Ibrahim

Surah 14

014 surah

الۤرٰ​ كِتٰبٌ اَنۡزَلۡنٰهُ اِلَيۡكَ لِـتُخۡرِجَ النَّاسَ مِنَ الظُّلُمٰتِ اِلَى النُّوۡرِ  ۙ بِاِذۡنِ رَبِّهِمۡ اِلٰى صِرَاطِ الۡعَزِيۡزِ الۡحَمِيۡدِۙ‏ ١

Alif. Lam. Ra'. This is a Book which We have revealed to you that you may bring forth mankind from every kind of darkness into light, and direct them, with the leave of their Lord, to the Way of the Mighty, the Innately Praiseworthy,

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Alif Laam Raa (aey Muhammad), yeh ek kitab hai jisko humne tumhari taraf nazil kiya hai taa-ke tum logon ko tareekiyon (andhere) se nikal kar roshni mein lao unke Rubb ki taufeeq se, us khuda ke raaste par jo zabardast aur apni zaat mein aap mehmood hai (qabil e tareef hai)

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اللّٰهِ الَّذِىۡ لَهٗ مَا فِى السَّمٰوٰتِ وَمَا فِى الۡاَرۡضِ​ؕ وَوَيۡلٌ لِّـلۡكٰفِرِيۡنَ مِنۡ عَذَابٍ شَدِيۡدِ ۙ‏ ٢

(to the Way of) Allah to Whom belongs all that is in the heavens and all that is in the earth. Woe be to those who reject the Truth for a severe chastisement,

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur zameen aur aasmano ki saari maujuddat (har cheez) ka maalik hai, aur sakht tabah-kun saza hai qabool e haqq se inkar karne walon ke liye

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اۨلَّذِيۡنَ يَسۡتَحِبُّوۡنَ الۡحَيٰوةَ الدُّنۡيَا عَلَى الۡاٰخِرَةِ وَيَصُدُّوۡنَ عَنۡ سَبِيۡلِ اللّٰهِ وَيَبۡغُوۡنَهَا عِوَجًا​ ؕ اُولٰۤٮِٕكَ فِىۡ ضَلٰلٍۢ بَعِيۡدٍ‏  ٣

to those who have chosen the life of the world in preference to the Hereafter, who hinder people from the Way of Allah, and seek to make it crooked. They have gone far astray.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jo duniya ki zindagi ko aakhirat par tarjeeh (prefrence) detay hain, jo Allah ke rastey se logon ko rok rahey hain aur chahte hain ke yeh raasta (unki khwaishat ke mutabiq) teda (croocked) ho jaye. Yeh log gumraahi mein bahut door nikal gaye hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَمَاۤ اَرۡسَلۡنَا مِنۡ رَّسُوۡلٍ اِلَّا بِلِسَانِ قَوۡمِهٖ لِيُبَيِّنَ لَهُمۡ​ؕ فَيُضِلُّ اللّٰهُ مَنۡ يَّشَآءُ وَيَهۡدِىۡ مَنۡ يَّشَآءُ​ ؕ وَهُوَ الۡعَزِيۡزُ الۡحَكِيۡمُ‏ ٤

Never have We sent a Messenger but he has addressed his people in their language that he may fully expound his Message to them. (And after the Message is expounded), Allah lets go astray whomsoever He wills, and guides to the Right Way whomsoever He wills. He is the All-Mighty, the All-Wise.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Humne apna paigam dene ke liye jab kabhi koi Rasool bheja hai, usne apni qaum hi ki zubaan mein paigaam diya hai taa-ke woh unhein acchi tarah khol kar baat samjhaye. Phir Allah jisey chahta hai bhatka deta hai aur jisey chahta hai hidayat bakshta hai, woh baladast (galib/all powerful) aur hakeem hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَـقَدۡ اَرۡسَلۡنَا مُوۡسٰى بِاٰيٰتِنَاۤ اَنۡ اَخۡرِجۡ قَوۡمَكَ مِنَ الظُّلُمٰتِ اِلَى النُّوۡرِ ۙ وَذَكِّرۡهُمۡ بِاَيّٰٮمِ اللّٰهِ​ؕ اِنَّ فِىۡ ذٰ لِكَ لَاٰيٰتٍ لّـِكُلِّ صَبَّارٍ شَكُوۡرٍ‏ ٥

We indeed sent Moses with Our Signs, saying: "Lead your people out of all kinds of darkness into light, and admonish them by narrating to them anecdotes from the Days of Allah." Verily in it there are great Signs for everyone who is patient and gives thanks (to Allah).

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Hum issey pehle Moosa ko bhi apni nishaniyon ke saath bhej chuke hain, usey bhi humne hukum diya tha ke apni qaum ko tareekiyon (darkness) se nikal kar roshni mein laa aur unhein tareekh-e-ilahi (Divine History) ke sabaq-aamoz waqiyat suna kar naseehat kar. In waqiyat mein badi nishaniyan hain har us shaks ke liye jo sabr aur shukar karne wala ho

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ قَالَ مُوۡسٰى لِـقَوۡمِهِ اذۡكُرُوۡا نِعۡمَةَ اللّٰهِ عَلَيۡكُمۡ اِذۡ اَنۡجٰٮكُمۡ مِّنۡ اٰلِ فِرۡعَوۡنَ يَسُوۡمُوۡنَـكُمۡ سُوۡۤءَ الۡعَذَابِ وَ يُذَبِّحُوۡنَ اَبۡنَآءَكُمۡ وَيَسۡتَحۡيُوۡنَ نِسَآءَكُمۡ​ ؕ وَفِىۡ ذٰ لِكُمۡ بَلَاۤ ءٌ مِّنۡ رَّبِّكُمۡ عَظِيۡمٌ‏ ٦

And call to mind when Moses said to his people: "Remember Allah's favour upon you when He delivered you from Pharaoh's people who afflicted you with a grievous chastisement, slaughtering your sons, while letting your women live. In it there was a terrible trial from your Lord."

