tumhare liye kuch bhi nafa-baksh na hoga, Iske baad zindagi ke mazey lootne ka thoda hi mauqa tumhein mil sakega

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قُلۡ مَنۡ ذَا الَّذِىۡ يَعۡصِمُكُمۡ مِّنَ اللّٰهِ اِنۡ اَرَادَ بِكُمۡ سُوۡٓءًا اَوۡ اَرَادَ بِكُمۡ رَحۡمَةً ​ؕ وَلَا يَجِدُوۡنَ لَهُمۡ مِّنۡ دُوۡنِ اللّٰهِ وَلِيًّا وَّلَا نَصِيۡرًا‏ ١٧

Say (to them): “Who can protect you from Allah if He desires an evil for you? And who can prevent Him if He desires to show mercy to you?” They shall find none other than Allah to be their protector or helper.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Insey kaho, kaun hai jo tumhein Allah se bacha sakata ho agar woh tumhein nuqsan pahunchana chahey? Aur kaun uski rehmat ko roak sakta hai agar woh tumpar meharbani karna chahey? Allah ke muqabley mein to yeh log koi haami o madadgar (protector or helper) nahin paa saktey hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَدۡ يَعۡلَمُ اللّٰهُ الۡمُعَوِّقِيۡنَ مِنۡكُمۡ وَالۡقَآٮِٕلِيۡنَ لِاِخۡوَانِهِمۡ هَلُمَّ اِلَيۡنَا​ ۚ وَلَا يَاۡتُوۡنَ الۡبَاۡسَ اِلَّا قَلِيۡلًا ۙ‏ ١٨

Allah knows well those of you who create obstructions (in war efforts) and say to their brethren: “Come and join us.” They hardly take any part in battle.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Allah tum mein se un logon ko khoob jaanta hai jo (jung ke kaam mein) rukawatein daalne waley hain, jo apne bhaiyon se kehte hain ke “aao hamari taraf.” Jo ladayi mein hissa lete bhi hain to bas naam ginane ko

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَشِحَّةً عَلَيۡكُمۡ ​​ۖۚ فَاِذَا جَآءَ الۡخَوۡفُ رَاَيۡتَهُمۡ يَنۡظُرُوۡنَ اِلَيۡكَ تَدُوۡرُ اَعۡيُنُهُمۡ كَالَّذِىۡ يُغۡشٰى عَلَيۡهِ مِنَ الۡمَوۡتِ​ ۚ فَاِذَا ذَهَبَ الۡخَـوۡفُ سَلَقُوۡكُمۡ بِاَ لۡسِنَةٍ حِدَادٍ اَشِحَّةً عَلَى الۡخَيۡـرِ​ ؕ اُولٰٓٮِٕكَ لَمۡ يُؤۡمِنُوۡا فَاَحۡبَطَ اللّٰهُ اَعۡمَالَهُمۡ​ ؕ وَكَانَ ذٰ لِكَ عَلَى اللّٰهِ يَسِيۡرًا‏ ١٩

They are utterly niggardly (in coming to your aid). Whenever there is danger, you will see them looking at you, their eyes rolling as though they were on the verge of fainting at the approach of death. But when the danger passes away, their greed for wealth prompts them to greet you with their sharp, scissor-like tongues. These are the ones who never truly believed, and so Allah has caused their deeds to be reduced to naught. That is easy enough for Allah.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jo tumhara saath dene mein sakht bakheel hain. Khatre ka waqt aa jaye to is tarah deedhey phira phira kar tumhari taraf dekhte hain jaise kisi marne wale par gashi taari ho rahi ho. Magar jab khatra guzar jata hai to yahi log faiydon ke harees bankar kainchi ki tarah (scissor-like) chalti hui zubaane liye tumhare isteqbal ko aa jatey hain. Yeh log hargiz iman nahin laye, isi liye Allah ne inke sarey aamal zaya kardiye. Aur aisa karna Allah ke liye bahut asaan hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يَحۡسَبُوۡنَ الۡاَحۡزَابَ لَمۡ يَذۡهَبُوۡا​ ۚ وَاِنۡ يَّاۡتِ الۡاَحۡزَابُ يَوَدُّوۡا لَوۡ اَنَّهُمۡ بَادُوۡنَ فِى الۡاَعۡرَابِ يَسۡـاَ لُوۡنَ عَنۡ اَنۡۢبَآٮِٕكُمۡ​ ؕ وَلَوۡ كَانُوۡا فِيۡكُمۡ مَّا قٰتَلُوۡۤا اِلَّا قَلِيۡلًا‏ ٢٠

They think that the invading confederates have not yet gone. But if the confederates were to mount another assault, they would wish to be in the desert among the bedouins and keep themselves informed about you from there. But even if they remained in your midst, hardly would they fight.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yeh samajh rahey hain ke hamla-aawar giroh abhi gaye nahin hain aur agar woh phir hamla awar ho jayein to inka ji chahta hai ke us mauqe par yeh kahin sehra (desert) mein badduon (bedouin) ke darmiyan ja baithein aur wahin se tumhare halaat puchte rahein.Taaham agar yeh tumhare darmiyan rahey bhi to ladayi mein kam hi hissa lengey

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

لَقَدۡ كَانَ لَكُمۡ فِىۡ رَسُوۡلِ اللّٰهِ اُسۡوَةٌ حَسَنَةٌ لِّمَنۡ كَانَ يَرۡجُوا اللّٰهَ وَالۡيَوۡمَ الۡاٰخِرَ وَذَكَرَ اللّٰهَ كَثِيۡرًا ؕ‏ ٢١

Surely there was a good example for you in the Messenger of Allah, for all those who look forward to Allah and the Last Day and remember Allah much.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Dar haqeeqat tum logon ke liye Allah ke Rasoool mein ek behtareen namuna tha, har us shaks ke liye jo Allah aur yaum e aakhir ka umeedwar ho aur kasrat se Allah ko yaad karey

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَمَّا رَاَ الۡمُؤۡمِنُوۡنَ الۡاَحۡزَابَ ۙ قَالُوۡا هٰذَا مَا وَعَدَنَا اللّٰهُ وَرَسُوۡلُهٗ وَ صَدَقَ اللّٰهُ وَرَسُوۡلُهٗ وَمَا زَادَهُمۡ اِلَّاۤ اِيۡمَانًـا وَّتَسۡلِيۡمًا ؕ‏ ٢٢

