Urdu
Aey logon jo iman laye ho, jab tum mein se kisi ki maut ka waqt aa jaye aur woh wasiyat kar raha ho to uske liye shahadat ka nisab yeh hai ke tumhari jamaat mein se do (two) sahib-e-adal aadmi gawah banaye jayein, ya agar tum safar ki halat mein ho aur wahan maut ki museebat pesh aa jaye to gair muslimon hi mein se do gawah le liye jaye. Phir agar koi shakk padh jaye to namaz ke baad dono gawahon ko (masjid mein) roak liya jaye aur woh khuda ki kasam kha kar kahein ke “hum kisi zaati faiyde ke evaz shahadat bechne waley nahin hain, aur khwa koi hamara rishtedaar hi kyun na ho ( hum uski riayat karne waley nahin) aur na khuda waste ki gawahi ko hum chupane waley hain, agar humne aisa kiya to gunaah-gaaron mein shumar hongey”