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yaad karo jab Moosa ne apni qaum se kaha “Allah ke us ehsan ko yaad rakkho jo usne tumpar kiya hai, usne tumko Firoun walon se chudaya jo tumko sakht takleefein dete thay, tumhare ladkon ko qatal kar daalte thay aur tumhari auraton ko zinda bacha rakhte thay. Usmein tumhare Rubb ki taraf se tumhari badi aazmaish thi

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ تَاَذَّنَ رَبُّكُمۡ لَٮِٕنۡ شَكَرۡتُمۡ لَاَزِيۡدَنَّـكُمۡ​ وَلَٮِٕنۡ كَفَرۡتُمۡ اِنَّ عَذَابِىۡ لَشَدِيۡدٌ‏ ٧

Also call to mind when your Lord proclaimed: "If you give thanks, I will certainly grant you more; but if you are ungrateful for My favours, My chastisement is terrible.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur yaad rakho, tumhare Rubb ne khabardar kardiya tha ke agar shukar-guzar banoge to main tumko aur zyada nawazunga aur agar kufran-e-niyamat (ungrateful) karoge to meri saza bahut sakht hai”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَقَالَ مُوۡسٰٓى اِنۡ تَكۡفُرُوۡۤا اَنۡـتُمۡ وَمَنۡ فِى الۡاَرۡضِ جَمِيۡعًا ۙ فَاِنَّ اللّٰهَ لَـغَنِىٌّ حَمِيۡدٌ‏ ٨

Moses said: "Were you to disbelieve - you and all those who live on earth - Allah is still Self-Sufficient, Innately Praiseworthy."

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur Moosa ne kaha ke “agar tum kufr karo aur zameen ke sarey rehne waley bhi kafir ho jayein to Allah be niyaz aur apni zaat mein aap mehmood hai”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَلَمۡ يَاۡتِكُمۡ نَبَـؤُا الَّذِيۡنَ مِنۡ قَبۡلِكُمۡ قَوۡمِ نُوۡحٍ وَّعَادٍ وَّثَمُوۡدَ​  ۛؕ وَالَّذِيۡنَ مِنۡۢ بَعۡدِهِمۡ ​ۛؕ لَا يَعۡلَمُهُمۡ اِلَّا اللّٰهُ​ؕ جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُهُمۡ بِالۡبَيِّنٰتِ فَرَدُّوۡۤا اَيۡدِيَهُمۡ فِىۡۤ اَفۡوَاهِهِمۡ وَقَالُوۡۤا اِنَّا كَفَرۡنَا بِمَاۤ اُرۡسِلۡـتُمۡ بِهٖ وَاِنَّا لَفِىۡ شَكٍّ مِّمَّا تَدۡعُوۡنَـنَاۤ اِلَيۡهِ مُرِيۡبٍ‏ ٩

Have the accounts of your predecessors not reached you: the people of Noah, the Ad, the Thamud, and those who came after them - they whose number is not known to any except Allah? Their Messengers came to them with Clear Signs, but they thrust their hands in their mouths, and said: "We do surely reject the Message you have brought, and we are in disquieting doubt about what you are summoning us to."

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Kya tumhein un qaumon ke halaat nahin pahunche jo tumse pehle guzar chuki hain? Qaum-e-Nooh, Aad, Samood aur unke baad aane wali bahut se qaumein jinka shumar Allah hi ko maloom hai? Unke Rasool jab unke paas saaf saaf baatein aur khuli khuli nishaniyan liye huey aaye to unhon ne apne mooh mein haath daba liye aur kaha ke “ jis paigaam ke saath tum bheje gaye ho hum usko nahin maante aur jis cheez ki tum humein dawat dete ho uski taraf se hum sakht khaljan aameiz shakk (disquieting doubt) mein padey huey hain”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَتۡ رُسُلُهُمۡ اَفِى اللّٰهِ شَكٌّ فَاطِرِ السَّمٰوٰتِ وَالۡاَرۡضِ​ؕ يَدۡعُوۡكُمۡ لِيَـغۡفِرَ لَـكُمۡ مِّنۡ ذُنُوۡبِكُمۡ وَيُؤَخِّرَكُمۡ اِلٰٓى اَجَلٍ مُّسَمًّى​ؕ قَالُوۡۤا اِنۡ اَنۡتُمۡ اِلَّا بَشَرٌ مِّثۡلُنَاؕ تُرِيۡدُوۡنَ اَنۡ تَصُدُّوۡنَا عَمَّا كَانَ يَعۡبُدُ اٰبَآؤُنَا فَاۡتُوۡنَا بِسُلۡطٰنٍ مُّبِيۡنٍ‏ ١٠

Their Messengers said: "Can there be any doubt about Allah, the Creator of the heavens and the earth? He invites you that He may forgive you your sins and grant you respite till an appointed term." They replied: "You are only a human being like ourselves. You seek to prevent us from serving those whom our forefathers have been serving all along. If that is so, produce a clear authority for it."