As for the true believers, when they saw the invading confederates, they cried out: “This is what Allah and His Messenger had promised us, and what Allah and His Messenger said was absolutely true.” This only increased their faith and submission.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur sacchey momino (ka haal us waqt yeh tha ke) jab unhon ne hamla-awar lashkaron ko dekha to pukar utthey ke “ yeh wahi cheez hai jiska Allah aur uske Rasool ne humse wada kiya tha. Allah aur uske Rasool ki baat bilkul sacchi thi.” Is waqiye ne unke imaan aur unki supurdagi (submission) ko aur zyada badha diya

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

مِنَ الۡمُؤۡمِنِيۡنَ رِجَالٌ صَدَقُوۡا مَا عَاهَدُوا اللّٰهَ عَلَيۡهِ​ۚ فَمِنۡهُمۡ مَّنۡ قَضٰى نَحۡبَهٗ وَمِنۡهُمۡ مَّنۡ يَّنۡتَظِرُ​ ۖ  وَمَا بَدَّلُوۡا تَبۡدِيۡلًا ۙ‏ ٢٣

Among the believers there are those who have remained true to the covenant they made with Allah. Among those some of them have fulfilled their vow and others await the appointed time. They have not changed in the least.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Iman laney walon mein aisey log maujood hain jinhon ne Allah se kiye huey ahad ko saccha kar dikhaya hai. In mein se koi apni nazar puri kar chuka aur koi waqt aane ka muntazir hai. Inhon ne apne rawaiyye mein koi tabdili nahin ki

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

لِّيَجۡزِىَ اللّٰهُ الصّٰدِقِيۡنَ بِصِدۡقِهِمۡ وَيُعَذِّبَ الۡمُنٰفِقِيۡنَ اِنۡ شَآءَ اَوۡ يَتُوۡبَ عَلَيۡهِمۡ​ ؕ اِنَّ اللّٰهَ كَانَ غَفُوۡرًا رَّحِيۡمًا ۚ‏ ٢٤

(All this is) in order that Allah may reward the truthful for their truthfulness, and either punish the hypocrites or, if He so wills, accept their repentance. Verily Allah is Most Pardoning, Most Compassionate.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(Yeh sabkuch is liye hua) taa-ke Allah sacchon ko unki sacchayi ki jaza de aur munafiqon ko chahe to saza de aur chahe to unki tawbah qabool karle. Beshak Allah gafoor o raheem hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَرَدَّ اللّٰهُ الَّذِيۡنَ كَفَرُوۡا بِغَيۡظِهِمۡ لَمۡ يَنَالُوۡا خَيۡرًا​ ؕ وَكَفَى اللّٰهُ الۡمُؤۡمِنِيۡنَ الۡقِتَالَ​ ؕ وَكَانَ اللّٰهُ قَوِيًّا عَزِيۡزًا ۚ‏ ٢٥

Allah sent back the unbelievers empty-handed, their hearts seething with rage. Allah sufficed the believers in their fight. Allah is Most Powerful, Most Mighty.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Allah ne kuffar ka mooh pher diya, woh koi faiyda haasil kiye bagair apne dil ki jalan liye yunhi palat gaye, aur momineen ki taraf se Allah hi ladne ke liye kaafi ho gaya. Allah badi quwwat wala aur zabardast hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاَنۡزَلَ الَّذِيۡنَ ظَاهَرُوۡهُمۡ مِّنۡ اَهۡلِ الۡكِتٰبِ مِنۡ صَيَاصِيۡهِمۡ وَقَذَفَ فِىۡ قُلُوۡبِهِمُ الرُّعۡبَ فَرِيۡقًا تَقۡتُلُوۡنَ وَتَاۡسِرُوۡنَ فَرِيۡقًا ۚ‏ ٢٦

Allah brought down from their fortresses those People of the Book who had supported the invading confederates and cast such terror into their hearts that some of them you kill and some of them you take captive.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir ehle kitaab mein se jin logon ne in hamla-awaron ka saath diya tha, Allah unki gadiyon(fortresses) se unhein utar laya aur unke dilon mein usne aisa roab (terror) daal diya ke aaj unmein se ek giroh ko tum qatal kar rahey ho aur dusre giroh ko qaid kar rahey ho

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاَوۡرَثَكُمۡ اَرۡضَهُمۡ وَدِيَارَهُمۡ وَ اَمۡوَالَهُمۡ وَاَرۡضًا لَّمۡ تَطَـــُٔوۡهَا​ ؕ وَكَانَ اللّٰهُ عَلٰى كُلِّ شَىۡءٍ قَدِيۡرًا‏ ٢٧

Allah made you inherit their land, their dwellings, and their goods, and a piece of land on which you had not yet trodden. Verily Allah has power over all things.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Usne tumko unki zameen mein aur unke gharon aur unke amwal (maal) ka waris bana diya aur woh ilaka tumhein diya jisey tumne kabhi pamaal (tread) na kiya tha. Allah har cheez par qadir hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰۤـاَيُّهَا النَّبِىُّ قُلْ لِّاَزۡوَاجِكَ اِنۡ كُنۡتُنَّ تُرِدۡنَ الۡحَيٰوةَ الدُّنۡيَا وَزِيۡنَتَهَا فَتَعَالَيۡنَ اُمَتِّعۡكُنَّ وَاُسَرِّحۡكُنَّ سَرَاحًا جَمِيۡلًا‏ ٢٨

O Prophet, tell your wives: “If you seek the world and its embellishments, then come and I will make some provision for you and release you in an honourable way.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey Nabi! Apni biwiyon se kaho, agar tum duniya aur uski zeenat chahti ho to aao, main tumhein kuch de dila kar bhale tareeqe se rukhsat kardoon

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِنۡ كُنۡتُنَّ تُرِدۡنَ اللّٰهَ وَرَسُوۡلَهٗ وَالدَّارَ الۡاٰخِرَةَ فَاِنَّ اللّٰهَ اَعَدَّ لِلۡمُحۡسِنٰتِ مِنۡكُنَّ اَجۡرًا عَظِيۡمًا‏ ٢٩

