Urdu
Jo baap chahte hon ke unki aulad poori muddat e razaat tak doodh piye, to Maaein (mothers) apne bacchon ko kamil do saal doodh pilayein. Is surat mein bacchey ke baap ko maroof tareeqe se unhein khana, kapda dena hoga. Magar kisi par uski wusat se badhkar baar na daalna chahiye, na to Maa ko is wajah se takleef mein dala jaye ke baccha uska hai, aur na baap hi ko is wajah se tangg kiya jaye ke baccha uska hai. Doodh pilane wali ka yeh haqq jaisa bacchey ke baap par hai waisa hi uske waris par bhi hai , lekin agar fareeqain bahami razamandi aur mashware se doodh chudana chahein to aisa karne mein koi muzahiqa nahin, aur agar tumhara khayal apni aulad ko kisi gair aurat se doodh pilwane ka ho, to ismein bhi koi harj nahin bashart yeh ke iska jo kuch muawaza (compensation) tai karo, woh maroof tareeqe par ada kardo. Allah se daro aur jaan rakkho ke jo kuch tum karte ho, sab Allah ki nazar mein hai