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Unke Rasoolon ne kaha “kya khuda ke barey mein Shakk hai jo aasmano aur zameen ka khaliq hai? Woh tumhein bula raha hai taa-ke tumhare kasoor maaf karey aur tumko ek muddat-e-muqarrar tak mohlat de”. Unhon ne jawab diya “ tum kuch nahin ho magar waise hi Insaan jaise hum hain , tum humein un hastiyon ki bandagi se rokna chahte ho jinki bandagi baap dada se hoti chali aa rahi hai, accha to lao koi sareeh sanad(clear proof)”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قَالَتۡ لَهُمۡ رُسُلُهُمۡ اِنۡ نَّحۡنُ اِلَّا بَشَرٌ مِّثۡلُكُمۡ وَلٰـكِنَّ اللّٰهَ يَمُنُّ عَلٰى مَنۡ يَّشَآءُ مِنۡ عِبَادِهٖ​ؕ وَمَا كَانَ لَنَاۤ اَنۡ نَّاۡتِيَكُمۡ بِسُلۡطٰنٍ اِلَّا بِاِذۡنِ اللّٰهِ​ؕ وَعَلَى اللّٰهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ الۡمُؤۡمِنُوۡنَ‏  ١١

Their Messengers told them: "Indeed we are only human beings like yourselves, but Allah bestows His favour on those of His servants whom He wills. It does not lie in our power to produce any authority except by the leave of Allah. It is in Allah that the believers should put their trust.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Unke Rasoolon ne unsey kaha “waqai hum kuch nahin hain magar tum hi jaise Insaan, lekin Allah apne bandon mein se jisko chahta hai nawazta hai aur yeh hamare ikhtiyar mein nahin hai ke tumhein koi sanad laa dein. Sanad to Allah hi ke izan (permission/will) se aa sakti hai. Aur Allah hi par ehle iman ko bharosa karna chahiye

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَمَا لَـنَاۤ اَلَّا نَـتَوَكَّلَ عَلَى اللّٰهِ وَقَدۡ هَدٰٮنَا سُبُلَنَا​ؕ وَلَــنَصۡبِرَنَّ عَلٰى مَاۤ اٰذَيۡتُمُوۡنَا​ؕ وَعَلَى اللّٰهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ الۡمُتَوَكِّلُوۡنَ‏  ١٢

And why should we not put our trust in Allah when it is indeed He Who has guided us to the ways of our life? We shall surely continue to remain steadfast in face of your persecution. All those who have to put trust, should put their trust only in Allah."

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur hum kyun na Allah par bharosa karein jabke hamari zindagi ki raahon mein usne hamari rehnumayi ki hai? Jo aziyatein (takleefein) tum log humein de rahey ho unpar hum sabr karenge aur bharosa karne walon ka bharosa Allah hi par hona chahiye”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَقَالَ الَّذِيۡنَ كَفَرُوۡا لِرُسُلِهِمۡ لَـنُخۡرِجَنَّكُمۡ مِّنۡ اَرۡضِنَاۤ اَوۡ لَـتَعُوۡدُنَّ فِىۡ مِلَّتِنَا​ ؕ فَاَوۡحٰۤى اِلَيۡهِمۡ رَبُّهُمۡ لَــنُهۡلِكَنَّ الظّٰلِمِيۡنَۙ‏ ١٣

Then the unbelievers told their Messengers: "You will have to return to the fold of our faith or else we shall banish you from our land." Thereupon their Lord revealed to them: "We will most certainly destroy these wrong-doers,

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aakhir-e-kaar munkireen ne apne Rasoolon se kehdiya ke “ yaa to tumhein hamari millat mein wapas aana hoga warna hum tumhein apne mulk se nikal denge”. Tab unke Rubb ne unpar wahee bheji ke “hum in zalimon ko halaak kar denge

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَـنُسۡكِنَنَّكُمُ الۡاَرۡضَ مِنۡۢ بَعۡدِهِمۡ​ؕ ذٰ لِكَ لِمَنۡ خَافَ مَقَامِىۡ وَخَافَ وَعِيۡدِ‏ ١٤

and will then cause you to settle in the land as their successors. That is the reward for him who fears to stand for reckoning and holds My threat in awe."

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur unke baad tumhein zameen mein aabaad karenge. Yeh inaam hai uska jo mere huzoor jawab-dehi (accountability) ka khauf rakhta ho aur meri waeed se darta ho”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاسۡتَفۡتَحُوۡا وَخَابَ كُلُّ جَبَّارٍ عَنِيۡدٍۙ‏ ١٥

They sought Our judgement. And (thanks to that judgement) every obstinate tyrant opposed to the Truth was brought to naught.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Unhon ne faisla chaha tha (to yun unka faisla hua) aur har jabbar (tyrant) dushman-e-haqq ne mooh ki khayi (suffered ignominy)

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

مِّنۡ وَّرَآٮِٕهٖ جَهَـنَّمُ وَيُسۡقٰى مِنۡ مَّآءٍ صَدِيۡدٍۙ‏ ١٦

Hell is before him and he shall be made to drink of the oozing pus,

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Phir iske baad aage uske liye jahannum hai, wahan usey kach-lahu (blood) ka sa pani peene ko diya jayega

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يَّتَجَرَّعُهٗ وَلَا يَكَادُ يُسِيۡـغُهٗ وَيَاۡتِيۡهِ الۡمَوۡتُ مِنۡ كُلِّ مَكَانٍ وَّمَا هُوَ بِمَيِّتٍؕ​ وَمِنۡ وَّرَآٮِٕهٖ عَذَابٌ غَلِيۡظٌ‏ ١٧

which he will gulp but will scarcely swallow, and death will come upon him from every quarter, and yet he will not be able to die. A terrible chastisement lies ahead in pursuit of him.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jisey woh zabardasti halaq se utarne ki koshish karega aur mushkil hi se utaar sakega. Maut har taraf se uspar chayi rahegi magar woh marne na payega aur aagey ek sakht azaab uski jaan ka laagu rahega

