Question Category

About Wali or Aulia ( ولی یا اولیاء کے بارے میں )

Some people says that Allah has asked them to search for means (Waseela) to approach Him and these Wali or Peer will be their intercessors (sifarshee) in front of Allah. Is it true according to Allah?

لوگ کہتے ہیں کے اللہ نے وسیلہ تلاش کرنے کو کہا ہے اور یہ ولی اور پیر اللہ کے پاس ان کے سفارشی ہونگے۔ کیا یہ بات اللہ کے مطابق سچی ہے؟

Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 48
Arabic
وَاتَّقُوۡا يَوۡمًا لَّا تَجۡزِىۡ نَفۡسٌ عَنۡ نَّفۡسٍ شَيۡـًٔـا وَّلَا يُقۡبَلُ مِنۡهَا شَفَاعَةٌ وَّلَا يُؤۡخَذُ مِنۡهَا عَدۡلٌ وَّلَا هُمۡ يُنۡصَرُوۡنَ‏
English
Fear the Day when no one shall avail another, when no intercession will be accepted, when no one will be ransomed, and no criminal will receive any help.
Urdu
Aur daro us din se jab koi kisi ke zara kaam na aayega, na kisi ki taraf se sifarish qabool hogi, na kisi ko fidiya lekar choda jayega, aur na mujreemon ko kahin se madad mil sakegi
Surah Yunus: 10 - Ayah: 18
Arabic
وَيَعۡبُدُوۡنَ مِنۡ دُوۡنِ اللّٰهِ مَا لَا يَضُرُّهُمۡ وَلَا يَنۡفَعُهُمۡ وَيَقُوۡلُوۡنَ هٰٓؤُلَاۤءِ شُفَعَآؤُنَا عِنۡدَ اللّٰهِ​ؕ قُلۡ اَتُـنَـبِّـــُٔوۡنَ اللّٰهَ بِمَا لَا يَعۡلَمُ فِى السَّمٰوٰتِ وَلَا فِى الۡاَرۡضِ​ؕ سُبۡحٰنَهٗ وَتَعٰلٰى عَمَّا يُشۡرِكُوۡنَ‏
English
They worship, beside Allah, those who can neither harm nor profit them, saying; 'These are our intercessors with Allah.' Tell them (O Muhammad): 'Do you inform Allah of something regarding whose existence in the heavens or on the earth He has no knowledge? Holy is He and He is exalted far above what they associate with Him in His divinity'.
Urdu
Yeh log Allah ke siwa unki parastish kar rahey hain jo inko na nuksaan pahuncha sakte hain na nafaa (faiyda), aur kehte yeh hain ke yeh Allah ke haan hamare sifarishi hain. (Aey Muhammad), insey kaho “kya tum Allah ko us baat ki khabar dete ho jisey woh na aasmano mein jaanta hai na zameen mein?” Paak hai woh aur baala o bartar hai us shirk se jo yeh log karte hain
Surah As-Sajdah: 32 - Ayah: 4
Arabic
اَللّٰهُ الَّذِىۡ خَلَقَ السَّمٰوٰتِ وَالۡاَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَا فِىۡ سِتَّةِ اَيَّامٍ ثُمَّ اسۡتَوٰى عَلَى الۡعَرۡشِ​ؕ مَا لَكُمۡ مِّنۡ دُوۡنِهٖ مِنۡ وَّلِىٍّ وَّلَا شَفِيۡعٍ​ؕ اَفَلَا تَتَذَكَّرُوۡنَ‏
English
It is Allah Who created the heavens and the earth and all that is between the two, in six days, and then He established Himself on the Throne. You have no guardian or intercessor other than He. Will you, then, not take heed?
Urdu
Woh Allah hi hai jisne aasmaano aur zameen ko aur un saari cheezon ko jo inke darmiyan hain chey (six) dino mein paida kiya aur iske baad arsh par jalwa farma hua. Uske siwa na tumhara koi haami o madadgar hai aur na koi uske aagey sifarish karne wala. Phir kya tum hosh mein na aaogey
Surah Az-Zumar: 39 - Ayah: 43
Arabic
اَمِ اتَّخَذُوۡا مِنۡ دُوۡنِ اللّٰهِ شُفَعَآءَ​ ؕ قُلۡ اَوَلَوۡ كَانُوۡا لَا يَمۡلِكُوۡنَ شَيۡـًٔـا وَّلَا يَعۡقِلُوۡنَ‏
English
Or have they taken others instead of Allah as intercessors? Say: “Will they intercede though they may have no power and though they may not even understand?”
Urdu
Kya us khuda ko chodh kar in logon ne dusron ko shafee (intercessors) bana rakkha hai? Insey kaho, kya woh shafaa-at karenge khwa unke ikhtiyar mein kuch na ho aur woh samajhte bhi na hon
Surah Az-Zumar: 39 - Ayah: 44
Arabic
قُلْ لِّـلَّـهِ الشَّفَاعَةُ جَمِيۡعًا​ ؕ لَهٗ مُلۡكُ السَّمٰوٰتِ وَالۡاَرۡضِ​ ؕ ثُمَّ اِلَيۡهِ تُرۡجَعُوۡنَ‏
English
Say: “All intercession lies with Allah. His is the dominion of the heavens and the earth. And to Him will all of you be sent back.”
Urdu
Kaho, shafaa-at (intercession) saari ki saari Allah ke ikhtiyar mein hai. Aasmaano aur zameen ki baadshahi ka wahi maalik hai, phir usiki taraf tum paltaye janey waley ho
Surah Al-Ma'idah: 5 - Ayah: 35
Arabic
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ ٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ وَٱبْتَغُوٓا۟ إِلَيْهِ ٱلْوَسِيلَةَ وَجَـٰهِدُوا۟ فِى سَبِيلِهِۦ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ
