Urdu
Koi haraj nahin agar koi andha, ya langda, ya mareez (kisi ke ghar se kha le) aur na tumhare upar is mein koi muzahiqa (harm/jarj) hai ke apne gharon se khao ya apne baap dada ke gharon se, ya apni maa, nani ke gharon se , ya apne bhaiyon ke gharon se, ya apni behno ke gharon se, ya apne chachaon ke gharon se , ya apni phoopiyon ke gharon se, ya apne mamuon ke gharon se, ya apni khalaon ke gharon se, ya un gharon se jinki kunjiyan (keys) tumhari supurdagi (possession) mein hon, ya apne doston ke gharon se. Is mein bhi koi haraj nahin ke tumlog milkar khao ya alag alag, albatta jab gharon mein dakhil hua karo to apne logon ko salaam kiya karo, dua e khair, Allah ki taraf se muqarrar farmayi hui, badi babarakat aur pakeeza. Is tarah Allah taala tumhare saamne aayat bayaan karta hai, tawaqqu hai ke tum samajh bujh se kaam logey