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

مَثَلُ الَّذِيۡنَ كَفَرُوۡا بِرَبِّهِمۡ​ اَعۡمَالُهُمۡ كَرَمَادِ ۨاشۡتَدَّتۡ بِهِ الرِّيۡحُ فِىۡ يَوۡمٍ عَاصِفٍ​ؕ لَا يَقۡدِرُوۡنَ مِمَّا كَسَبُوۡا عَلٰى شَىۡءٍ​ؕ ذٰ لِكَ هُوَ الضَّلٰلُ الۡبَعِيۡدُ‏ ١٨

This is the example of those who disbelieve in their Lord: their works are like ashes upon which the wind blows fiercely on a tempestuous day. They shall find no reward for their deeds. That indeed is the farthest point in straying.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jin logon ne apne Rubb se kufr kiya hai unke aamal ki misaal us raakh (ash) ki si hai jisey ek toofaani din ki aandhi ne uda diya ho. Woh apne kiye ka kuch bhi phal( na paa sakenge, yahi parle darje ki gum gashtagi (extreme deviation) hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَلَمۡ تَرَ اَنَّ اللّٰهَ خَلَقَ السَّمٰوٰتِ وَالۡاَرۡضَ بِالۡحَـقِّ​ؕ اِنۡ يَّشَاۡ يُذۡهِبۡكُمۡ وَيَاۡتِ بِخَلۡقٍ جَدِيۡدٍۙ‏ ١٩

Do you not see that Allah created the heavens and the earth in Truth? Were He to will, He could take you away and bring a new creation.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Kya tum dekhte nahin ho ke Allah ne aasman o zameen ki takhleeq ko haqq par qayam kiya hai? Woh chahe to tum logon ko le jaye aur ek nayi khalqat (creation) tumhari jagah le aaye

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَّمَا ذٰلِكَ عَلَى اللّٰهِ بِعَزِيۡزٍ‏ ٢٠

That is not at all difficult for Allah.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aisa karna uspar kuch bhi dushwar nahin hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَبَرَزُوۡا لِلّٰهِ جَمِيۡعًا فَقَالَ الضُّعَفٰۤؤُا لِلَّذِيۡنَ اسۡتَكۡبَرُوۡۤا اِنَّا كُنَّا لَـكُمۡ تَبَعًا فَهَلۡ اَنۡـتُمۡ مُّغۡـنُوۡنَ عَنَّا مِنۡ عَذَابِ اللّٰهِ مِنۡ شَىۡءٍ​ؕ قَالُوۡا لَوۡ هَدٰٮنَا اللّٰهُ لَهَدَيۡنٰكُمۡ​ؕ سَوَآءٌ عَلَيۡنَاۤ اَجَزِعۡنَاۤ اَمۡ صَبَرۡنَا مَا لَــنَا مِنۡ مَّحِيۡصٍ‏ ٢١

Then all of them will appear exposed before Allah, and the weak ones will say to the haughty ones: "We merely followed you. Will you, then, protect us from Allah's chastisement?" They will say: "Had Allah shown us the Way to our salvation, we would surely have also guided you. Now it is all the same whether we cry or suffer patiently, we have no escape."

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur yeh log jab ikatthey Allah ke saamne be-naqab hongey to us waqt in mein se jo duniya mein kamzor thay woh un logon se jo baday baney huey thay, kahenge “ duniya mein hum tumhare tabey thay, ab kya tum Allah ke azaab se humko bachane ke liye bhi kuch kar sakte ho?” Woh jawab denge “agar Allah ne humein najaat ki koi raah dikhayi hoti to hum zaroor tumhein bhi dikha dete, ab to yaksan hai, khwa hum jaza fazaa karein ya sabr, bahar haal hamare bachne ki koi surat nahin”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَقَالَ الشَّيۡطٰنُ لَـمَّا قُضِىَ الۡاَمۡرُ اِنَّ اللّٰهَ وَعَدَكُمۡ وَعۡدَ الۡحَـقِّ وَوَعَدْتُّكُمۡ فَاَخۡلَفۡتُكُمۡ​ؕ وَمَا كَانَ لِىَ عَلَيۡكُمۡ مِّنۡ سُلۡطٰنٍ اِلَّاۤ اَنۡ دَعَوۡتُكُمۡ فَاسۡتَجَبۡتُمۡ لِىۡ​ ۚ فَلَا تَلُوۡمُوۡنِىۡ وَلُوۡمُوۡۤا اَنۡفُسَكُمۡ​ ؕ مَاۤ اَنَا بِمُصۡرِخِكُمۡ وَمَاۤ اَنۡتُمۡ بِمُصۡرِخِىَّ​ ؕ اِنِّىۡ كَفَرۡتُ بِمَاۤ اَشۡرَكۡتُمُوۡنِ مِنۡ قَبۡلُ​ ؕ اِنَّ الظّٰلِمِيۡنَ لَهُمۡ عَذَابٌ اَ لِيۡمٌ‏ ٢٢

After the matter has been finally decided Satan will say: "Surely whatever Allah promised you was true; as for me, I went back on the promise I made to you. I had no power over you except that I called you to my way and you responded to me. So, do not blame me but blame yourselves. Here, neither I can come to your rescue, nor can you come to mine. I disavow your former act of associating me in the past with Allah. A grievous chastisement inevitably lies ahead for such wrong-doers."

