Urdu
(Aey Muhammad), insey kaho “main apni zaat ke liye kisi nafey (faiyde) aur nuqsan ka ikhtiyar nahin rakhta, Allah hi jo kuch chahta hai woh hota hai aur agar mujhey gaib ka ilm hota to main bahut se faiyde apne liye haasil karleta aur mujhey kabhi koi nuqsan na pahunchta. Main to mehaz ek khabardaar karne wala aur khush-khabri sunane wala hoon un logon ke liye jo meri baat maanein”