Question Category

Jehad / Strive ( جھاد / کوشش کرنا )

Does Allah wants Muslims to kill people or Allah wants them to save lives?

کیا اللہ چاہتا ہے کے مسلمان لوگوں کو قتل کریں یا اللہ چاہتا ہے کے مسلمان لوگوں کی زندگی بچائیں؟

Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 84
Arabic
وَاِذۡ اَخَذۡنَا مِيۡثَاقَكُمۡ لَا تَسۡفِكُوۡنَ دِمَآءَكُمۡ وَلَا تُخۡرِجُوۡنَ اَنۡفُسَكُمۡ مِّنۡ دِيَارِكُمۡ ثُمَّ اَقۡرَرۡتُمۡ وَاَنۡـتُمۡ تَشۡهَدُوۡنَ‏
English
And recall when We made a covenant with you, that you shall not shed one another’s blood, and shall not turn out one another from your homelands; you confirmed it, and you yourselves are witnesses to it.
Urdu
Phir zara yaad karo, humne tumse mazboot ahad liya tha ke aapas mein ek dusre ka khoon na bahana aur na ek dusre ko ghar se be-ghar karna, tumne iska iqrar kiya tha, tum khud ispar gawah ho
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 85
Arabic
ثُمَّ اَنۡـتُمۡ هٰٓؤُلَاۤءِ تَقۡتُلُوۡنَ اَنۡفُسَكُمۡ وَتُخۡرِجُوۡنَ فَرِيۡقًا مِّنۡكُمۡ مِّنۡ دِيَارِهِمۡ تَظٰهَرُوۡنَ عَلَيۡهِمۡ بِالۡاِثۡمِ وَالۡعُدۡوَانِؕ وَاِنۡ يَّاۡتُوۡكُمۡ اُسٰرٰى تُفٰدُوۡهُمۡ وَهُوَ مُحَرَّمٌ عَلَيۡڪُمۡ اِخۡرَاجُهُمۡ​​ؕ اَفَتُؤۡمِنُوۡنَ بِبَعۡضِ الۡكِتٰبِ وَتَكۡفُرُوۡنَ بِبَعۡضٍ​ۚ فَمَا جَزَآءُ مَنۡ يَّفۡعَلُ ذٰلِكَ مِنۡکُمۡ اِلَّا خِزۡىٌ فِى الۡحَيٰوةِ الدُّنۡيَا ​ۚ وَيَوۡمَ الۡقِيٰمَةِ يُرَدُّوۡنَ اِلٰٓى اَشَدِّ الۡعَذَابِ​ؕ وَمَا اللّٰهُ بِغَافِلٍ عَمَّا تَعۡمَلُوۡنَ‏ 
English
And here you are, killing one another, turning out a party of your own from their homelands, aiding one another against them in sin and enmity, and if they come to you as captives you ransom them although the very act of expelling them was unlawful to you. Do you believe in a part of the Scripture and reject the rest? What else, then, could be the retribution of those among you who do this than that they should live in degradation in the present life, and that on the Day of Resurrection they should be sent to the severest chastisement? Allah is not heedless of what you do.
Urdu
Magar aaj wahi tum ho ke apne bhai bandhon ko qatal karte ho, apni biradri ke kuch logon ko be-khanuma (be-ghar) kardete ho, zulm o zyadati ke saath unke khilaf jatthey bandiyan (grouping / cooperating) karte ho , aur jab woh ladayi mein pakde huey tumhare paas aate hain to unki rihayi ke liye fidiye ka lein dain karte ho, halaanke unhein unke gharon se nikalna hi seray se tumpar haraam tha. To kya tum kitab ke ek hissey par iman latey ho aur dusre hissey ke saath kufr karte ho? Phir tum mein se jo log aisa karein unki saza iske siwa aur kya hai ke duniya ki zindagi mein zaleel o khwar hokar rahein aur aakhirat mein shadeed-tareen azaab ki taraf pher diye jayein? Allah un harkaat se be-khabar nahin hai jo tum kar rahey ho
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 86
Arabic
اُولٰٓٮِٕكَ الَّذِيۡنَ اشۡتَرَوُا الۡحَيٰوةَ الدُّنۡيَا بِالۡاٰخِرَةِ​ فَلَا يُخَفَّفُ عَنۡهُمُ الۡعَذَابُ وَلَا هُمۡ يُنۡصَرُوۡنَ‏
English
These are the ones who have bought the present life in exchange for the World to Come. Their chastisement shall not be lightened, nor shall they be helped.