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur jab faisla chuka diya jayega to shaytan kahega “ haqeeqat yeh hai ke Allah ne jo wadey tumse kiye thay woh sab sachhey thay aur maine jitne wadey kiye un mein se koi bhi pura na kiya. Mera tumpar koi zoar to tha nahin, maine iske siwa kuch nahin kiya ke apne rastey ki taraf tumhein dawat di aur tumne meri dawat par labbaik kiya (qabool ki). Ab mujhey malamat na karo, apne aap hi ko malamat karo. Yahan na main tumhari fariyad-rasi kar sakta hoon aur na tum meri. Issey pehle jo tumne mujhey khudayi mein shareek bana rakkha tha main ussey bari uz-zimma (dissociate myself) hoon. Aisey zalimon ke liye dardnaak saza yaqeeni hai”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاُدۡخِلَ الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا وَعَمِلُوا الصّٰلِحٰتِ جَنّٰتٍ تَجۡرِىۡ مِنۡ تَحۡتِهَا الۡاَنۡهٰرُ خٰلِدِيۡنَ فِيۡهَا بِاِذۡنِ رَبِّهِمۡ​ؕ تَحِيَّتُهُمۡ فِيۡهَا سَلٰمٌ‏ ٢٣

As for those who had believed and did good in the world, they shall be admitted to the Gardens beneath which rivers flow. There, with the leave of Allah, they shall abide forever, and will be greeted with: "Peace".

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Ba khilaf iske ke jo log duniya mein iman laye hain aur jinhon ne neik amal kiye hain woh aisey baaghon mein daakhil kiye jayenge jinke neechey nehrein behti hongi. Wahan woh apne Rubb ke izn(permission) se hamesha rahenge, aur wahan unka isteqbal salamati ki mubarak-baadi se hoga

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَلَمۡ تَرَ كَيۡفَ ضَرَبَ اللّٰهُ مَثَلًا كَلِمَةً طَيِّبَةً كَشَجَرَةٍ طَيِّبَةٍ اَصۡلُهَا ثَابِتٌ وَّفَرۡعُهَا فِى السَّمَآءِۙ‏ ٢٤

Do you not see how Allah has given the example of a good word? It is like a good tree, whose root is firmly fixed, and whose branches reach the sky,

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Kya tum dekhte nahin ho ke Allah ne kalima-e-tayyib ko kis cheez se misaal di hai? Iski misaal aisi hai jaise ek acchi zaat ka darakht, jiski jadh(root) zameen mein gehri jami hui hai aur shaakhein (branches) aasman tak pahunchi hui hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

تُؤۡتِىۡۤ اُكُلَهَا كُلَّ حِيۡنٍۢ بِاِذۡنِ رَبِّهَا​ؕ وَيَضۡرِبُ اللّٰهُ الۡاَمۡثَالَ لِلنَّاسِ لَعَلَّهُمۡ يَتَذَكَّرُوۡنَ‏ ٢٥

ever yielding its fruit in every season with the leave of its Lord. Allah gives examples for mankind that they may take heed.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Har aan woh apne Rubb ke hukum se apne phal de raha hai. Yeh misaalein Allah isliye deta hai ke log inse sabaq lein

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَمَثَلُ كَلِمَةٍ خَبِيۡثَةٍ كَشَجَرَةٍ خَبِيۡثَةٍ ۨاجۡتُثَّتۡ مِنۡ فَوۡقِ الۡاَرۡضِ مَا لَهَا مِنۡ قَرَارٍ‏ ٢٦

And the example of an evil word is that of an evil tree, uprooted from the surface of the earth, wholly unable to endure.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur kalima e khabisa (evil word) ki misaal ek badh-zaat darakht ki si hai jo zameen ki sath se ukhad phenka jaata hai, uske liye koi istehkam(stability) nahin hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يُثَبِّتُ اللّٰهُ الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا بِالۡقَوۡلِ الثَّابِتِ فِى الۡحَيٰوةِ الدُّنۡيَا وَفِى الۡاٰخِرَةِ​ ۚ وَيُضِلُّ اللّٰهُ الظّٰلِمِيۡنَ​ ۙ وَيَفۡعَلُ اللّٰهُ مَا يَشَآءُ‏ ٢٧

Thus, through a firm word, Allah grants firmness to the believers both in this world and in the Hereafter. As for the wrong-doers, Allah lets them go astray. Allah does whatever He wills.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Iman laney walon ko Allah ek qaul-e-sabit ki buniyad par duniya aur aakhirat, dono mein sabaat (steadfast) ata karta hai, aur zaalimon ko Allah bhatka deta hai. Allah ko ikhtiyar hai jo chahe karey

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَلَمۡ تَرَ اِلَى الَّذِيۡنَ بَدَّلُوۡا نِعۡمَتَ اللّٰهِ كُفۡرًا وَّاَحَلُّوۡا قَوۡمَهُمۡ دَارَ الۡبَوَارِۙ‏ ٢٨

Did you not see those who have exchanged Allah's favour with ingratitude to Him, causing their people to be cast in the abode of utter perdition

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Tumne dekha un logon ko jinhon ne Allah ki niyamat payi aur usey kufran-e-niyamat (ingratitude) se badal dala aur (apne saath) apni qaum ko bhi halakat ke ghar mein jhonk diya

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

جَهَـنَّمَ​ۚ يَصۡلَوۡنَهَا​ؕ وَبِئۡسَ الۡقَرَارُ‏ ٢٩

Hell, wherein they shall roast? How wretched a place to settle in!

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yani jahannum, jismein woh jhulse jayenge aur woh badhtareen jaye qarar hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَجَعَلُوۡا لِلّٰهِ اَنۡدَادًا لِّيُـضِلُّوۡا عَنۡ سَبِيۡلِهٖ​ؕ قُلۡ تَمَتَّعُوۡا فَاِنَّ مَصِيۡرَكُمۡ اِلَى النَّارِ‏ ٣٠

They have set up rivals to Allah that they may lead people astray from His way. Tell them: "Enjoy for a while. You are doomed to end up in the Fire!"

