Urdu
Aey Nabi, tumhara Rubb janta hai ke tum kabhi do tihayi (two-third) raat ke qareeb aur kabhi aadhi raat aur kabhi ek tihayi (one-third) raat ibadat mein khade rehtey ho,Aur tumhare saathiyon mein se bhi ek giroh yeh amal karta hai, Allah hi raat aur din ke auqat ka hisab rakhta hai. Usey maloom hai ke tumlog auqat ka theek shumar nahin kar sakte, lihaza usne tumpar meharbani farmayi, Ab jitna Quran aasani se padh sakte ho padh liya karo. Usey maloom hai ke tum mein kuch mareez hongey, kuch dusre log Allah ke fazal(bounty) ki talash mein safar karte hain, Aur kuch aur log Allah ki raah mein jung karte hain, pas jitna Quran ba aasani padha ja sakey padh liya karo, namaz qayam karo, zakaat do aur Allah ko accha qarz dete raho, jo kuch bhalayi tum apne liye aagey bhejoge usey Allah ke yahan maujood paogey, wahi zyada behtar hai aur uska ajr bahut bada hai. Allah se magfirat maangte raho, beshak Allah bada Gafoor o Raheem hai