But if you seek Allah and His Messenger and the Abode of the Hereafter, then surely Allah has prepared a great reward for those of you who do good.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur agar tum Allah aur uske Rasool aur daar-e-aakhirat ki talib ho to jaan lo ke tum mein se jo neiko-kar hain Allah ne unke liye bada ajar muhaiyya kar rakkha hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰنِسَآءَ النَّبِىِّ مَنۡ يَّاۡتِ مِنۡكُنَّ بِفَاحِشَةٍ مُّبَيِّنَةٍ يُّضٰعَفۡ لَهَا الۡعَذَابُ ضِعۡفَيۡنِ ​ؕ وَكَانَ ذٰ لِكَ عَلَى اللّٰهِ يَسِيۡرًا‏ ٣٠

Wives of the Prophet, if any of you commit flagrant indecency, her chastisement shall be doubled. That is easy for Allah.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Nabi ki biwiyon, tum mein se Jo kisi sareeh fahash harkat ka irtiqab karegi usey dohra (double) azaab diya jayega. Allah ke liye yeh bahut aasaan kaam hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَمَنۡ يَّقۡنُتۡ مِنۡكُنَّ لِلّٰهِ وَرَسُوۡلِهٖ وَتَعۡمَلۡ صَالِحًـا نُّؤۡتِهَـآ اَجۡرَهَا مَرَّتَيۡنِۙ وَاَعۡتَدۡنَا لَهَا رِزۡقًا كَرِيۡمًا‏ ٣١

But whoever of you is obedient to Allah and His Messenger and does good deeds, Allah will double her reward. We have prepared for her a generous provision.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur tum mein se jo Allah aur uske Rasool ki itaat karegi aur neik amal karegi, usko hum dohra ajar dengey. Aur humne uske liye rizq e kareem muhaiyya kar rakkha hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰنِسَآءَ النَّبِىِّ لَسۡتُنَّ كَاَحَدٍ مِّنَ النِّسَآءِ اِنِ اتَّقَيۡتُنَّ فَلَا تَخۡضَعۡنَ بِالۡقَوۡلِ فَيَـطۡمَعَ الَّذِىۡ فِىۡ قَلۡبِهٖ مَرَضٌ وَّقُلۡنَ قَوۡلًا مَّعۡرُوۡفًا ۚ‏ ٣٢

Wives of the Prophet, you are not like other women. If you fear Allah, do not be too complaisant in your speech lest those with diseased hearts should covet you; but speak in a straight forward manner.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Nabi ki biwiyon, tum aam auraton ki tarah nahin ho. Agar tum Allah se darne wali ho to dabi zubaan se baat na kiya karo ke dil ki kharabi ka mubtala koi shaks lalach mein padh jaye, balke saaf seedhi baat karo

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَقَرۡنَ فِىۡ بُيُوۡتِكُنَّ وَلَا تَبَـرَّجۡنَ تَبَرُّجَ الۡجَاهِلِيَّةِ الۡاُوۡلٰى وَاَقِمۡنَ الصَّلٰوةَ وَاٰتِيۡنَ الزَّكٰوةَ وَاَطِعۡنَ اللّٰهَ وَرَسُوۡلَهٗ ؕ اِنَّمَا يُرِيۡدُ اللّٰهُ لِيُذۡهِبَ عَنۡكُمُ الرِّجۡسَ اَهۡلَ الۡبَيۡتِ وَيُطَهِّرَكُمۡ تَطۡهِيۡرًا ۚ‏ ٣٣

And stay in your homes and do not go about displaying your allurements as in the former Time of Ignorance. Establish Prayer, give Zakah, and obey Allah and His Messenger. Allah only wishes to remove uncleanness from you, O members of the (Prophet's) household, and to purify you completely.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Apne gharon mein tik kar raho aur sabiq daur e jahiliyat ki si sajh-dhaj na dikhati phiro. Namaz qayam karo, zakaat do aur Allah aur uske Rasool ki itaat karo. Allah to yeh chahta hai ke ehle bayt e Nabi se gandagi ko dur karey aur tumhein puri tarah paak karde

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاذۡكُرۡنَ مَا يُتۡلٰى فِىۡ بُيُوۡتِكُنَّ مِنۡ اٰيٰتِ اللّٰهِ وَالۡحِكۡمَةِؕ اِنَّ اللّٰهَ كَانَ لَطِيۡفًا خَبِيۡرًا‏ ٣٤

Remember the Signs of Allah and the words of wisdom which are rehearsed in your homes. Verily Allah is All-Subtle, All-Aware.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yaad rakkho Allah ki aayat aur hikmat ki un baaton ko jo tumhare gharon mein sunayi jati hain. Beshak Allah lateef (Subtle/gentle) aur ba-khabar hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِنَّ الۡمُسۡلِمِيۡنَ وَالۡمُسۡلِمٰتِ وَالۡمُؤۡمِنِيۡنَ وَالۡمُؤۡمِنٰتِ وَالۡقٰنِتِيۡنَ وَالۡقٰنِتٰتِ وَالصّٰدِقِيۡنَ وَالصّٰدِقٰتِ وَالصّٰبِرِيۡنَ وَالصّٰبِرٰتِ وَالۡخٰشِعِيۡنَ وَالۡخٰشِعٰتِ وَالۡمُتَصَدِّقِيۡنَ وَ الۡمُتَصَدِّقٰتِ وَالصَّآٮِٕمِيۡنَ وَالصّٰٓٮِٕمٰتِ وَالۡحٰفِظِيۡنَ فُرُوۡجَهُمۡ وَالۡحٰـفِظٰتِ وَالذّٰكِرِيۡنَ اللّٰهَ كَثِيۡرًا وَّ الذّٰكِرٰتِ ۙ اَعَدَّ اللّٰهُ لَهُمۡ مَّغۡفِرَةً وَّاَجۡرًا عَظِيۡمًا‏ ٣٥