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aur Allah ke kuch humsar (equals to Allah) tajweej karliye taa-ke woh unhein Allah ke rastey se bhatka dein. Insey kaho: accha mazey karlo, aakhir e kaar tumhein palat kar jana dozakh hi mein hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

قُلْ لِّـعِبَادِىَ الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا يُقِيۡمُوا الصَّلٰوةَ وَيُنۡفِقُوۡا مِمَّا رَزَقۡنٰهُمۡ سِرًّا وَّعَلَانِيَةً مِّنۡ قَبۡلِ اَنۡ يَّاۡتِىَ يَوۡمٌ لَّا بَيۡعٌ فِيۡهِ وَلَا خِلٰلٌ‏ ٣١

(O Prophet), tell those of My servants who believe that they should establish Prayer and spend out of what We have provided them with, both secretly and openly, before there arrives the Day when there will be no bargaining, nor any mutual befriending.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(Aey Nabi), mere jo bandey iman laye hain unse kehdo ke namaz qayam karein aur jo kuch humne unko diya hai, usmein se khuley aur chupe (raah e khair mein) kharch karein qabl iske ke woh din aaye jismein na khareed o farokht hogi aur na dost nawazi ho sakegi (dosti kaam aayegi)

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَللّٰهُ الَّذِىۡ خَلَقَ السَّمٰوٰتِ وَالۡاَرۡضَ وَاَنۡزَلَ مِنَ السَّمَآءِ مَآءً فَاَخۡرَجَ بِهٖ مِنَ الثَّمَرٰتِ رِزۡقًا لَّـكُمۡ​ ۚ وَسَخَّرَ لَـكُمُ الۡـفُلۡكَ لِتَجۡرِىَ فِى الۡبَحۡرِ بِاَمۡرِهٖ​ۚ وَسَخَّرَ لَـكُمُ الۡاَنۡهٰرَ​ۚ‏ ٣٢

It is Allah Who created the heavens and the earth, Who sent down water from the heaven and thereby brought forth a variety of fruits as your sustenance, Who subjected for you the ships that they may sail in the sea by His command, Who subjected for you the rivers,

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Allah wahi to hai jisne zameen aur aasmano ko paida kiya aur aasman se pani barsaya, phir uske zariye se tumhari rizq rasani ke liye tarah tarah ke phal paida kiye. Jisne kashti ko tumhare liye musakkhar kiya ke samadar mein uske hukum se chale aur dariyaon ko tumhare liye musakkhar kiya

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَسَخَّرَ لَـكُمُ الشَّمۡسَ وَالۡقَمَرَ دَآٮِٕبَيۡنِ​ۚ وَسَخَّرَ لَـكُمُ الَّيۡلَ وَالنَّهَارَ​ۚ‏ ٣٣

Who subjected for you the sun and the moon and both of them are constant on their courses, Who subjected for you the night and the day,

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jisne Suraj aur chand ko tumhare liye musakkhar kiya ke lagataar chale jaa rahey hain aur raat aur din ko tumhare liye musakkhar kiya

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاٰتٰٮكُمۡ مِّنۡ كُلِّ مَا سَاَلۡـتُمُوۡهُ​ ؕ وَاِنۡ تَعُدُّوۡا نِعۡمَتَ اللّٰهِ لَا تُحۡصُوۡهَا ؕ اِنَّ الۡاِنۡسَانَ لَـظَلُوۡمٌ كَفَّارٌ‏ ٣٤

and Who gave you all that you asked Him for. Were you to count the favours of Allah you shall never be able to encompass them. Verily man is highly unjust, exceedingly ungrateful.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Jinse woh sab kuch tumhein diya jo tumne maanga, agar tum Allah kin niyamaton ka shumar karna chaho to kar nahin sakte. Haqeeqat yeh hai ke Insaan bada hi bay-insaaf aur nashukra hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاِذۡ قَالَ اِبۡرٰهِيۡمُ رَبِّ اجۡعَلۡ هٰذَا الۡبَلَدَ اٰمِنًا وَّاجۡنُبۡنِىۡ وَبَنِىَّ اَنۡ نَّـعۡبُدَ الۡاَصۡنَامَؕ‏ ٣٥

And call to mind when Abraham prayed: "My Lord! Make this city secure, and keep me and my sons away from worshipping the idols.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yaad karo woh waqt jab Ibrahim ne dua ki thi ke “parwardigar, is shehar ko aman ka shehar bana aur mujhey aur meri aulad ko buth parasti (idol worship) se bacha

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

رَبِّ اِنَّهُنَّ اَضۡلَلۡنَ كَثِيۡرًا مِّنَ النَّاسِ​ۚ فَمَنۡ تَبِعَنِىۡ فَاِنَّهٗ مِنِّىۡ​ۚ وَمَنۡ عَصَانِىۡ فَاِنَّكَ غَفُوۡرٌ رَّحِيۡمٌ‏ ٣٦

My Lord! They have caused many people to go astray. Now, if anyone follows my way, he is from me; and if anyone follows a way opposed to mine, then surely You are Ever-Forgiving, Most Merciful."