Urdu
Yeh woh log hain jinhon ne aakhirat bech kar duniya ki zindagi khareed li hai, lihaza na inki saza mein ko takhfeef (kami) hogi aur na unhein koi madad pahunch sakegi
Surah Al-Ma'idah: 5 - Ayah: 32
Arabic
مِنۡ اَجۡلِ ذٰ لِكَ​ ۛ ۚ كَتَبۡنَا عَلٰى بَنِىۡۤ اِسۡرَآءِيۡلَ اَنَّهٗ مَنۡ قَتَلَ نَفۡسًۢا بِغَيۡرِ نَفۡسٍ اَوۡ فَسَادٍ فِى الۡاَرۡضِ فَكَاَنَّمَا قَتَلَ النَّاسَ جَمِيۡعًا ؕ وَمَنۡ اَحۡيَاهَا فَكَاَنَّمَاۤ اَحۡيَا النَّاسَ جَمِيۡعًا ​ؕ وَلَـقَدۡ جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُنَا بِالۡبَيِّنٰتِ ثُمَّ اِنَّ كَثِيۡرًا مِّنۡهُمۡ بَعۡدَ ذٰ لِكَ فِى الۡاَرۡضِ لَمُسۡرِفُوۡنَ‏
English
Therefore We ordained for the Children of Israel that he who slays a soul unless it be (in punishment) for murder or for spreading mischief on earth shall be as if he had slain all mankind; and he who saves a life shall be as if he had given life to all mankind. And indeed again and again did Our Messengers come to them with clear directives; yet many of them continued to commit excesses on earth.
Urdu
Isi wajah se bani Israel par humne yeh farmaan likh diya tha ke “ jisne kisi Insan ko khoon ke badle ya zameen mein fasaad phaylane ke siwa kisi aur wajah se qatal kiya usne goya tamaam Insaano ko qatal kardiya aur jisne kisi ki jaan bachayi usne goya tamaam Insaano ko zindagi baksh di”. Magar unka haal yeh hai ke hamare Rasool pai dar pai unke paas khuli khuli hidayat lekar aaye phir bhi unmein bakasrat log zameen mein zyadatiyan(commit excesses ) karne waley hain
Surah Al-An'am: 6 - Ayah: 151
Arabic
قُلۡ تَعَالَوۡا اَتۡلُ مَا حَرَّمَ رَبُّكُمۡ عَلَيۡكُمۡ​ اَلَّا تُشۡرِكُوۡا بِهٖ شَيۡـًٔـــا وَّبِالۡوَالِدَيۡنِ اِحۡسَانًا​ ۚ وَلَا تَقۡتُلُوۡۤا اَوۡلَادَكُمۡ مِّنۡ اِمۡلَاقٍ​ؕ نَحۡنُ نَرۡزُقُكُمۡ وَاِيَّاهُمۡ​ ۚ وَلَا تَقۡرَبُوا الۡفَوَاحِشَ مَا ظَهَرَ مِنۡهَا وَمَا بَطَنَ​ ۚ وَلَا تَقۡتُلُوا النَّفۡسَ الَّتِىۡ حَرَّمَ اللّٰهُ اِلَّا بِالۡحَـقِّ​ ؕ ذٰ لِكُمۡ وَصّٰٮكُمۡ بِهٖ لَعَلَّكُمۡ تَعۡقِلُوۡنَ‏
English
Say to them (O Muhammad!): 'Come, let me recite what your Lord has laid down to you: (i) that you associate nothing with Him; (ii) and do good to your parents; (iii) and do not slay your children out of fear of poverty. We provide you and will likewise provide them with sustenance; (iv) and do not even draw to things shameful - be they open or secret; (v) and do not slay the soul santified by Allah except in just cause; this He has enjoined upon you so that you may understand;
Urdu
(Aey Muhammad)!Inse kaho ke aao main tumhein sunaoon tumhare Rubb ne tumpar kya pabandiyan aayad ki hain : yeh ke uske saath kisi ko shareek na karo, aur walidain (Maa Baap) ke saath neik sulook karo, aur apni aulad ko muflisi ke darr se qatal na karo, hum tumhein bhi rizq dete hain aur unko bhi denge, aur besharmi ki baaton ke qareeb bhi na jao, khwah woh khuli hon ya chupi. Aur kisi jaan ko jisey Allah ne mohtaram thehraya hai halaak na karo magar haqq ke saath. Yeh baatein hain jinki hidayat usne tumhein ki hai, shayad ke tum samajh boojh se kaam lo