Question Category

About Patience ( صبر کے بارے میں )

How Allah will test us and are we required to show patience?

اللہ ہمارا کس طرح سے امتحان لینگے اور کیا ھم کو صبر کا اظہار کرنا ہے؟

Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 155
Arabic
وَلَـنَبۡلُوَنَّكُمۡ بِشَىۡءٍ مِّنَ الۡخَـوۡفِ وَالۡجُـوۡعِ وَنَقۡصٍ مِّنَ الۡاَمۡوَالِ وَالۡاَنۡفُسِ وَالثَّمَرٰتِؕ وَبَشِّرِ الصّٰبِرِيۡنَۙ‏
English
We shall certainly test you by afflicting you with fear, hunger, loss of properties and lives and fruits. Give glad tidings, then, to those who remain patient;
Urdu
Aur hum zaroor tumhein khauf o khatar , faaqa kashi (bhook), jaan o maal ke nuqsanaat aur aamadaniyon ke ghatey(nuqsaan) mein mubtila karke tumhari aazmaish karenge
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 156
Arabic
الَّذِيۡنَ اِذَآ اَصَابَتۡهُمۡ مُّصِيۡبَةٌ  ۙ قَالُوۡٓا اِنَّا لِلّٰهِ وَاِنَّـآ اِلَيۡهِ رٰجِعُوۡنَؕ‏
English
those who when any affliction smites them, they say: “Verily, we belong to Allah, and it is to Him that we are destined to return.”
Urdu
In halaat mein jo log sabr karein aur jab koi museebat padey to kahein ke : “ hum Allah hi ke hain aur Allah hi ki taraf humein palat kar jana hai”
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 157
Arabic
اُولٰٓٮِٕكَ عَلَيۡهِمۡ صَلَوٰتٌ مِّنۡ رَّبِّهِمۡ وَرَحۡمَةٌ​ وَاُولٰٓٮِٕكَ هُمُ الۡمُهۡتَدُوۡنَ‏
English
Upon them will be the blessings and mercy of their Lord, and it is they who are rightly guided.
Urdu
Unhein khush-khabri dedo unpar unke Rubb ki taraf se badi inayat hogi, uski rehmat unpar saya karegi aur aisey hi log raast-ro hain
Surah Ali 'Imran: 3 - Ayah: 146
Arabic
وَكَاَيِّنۡ مِّنۡ نَّبِىٍّ قٰتَلَ ۙ مَعَهٗ رِبِّيُّوۡنَ كَثِيۡرٌ ۚ فَمَا وَهَنُوۡا لِمَاۤ اَصَابَهُمۡ فِىۡ سَبِيۡلِ اللّٰهِ وَمَا ضَعُفُوۡا وَمَا اسۡتَكَانُوۡا ​ؕ وَاللّٰهُ يُحِبُّ الصّٰبِرِيۡنَ‏
English
Many were the Prophets on whose side a large number of God-devoted men fought: they neither lost heart for all they had to suffer in the way of Allah nor did they weaken nor did they abase themselves. Allah loves such steadfast ones.
Urdu
Issey pehle kitne hi Nabi aisey guzar chuke hain jinke saath milkar bahut se khuda paraston ne jung ki, Allah ki raah mein jo museebatein unpar padin unse woh dil shikashta nahin huey, unhon ne kamzori nahin dikhayi, woh ( baatil ke aagey) sarnagon (abase) nahin huey, aisey hi saabiron ko Allah pasand karta hai
Surah Ali 'Imran: 3 - Ayah: 186
Arabic
لَـتُبۡلَوُنَّ فِىۡۤ اَمۡوَالِكُمۡ وَاَنۡفُسِكُمۡ وَلَـتَسۡمَعُنَّ مِنَ الَّذِيۡنَ اُوۡتُوا الۡكِتٰبَ مِنۡ قَبۡلِكُمۡ وَمِنَ الَّذِيۡنَ اَشۡرَكُوۡۤا اَذًى كَثِيۡـرًا​ؕ وَاِنۡ تَصۡبِرُوۡا وَتَتَّقُوۡا فَاِنَّ ذٰلِكَ مِنۡ عَزۡمِ الۡاُمُوۡرِ‏
English