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Parwardigar, in buthon (idols) ne bahuton ko gumraahi mein dala hai (mumkin hai ke meri aulad ko bhi yeh gumraah kardein, lihaza unmein se) jo mere tareeqe par chale woh mera hai aur jo mere khilaf tareeqa ikhtiyar karey to yaqeenan tu darguzar karne wala mehrabaan hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

رَبَّنَاۤ اِنِّىۡۤ اَسۡكَنۡتُ مِنۡ ذُرِّيَّتِىۡ بِوَادٍ غَيۡرِ ذِىۡ زَرۡعٍ عِنۡدَ بَيۡتِكَ الۡمُحَرَّمِۙ رَبَّنَا لِيُقِيۡمُوۡا الصَّلٰوةَ فَاجۡعَلۡ اَ فۡـٮِٕدَةً مِّنَ النَّاسِ تَهۡوِىۡۤ اِلَيۡهِمۡ وَارۡزُقۡهُمۡ مِّنَ الثَّمَرٰتِ لَعَلَّهُمۡ يَشۡكُرُوۡنَ‏ ٣٧

"Our Lord! I have made some of my offspring settle in a barren valley near Your Sacred House! Our Lord! I did so that they may establish Prayer. So make the hearts of people affectionately inclined to them, and provide them with fruits for their sustenance that they may give thanks.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Parwardigar, maine ek be aab-o-giyah wadi (barren valley) mein apni aulad ke ek hissey ko tere mohtaram ghar ke paas laa basaya hai. Parwardigar, yeh maine is liye kya hai ke yeh log yahan namaz qayam karein. Lihaza tu logon ke dilon ko inka mushtaq bana (hearts of the people towards them) aur unhein khane ko phal de, shayad ke yeh shukarguzar banein

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

رَبَّنَاۤ اِنَّكَ تَعۡلَمُ مَا نُخۡفِىۡ وَمَا نُعۡلِنُ​ ؕ وَمَا يَخۡفٰى عَلَى اللّٰهِ مِنۡ شَىۡءٍ فِى الۡاَرۡضِ وَلَا فِى السَّمَآءِ‏ ٣٨

Our Lord! Surely You know all that we conceal and all that we reveal, and nothing in the earth or in the heaven is hidden from Allah.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Parwardigar, tu jaanta hai jo kuch hum chupate hain aur jo kuch zaahir karte hain”. Aur waqayi Allah se kuch bhi chupa hua nahin hai, na zameen mein na asmano mein

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

اَلۡحَمۡدُ لِلّٰهِ الَّذِىۡ وَهَبَ لِىۡ عَلَى الۡـكِبَرِ اِسۡمٰعِيۡلَ وَاِسۡحٰقَ​ؕ اِنَّ رَبِّىۡ لَسَمِيۡعُ الدُّعَآءِ‏ ٣٩

All praise be to Allah Who, despite my old age, has given me Ishmael and Isaac. Surely my Lord hears all prayers.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

“Shukar hai us khuda ka jisne mujhey is budhape mein Ismail aur Ishaq jaisey bete diye, haqeeqat yeh hai ke mera Rubb zaroor dua sunta hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

رَبِّ اجۡعَلۡنِىۡ مُقِيۡمَ الصَّلٰوةِ وَمِنۡ ذُرِّيَّتِىۡ​​ ۖ  رَبَّنَا وَتَقَبَّلۡ دُعَآءِ‏ ٤٠

My Lord! Enable me and my offspring to establish Prayer, and do accept, our Lord, this prayer of mine.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Aey mere parwardigar, mujhey namaz qayam karne wala bana aur meri aulad se bhi (aise log utha jo yeh kaam karein) parwardigar, meri dua qabool kar

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

رَبَّنَا اغۡفِرۡ لِىۡ وَلـِوَالِدَىَّ وَلِلۡمُؤۡمِنِيۡنَ يَوۡمَ يَقُوۡمُ الۡحِسَابُ‏  ٤١

Our Lord! Forgive me and my parents and the believers on the Day when the reckoning will take place."

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Parwardigar, mujhey aur mere walidain ko aur sab iman laney walon ko us din maaf kardijiyo jabke hisaab qayam hoga”

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَلَا تَحۡسَبَنَّ اللّٰهَ غَافِلًا عَمَّا يَعۡمَلُ الظّٰلِمُوۡنَ​ ؕ اِنَّمَا يُؤَخِّرُهُمۡ لِيَوۡمٍ تَشۡخَصُ فِيۡهِ الۡاَبۡصَارُ ۙ‏ ٤٢

Do not think Allah is heedless of the evil deeds in which the evil-doers are engaged. He is merely granting them respite until a Day when their eyes shall continue to stare in horror,

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Ab yeh zalim log jo kuch kar rahey hain Allah ko tum ussey gaafil na samjho. Allah to inhein taal raha hai us din ke liye jab haal yeh hoga ke aankhein phati ki phati reh gayi hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

مُهۡطِعِيۡنَ مُقۡنِعِىۡ رُءُوۡسِهِمۡ لَا يَرۡتَدُّ اِلَيۡهِمۡ طَرۡفُهُمۡ​ ۚ وَاَفۡـِٕدَتُهُمۡ هَوَآءٌ ؕ‏ ٤٣

when they shall keep pressing ahead in haste, their heads lifted up, their gaze directed forward, unable to look away from what they behold, their hearts utterly void.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Sar uthaye bhaage chale jaa rahey hain, nazrein upar jami hain aur dil udey jatey hain

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَاَنۡذِرِ النَّاسَ يَوۡمَ يَاۡتِيۡهِمُ الۡعَذَابُ فَيَـقُوۡلُ الَّذِيۡنَ ظَلَمُوۡا رَبَّنَاۤ اَخِّرۡنَاۤ اِلٰٓى اَجَلٍ قَرِيۡبٍۙ نُّجِبۡ دَعۡوَتَكَ وَنَـتَّبِعِ الرُّسُلَ​ؕ اَوَلَمۡ تَكُوۡنُوۡۤااَقۡسَمۡتُمۡ مِّنۡ قَبۡلُ مَالَـكُمۡ مِّنۡ زَوَالٍۙ‏  ٤٤

(O Muhammad), warn mankind of the Day when a severe chastisement shall overtake them, and the wrong-doers will say: "Our Lord, grant us respite for a short while; we shall respond to Your call and will follow Your Messengers." (But they will be clearly told): "Are you not the same who swore earlier that they shall never suffer decline?"

