Surah Al-An'am: 6 - Ayah: 82
Arabic
اَلَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا وَلَمۡ يَلۡبِسُوۡۤا اِيۡمَانَهُمۡ بِظُلۡمٍ اُولٰۤٮِٕكَ لَهُمُ الۡاَمۡنُ وَهُمۡ مُّهۡتَدُوۡنَ
English
Those who believe and did not tarnish their faith with wrong-doing for them there is security, and it is they who have been guided to the right way.'
Urdu
Haqeeqat mein to aman unhi ke liye hai aur raah e raast par wahi hain jo iman laye aur jinhon ne apne iman ko zulm ke saath aluda (tarnish) nahin kya”
Surah Al-An'am: 6 - Ayah: 83
Arabic
وَتِلۡكَ حُجَّتُنَاۤ اٰتَيۡنٰهَاۤ اِبۡرٰهِيۡمَ عَلٰى قَوۡمِهٖؕ نَرۡفَعُ دَرَجٰتٍ مَّنۡ نَّشَآءُ ؕ اِنَّ رَبَّكَ حَكِيۡمٌ عَلِيۡمٌ
English
That was Our argument which We gave to Abraham against his people. We raise in ranks whom We will. Truly your lord is All-Wise, All-Knowing.
Urdu
Yeh thi hamari woh hujjat jo humne Ibrahim ko uski qaum ke muqable mein ata ki. Hum jisey chahte hain buland martabe ata karte hain. Haqq yeh hai ke tumhara Rubb nihayat dana(wise) aur aleem hai
Surah Al-An'am: 6 - Ayah: 84
Arabic
وَوَهَبۡنَا لَهٗۤ اِسۡحٰقَ وَيَعۡقُوۡبَؕ كُلًّا هَدَيۡنَا ۚ وَنُوۡحًا هَدَيۡنَا مِنۡ قَبۡلُ وَمِنۡ ذُرِّيَّتِهٖ دَاوٗدَ وَسُلَيۡمٰنَ وَاَيُّوۡبَ وَيُوۡسُفَ وَمُوۡسٰى وَ هٰرُوۡنَؕ وَكَذٰلِكَ نَجۡزِى الۡمُحۡسِنِيۡنَۙ
English
And We bestowed upon Abraham (offspring) Ishaq (Isaac) and Ya'qub (Jacob) and each of them did We guide to the right way as We had earlier guided Noah to the right way; and (of his descendants We guided) Da'ud (David) and Sulayman (Solomon), Ayyub (Job), Yusuf (Joseph), Musa (Moses) and Harun (Aaron). Thus do We reward those who do good.
Urdu
Phir humne Ibrahim ko Ishaq aur yakub jaisi aulad di aur har ek ko raah e raast dikhayi (wahi raah e raast jo) isse pehle Nooh ko dikhayi thi aur usi ki nasal se humne Dawood , Sulaiman, Ayub, Yusuf , Moosa aur Haroon ko (hidayat bakshi) is tarah hum neikukaron (righteous) ko unki neki ka badla dete hain
Surah Al-An'am: 6 - Ayah: 85
Arabic
وَزَكَرِيَّا وَيَحۡيٰى وَعِيۡسٰى وَاِلۡيَاسَؕ كُلٌّ مِّنَ الصّٰلِحِيۡنَۙ
English
(And of his descendants We guided) Zakariya (Zachariah), Yahya (John), Isa (Jesus) and Ilyas (Elias): each one of them was of the righteous.
Urdu
(Usi ki aulad se) Zakariya, Yahya, Isa aur Ilyas ko (raah-yaab kiya) har ek unmein se saleh tha
Surah Al-An'am: 6 - Ayah: 86
Arabic
وَاِسۡمٰعِيۡلَ وَالۡيَسَعَ وَيُوۡنُسَ وَلُوۡطًا ؕ وَكُلًّا فَضَّلۡنَا عَلَى الۡعٰلَمِيۡنَۙ
English
(And of his descendants We guided) Isma'il (Ishmael), al-Yasa' (Elisha), Yunus (Jonah), and Lut (Lot). And each one of them We favoured over all mankind.