Surely the men who submit (to Allah) and the women who submit (to Allah), the men who have faith and the women who have faith, the men who are obedient and the women who are obedient, the men who are truthful and the women who are truthful; the men who are steadfast and the women who are steadfast, the men who humble themselves (to Allah) and the women who humble themselves (to Allah), the men who give alms and the women who give alms, the men who fast and the women who fast, the men who guard their chastity and the women who guard their chastity, the men who remember Allah much and the women who remember Allah much: for them has Allah prepared forgiveness and a mighty reward.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Bil yaqeen jo mard aur jo auratein muslim hain, momin hain, mutii-e-farmaan hain, raast baaz hain, saabir hain, Allah ke aagey jhukne waley hain, sadaqa denay waley hain, roza rakhne waley hain, apni sharamgaahon ki hifazat karne waley hain, aur Allah ko kasrat se yaad karne waley hain, Allah ne unke liye magfirat aur bada ajar muhaiyya kar rakkha hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَمَا كَانَ لِمُؤۡمِنٍ وَّلَا مُؤۡمِنَةٍ اِذَا قَضَى اللّٰهُ وَرَسُوۡلُهٗۤ اَمۡرًا اَنۡ يَّكُوۡنَ لَهُمُ الۡخِيَرَةُ مِنۡ اَمۡرِهِمۡ ؕ وَمَنۡ يَّعۡصِ اللّٰهَ وَرَسُوۡلَهٗ فَقَدۡ ضَلَّ ضَلٰلًا مُّبِيۡنًا‏ ٣٦

It does not behove a believer, male or female, that when Allah and His Messenger have decided an affair they should exercise their choice. And whoever disobeys Allah and His Messenger has strayed to manifest error.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Kisi momin mard aur kisi momin aurat ko yeh haqq nahin hai ke jab Allah aur uska Rasool kisi maamle ka faisla karde to phir usey apne us maamle mein khud faisla karne ka ikhtiyar hasil rahey. Aur jo koi Allah aur uske Rasool ki na-farmani karey to woh sareeh gumrahi mein padh gaya

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ تَقُوۡلُ لِلَّذِىۡۤ اَنۡعَمَ اللّٰهُ عَلَيۡهِ وَاَنۡعَمۡتَ عَلَيۡهِ اَمۡسِكۡ عَلَيۡكَ زَوۡجَكَ وَاتَّقِ اللّٰهَ وَتُخۡفِىۡ فِىۡ نَفۡسِكَ مَا اللّٰهُ مُبۡدِيۡهِ وَتَخۡشَى النَّاسَ ​ۚ وَاللّٰهُ اَحَقُّ اَنۡ تَخۡشٰٮهُ ؕ فَلَمَّا قَضٰى زَيۡدٌ مِّنۡهَا وَطَرًا زَوَّجۡنٰكَهَا لِكَىۡ لَا يَكُوۡنَ عَلَى الۡمُؤۡمِنِيۡنَ حَرَجٌ فِىۡۤ اَزۡوَاجِ اَدۡعِيَآٮِٕهِمۡ اِذَا قَضَوۡا مِنۡهُنَّ وَطَرًا ؕ وَكَانَ اَمۡرُ اللّٰهِ مَفۡعُوۡلًا‏ ٣٧

(O Prophet), call to mind when you said to himwhom Allah had favoured and you had favoured: “Cleave to your wife and fear Allah,” and you concealed within yourself for fear of people what Allah was to reveal, although Allah has greater right that you fear Him. So when Zayd had accomplished what he would of her, We gave her in marriage to you so that there should not be any constraint for the believers regarding the wives of their adopted sons after they had accomplished whatever they would of them. And Allah's command was bound to be accomplished.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(Aey Nabi), yaad karo woh mauqa jab tum us shaks se keh rahey thay jispar Allah ne aur tumne ehsan kiya tha ke “Apni biwi ko na chodh aur Allah se darr” us waqt tum apne dil mein woh baat chupaye huey thay jisey Allah kholna chahta tha. Tum logon se darr rahey thay, halaanke Allah iska zyada haqdar hai ke tum ussey daro. Phir jab zaid ussey apni haajat puri kar chuka to humne us (mutallaqa khatun) ka tumse nikah kardiya, taa-ke momino par apne mooh boley beton(sons) ki biwiyon ke maamle mein koi tanggi na rahey jabke woh unse apni haajat puri kar chuke hon. Aur Allah ka hukum to amal mein aana hi chahiye tha

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

مَا كَانَ عَلَى النَّبِىِّ مِنۡ حَرَجٍ فِيۡمَا فَرَضَ اللّٰهُ لهٗ ؕ سُنَّةَ اللّٰهِ فِى الَّذِيۡنَ خَلَوۡا مِنۡ قَبۡلُ ؕ وَكَانَ اَمۡرُ اللّٰهِ قَدَرًا مَّقۡدُوۡرَا  ۙ‏ ٣٨

There could be no hindrance to the Prophet regarding what Allah ordained for him. Such has been Allah's Way (with the Prophets) who went before. Allah's command is a decree firmly determined.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Nabi par kisi aisey kaam mein koi rukawat nahin hai jo Allah ne uske liye muqarrar kardiya ho. Yahi Allah ki sunnat un sab ambiya (prophets) ke maamle mein rahi hai jo pehle guzar chuke hain aur Allah ka hukum ek qataii tai-shuda faisla hota hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اۨلَّذِيۡنَ يُبَـلِّـغُوۡنَ رِسٰلٰتِ اللّٰهِ وَيَخۡشَوۡنَهٗ وَلَا يَخۡشَوۡنَ اَحَدًا اِلَّا اللّٰهَ ؕ وَكَفٰى بِاللّٰهِ حَسِيۡبًا‏ ٣٩

(This is Allah's Way) regarding those who deliver the Messages of Allah and who fear Him, and fear no one else than Allah. Allah is Sufficient as a Reckoner.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(Yeh Allah ki sunnat hai un logon ke liye) jo Allah ke paighaamat pahunchate hain aur usi sey darte hain aur ek khuda ke siwa kisi se nahin darte, aur muhasibe (accountability) ke liye bas Allah hi kaafi hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

مَا كَانَ مُحَمَّدٌ اَبَآ اَحَدٍ مِّنۡ رِّجَالِكُمۡ وَلٰـكِنۡ رَّسُوۡلَ اللّٰهِ وَخَاتَمَ النَّبِيّٖنَ ؕ وَكَانَ اللّٰهُ بِكُلِّ شَىۡءٍ عَلِيۡمًا‏ ٤٠

Muhammad is not the father of any of your men, but he is the Messenger of Allah and the seal of the Prophets. Allah has full knowledge of everything.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(Logon) Muhammad tumhare mardon mein se kisi ke baap nahin hain, magar woh Allah ke Rasool aur khatim-un-Nabiyeen hain, Aur Allah har cheez ka ilm rakhne wala hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰۤـاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوا اذۡكُرُوۡا اللّٰهَ ذِكۡرًا كَثِيۡرًا ۙ‏ ٤١

