Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 8
Arabic
وَمِنَ النَّاسِ مَنۡ يَّقُوۡلُ اٰمَنَّا بِاللّٰهِ وَبِالۡيَوۡمِ الۡاٰخِرِ وَمَا هُمۡ بِمُؤۡمِنِيۡنَۘ
English
There are some who say: “We believe in Allah and in the Last Day,” while in fact they do not believe.
Urdu
Baaz log aisey bhi hain jo kehte hain ke hum Allah par aur aakhirat ke din par iman laye hain, halaanke dar-haqeeqat woh momin nahin hain
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 9
Arabic
يُخٰدِعُوۡنَ اللّٰهَ وَالَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا ۚ وَمَا يَخۡدَعُوۡنَ اِلَّاۤ اَنۡفُسَهُمۡ وَمَا يَشۡعُرُوۡنَؕ
English
They are trying to deceive Allah and those who believe, but they do not realize that in truth they are only deceiving themselves.
Urdu
Woh Allah aur iman laney walon ke saath dhoke-baazi kar rahey hain, magar darasal woh khud apne aap hi ko dhoke mein daal rahey hain aur unhein iska shaoor nahin hai
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 10
Arabic
فِىۡ قُلُوۡبِهِمۡ مَّرَضٌۙ فَزَادَهُمُ اللّٰهُ مَرَضًا ۚ وَّلَهُمۡ عَذَابٌ اَلِيۡمٌۙۢبِمَا كَانُوۡا يَكۡذِبُوۡنَ
English
There is a disease in their hearts and Allah has intensified this disease. A painful chastisement awaits them for their lying.
Urdu
Unke dilon mein ek bimari hai jisey Allah ne aur zyada bada diya, aur jo jhoot woh bolte hain, uski padash mein unke liye dardnaak saza hai
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 11
Arabic
وَاِذَا قِيۡلَ لَهُمۡ لَا تُفۡسِدُوۡا فِىۡ الۡاَرۡضِۙ قَالُوۡاۤ اِنَّمَا نَحۡنُ مُصۡلِحُوۡنَ
English
Whenever they are told: “Do not spread mischief on earth,” they say: “Why! We indeed are the ones who set things right.”
Urdu
Jab kabhi unse kaha gaya ke zameen mein fasaad barpa na karo to unhon ne yahi kaha ke hum to islaah karne waley hain
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 12
Arabic
اَلَا ۤ اِنَّهُمۡ هُمُ الۡمُفۡسِدُوۡنَ وَلٰـكِنۡ لَّا يَشۡعُرُوۡنَ
English
They are the mischief makers, but they do not realize it.
Urdu
Khabardaar! Haqeeqat mein yahi log mufsid (fasaad karne waley) hain magar unhein shaoor nahin hai
Surah Al-Baqarah: 2 - Ayah: 13
Arabic
وَاِذَا قِيۡلَ لَهُمۡ اٰمِنُوۡا كَمَاۤ اٰمَنَ النَّاسُ قَالُوۡاۤ اَنُؤۡمِنُ كَمَاۤ اٰمَنَ السُّفَهَآءُ ؕ اَلَاۤ اِنَّهُمۡ هُمُ السُّفَهَآءُ وَلٰـكِنۡ لَّا يَعۡلَمُوۡنَ
English
Whenever they are told: “Believe as others believe,” they answer: “Shall we believe as the fools have believed?” Indeed it is they who are the fools, but they are not aware of it.
Urdu
Aur jab unse kaha gaya jis tarah dusre log iman laye hain usi tarah tum bhi iman lao to unhon ne yahi jawab diya “kya hum bewaqoofon ki tarah iman layein?” khabardaar! Haqeeqat mein to yeh khud bewaqoof hain, magar yeh jantey nahin hain