(Believers!) You will certainly be put to test in respect of your properties and lives, and you will certainly hear many hurtful things from those who were granted the Book before you and those who have associated others with Allah in His divinity. If you remain patient and God-fearing this indeed is a matter of great resolution.
Urdu
(Musalmaano)! Tumhein maal aur jaan dono ki aazmaishein pesh aakar rahengi, aur tum ehle kitab aur mushrikeen se bahut se takleef-de baatein sunogey. Agar in sab haalat mein tum sabr aur khuda tarsi ki rawish par qayam raho to yeh baday hausle ka kaam hai
Surah Hud: 11 - Ayah: 9
Arabic
وَلَٮِٕنۡ اَذَقۡنَا الۡاِنۡسَانَ مِنَّا رَحۡمَةً ثُمَّ نَزَعۡنٰهَا مِنۡهُ​ۚ اِنَّهٗ لَيَـــُٔوۡسٌ كَفُوۡرٌ‏
English
If We ever favour man with Our Mercy, and then take it away from him, he becomes utterly desperate, totally ungrateful.
Urdu
Agar kabhi hum Insaan ko apni rehmat se nawazne ke baad phir ussey mehroom kardete hain to woh mayous hota hai aur nashukri karne lagta hai
Surah Hud: 11 - Ayah: 10
Arabic
وَلَٮِٕنۡ اَذَقۡنٰهُ نَـعۡمَآءَ بَعۡدَ ضَرَّآءَ مَسَّتۡهُ لَيَـقُوۡلَنَّ ذَهَبَ السَّيِّاٰتُ عَنِّىۡ​ ؕ اِنَّهٗ لَـفَرِحٌ فَخُوۡرٌۙ‏
English
And if We let him taste favour after harm has touched him, he says: 'All my ills are gone', and he suddenly becomes exultant and boastful,
Urdu
Aur agar us museebat ke baad jo uspar aayi thi hum usey niyamat ka maza chakhate hain to kehta hai mere to sarey diladdar(sakhtiyan) paar ho gaye, phir woh phoola nahin samata aur akadne lagta hai
Surah Hud: 11 - Ayah: 11
Arabic
اِلَّا الَّذِيۡنَ صَبَرُوۡا وَعَمِلُوا الصّٰلِحٰتِؕ اُولٰٓٮِٕكَ لَهُمۡ مَّغۡفِرَةٌ وَّاَجۡرٌ كَبِيۡرٌ‏
English
except those who are patient and act righteously. Such shall have Allah's forgiveness and a great reward.
Urdu
Is aieb se paak agar koi hain to bas woh log jo sabr karne waley hain aur neikokar hain aur wahi hain jinke liye darguzar bhi hai aur bada ajar bhi
Surah An-Nahl: 16 - Ayah: 41
Arabic
وَالَّذِيۡنَ هَاجَرُوۡا فِى اللّٰهِ مِنۡۢ بَعۡدِ مَا ظُلِمُوۡا لَـنُبَوِّئَنَّهُمۡ فِى الدُّنۡيَا حَسَنَةً​  ؕ وَلَاَجۡرُ الۡاٰخِرَةِ اَكۡبَرُ​ۘ لَوۡ كَانُوۡا يَعۡلَمُوۡنَۙ‏ 
English
As for those who have forsaken their homes for the sake of Allah after enduring persecution, We shall certainly grant them a good abode in this world; and surely the reward of the Hereafter is much greater. If they could but know (what an excellent end awaits)
Urdu
Jo log zulm sehne ke baad Allah ki khatir hijrat kar gaye hain unko hum duniya hi mein accha thikana denge aur aakhirat ka ajar to bahut bada hai, kaash jaan lein woh mazloom
Surah An-Nahl: 16 - Ayah: 42
Arabic
الَّذِيۡنَ صَبَرُوۡا وَعَلٰى رَبِّهِمۡ يَتَوَكَّلُوۡنَ‏
English
those who remain steadfast and put their trust in their Lord.
Urdu
Jinhon ne sabr kiya hai aur jo apne Rubb ke bharosey par kaam kar rahey hain (ke kaisa accha anjaam unka muntazir hai)