English
Believers! Fear Allah and seek the means to come near to Him, and strive hard in His way; maybe you will attain true success.
Urdu
Aey logon jo iman laye ho, Allah se daro aur uski janib baaryabi (closeness) ka zariya talash karo, aur uski raah mein jidd o jahad karo, shayad ke tumhein kamiyabi naseeb ho jaye
Surah Al-An'am: 6 - Ayah: 70
Arabic
وَذَرِ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُوا۟ دِينَهُمْ لَعِبًۭا وَلَهْوًۭا وَغَرَّتْهُمُ ٱلْحَيَوٰةُ ٱلدُّنْيَا ۚ وَذَكِّرْ بِهِۦٓ أَن تُبْسَلَ نَفْسٌۢ بِمَا كَسَبَتْ لَيْسَ لَهَا مِن دُونِ ٱللَّهِ وَلِىٌّۭ وَلَا شَفِيعٌۭ وَإِن تَعْدِلْ كُلَّ عَدْلٍۢ لَّا يُؤْخَذْ مِنْهَآ ۗ أُو۟لَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ أُبْسِلُوا۟ بِمَا كَسَبُوا۟ ۖ لَهُمْ شَرَابٌۭ مِّنْ حَمِيمٍۢ وَعَذَابٌ أَلِيمٌۢ بِمَا كَانُوا۟ يَكْفُرُونَ
English
Leave alone those who have made a sport and a pastime of their religion and whom the life of the world has beguiled. But continue to admonish them (with the Qur\'an) lest a man should be caught for what he has himself earned for there shall neither be any protector nor intercessor apart from Allah; and though he may offer any conceivable ransom it shall not be accepted from him, for such people have been caught for the deeds that they have themselves earned. Boiling water to drink and a painful chastisement to suffer for their unbelief is what awaits them.
Urdu
Chodo un logon ko jinhon ne apne deen ko khel aur tamasha bana rakkha hai aur jinhein duniya ki zindagi fareb mein mubtila kiye huey hai. Haan magar yeh Quran suna kar naseehat aur tambeeh (warn) karte raho ke kahin koi shaks apne kiye kartooton ke wabal mein giraftar na ho jaye, aut giraftar bhi is haal mein ho ke Allah se bachane wala koi haami o madadgaar aur koi sifarishi iske liye na ho, aur agar woh har mumkin cheez fidiye mein dekar chootna chahe to woh bhi ussey qabool na ki jaye, kyunke aisey log to khud apni kamayi ke nateeje mein pakde jayenge, inko to apne inkar e haqq ke muawaze mein khaulta(boiling) hua pani peenay ko aur dardnaak azaab bhugatne ko milega
Surah Al-An'am: 6 - Ayah: 70
Arabic
وَذَرِ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُوا۟ دِينَهُمْ لَعِبًۭا وَلَهْوًۭا وَغَرَّتْهُمُ ٱلْحَيَوٰةُ ٱلدُّنْيَا ۚ وَذَكِّرْ بِهِۦٓ أَن تُبْسَلَ نَفْسٌۢ بِمَا كَسَبَتْ لَيْسَ لَهَا مِن دُونِ ٱللَّهِ وَلِىٌّۭ وَلَا شَفِيعٌۭ وَإِن تَعْدِلْ كُلَّ عَدْلٍۢ لَّا يُؤْخَذْ مِنْهَآ ۗ أُو۟لَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ أُبْسِلُوا۟ بِمَا كَسَبُوا۟ ۖ لَهُمْ شَرَابٌۭ مِّنْ حَمِيمٍۢ وَعَذَابٌ أَلِيمٌۢ بِمَا كَانُوا۟ يَكْفُرُونَ
English
Leave alone those who have made a sport and a pastime of their religion and whom the life of the world has beguiled. But continue to admonish them (with the Qur\'an) lest a man should be caught for what he has himself earned for there shall neither be any protector nor intercessor apart from Allah; and though he may offer any conceivable ransom it shall not be accepted from him, for such people have been caught for the deeds that they have themselves earned. Boiling water to drink and a painful chastisement to suffer for their unbelief is what awaits them.
Urdu
Chorho un logon ko jinhon ne apne deen ko khel aur tamasha bana rakkha hai aur jinhein duniya ki Zindagi fareb mein mubtila kiye huey hai. Haan magar yeh Quran suna kar naseehat aur tambeeh (warn) karte raho ke kahin koi shaks apne kiye kartooton ke wabal mein giraftar na ho jaye, aur giraftar bhi is haal mein ho ke Allah se bachane wala koi haami o madadgaar aur koi sifarishi iske liye na ho, aur agar woh har mumkin cheez fidiye mein dekar chootna chahe to woh bhi ussey qabool na ki jaye, kyunke aisey log to khud apni kamayi ke nateeje mein pakde jayenge, inko to apne inkar e haqq ke muawaze mein khaulta (boiling) hua pani peenay ko aur dardnaak azaab bhugatne ko milega