Urdu
Aey logon jo iman laye ho, jab kisi muqarrar muddat ke liye tum aapas mein qarz ka lein dein karo to usey likh liya karo. Fareeqain ke darmiyan insaaf ke saath ek shaks dastawez (document) tehrir karey. Jisey Allah ne likhe padhne ki kaabiliyat bakshi ho, usey likhne se inkar na karna chahiye. Woh likhey aur imla (dictate) woh shaks karaye jispar haqq aata hai (yaani qarz lene wala), aur usey Allah, apne Rubb se darna chahiye ke jo maamla tai ho usmein koi kami beshi na karey. Lekin agar qarz lene wala khud nadaan ya zaeef ho, ya imla na kara sakta ho, to uska wali insaaf ke saath imla karaye, phir apne mardon mein se do aadmiyon ki ispar gawahi karalo aur agar do Mard na hon to ek Mard aur do auratein hon, taa-ke ek bhool jaye to dusri usey yaad dila de. Yeh gawaah aisey logon mein se honi chahiye jinki gawahi tumhare darmiyan maqbool ho. Gawahon ko jab gawaah banney ke liye kaha jaye, to unhein inkar na karna chahiye. Maamla khwa chota ho ya bada, miyaad ki taeen (specified term) ke saath uski dastawez (documents) likhwa lene mein tasahul (neglect) na karo. Allah ke nazdeek yeh tareeqa tumhare liye zyada mabni bar Insaaf hai, issey shahadat qayam honay mein zyada sahulat hoti hai, aur tumhare shukook o shubhaaat mein mubtila honay ka imkan kam reh jata hai. Haan jo tijarati lein dein dast ba dast tumlog aapas mein karte ho, usko na likha jaye to koi harj nahin, magar tijarati maamle tai karte waqt gawah karliya karo. Kaatib (scribe) aur gawah ko sataya na jaye , aisa karoge to gunaah ka irteqaab karoge. Allah ke gazab se bacho, woh tumko saheeh tareeq e amal ki taleem deta hai aur usey har cheez ka ilm hai