Believers, remember Allah much

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey logon! jo imaan laaye ho, Allah ko kasrat se yaad karo

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَّ سَبِّحُوۡهُ بُكۡرَةً وَّاَصِيۡلًا‏ ٤٢

and glorify Him morning and evening.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur subah o shaam uski tasbeeh karte raho

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

هُوَ الَّذِىۡ يُصَلِّىۡ عَلَيۡكُمۡ وَمَلٰٓٮِٕكَتُهٗ لِيُخۡرِجَكُمۡ مِّنَ الظُّلُمٰتِ اِلَى النُّوۡرِ ؕ وَكَانَ بِالۡمُؤۡمِنِيۡنَ رَحِيۡمًا‏ ٤٣

It is He Who lavishes His blessings on you and His angels invoke blessings on you that He may lead you out of darkness into light. He is Most Compassionate to the believers.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Wahi hai jo tumpar rehmat farmata hai aur uske malaika tumhare liye dua e rehmat karte hain taa-ke woh tumhein tareekiyon (andhere) se roshni mein nikal laye. Woh momino par bahut meharbaan hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

تَحِيَّتُهُمۡ يَوۡمَ يَلۡقَوۡنَهٗ سَلٰمٌ ۖۚ وَاَعَدَّ لَهُمۡ اَجۡرًا كَرِيۡمًا‏  ٤٤

On the Day they meet Him they will be greeted with: “Peace.” He has prepared for them a generous reward.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jis roz woh ussey milenge unka isteqbal salaam se hoga aur unke liye Allah ne bada baa-izzat ajar faraham kar rakkha hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰۤـاَيُّهَا النَّبِىُّ اِنَّاۤ اَرۡسَلۡنٰكَ شَاهِدًا وَّمُبَشِّرًا وَّنَذِيۡرًا ۙ‏ ٤٥

O Prophet, We have sent you forth as a witness, a bearer of good tidings, and a warner,

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey Nabi, humne tumhein bheja hai gawah bana kar, basharat (khush khabri) dene wala aur darane wala bana kar

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَّدَاعِيًا اِلَى اللّٰهِ بِاِذۡنِهٖ وَسِرَاجًا مُّنِيۡرًا‏ ٤٦

as one who calls people to Allah by His leave, and as a bright, shining lamp.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Allah ki ijazat se uski taraf dawat dene wala bana kar aur roshan chiraag bana kar

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَبَشِّرِ الۡمُؤۡمِنِيۡنَ بِاَنَّ لَهُمۡ مِّنَ اللّٰهِ فَضۡلًا كَبِيۡرًا‏  ٤٧

Announce to the believers the good tidings that Allah has kept bounteous blessings in store for them.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Basharat dedo un logon ko jo (tumpar) iman laye hain ke unke liye Allah ki taraf se bada fazal hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَا تُطِعِ الۡكٰفِرِيۡنَ وَالۡمُنٰفِقِيۡنَ وَدَعۡ اَذٰٮهُمۡ وَتَوَكَّلۡ عَلَى اللّٰهِ ؕ وَكَفٰى بِاللّٰهِ وَكِيۡلًا‏ ٤٨

Do not yield to the unbelievers and the hypocrites, and disregard the hurt that comes from them, and put your trust in Allah. Allah suffices as the Guardian to entrust one's affairs to.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur hargiz na daboo kuffar-o-munafiqeen se, koi parwah na karo unki aziyat rasani (taklif/ hurt) ki aur bharosa karlo Allah par. Allah hi iske liye kafi hai ke aadmi apne maamlaaat uske supurd karde

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰۤـاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡۤا اِذَا نَكَحۡتُمُ الۡمُؤۡمِنٰتِ ثُمَّ طَلَّقۡتُمُوۡهُنَّ مِنۡ قَبۡلِ اَنۡ تَمَسُّوۡهُنَّ فَمَا لَـكُمۡ عَلَيۡهِنَّ مِنۡ عِدَّةٍ تَعۡتَدُّوۡنَهَا ۚ فَمَتِّعُوۡهُنَّ وَسَرِّحُوۡهُنَّ سَرَاحًا جَمِيۡلًا‏ ٤٩

Believers, when you marry believing women and then divorce them before you have touched them, you may not require them to observe a waiting period that you might reckon against them. So make provision for them and release them in an honourable manner.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey logon jo iman laye ho, jab tum momin auraton se nikah karo aur phir unhein haath lagane se pehle talaq de do to tumhari taraf se unpar koi iddat (waiting period) lazim nahin hai jiske pooray honay ka tum mutalba kar sako. Lihaza unhein kuch maal do aur bhale tareeqe se rukhsat kardo

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰۤاَيُّهَا النَّبِىُّ اِنَّاۤ اَحۡلَلۡنَا لَـكَ اَزۡوَاجَكَ الّٰتِىۡۤ اٰتَيۡتَ اُجُوۡرَهُنَّ وَمَا مَلَـكَتۡ يَمِيۡنُكَ مِمَّاۤ اَفَآءَ اللّٰهُ عَلَيۡكَ وَبَنٰتِ عَمِّكَ وَبَنٰتِ عَمّٰتِكَ وَبَنٰتِ خَالِكَ وَبَنٰتِ خٰلٰتِكَ الّٰتِىۡ هَاجَرۡنَ مَعَكَ وَامۡرَاَةً مُّؤۡمِنَةً اِنۡ وَّهَبَتۡ نَفۡسَهَا لِلنَّبِىِّ اِنۡ اَرَادَ النَّبِىُّ اَنۡ يَّسۡتَـنۡكِحَهَا خَالِصَةً لَّـكَ مِنۡ دُوۡنِ الۡمُؤۡمِنِيۡنَ ؕ قَدۡ عَلِمۡنَا مَا فَرَضۡنَا عَلَيۡهِمۡ فِىۡۤ اَزۡوَاجِهِمۡ وَمَا مَلَـكَتۡ اَيۡمَانُهُمۡ لِكَيۡلَا يَكُوۡنَ عَلَيۡكَ حَرَجٌ ؕ وَكَانَ اللّٰهُ غَفُوۡرًا رَّحِيۡمًا‏ ٥٠

