Question Category

Nikah & Talaq ( نکاح و طلاق )

What is the period of Iddat during Divorce and after the death of husband in Islam?

قرآن کے مطابق طلاق کے دوران عدت کا دورانیہ کیا ہے اور شوہر کے مرنے کے بعد عدت کا دورانیہ کیا ہے؟

Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 228
Arabic
وَالۡمُطَلَّقٰتُ يَتَرَ بَّصۡنَ بِاَنۡفُسِهِنَّ ثَلٰثَةَ قُرُوۡٓءٍ ​ؕ وَلَا يَحِلُّ لَهُنَّ اَنۡ يَّكۡتُمۡنَ مَا خَلَقَ اللّٰهُ فِىۡٓ اَرۡحَامِهِنَّ اِنۡ كُنَّ يُؤۡمِنَّ بِاللّٰهِ وَالۡيَوۡمِ الۡاٰخِرِ​ؕ وَبُعُوۡلَتُهُنَّ اَحَقُّ بِرَدِّهِنَّ فِىۡ ذٰ لِكَ اِنۡ اَرَادُوۡٓا اِصۡلَاحًا ​ؕ وَلَهُنَّ مِثۡلُ الَّذِىۡ عَلَيۡهِنَّ بِالۡمَعۡرُوۡفِ​ وَلِلرِّجَالِ عَلَيۡهِنَّ دَرَجَةٌ ​ ؕ وَاللّٰهُ عَزِيۡزٌ حَكِيۡمٌ‏ 
English
Divorced women shall keep themselves in waiting for three menstrual courses and it is unlawful for them, if they believe in Allah and the Last Day, to hide whatever Allah might have created in their wombs. Should their husbands desire reconciliation during this time they are entitled to take them back into wedlock. Women have the same rights against their men as men have against them; but men have a degree above them. Allah is All- Powerful, All-Wise.
Urdu
Jin auraton ko talaq di gayi ho woh teen martaba ayaam e mahwari aane tak apne aap ko rokey rakkhein aur unke liye yeh jayiz nahin hai ke Allah ne unke reham (womb) mein jo kuch khalq (paida) farmaya ho usey chupayein. Unhein hargiz aisa na karna chahiye agar woh Allah aur roz e aakhir par iman rakhti hain. Unke shohar taaluqaat durust karlene par aamada hon to woh is iddat ke dauraan mein unhein phir apni zawjiyat mein wapas le lene ke haqdaar hain. Auraton ke liye bhi maroof tareeqe par waise hi huqooq hain jaise Mardon ke huqooq unpar hain. Albatta Mardon ko unpar ek darja hasil hai aur sab par Allah gaalib iqtedar rakhne wala aur hakeem o dana maujood hai
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 234
Arabic
وَالَّذِيۡنَ يُتَوَفَّوۡنَ مِنۡكُمۡ وَيَذَرُوۡنَ اَزۡوَاجًا يَّتَرَبَّصۡنَ بِاَنۡفُسِهِنَّ اَرۡبَعَةَ اَشۡهُرٍ وَّعَشۡرًا ​​ۚ فَاِذَا بَلَغۡنَ اَجَلَهُنَّ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ فِيۡمَا فَعَلۡنَ فِىۡٓ اَنۡفُسِهِنَّ بِالۡمَعۡرُوۡفِؕ وَاللّٰهُ بِمَا تَعۡمَلُوۡنَ خَبِيۡرٌ‏
English
The wives of men who have died must observe a waiting period of four months and ten days; when they have reached the end of the waiting term, there is no blame upon you regarding what they may do with themselves in a fair manner. Allah is well aware of what you do.
Urdu
Tum mein se jo log marr jayein, unke pichey agar unki biwiyan zinda hon, to woh apne aap ko char mahine dus din roke rakkhein, phir jab unki iddat poori ho jaye, to unhein ikhtiyar hai apni zaat ke maamle mein maroof tareeqe se jo chahien karein tumpar iski koi zimmedaari nahin. Allah tum sab ke aamaal se bakhabar hai
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 235
Arabic
وَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ فِيۡمَا عَرَّضۡتُمۡ بِهٖ مِنۡ خِطۡبَةِ النِّسَآءِ اَوۡ اَکۡنَنۡتُمۡ فِىۡٓ اَنۡفُسِكُمۡ​ؕ عَلِمَ اللّٰهُ اَنَّكُمۡ سَتَذۡكُرُوۡنَهُنَّ وَلٰـكِنۡ لَّا تُوَاعِدُوۡهُنَّ سِرًّا اِلَّاۤ اَنۡ تَقُوۡلُوۡا قَوۡلًا مَّعۡرُوۡفًا ​ؕ وَلَا تَعۡزِمُوۡا عُقۡدَةَ النِّکَاحِ حَتّٰى يَبۡلُغَ الۡكِتٰبُ اَجَلَهٗ ​ؕ وَاعۡلَمُوۡٓا اَنَّ اللّٰهَ يَعۡلَمُ مَا فِىۡٓ اَنۡفُسِكُمۡ فَاحۡذَرُوۡهُ ​ؕ وَاعۡلَمُوۡٓا اَنَّ اللّٰهَ غَفُوۡرٌ حَلِيۡمٌ‏
