Urdu
Tumhare liye rozon ke zamane mein raaton ko apni biwiyon ke paas jana halal kardiya gaya hai, woh tumhare liye libas hain aur tum unke liye. Allah ko maloom ho gaya ke tumlog chupke chupke apne aap se khayanat kar rahey thay, magar usne tumhara kasoor maaf kardiya aur tumse darguzar farmaya , ab tum apni biwiyon ke saath shab-baashi (intercourse) karo aur jo lutf Allah ne tumhare liye jayiz kardiya hai, usey hasil karo, neiz raaton ko khao pio yahan tak ke tumko syahi e shab ki dhari se sapedha subh ki dhari numaya nazar aa jaye tab yeh sab kaam chodh kar raat tak apna roza poora karo aur jab tum masjid mein mautakif (itteqaf mein) hon to biwiyon se mubashrat na karo, yeh Allah ki bandhi hui haddein hain, inke kareeb ba phatakna, is tarah Allah apne ehkam logon ke liye ba-sarahat (clearly) bayan karta hai, tawaqqu hai ke woh galat rawiyye se bachenge