O Prophet, We have made lawful for you your wives whose bridal dues you have paid, and the slave-girls you possess from among the prisoners of war, and the daughters of your paternal uncles and paternal aunts, and the daughters of your maternal uncles and maternal aunts who have migrated with you, and a believing woman who gives herself to the Prophet and whom he wants to take in marriage. (O Prophet), this privilege is yours alone to the exclusion of other believers. We know well what restrictions We have imposed upon them as regards their wives and those whom their right hands possess, (and have exempted you from those restrictions) that there may be no constraint upon you. Allah is Most Forgiving, Most Merciful.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey Nabi, humne tumhare liye halal kardi tumhari woh biwiyan jinke mehar tumne ada kiye hain, aur woh auratein jo Allah ki ata karda laundiyan (slave-girls) mein se tumhari milkiyat mein aayein.Aur tumhari woh chacha-zaad aur phupi-zaad aur mamu-zaad aur khala-zaad behnein jinhon ne tumhare saath hijrat ki hai. Aur woh momin aurat jisne apne aap ko Nabi ke liye heba kiya ho agar Nabi usey nikah mein lena chahe. Yeh riayat (priviledge) khaalisatan tumhare liye hai, dusre momino ke liye nahin hai. Humko maloom hai ke aam momino par unki biwiyon aur laundiyon (slave-girls) ke barey mein humne kya hudood (restrictions) aayad kiye hain. (Tumhein in hudood se humne is liye mustsna (exempted) kiya hai) taa-ke tumhare upar koi tanggi na rahey. Aur Allah gafoor o raheem hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

تُرۡجِىۡ مَنۡ تَشَآءُ مِنۡهُنَّ وَتُـــْٔوِىۡۤ اِلَيۡكَ مَنۡ تَشَآءُ ؕ وَمَنِ ابۡتَغَيۡتَ مِمَّنۡ عَزَلۡتَ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكَ ؕ ذٰ لِكَ اَدۡنٰٓى اَنۡ تَقَرَّ اَعۡيُنُهُنَّ وَلَا يَحۡزَنَّ وَيَرۡضَيۡنَ بِمَاۤ اٰتَيۡتَهُنَّ كُلُّهُنَّ ؕ وَاللّٰهُ يَعۡلَمُ مَا فِىۡ قُلُوۡبِكُمۡ ؕ وَكَانَ اللّٰهُ عَلِيۡمًا حَلِيۡمًا‏ ٥١

Of them you may put off any of them you wish, and you may take any of them whom you wish, and you may call back any of those whom you had (temporarily) set aside: there will be no blame on you (on this account). It is likelier that they will thus be comforted, and will not grieve, and every one of them will be well-pleased with what you give them. Allah knows what is in your hearts. Allah is All-Knowing, All-Forbearing.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Tumko ikhtiyar diya jata hai ke apni biwiyon mein se jisko chaho apne se alag rakkho, jisey chaho apne saath rakkho aur jisey chaho alag rakhne ke baad apne paas bula lo. Is maamle mein tumpar koi muzaiqa (blame) nahin hai. Is tarah zyada mutawaqqe (likely) hai ke unki aankhein thandi rahengi aur woh ranjeeda (grieve) na hongi. Aur jo kuch bhi tum unko dogey uspar woh sab raazi rahengi. Allah jaanta hai jo kuch tum logon ke dilon mein hai, aur Allah aleem o haleem(All-Forbearing) hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

لَا يَحِلُّ لَـكَ النِّسَآءُ مِنۡۢ بَعۡدُ وَلَاۤ اَنۡ تَبَدَّلَ بِهِنَّ مِنۡ اَزۡوَاجٍ وَّلَوۡ اَعۡجَبَكَ حُسۡنُهُنَّ اِلَّا مَا مَلَـكَتۡ يَمِيۡنُكَ​ؕ وَكَانَ اللّٰهُ عَلٰى كُلِّ شَىۡءٍ رَّقِيۡبًا‏ ٥٢

Thereafter women will not be lawful for you, and it will not be lawful for you to take other wives in place of them, even though their beauty might please you,unless they be those whom your right hand owns. Allah is watchful over everything.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Iske baad tumhare liye dusri auratein halal nahin hain. Aur na iski ijazat hai ke unki jagah aur biwiyan le aao khwah unka husn (beauty) tumhein kitna hi pasand ho.Albatta laundiyon ki tumhein ijazat hai. Allah har cheez par nigran hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰۤاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَدۡخُلُوۡا بُيُوۡتَ النَّبِىِّ اِلَّاۤ اَنۡ يُّؤۡذَنَ لَـكُمۡ اِلٰى طَعَامٍ غَيۡرَ نٰظِرِيۡنَ اِنٰٮهُ وَلٰـكِنۡ اِذَا دُعِيۡتُمۡ فَادۡخُلُوۡا فَاِذَا طَعِمۡتُمۡ فَانْتَشِرُوۡا وَلَا مُسۡتَاۡنِسِيۡنَ لِحَـدِيۡثٍ ؕ اِنَّ ذٰلِكُمۡ كَانَ يُؤۡذِى النَّبِىَّ فَيَسۡتَحۡىٖ مِنۡكُمۡ وَاللّٰهُ لَا يَسۡتَحۡىٖ مِنَ الۡحَـقِّ ؕ وَاِذَا سَاَ لۡتُمُوۡهُنَّ مَتَاعًا فَسۡـَٔـــلُوۡهُنَّ مِنۡ وَّرَآءِ حِجَابٍ ؕ ذٰ لِكُمۡ اَطۡهَرُ لِقُلُوۡبِكُمۡ وَقُلُوۡبِهِنَّ ؕ وَمَا كَانَ لَـكُمۡ اَنۡ تُؤۡذُوۡا رَسُوۡلَ اللّٰهِ وَلَاۤ اَنۡ تَـنۡكِحُوۡۤا اَزۡوَاجَهٗ مِنۡۢ بَعۡدِهٖۤ اَبَدًا ؕ اِنَّ ذٰ لِكُمۡ كَانَ عِنۡدَ اللّٰهِ عَظِيۡمًا‏ ٥٣