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

(Aey Muhammad), us din se tum inhein darao jabke azaab inhein aa lega us waqt yeh zaalim kahenge ke “aey hamare Rubb, humein thodi si mohlat aur de de, hum teri dawat ko labbaik kahenge aur Rasoolon ki paiwari karenge”. (Magar unhein saaf jawab de diya jayega ke) kya tum wahi log nahin ho jo issey pehle kasamein kha kha kar kehte thay ke humpar to kabhi zawaal (decline) aana hi nahin hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَّسَكَنۡتُمۡ فِىۡ مَسٰكِنِ الَّذِيۡنَ ظَلَمُوۡۤا اَنۡفُسَهُمۡ وَتَبَيَّنَ لَـكُمۡ كَيۡفَ فَعَلۡنَا بِهِمۡ وَضَرَبۡنَا لَـكُمُ الۡاَمۡثَالَ‏ ٤٥

You said so even though you had lived in the dwellings of those who had wronged themselves (by sinning), and you were aware how We dealt with them, and We had even explained to you all this by giving examples.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Halanke tum un qaumon ki bastiyon mein reh bas chuke thay jinhon ne apne upar aap zulm kiya tha aur dekh chuke thay ke humne unsey kya sulook kiya aur unki misalein(examples) de de kar hum tumhein samjha bhi chuke thay

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَقَدۡ مَكَرُوۡا مَكۡرَهُمۡ وَعِنۡدَ اللّٰهِ مَكۡرُهُمۡؕ وَاِنۡ كَانَ مَكۡرُهُمۡ لِتَزُوۡلَ مِنۡهُ الۡجِبَالُ‏ ٤٦

Indeed the unbelievers contrived their plan, but it is in Allah's power to nullify their plan, even though their plans were such that would move even mountains.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Unhon ne apni saari hi chalein chal dekhi, magar unki har chaal ka todh Allah ke paas tha, agarche unki chaalein aisi gazab ki thi ke pahad unse tal jayein

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

فَلَا تَحۡسَبَنَّ اللّٰهَ مُخۡلِفَ وَعۡدِهٖ رُسُلَهٗؕ اِنَّ اللّٰهَ عَزِيۡزٌ ذُوۡ انْتِقَامٍؕ‏ ٤٧

So, do not think, (O Prophet), that Allah will go back upon His promise to His Messengers. Surely Allah is Mighty, Lord of retribution.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Pas (aey Nabi), tum hargiz yeh gumaan na karo ke Allah kabhi apne Rasoolon se kiye huey wadon ke khilaf karega. Allah zabardast hai aur inteqam lene wala hai

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

يَوۡمَ تُبَدَّلُ الۡاَرۡضُ غَيۡرَ الۡاَرۡضِ وَالسَّمٰوٰتُ​ وَبَرَزُوۡا لِلّٰهِ الۡوَاحِدِ الۡقَهَّارِ‏ ٤٨

(Do warn them of the) Day when the heavens and the earth shall be altogether changed; when all will appear fully exposed before Allah, the One, the Irresistible!

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Darao inhein us din se jabke zameen aur aasmaan badal kar kuch se kuch kar diye jayenge aur sab ke sab Allah wahid e qahhar(the one the irressitible) ke saamne bay-naqab haazir ho jayenge

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

وَتَرَى الۡمُجۡرِمِيۡنَ يَوۡمَٮِٕذٍ مُّقَرَّنِيۡنَ فِى الۡاَصۡفَادِ​ۚ‏ ٤٩

On that Day you shall see the guilty ones secured in chains;

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Us roz tum mujreemon ko dekhoge ke zanjeeron mein haath paaon jakde hongey

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

سَرَابِيۡلُهُمۡ مِّنۡ قَطِرَانٍ وَّتَغۡشٰى وُجُوۡهَهُمُ النَّارُۙ‏ ٥٠

their garments shall be black as if made out of pitch, and flames of the Fire shall cover their faces

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Taar-kol (liquid pitch/tar/dambar) ke libas pehne huey honge aur aag ke shole unke chehron par chaye jaa rahey honge

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

لِيَجۡزِىَ اللّٰهُ كُلَّ نَفۡسٍ مَّا كَسَبَتۡ​ؕ اِنَّ اللّٰهَ سَرِيۡعُ الۡحِسَابِ‏  ٥١

so that Allah may requite each person for his deeds. Allah is swift in reckoning.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yeh is liye hoga ke Allah har mutanaffis ko uske kiye ka balda dega. Allah ko hisaab lete kuch dair nahin lagti

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)

هٰذَا بَلٰغٌ لِّـلنَّاسِ وَلِيُنۡذَرُوۡا بِهٖ وَلِيَـعۡلَمُوۡۤا اَنَّمَا هُوَ اِلٰـهٌ وَّاحِدٌ وَّلِيَذَّكَّرَ اُولُوا الۡا َلۡبَابِ‏ ٥٢

This is a proclamation for all mankind that they may be warned by it, and that they may know that their God is none but the One True God, and that men of understanding may take heed.

— A. Maududi (English Tafhim commentary)

Yeh ek paigam hai sab Insaano ke liye, aur yeh bheja gaya hai is liye ke unko iske zariye se khabardaar kardiya jaye aur woh jaan lein ke haqeeqat mein khuda bas ek hi hai aur jo aqal rakhte hain woh hosh mein aa jayein

— Abul Ala Maududi (Roman Urdu)