Urdu
Aur (aey Nabi),momin auraton se kehdo ke apni nazrein bacha kar rakkhein, aur apni sharmgaahon ki hifazat karein, aur apna banao singhaar na dikhayein bajuz uske jo khud zaahir ho jaaye, aur apne seeno par apni oadniyon ke aanchal daale rahein, woh apna banaao singhar na zaahir karein magar in logon ke saamne: shohar ,baap, shoharon ke baap , apne betay, shoharon ke betay, bhai,bhaiyon ke betay, behno ke betay,apne mail-jhol ki auratein, apne mamluk(those in their possession), woh zeir-dast mard jo kisi aur qisam ki garz na rakhte hon, aur woh bacchey jo auraton ki posheeda baaton se abhi waqif na huey hon. Woh apne paon zameen par maarti hui na chala karein ke apni jo zeenat unhon ne chupa rakkhi ho uska logon ko ilm ho jaye. Aey momino, tum sab milkar Allah se toubah karo, tawaqqu hai ke falaah paogey