Believers, enter not the houses of the Prophet without his permission,nor wait for a meal to be prepared; instead enter when you are invited to eat, and when you have had the meal, disperse. Do not linger in idle talk. That is hurtful to the Prophet but he does not express it out of shyness; but Allah is not ashamed of speaking out the Truth. And if you were to ask the wives of the Prophet for something, ask from behind a curtain. That is more apt for the cleanness of your hearts and theirs. It is not lawful for you to cause hurt to Allah's Messenger, nor to ever marry his wives after him. Surely that would be an enormous sin in Allah's sight.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey logon jo imaa laye ho, Nabi ke gharon mein bila ijazat na chale aaya karo, na khane ka waqt taakte raho. Haan agar tumhein khane par bulaya jaye to zaroor aao, magar jab khana khalo to muntashir (disperse) ho jaao, baatein karne mein na lagey raho. Tumhari yeh harakatein Nabi ko takleef deti hain, magar woh sharam ki wajah se kuch nahin kehte aur Allah haqq baat kehne mein nahin sharmata. Nabi ki biwiyon se agar tumhein kuch maangna ho to purday ke peechey se maanga karo. Yeh tumhare aur unke dilon ki paakeezgi ke liye zyada munasib tareeqa hai. Tumhare liye yeh hargiz jayiz nahin ke Allah ke Rasool ko takleef do, aur na yeh jayiz hai ke unke baad unki biwiyon se nikah karo.Yeh Allah ke nazdeek bahut bada gunaah hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِنۡ تُبۡدُوۡا شَيۡـــًٔا اَوۡ تُخۡفُوۡهُ فَاِنَّ اللّٰهَ كَانَ بِكُلِّ شَىۡءٍ عَلِيۡمًا‏ ٥٤

(It does not matter) whether you disclose something or conceal it, for Allah certainly knows everything.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Tum khwah koi baat zahir karo ya chupao, har baat ka ilm hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

لَا جُنَاحَ عَلَيۡهِنَّ فِىۡۤ اٰبَآٮِٕهِنَّ وَلَاۤ اَبۡنَآٮِٕهِنَّ وَلَاۤ اِخۡوَانِهِنَّ وَلَاۤ اَبۡنَآءِ اِخۡوَانِهِنَّ وَلَاۤ اَبۡنَآءِ اَخَوٰتِهِنَّ وَلَا نِسَآٮِٕهِنَّ وَلَا مَا مَلَـكَتۡ اَيۡمَانُهُنَّ ۚ وَاتَّقِيۡنَ اللّٰهَ ؕ اِنَّ اللّٰهَ كَانَ عَلٰى كُلِّ شَىۡءٍ شَهِيۡدًا‏ ٥٥

It will not be blameworthy for the wives of the Prophet if their fathers, their sons, their brothers, their brothers' sons, their sisters' sons, and the women with whom they have social relations, and the persons whom their right hands possess enter their houses. (O women), shun disobeying Allah. Allah is watchful over everything.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Azwaj (wives) Nabi ke liye ismein koi muzahiqa (blameworthy) nahin hai ke unke baap, unke betey, unke bhai, unke bhatije, unke bhanje, unke mail-jol ki auratein aur unke mamluk gharon mein aayein. (Aey auraton) tumhein Allah ki nafarmani se parheiz karna chahiye. Allah har cheez par nigaah rakhta hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِنَّ اللّٰهَ وَمَلٰٓٮِٕكَتَهٗ يُصَلُّوۡنَ عَلَى النَّبِىِّ ؕ يٰۤـاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا صَلُّوۡا عَلَيۡهِ وَسَلِّمُوۡا تَسۡلِيۡمًا‏ ٥٦

Allah and His angels bless the Prophet. Believers, invoke blessings and peace on him.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Allah aur uske malaika (farishtey) Nabi par darood bhejte hain, Aey logon jo iman laye ho, tum bhi unpar darood o salaam bhejo

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِنَّ الَّذِيۡنَ يُؤۡذُوۡنَ اللّٰهَ وَرَسُوۡلَهٗ لَعَنَهُمُ اللّٰهُ فِى الدُّنۡيَا وَالۡاٰخِرَةِ وَاَعَدَّ لَهُمۡ عَذَابًا مُّهِيۡنًا‏ ٥٧

Verily those who cause annoyance to Allah and His Messenger � Allah has cursed them in this world and in the Hereafter and has prepared for them a humiliating chastisement.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jo log Allah aur uske Rasool ko aziyat(annoyance ) detay hain unpar duniya aur aakhirat mein Allah ne laanat farmayi hai aur unke liye ruswa-kun azaab muhaiyya kardiya hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَالَّذِيۡنَ يُؤۡذُوۡنَ الۡمُؤۡمِنِيۡنَ وَالۡمُؤۡمِنٰتِ بِغَيۡرِ مَا اكۡتَسَبُوۡا فَقَدِ احۡتَمَلُوۡا بُهۡتَانًا وَّاِثۡمًا مُّبِيۡنًا‏ ٥٨

Those who cause hurt to believing men and to believing women have invited upon themselves a calumny and a manifest sin.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur jo log momin mardon aur auraton ko be-kasoor aziyat (hurt) dete hain unhon ne ek badey bohtan (slander/calumny) aur sareeh gunaah ka wabal apne sar le liya hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰۤـاَيُّهَا النَّبِىُّ قُلْ لِّاَزۡوَاجِكَ وَبَنٰتِكَ وَنِسَآءِ الۡمُؤۡمِنِيۡنَ يُدۡنِيۡنَ عَلَيۡهِنَّ مِنۡ جَلَابِيۡبِهِنَّ ؕ ذٰ لِكَ اَدۡنٰٓى اَنۡ يُّعۡرَفۡنَ فَلَا يُؤۡذَيۡنَ ؕ وَكَانَ اللّٰهُ غَفُوۡرًا رَّحِيۡمًا‏ ٥٩

O Prophet, enjoin your wives and your daughters and the believing women, to draw a part of their outer coverings around them. It is likelier that they will be recognised and not molested. Allah is Most Forgiving, Most Merciful.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey Nabi, apni biwiyon aur betiyon aur ehle iman ki auraton se kehdo ke apne upar apni chadaron ke pallu latka liya karein. Yeh zyada munasib tareeqa hai taa-ke woh pehchan li jayein aur na satayi jayein. Allah taala gafoor o raheem hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

