Urdu
(Aey Muhammad)! Insey kaho ke jo wahee mere paas aayi hai usmein to main koi cheez aisi nahin paata jo kisi khane waley par haraam ho, illa yeh ke woh murdar (dead) ho, ya bahaya (out poured) hua khoon, ya suwwar ka gosht ho ke woh napaak hai, ya fisq (unclean) ho ke Allah ke siwa kisi aur ke naam par zubah kiya gaya ho, phir jo shaks majboori ki haalat mein ( koi cheez inmein se kha le) bagair iske ke woh nafarmani ka irada rakhta ho aur bagair iske ke woh hadd e zaroorat se tajawuz karey, to yaqeenan tumhara Rubb darguzar se kaam lene wala aur reham farmane wala hai