Urdu
(Usi ke khandaan se) Ismail , Al-yasa(Elisha) , aur Yunus aur Lut ko ( raasta dikhaya). In mein se har ek ko humne tamaam duniya walon par fazilat ata ki
Surah Al-An'am: 6 - Ayah: 87
Arabic
وَمِنۡ اٰبَآٮِٕهِمۡ وَذُرِّيّٰتِهِمۡ وَاِخۡوَانِهِمۡۚ وَاجۡتَبَيۡنٰهُمۡ وَهَدَيۡنٰهُمۡ اِلٰى صِرَاطٍ مُّسۡتَقِيۡمٍ
English
And likewise We elected for Our cause and guided on to a straight way some of their forefathers and their offspring and their brethren.
Urdu
Neez inke aaba o ajdaad aur inki aulad aur unke bhai bandon mein se bahuton ko humne nawaza, unhein apni khidmat ke liye chun liya aur seedhey rastey ki taraf unki rehnumayi ki
Surah Al-An'am: 6 - Ayah: 88
Arabic
ذٰ لِكَ هُدَى اللّٰهِ يَهۡدِىۡ بِهٖ مَنۡ يَّشَآءُ مِنۡ عِبَادِهٖؕ وَلَوۡ اَشۡرَكُوۡا لَحَبِطَ عَنۡهُمۡ مَّا كَانُوۡا يَعۡمَلُوۡنَ
English
That is Allah's guidance wherewith He guides those of His servants whom He wills. But if they ever associated others with Allah in His divinity, then all that they had done would have gone to waste.
Urdu
Yeh Allah ki hidayat hai jiske saath woh apne bandon mein se jiski chahta hai rehnumayi karta hai lekin agar kahin in logon ne shirk kiya hota to inka sab kiya karaya ghaarat ho jata
Surah Al-An'am: 6 - Ayah: 89
Arabic
اُولٰٓٮِٕكَ الَّذِيۡنَ اٰتَيۡنٰهُمُ الۡـكِتٰبَ وَالۡحُكۡمَ وَالنُّبُوَّةَ ؕ فَاِنۡ يَّكۡفُرۡ بِهَا هٰٓؤُلَۤاءِ فَقَدۡ وَكَّلۡنَا بِهَا قَوۡمًا لَّيۡسُوۡا بِهَا بِكٰفِرِيۡنَ
English
Those are the ones to whom We gave the Book, and judgement and prophethood. And if they refuse to believe in it now, We will bestow this favour on a people who do believe in it.
Urdu
Woh log thay jinko humne kitab aur hukum aur nabuwat ata ki thi. Ab agar yeh log isko maanne se inkar karte hain to (parwa nahin) humne kuch aur logon ko yeh niyamat somp di hai jo issey munkir nahin hain
Surah Al-An'am: 6 - Ayah: 90
Arabic
اُولٰٓٮِٕكَ الَّذِيۡنَ هَدَى اللّٰهُ فَبِهُدٰٮهُمُ اقۡتَدِهۡ ؕ قُلْ لَّاۤ اَسۡــَٔلُكُمۡ عَلَيۡهِ اَجۡرًا ؕ اِنۡ هُوَ اِلَّا ذِكۡرٰى لِلۡعٰلَمِيۡنَ
English
(O Muhammad!) Those are the ones Allah guided to the right way. Follow, then, their way, and say: 'I ask of you no reward (for carrying on this mission); it is merely an admonition to all mankind.'
Urdu
(Aey Muhammad)! wahi log Allah ki taraf se hidayat-yafta thay, unhi ke raaste par tum chalo, aur kehdo ke main (is tableeg o hidayat ke) kaam par tumse kisi ajar ka taalib nahin hoon. Yeh to ek aam naseehat hai tamaam duniya walon ke liye