لَٮِٕنۡ لَّمۡ يَنۡتَهِ الۡمُنٰفِقُوۡنَ وَ الَّذِيۡنَ فِى قُلُوۡبِهِمۡ مَّرَضٌ وَّالۡمُرۡجِفُوۡنَ فِى الۡمَدِيۡنَةِ لَـنُغۡرِيَـنَّكَ بِهِمۡ ثُمَّ لَا يُجَاوِرُوۡنَكَ فِيۡهَاۤ اِلَّا قَلِيۡلًا ۛۚ  ۖ‏ ٦٠

If the hypocrites and those in whose hearts there is a sickness, and the scandal mongers in Madinah do not desist from their vile acts, We shall urge you to take action against them, and then they will hardly be able to stay in the city with you.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Agar munafiqeen, aur woh log jinke dilon mein kharabi hai, aur woh jo Medina mein hijaan angez afwahein(scandal mongers phaylane waley hain, apni harakaton se baaz na aayein to hum unke khilaf karawai karne ke liye tumhein utha khada karenge. Phir woh is shehar mein mushkil hi se tumhare saath reh sakenge)

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

مَّلۡـعُوۡنِيۡنَ ​ۛۚ اَيۡنَمَا ثُقِفُوۡۤا اُخِذُوۡا وَقُتِّلُوۡا تَقۡتِيۡلًا‏  ٦١

They shall be cursed from all around and they shall be ruthlessly killed wherever they are seized.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Unpar har taraf se laanat ki bochar hogi, jahan kahin paye jayenge pakde jayenge aur buri tarah marey jayenge

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

سُنَّةَ اللّٰهِ فِى الَّذِيۡنَ خَلَوۡا مِنۡ قَبۡلُۚ وَلَنۡ تَجِدَ لِسُنَّةِ اللّٰهِ تَبۡدِيۡلًا‏ ٦٢

This has been Allah's Way with those who have gone before, and you shall find no change in Allah's Way.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yeh Allah ki sunnat hai jo aisey logon ke maamle mein pehle se chali aa rahi hai, aur tum Allah ki sunnat mein koi tabdili na paogey

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يَسۡـــَٔلُكَ النَّاسُ عَنِ السَّاعَةِؕ قُلۡ اِنَّمَا عِلۡمُهَا عِنۡدَ اللّٰهِؕ وَمَا يُدۡرِيۡكَ لَعَلَّ السَّاعَةَ تَكُوۡنُ قَرِيۡبًا‏ ٦٣

People ask you concerning the Hour (of Resurrection). Say: “Allah alone has knowledge of it. What do you know? Perhaps the Hour is nigh.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Log tumse puchte hain ke qayamat ki ghadi kab aayegi. Kaho uska ilm to Allah hi ko hai , tumhein kya khabar?shayad ke woh qareeb hi aa lagi ho

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اِنَّ اللّٰهَ لَعَنَ الۡكٰفِرِيۡنَ وَاَعَدَّ لَهُمۡ سَعِيۡرًا ۙ‏ ٦٤

Allah has cursed the unbelievers and has prepared for them a Blazing Fire;

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Bahr-e-haal yeh yaqeeni amar hai ke Allah ne kaafiron par laanat ki hai aur unke liye bhadakti hui aag muhaiyya kardi hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

خٰلِدِيۡنَ فِيۡهَاۤ اَبَدًا ۚ لَا يَجِدُوۡنَ وَلِيًّا وَّلَا نَصِيۡرًا ۚ‏  ٦٥

therein they shall abide for ever. They shall find none to protect or help them.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jismein woh hamesha rahenge. Koi haami o madadgar na paa sakenge

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يَوۡمَ تُقَلَّبُ وُجُوۡهُهُمۡ فِى النَّارِ يَقُوۡلُوۡنَ يٰلَيۡتَـنَاۤ اَطَعۡنَا اللّٰهَ وَاَطَعۡنَا الرَّسُوۡلَا‏ ٦٦

On that Day when their faces shall be turned around in the Fire, they will say: “Would that we had obeyed Allah and obeyed the Messenger.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jis roz unke chehre aag par ulat palat kiye jayenge us waqt woh kahenge ke “ kaash humne Allah aur Rasool ki itaat ki hoti”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَقَالُوۡا رَبَّنَاۤ اِنَّاۤ اَطَعۡنَا سَادَتَنَا وَكُبَرَآءَنَا فَاَضَلُّوۡنَا السَّبِيۡلَا‏ ٦٧

They will say: “Our Lord, we obeyed our chiefs and our great ones, and they turned us away from the Right Way.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur kahenge “Aey Rubb hamare, humne apne sardaron aur apne badon (great ones) ki itaat ki aur unhon ne humein raah-e-raast se bay-raah kardiya

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

رَبَّنَاۤ اٰتِهِمۡ ضِعۡفَيۡنِ مِنَ الۡعَذَابِ وَالۡعَنۡهُمۡ لَعۡنًا كَبِيۡرًا‏  ٦٨

Our Lord, mete out to them a double chastisement and lay upon them a mighty curse.”

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey Rubb, unko dohra(double) azaab dey aur unpar sakht laanat kar”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰۤـاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَكُوۡنُوۡا كَالَّذِيۡنَ اٰذَوۡا مُوۡسٰى فَبَـرَّاَهُ اللّٰهُ مِمَّا قَالُوۡا ؕ وَكَانَ عِنۡدَ اللّٰهِ وَجِيۡهًا ؕ‏ ٦٩

Believers, do not be like those who distressed Moses and then Allah declared him quit of the ill they spoke about him; and he had a high standing with Allah.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey logon jo iman laye ho, un logon ki tarah na ban jao jinhon ne Moosa ko aziyatein (ranj pahuncha) di thin, phir Allah ne unki banayi hui baaton se uski baraat farmayi(cleared him) aur woh Allah ke nazdeek ba-izzat tha

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يٰۤـاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوا اتَّقُوا اللّٰهَ وَقُوۡلُوۡا قَوۡلًا سَدِيۡدًا ۙ‏ ٧٠

Believers, fear Allah and speak the truth:

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey iman laney walon, Allah se daro aur theek baat kiya karo

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يُّصۡلِحۡ لَـكُمۡ اَعۡمَالَـك