English
There is no blame upon you whether you hint at a marriage proposal to such women or keep the proposal hidden in your hearts. Allah knows that you will think of them in that connection. But do not make any secret engagement with them and speak openly in an honourable manner. Do not resolve on the marriage tie until the ordained term has come to its end. Know well that Allah knows even what is in your hearts. So, have fear of Him and know well that Allah is All-Forgiving, All-Forbearing.
Urdu
Zamana e iddat mein khwa tum un bewa aurton ke saath mangni ki irada ishare kanayi mein zahir kardo, khwa dil mein chupaye rakkho, dono suraton mein koi muzahiqa nahin. Allah jaanta hai ke unka khayal to tumhare dil mein aayega hi magar dekho! Khufiya (hidden) ahad o paiman na karna agar koi baat karni hai to maroof tareeqe se karo aur aqd e nikah baandhne ka faisla us waqt tak na karo jab tak ke iddat poori na ho jaye, khoob samajh lo ke Allah tumhare dilon ka haal tak jaanta hai, lihaza ussey daro aur yeh bhi jaan lo ke Allah burdbaar hai, choti choti baaton se darguzar farmata hai
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 240
Arabic
وَالَّذِيۡنَ يُتَوَفَّوۡنَ مِنۡکُمۡ وَيَذَرُوۡنَ اَزۡوَاجًا  ۖۚ وَّصِيَّةً لِّاَزۡوَاجِهِمۡ مَّتَاعًا اِلَى الۡحَـوۡلِ غَيۡرَ اِخۡرَاجٍ​​ ۚ فَاِنۡ خَرَجۡنَ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡکُمۡ فِىۡ مَا فَعَلۡنَ فِىۡٓ اَنۡفُسِهِنَّ مِنۡ مَّعۡرُوۡفٍؕ وَاللّٰهُ عَزِيۡزٌ حَکِيۡمٌ‏
English
Those of you who die leaving behind your wives should make testament of one year’s provision without expulsion in favour of your wives; and if they themselves depart, there shall be no blame upon you for what they may do with themselves in an honourable manner. Allah is All-Mighty, All-Wise.
Urdu
Tum mein se jo log wafaat payein aur pichey biwiyan chodh rahey hon, unko chahiye ke apni biwiyon ke haqq mein yeh wasiyat kar jayein ke ek saal tak unko naan-o-nafaqa (maintenance) diya jaye aur woh ghar se na nikali jayein. Phir agar woh khud nikal jayein to apni zaat ke maamle mein maroof tareeqe se woh jo kuch bhi karein uski koi zimmedari tumpar nahin hai. Allah sab par gaalib iqtedar rakhne wala aur hakeem o daana hai
Surah Al-Ahzab: 33 - Ayah: 49
Arabic
يٰۤـاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡۤا اِذَا نَكَحۡتُمُ الۡمُؤۡمِنٰتِ ثُمَّ طَلَّقۡتُمُوۡهُنَّ مِنۡ قَبۡلِ اَنۡ تَمَسُّوۡهُنَّ فَمَا لَـكُمۡ عَلَيۡهِنَّ مِنۡ عِدَّةٍ تَعۡتَدُّوۡنَهَا ۚ فَمَتِّعُوۡهُنَّ وَسَرِّحُوۡهُنَّ سَرَاحًا جَمِيۡلًا‏
English
Believers, when you marry believing women and then divorce them before you have touched them, you may not require them to observe a waiting period that you might reckon against them. So make provision for them and release them in an honourable manner.
Urdu
Aey logon jo iman laye ho, jab tum momin auraton se nikah karo aur phir unhein haath lagane se pehle talaq de do to tumhari taraf se unpar koi iddat (waiting period) lazim nahin hai jiske pooray honay ka tum mutalba kar sako. Lihaza unhein kuch maal do aur bhale tareeqe se rukhsat kardo