Urdu
Allah woh zinda e javed (hamesha rehne wali) hasti hai, jo tamaam qayinaat ko sambhale huey hai, uske siwa koi khuda nahin hai, woh na sota hai aur na usey oung lagti hai, zameen aur asmaano mein jo kuch hai usi ka hai, kaun hai jo uski janaab mein uski ijazat ke bagair sifarish kar sakey? Jo kuch bandon ke saamne hai usey bhi woh jaanta hai aur jo kuch unsey ojhal hai ussey bhi woh waqif hai, aur uski maloomaat mein se koi cheez unki giraft e idraak mein nahin aa sakti illa yeh ke kisi cheez ka ilm woh khud hi unko dena chahey, uski hukumat asmaano aur zameen par chayi hui hai aur unki nigehbaani uske liye koi thaka dene wala kaam nahin hai, bas wahi ek buzurg o bartar zaat hai